Update 207
Main aur komal jalkrida ka pura maza le rahe the.
Komal ko ab farak nahi pad raha tha ki usne kya pahana hai
Komal to masti karne me koyi huyi thi.
Uska hasna ,uski khushi, dekne layak thi.
Komal kyu khud ka ye rup chupa kar raka tha .
Komal ka talaab se bahar nikaalne ka man nahi ho raha tha .
Use jaisa khushiyo ka mahal chaiye tha vaisa mahal use mil gaya tha.
Wo jalpari ban ke khush thi par use to aaj apni sari ichaye puri karni thi.
Nayi masti naya maza nayi khushi ki talaash me komal talaab se bahar jane
lagi.
main komal ko talaab se bahar jate huye dek raha tha .komal ki wo lachakti
huyi chaal dek kar main komal ka deewana ho gaya.
Komal to catwalk karte huye ja rahi thi.
Pata nahi komal ne kitni khubiya apne undar chupa ke rake hai.
usne baniyan nahi pahani thi.
Komal ke khubsurat badan se girte huye pani ke boonde uski khubsurat ko
char chand laga rahethe.
Komal ke gile baal uski kamar tak lambe the jo komal ki khubsurati ko chupa
rahe the ya khubsurati bada rahe the.
Main to use aise dekte rahna chahta tha. Komal bich bich me palat kar meri
taraf dek kar smile kar rahi thi
muze gurta hua dek kar komal ne ankhoin band karne ko kaha .
main ne halke se ankhoin band ki .aur komal apne kapde uta kar zadiya me
chali gayi.
main komal ke is adda pe lattu ho gaya.
aur talaab me swim karne laga.
Apne tension ,jimmedari ko bhul kar ek din ke liye main bhi khud ko aaram
dene laga.
Komal ne duppate se apne badan ko poch diya .aur sukhe pakad pahan kar
gile kapde sukhane ke liye dup me dal diye
Aur muze swim karte huye dekne lagi.
Komal ke sath itna frank hone ka mera 1st time tha.
Muze laga tha ki komal muz pe guass karengi.ya pir naraz hogi. Par usne aisa
kuch nahi kiya .balki mere sath talaab me enjoy karne lagi.
Apne kal ko bhul kar aaj ko jina shikh gayi komal.
Kitab ke bahar ki duniya kitni khubsurat hai wo komal jaan gayi thi.
Komal muze swim karte huye dek rahi thi.
Thodi der swim karne ke bad main talaab se bahar aa gaya.
Meri body dek kar komal ishare kar rahi thi ki muze 10/10 mil gaye hai.
Main apne sharir ko chupane ka natak karte huye komal ke pass chaka gayi.
Komal meri harkat pe hasne lagi.
Main komal ke pass jakar baite gaya.
Mere aate komal ne apne duppate se mera sar pochna suru kiya.
Har kohi yahi to chahta hai ki uska kohi apna use is tara pyarkare
Komal ke is tara mere baal aur sharir ko phochne se laga ki ham miya biwi ho.
"Komal mele ke bad kitni badal gayi."
Ham friend se best friend ban gaye.ek dusare ko kitna samajne lage hai
Komal bade pyar se mere sar ko poch rahi thi.
Main abi tak sirf underwear me tha pir bhi komal mere pass thi. Komal sharma
ne ki jaga mera sharir par apna hant ghumane lagi.
Komal to apni khubsurati ,apne naye andaz se meri jaan le lengi.
Komal mere karib aati ja rahi thi. Main usko enjoy karna sikha raha tha par
uske dil me kya chal raha hai ye muze pata nahi tha.
jo bhi ho komal ka naya rup muze acha laga. komal ab ladki lag rahi thi.varna
kitab padne vali robet ban chuki thi.
komal itni sundar hai ye muze aaj pata chala tha. komal ka badan uske naam
ki tara komal(najuk) tha.
komal ki khubsurati ko ye natural background char chand laga raha tha.
komal-aisa kya dek rahe ho, kabi deka nahi muze jo gur gur ke dek rahe ho.
Avi-aaj main nayi komal ko dek raha hu. nayi komal ki khubsurati ko dek raha
hu. komal tum aisi rahna ,tume aisa hasta hua dek kar muze acha lagta hai.
is bar meri bat sunkar sharma gayi.
Avi-tum sharmana bhi sikh gayi. muze to laga tha ki meri komal bindas hai.
kaise mere sath talaab....
komal ne mere muh par hant rak diya.meri bat puri nahi hone di.
komal-kuch mat kahna,
Avi-kyu ,tume bura laga mera is tara talaab me karna.
komal-bura lagta to ,sar pochne ki jaga fod deti.
Avi-matlab mera sar futne se bach gaya.
komal-Avi ye bat maa ko mat batana ,wo guass karengi.
Avi-tum pe kohi guass kare aisa main kohi kaam nahi karunga.
komal-vaise tum ne body achi banai hai. main ne kabi is bat par dyan nahi
diya tha. is rup me handsome dik rahe ho.
Avi-tumari raksha karne ke liye banai hai.
komal-mere bodyguard ,kuch to sharma karo ,pura din ka nanga punga rahne
ka irada hai.
Avi-abi to body ki tarif kar rahi thi .itni jaldi ...tum baito main kapde pahan kar
aata hu
komal-tum aise ache lag rahe ho par aise baite rahoge to thand lag
jayengi.main to tumare ache ke liye kah rahi thi.
Avi-main mazak kar raha tha. tumari bat sahi hai. kapde sukne bhi to chaiye
pir main ne zadiyo me jakar kapde pahan liye .aur underwear sukane ke liye
dal di.
mere aate komal mere hant par sar rak let gayi.
komal-Avi ,yaha kitni santhi hai, aisa lag raha hai ki hamesha ke liye ham yahi
par ruk jaye ,
Avi-aisa sochna bhi mat ,neha bua meri jaan le lengi.
komal-maa itni bhi buri nahi jitna tum sochte ho.
Avi-bua to muz pe hamesha guass karti rahti hai
Komal-pyar bhi utna karti hai.maa tume bura kahti hai par us se tume pata
chalta hai ki tum galti kaha karoge.
Avi-ye kaisa pyar hai
Komal-main bhi maa ko samaj nahi pa rahi hu. tum ne yaha aane se pahale
unke pair chhuye the ,deka nahi unka hant apne aap tumare sar pe chala gaya.
aur undar jakar jab main ne deka to maa ke ankhoin me pani tha .
Avi-sach kah rahi ho
Komal-haa, unke almari me tumare pichale birthday ko liya hua gift pada
hai.maa ne tum ko diya nahi par tumare liye kharida tha.
Avi-muze bat karni chaiye neha bua se
Komal-kya bat karoge, maa ko samajna mushkil hai. tum un se kuch mat
kahna varna muz pe guass karengi.
Avi-neha bua muze pyar karti hai par main ne to sirf unki nafrat deki hai
Komal-muze lagta hai maa tumare liye confuse hai, ki tume pyar kare ya nafrat
kare. Wo decide nahi kar paati hai jis se tum ko aisa lagta hai.
Avi-is bat ko yahi khatam karte hai. aur is hariyali ma maza lete hai
Komal-main to yaha aakar bahot khush hu. kuch der aise lete rahte hai. aur is
khubsiartu ko ankhoin me kaid kar lete hai.
Komal ke sath talaab kinare aaram karte huye kabi pedo ki kabi panchiyo ki
bate karne lage.
Talaab ki rangiberangi machaliyo ko dekte huye zarne ke girte huye pani me
nirmalta ka aanand lene laga.
Komal muze panchiyo aur pedo ke bareme batane lagi.
Komal ka nature ke bareme itna khowledge dek kar dil khush ho gaya.
Komal jaisi bahan muze mili hai, komal jaisi bestfriend mili hai, main komal ka
sath pa kar khush tha.
Komal is nature me khoti ja rahi thi. Mera hant pakad kar duniya ghum rahi thi.
Komal itni pyari bate kar sakti hai ,wo bhi itni sari ,komal to puri zindagi ko ek
din me jine ki bate kar rahi thi.
Komal achanak ut kar mele ki bate suru kar deti to achanak college me bitaye
huye hasin palo ki yaade taja kar deti.
Komal meri bina bitaye huya college ka 1 mahina bata raha thi(chachi ki
delivery ka 1 mahina). Ye bataye huye uske ankhoin me akelepan ka dard dik
raha tha.
To kabi komal college ki masti, rani ke sath ghumna, mere sath bike par
college jana ,har kisse ko muze bata rahi thi.
Kaise usne apna akelapan dur karne ke liye kitabo ka sahara liya.
Khud ko apne kamre me band karke apni bhoring life ko jiya.
Na bahar jana ,na kahi ghumne jana. Bas padai karte rahna yahi uski duniya
thi.
Aaj mere sath khubsurat duniya dek kar use kitni khusì mili hogi ye main uske
ankhoin me dek raha tha.
Komal ne puri zindagi me jitni bate nahi ki hogi us se jada aaj bate kar rahe
the.
Komal ki bate sunkar main bhauk ho raha tha. komal ke akelpan uske fike dino
ke bareme sunkar mere ankhoin me pani aa raha tha.
main itna bhauk ho gaya ki komal ko gale laga liya.
mere is tara achanak gale lagane se komal ne bate karna band kiya
Avi-komal muze pata nahi tha ki tum itni akeli thi. ek bar to muze bata deti
Komal-main is akelepan ke sath jina sikh gayi thi.
Avi-aisa karke tum khud ko dard de rahi thi.
Komal-tum bhi to khud ko dard de rahe the. 3 saal tum apne mata pita ko yaad
karke khud ko dard de rahe the.
Avi-wo main...
Komal-jane do ,wo dard bhar din chale gaye. ham sath mil gaye to akelapan
dur chala gaya.
Avi-wo to hai. par tum ne apne akelepan ko dur karne ki khosish kyu nahi ki.
kohi friend bana leti
Komal-main best friend ki talash me thi. jo muze tumare rup me mil gaya.
Avi-main tumara 1st friend hu
Komal-mere papa aur tum
,dono mere liye khas ho.ek bhi dur gaya to muze acha nahi lagta. aur ab to
papa hamesha ke liye yaha aa rahe hai.aur tum bhi ho.
Avi-main promise karta hu ki main tume kabi akela nahi chhodunga.chahe
kuch bhi ho
Komal-khas papa bhi aisa promise kare,
Avi-wo agale saal aa rahe haina
Komal-haa, par yaha aane ke naam sunkar unke chehare pe kuch ajib si
kasmash deki thi. papa kohi tension me hai, main ne phone par bat karne ki
khosish ki thi wo kah rahe the ki aakar bat karenge.
Avi-tum fikar mat karo, main hu na, ham milkar hal dudenge. tumara papa aate
ham milkar bat karenge.
Komal-ye bat main ne maa se bhi nahi ki par tume batane se rok nahi payi.
aisa kyu hua ye tumari bato se pata chala.
Avi-ham kaha se kaha chale gaye
Komal-haa, ham pedo ki bat karte huye papa tak chale gaye.
Avi-acha hua isi bahaane se tum ne dil ki bat muze bata kar apna boz halka
kar liya.
Komal-tumse bat karke ab acha lag raha hai. aisa lag raha hai ki sar se bada
boz nikal gaya hai.
Avi-isi liye to friend hote hai. bate karke dukh aur sukh share karna chaiye.
Komal-mere bareme to tume sab pata chal gaya. apne bareme bhi to batav,
tume direct bada deka hai apne bachpan ke bareme batav
Avi-sach kahu ,mere bachpan ke bareme main bhul gaya hu.maa ,aur papa ke
death ke bad 3 saal gumsum rahne se pichali bate bhul gaya hu. thodi bate
yaad hai par use yaad karta hu to ankhoin me pani aa jata hai.is liye unko yaad
karna band kar diya hai.
Komal-acha kiya ,jo bate dard deti hai unko yaad karke rone se acha hai ki
unko bhul jav
Avi-tumne itni achi bate karna kaha se sikha hai
Komal-tum pass hote ho to apne aap achi bate nikal jati hai.
Avi-aise achi achi bate karte rahna .
Komal-tume achi lagti hai to aise hi bate karti rahungi.
ham aise idar udar ki bate, purani bate yaad karne lage.
jungle ki santi me ham khud ko tension free feel kar rahe the.
ham gass pe let kar jungle ki hariyali me kho gaye.
Ham is jungle ki hariyali, zarne ka surila music, panchiyo ka madur gaana.
Sunne me aise kho gaye ki hame samay ka pata hi nahi chala.
Ham ne to aaj time ko piche chhod diya.
Is santh jaga se ham apne anter aatma ko aaram de rahe the.
Komal mere baho me let kar natural beauty ko aasawad le rahi thi.
Main apne ankhoin band karke relax ho raha tha ki komal ki aawaz sunkar
main apne sapne se bahar aa gaya.
Komal-Avi wo deko rabbit
Avi-kaha hai,
Komal-wo deko pani pi raha hai.
Avi-pine do use pani. tang mat karo use
Komal-muze rabbit se dosti karni hai.
Avi-ab kya banna hai ,wo bata do
Komal-panchi to main ban gayi. jalpari banke nayi saheliya banai hai. ab muze
is jungle ki rani banna hai.
Avi-itne bade jungle ki rani ban kar kya karogi
Komal-jungle ke animal se dosti karungi.
Avi-jungle ki rani ki jaga VANRANI kaise rahenga
Komal-dono ka meaning ek hai. muze VANRANI bana do ,
Avi-VANRANI ki sewa me ye gulam hazir hai. mere liye kya hukum hai.
Komal-gulam muze wo rabbit chaiye
Avi-VANRANI rabbit ko pakad ne me aapko meri madat karni hogi. aap udar se
jaiye main idar se rabbit ko pakadta hu
komal VANRANI bante rabbit se dosti karne ke liye , usko pakdne ke liye uske
piche bhagne lagi.
main rabbit ko zadiyo me jane nahi de raha tha.
komal bhi rabbit ko pakad ke bajay use piche bhag kar pakada pakadi khelna
pasand kiya.
rabbit tunuk tunuk jump mar raha tha.
kabi idar to kabi udar.
komal bhi rabbit ki tara idar udar fudak rahi thi.
komal ki payal ki cham cham sunkar rabbit naach raha tha aisa lag raha tha.
Komal ne panchiyo ke sath udna shika ,machilyo ke sath swim karna shikha
ab rabbit ke sath chalna bhagna uchalna shikh rahi thi.
Komal aaj sabko apna dost banana chahti hai.
Sabko apni saheli bana kar unke sath khelna chahti hai.
Panchi, jalpari aur ab VANRANI ban kar komal khush thi.
main rabbit ko usi jaga par bhagne de raha tha .jis se komal uske sath khel
sake
Komal pir se ek bar khud ko bhul gayi thi.
Choti bachi bankar rabbit ke sath khel rahi thi.
Uske payal ki cham cham ke music pe jungle naach raha tha.
komal ka bachpana dek kar ,uske rabbit ke sath khelte huye dek kar mere
ankhoin me khushi ke aasu aa gaye.
Komal ne apne life ka jada samay akele me bitaya hai .par aaj komal akeli nahi
hai. Usne naye dost ,nayi saheliya mil gayi hai.
Unke sath khel kar komal ne apne past ko piche chhod kar aaj ke sath jina
shikh liya.
rabbit komal ke hant nahi aa raha tha. Itni aasani se jungle ke animal dost nahi
bante .par ek bar dost ban gaye to dosti nibhana jante hai.
Rabbit ne komal ko thaka diya. komal thak kar baite gayi.
Komal-gulam ham to thak gaye. tum pakad lo rabbit ko
main ne VANRANI ke hukum maante huye main ne rabbit ko pakad liya .aur
komal ke pass le gaya.
komal ke hanto me rabbit aate uske chehare ki khushi ko main ne mobile me
kaid kar liya.
rabbit ko apne hanto me pakadte komal use pyar karne lagi.
komal jis tara rabbit ke sath khel rahi use main ne apne mobile me kaid kar
liya.
mobile ko offine pe karke komal ke hasin pal ko camere me kaid kar liya.
komal ne thodi der rabbit ko pyar kiya pir use chhod diya .itne mehnat se
pakda aur komal ne itni jaldi chhod diya .
Komal ne rabbit ke sath khelne ke liye use chood diya. Rabbit ke bhagte
komal pir se uske piche bhagne lagi.
komal ko rabbit ke sath khel ne me maza aa raha tha.
rabbit zadiyo me jane ki bajay komal ke sath khel raha tha.
komal ne socha nahi tha ki use aaj itni khushi milengi.
uske liye to ye ek sapne jaisa tha.
main ne uske sapne ko hakikat me badal diya
Thodi der rabbit ke sath khelne ke bad komal ne rabbit ko zadiyo me jane diya.
Rabbit to zadiyo me gayab ho gaya .aur komal mere pass aakar hafne lagi.
aur hafte huye mere gale lag gayi.
Avi-VANRANI ye aap kya kar rahi hai.
Komal-gulam tum ne hame khush kar diya..ye hamare thanks kahne ka tarika
hai.
Avi-par VANRANI. kisi ne hame aise dek liya to kya kahenga
Komal-ham VANRANI hai.hamse kuch kahne ki kisi me himmat nahi hai.
Avi-aap VANRANI hai .main to ek mamuli sa gulam hu. aapke jungle ki praja to
muze gunnegar samajenge
Komal-tum gulam nahi ho .ham tumse pyar karte hai
Avi-ye aap kya bol rahi hai VANRANI. aap kaha aur main kaha. hamara milan
nahi ho sakta
Komal-hamara milan honga.
Avi-ye duniya vale hame ek nahi hone denge
Komal-main tumare liye duniya se ladh sakti hu.
Avi-duniya valo se ladna aasan nahi hota.
Komal-main sab ka samanaa karke tume VANARAJA banaungi.
Avi-main Gulam se VANARAJA ban jaunga.
Komal-main VANRANI hu to tum VANARAJA hoge na
Avi-VANRANI ye sunne me acha lag raha hai.par main ek gulam hu ye aap
bhul rahi hai.
Komal-tume VANARAJA bana hai ki nahi.
Avi-aapka hukum main kaise taal sakta hu. ye dekiye main kya laya hu.
main ne apna hant aage kiya. Komal ne muti open ki.
mere hanto me ek ring thi.
jab komal pir se rabbit ke sath khel rahi thi to main ne ped ke patto (leaves) se
ek ring bana li thi,
pedo ke patto ki ring dek kar komal khush ho gayi.
Komal-ye ring hamare liye hai
Avi-VANARAJA ki taraf se VANRANI ko ek choti si bhet
Komal-VANRANI khush huyi.
Avi-VANRANI aapka taaj kaha gaya.
Komal-wo to
main ne jungle ke phoolo ke madat se ek sundar sa taaj banaya .
komal ke VANRANI bante taaj ka idea mere dimag me aaya.
main ne apne dusare hant me raka hu VANRANI ka taaj komal ke samane laya
mere hanto me taaj dek kar komal khush ho gayi.
Avi-VANRANI ka taaj tayyar hai.
Komal-VANARAJA apne hanto se pahanayenge to VANRANI khush hogi.
main ne komal ko VANRANI ka taaj pahana diya.
taaj pahante komal khush ho gayi. ab wo sach me VANRANI ban gayi.
Komal-VANARAJA ye khonse phool hai
Avi- ye vanphool hai
Komal-VANARAJA ko hamne to kuch nahi diya.
Avi-VANRANI ne hame gulam se VANARAJA banaya ye hamare liye sab kuch
hai.
Komal-hame bhi aapko kuch dena chahate hai.
Avi-jaisi VANRANI ki icha .
Komal ne mere liye ped ke patto se ring banai
Avi-aapne bhi ring bani
Komal-Aap hame ring pahana dijiye ,ham aapko pahana dete hai
Avi-ye to acha rahenga. VANRANI aur VANARAJA ek ho jayenge
VANRANI ne apna left hant aage badaya .aur main ne VANRANI ko ring
pahana di.
VANRANI ne bhi VANARAJA ko ring pahana kar apna bana liya.
ek dusare ko ring pahanate ek hawa ka zoka aaya .aur ped se phool hamare
upar girne lage.
ye to aise hua jaise hamari shadi huyi ho aur BHAGVAN ne phoolo ko ham pe
gira kar hame aashirvad diya ho.
VANARAJA aur VANRANI ki shadi me panchi. talaab ki machliya , aur jungle ki
praja mojud thi.
koyal ne to surili aawaz me gaana suru kiya.
.
बेखुदी में सनम, उठ गये जो कदम
आ गये, आ गये, आ गये पास हम
आग ये कैसी मन में लगी है, मन से बढी तो तन में लगी है
आग नहीीं ये ददल की लगी है, जजतनी बुझाई, उतनी जली है
ददल की लगी ना हो तो क्या जजींदगी है
साथ हम जो चले, ममट गये फासले
खोई नज़र थी, सोये नज़ारे, देखा तुम्हे तो जागे ये सारे
ददल ने ककये जो ददल को इशारे, ममलके चले हम साथ तुम्हारे
आज खुशी से मेरा ददल ये पुकारे
तेरा दामन ममला, प्यार मेरा खखला
ददल की कहानी पहुची ज़ुबाीं तक,
ककसको खबर अब पहुचे कहााँ तक
,प्यार के राही आये यहााँ तक,
जायेंगे ददल की हद है जहााँ तक
तुम साथ दो तो चले हम आसमाीं तक
ददल में अरमाीं मलये, लाख तूफाीं मलये
ped hawa ke zoko se lahrate huye naach rahe the.
aisa lag raha tha ki sach me meri aur komal ki shadi huyi hai.
nature ko saksi maan kar hamari shadi huyi hai aisa lag raha tha.
komal to in sab se kafi khush dik rahi thi.
Komal ki khushi se muze aisa feel ho raha tha jaise use jo chaiye tha wo mil
gaya ho.
Komal bar bar apne ungli me pahni huyi patto ki ring ko dek rahi thi.
Use to yakin nahi ho raha tha ki ham ek ho gaye.
Wo to koyal ke gaane se khush hokar naachne lagi.
Komal apna hosh kho kar naach rahi thi.
Komal ko is tara khush dek kar main bhi khush tha
Komal VANRANI ban kar khush thi.
Muze gulam aur VANARAJA banne ka natak karke acha laga.
Mere is natak se komal kitni khush hai.
Main ne use VANRANI jaisa feel karane ke liye is tara ka character play kiya.
Aise character play karna main aur choti chachi hamesha karte hai.
Baato baato me main chachi, kabi pati patni ban jate hai to kabi maa beta to
kabi GF BF ban jate hai.
Aise aaj VANARAJA ban gaya.
Is tara ka role play karna muze acha lagta hai.
Deko komal kitni khush hai.VANRANI ban kar
Bachpan me pati patni vala khel khelte hai vaise aaj VANARAJA VANRANI ka
khel khela hai.
Main to gass pe let kar VANRANI ka dance dekne laga.
Komal us taaj se khubsurat dik rahi thi. Aur taaj ke vajase VANRANI dik rahi
thi.
VANRANI dance karke thak kar mere sath gass pe let gayi.
Aur apne VANARAJA ke sath apne jungle ki khubsurati me kho gayi.
Note-kohi khel ko sirf khel ke najariye se dekta hai .to kohi khel khel me apne
dil ki bat bata deta hai.
Khel khel me pati patni banne ko ek bachpana samaj kar bhul jate hai.to kohi
use sach maan leta hai.aur naye sapne saja leta hai.
Kisi ko khush karne ke liye natak kiya jata hai. To kohi us natak ko real life se
jod leta hai.aur us life ko jine lagta hai.
Kuch riste ham banate hai aur kuch riste BHAGVAN banata hai.
komal ne pahale panchi ban kar aasman me udne ka aanand liya.
pir jalpari ban kar talaab ki machaliyo ko apni saheli bana liya.
ab VANRANI ban kar jungle ke animal se dosti ki.
abi tak komal khush thi ,usne jaisa socha tha us se jada use mil gaya.
naye dost nayi saheliyo ke sath komal ko life jine ka naya tarika pata chala.
komal to aaj thakne ka naam nahi le rahi thi.
use aaj life kitni sundar hoti hai ye pata chala.
main ne diya hua taaj pahan kar VANRANI ban kar zarne ko ,pedo ko ,panchi
ko ,machaliyo ko, aur jungle ko kuch bata rahi thi.apne ungli ki ring sab ko
dika rahi thi.
komal ne koyal ke gaane me dance karke pure jungle ko apna deewana bana
diya.
jab komal ke pair ruke to usko girne se bachane ke liye main ne apna hant
aage kiya.
komal mere baho me aakar hafne lagi.
main ne komal ko pani diya . aur usko apne pass baita diya
komal-Avi aaj main bahot khush hu.
Avi-tum khush to main khush
komal-ye din mere zindagi ka yaadgar din hoga.
Avi-sach,
komal-haa, ye din main kabi nahi bhulungi.
Avi-bhul gayi to yaad karne ke liye mere pass ek chiz hai.
komal-kya?
Avi-ye deko video, VANRANI ka video banaya hai
aur main ne komal ko uska video dikaya.
video dek kar komal khush ho gayi.
video me wo rabbit ke sath khel rahi thi. uske bad ring pahanana ,taaj ,pura
video tha.
komal ne wo video apne mobile me copy kiya .aur mobile vaise offine karke
vapas switch off kar diya.
main ne us video ko cut kar 2 video me divide kiya. ek video rabbit ke sath
khelte huye cut kiya. aur dusara video VANRANI AUR VANARAJA ke milan ka
tha.
Komal-kavita ko bhejte hai ye video
Avi-nahi, abi hame bahot kuch karna .abi to dopehar huyi hai.ham raat tak is
din ko enjoy karenge.
Komal-main to baki ka din yahi bitane vali hu.
Avi-yaha ki masti ho gayi. ab kahi aur chalte hai, kya pata is se bhi achi jaga
mil jaye
Komal-tik hai. par muze bukh lagi hai.
Avi-parate hai ,
Komal-jaldi lekar aav tab tak main yaha jaga banati hu.
Main bike ke pass chala gaya.aur parate lekar aa gaya.
komal ne ped ke niche jaga bana di. aur zarne kapani pine ke liye lekar aayi.
komal aur main parate kha kar nayi masti karne ke liye energy jama karne
lage.
ham to khana kha rahe the par komal ke dost bhuke the.
komal ko apne naye dosto ki yaad aate ,ek parata ke tukte karke panchi aur
machliyo ko khilane lagi.
panchi aur machaliya is khane ke liye komal ka sukariya adda kar rahe the.
panchi ne khane ke liye rabbit ko bhula liya.
rabbit ke liye parate ke sath jo saled diya tha wo komal ne rabbit ko diya.
rabbit to komal ke pass aakar khana kha raha tha.
zarne ne apne betiyo ko khana khilane ke liye komal ka sukariya kaha.
jungle ne apne bacho ko (rabbit aur panchiyo) ko khana khilane ke komal ke
upar phool gira kar sukariya kaha.
komal ne yaha aakar ache dost bana liye.
Parate khane tak hamare kapde sukh gaye the ,ham ne kapde pahan liye .
kapde pahante komal samaj gayi ki use apne dosto se alvida lene ka samay aa
gaya.
alvida lene ke naam se komal bhauk ho gayi.
use to yahi rahna tha .is khushiyo ke mahal ko alvida kaise kahengi komal.
yaha use kuch palo me itni khushiya jo mili thi.
is jagane ,uske nayi shaheliyo ne jina ka naya tarika bataya tha.
komal itni bhauk ho jayengi ye main ne socha nahi tha.
komal-Avi muze yaha se kahi nahi jana hai
Avi-jana to padenga .
komal-main yahi rahna chahti hu
Avi-apni yaado ko yaha rahne do .
komal-tum yaha se jane ke bareme kaise soch sakte ho, kitni khush di is jaga
ne hame
Avi-ham vapas aane ke liye ja rahe
komal-matlab
Avi-ye jaga hamara secret rahengi. ,ham yaha har saal aayenge.aur hasin pal
bita kar apni duniya me vapas laut jayenge
komal-ham pir aayenge yaha par
Avi-haa, jab tumara dil karenga tab aayenge
komal-sirf ham dono ,aur knhi nahi.
Avi-ham dono ,yaha aate rahenge.ab apne dosto ko alvida kaho.
komal-dil to nahi kar raha
Avi-par karna hoga
komal ko yaha vapas lane ke promise pe wo yaha se jane ko tayyar huyi.
Komal ne apna makeup tik kiya. Wo halka makeup karti hai. Jis se uski nature
khubsurati barkarar thi.
Komal ke ready hote ham yaha se jane lage.
Komal ne jane se pahale ek bar us jaga ko palat kar deka.aur ankhoin band
karke us jaga ko itni khushi dene ke liye sukariya kaha.
apne dosto aur saheliyo ko pir milne ka vada kiya .
zarne ko jungle ko is din ko special banane ko thanks kaha.
panchiyo ne ek sundar gana ga kar komal ko alvida kiya.
ye jaga main bhi nahi bhulunga.
sach me ye khushiyo ka mahal tha.
komal ko yaha aakar kitni khush hai
komal ne wo VANRANI vala taaj aur ring apne purse me sambal kar rak diya.
komal ke dost ,panchi hame gaon ka rasta dika rahe the.
Main komal ke sath us zarne ke pass vale gaon me aa gaya
Gaon me pooja suru thi. Us gaon ke log mele me aaye the jis se muze
pahchan gaye .
shayad kuch khas puja chal rahi thi.
unke purvaj isi jungle me rahte the.
unke puja karne ka tarika, alag tha.
hame to kuch samaj nahi aa raha tha.
is gaon me bahar ke logo ko jada aane nahi dete .par main bhi is forest ki puja
mele ke madham se karta hu jis se muze gaon me aane diya tha.
is gaon valo ne hame hamara khusiyo ka mahal diya .to Ham bhi puja me
shamil ho gaye.