Update 224


Chachi ne ghar aate pahale muze gale laga kar choomna suru kiya
Avi - chachi kya kar rahi ho vidhya dek rahi hai
B chachi- tum mera beta hai tuze pyar karne se kaisa dar
Avi - itna sara pyar
B chachi- tune aaj mera naam ucha kiya hai
Avi - main ne to bas apni family ko ek kiya hai
B chachi- yahi to main chahti hu , ki tu aise apne pyar se sabko khushi deta
rahe

Avi - apane bhai bahano ke liye itna to main kar hi sakta hu
B chachi- aise hi apne bhai bahno ko sath lekar chalna , unko bich me mat
chhod dena ,
Avi - ji
B chachi- teri pooja bua ko tuze dek kar tere papa ki yaad aayi thi
Avi - mere papa ki , kya mere papa bhi aise hi apne bhai bahano ko pyar karte
the
B chachi- haa , sab sath rahte the , par har din ek jaisa nahi hota , bade hote
duriya paida ho jati hai
Avi - kya hua tha chachi ,
B chachi-shadi ke bad dur ho jate haina (zut) , par tu aisa mat karna , hamesha
apne bhai bahano ke sath rahna
Avi - aapki bat yaad rakunga
B chachi- mera pyara beta
Avi - chachi pooja bua aur neeta bua to khush ho gayi par neha bua
B chachi- neha bua kya ?
Avi - unko to meri kohi bat pasand nahi aati , meri thodi bhi tarif nahi ki
Badi chachi choti chachi ki taraf dekne lagi
Avi - chachi neha bua ne rajesh ko pyar kiya par muze kuch nahi kaha
B chachi- neha to sab se jada khush thi
Avi - haa , par mera naam bhi nahi
B chachi- dek , neha ke pyar karne ka tarika alag hai
Avi -main samaja nahi
B chachi- ager wo teri tarif karti to tu hawa me ud jata , tuze lagta ki tu kuch
bhi kar sakta hai , aise me tuz me overconfidence paida na ho is liye neha aisa
karti hai

Avi - main pir bhi nahi samja neha bua ke pyar ko
B chachi- dek main teri maa hu , vaise neha bhi teri maa hai , main apne pyar
ko chupa kar nahi rakti , par neha rakti hai , main teri tarif karti hu to neha tuze
ye batati hai ki ye sirf ek step tha tuze aur upar jana hai abi se hawa me udne
lagenga to tu gir jayenga , tuze girne se bachane ke liye aisa kahti hai
Avi - par ek bar to pyar se mera naam le sakti thi , muze acha lagta
B chachi- neha tere ache ke liye aisa karti hai , isme uska pyar chupa hota hai
, wo rajesh ko nahi tuze pyar kar rahi thi , rajesh ko tum samaj kar pyar kar
rahi thi ,

Avi - muze aisa pyar nahi chaiye , hamesha wo kuch na kuch bura bhala kahti
hai
B chachi- Avi neha ke bhara bhula kahne se hi tu itna acha ban paya hai
Avi - aake vajase main aisa bana hu
B chachi- tuze kuch pata nahi hai
Avi - to bataiye na
B chachi- dek mela kaam tuze dene ke liye ham sab tayyar the sivay
Avi - sivay neha bua ke , manaa kiya honga neha bua
B chachi- neha ne manaa kiya par kyu kiya tha pata hai
Avi - neha bua muze pasand nahi karti
B chachi- ye bat dubara mat kahna , neha ke liye tu kya hai ye sirf main janti
hu
Avi - sorry chachi
B chachi- aise hi galtiya tu na kare is liye neha tuze daatti rahti hai
Avi - ji
B chachi- pata hai neha ne mele ka kaam tuze dene se manaa kyu kiya tha ,
kyu ki neha ko pata hai ki ye kaam kitna mushkil hota hai , kitna tension hota
hai , kitna dabav hota hai , raat ko sone ko samay nahi milta , din me khane ko
time nahi milta , aur sirf 10 din baki the mele ko , aise me mele ka kaam tuze
dete to tu ye kaam kar nahi paata , ye nanmukin tha ,
B chachi- tuze is se bahot jada chot lagti , tera naam kharab ho jata , teri
suruvat kharab ho jati to aage tera future pe asar hota , thakur ki haweli pe kya
hota hai ham sabko pata hai , neha ko dar tha ki tuze buri aadat lag jayengi ,
thakur ke sath rah kar tu sharab pina suru kar denga ,thakur ka chota beta
kaisa hai ham sabko pata hai aise me tu vaha rahta to tuze bhi wo aadat lag
jati

B chachi- tuze in sab se dur rakne ke liye neha ne mele ka kaam tuze dene se
manaa kiya tha , , usko teri fikar thi , usne isliye manaa nahi kiya ki wo tuze
nafrat karti hai , is liye manaa kiya kyu ki neha tuze pyar karti hai
Avi - aisa tha to aapne manaa kyu nahi kiya mele ka kaam muze dene se
B chachi- tere chacha ne manaa kar diya tha , aur ye hamari parampara thi ,
aise tutne thode dete , tere chacha ke bad tu hi bada hai , aur tumare dadaji ne
unke bad tume ye jimmedari dene ko kaha tha muze , unko tuz pe pura
vishwas tha , tere dadaji ko pata tha ki tu hi ye parampara aage lekar jayenga ,
Avi - ager main kar nahi pata mele ka kaam to
B chachi- hame tuzpe pura vishhwas tha , tere dadaji ko tuzpe vishwas tha ,
hamara pyar tere sath tha , aise kaise tu kar nayi paata , mera beta sab
mshkilo ka samna kar sakta hai

Avi - tabi aapne muze haweli jane se manaa kiya tha
B chachi- haa , neha ki bato ne muze bhi sochne pe mazboor kar diya , aur
main ne meena ko bol kar tuze ghar3 me rahne ko kaha
Avi - itna kuch tha to neha bua ne haa kaisa kaha
B chachi- neha tuze mele ka kaam dene se manaa kar rahi thi teri jaga rajesh
ko dene ko kaha tha , ye kaam namumkin tha to wo rajesh ki bali dene ko
tayyar thi par tuze chot lagne se bachna chahti thi
Avi - ye sab zut haina , neha bua aisa kar hi nahi sakti
B chachi- yahi sach hai , neha tere bhale ka sochti hai
Avi - pir bua tayyar kaise huyi
B chachi- rajesh tuzse bhi chota hai , use kaam dete to tuz pe gaon vale sawal
puchte , aur rajesh ko gaon ke bareme jada kuch pata nahi hai aise me wo kar
hi nahi paata ,
Avi - pooja bua ne samjaya honga neha bua ko
B chachi- main ne samaja usko , tere dadaji ki bat neha ko batai , tumare
dadaji jo chahte the wo bataya , neha apne pitaji se bahit pyar karti hai , unki
bat ko manaa kaise karti , neha ne dil. pe pather rak kar tuze mele ka kaam
karne ki ijajat di

Avi - par unki ijajat lene ki jarurat kya thi
B chachi- Avi , jaise main teri maa hu vaise neha bhi hai ,
Avi - sorry chachi
B chachi- deko Avi , tume jo simple lagta hai wo itna simple nahi hai , tume
samay aane par sab pata chal jayenga
Avi - wo samay kab aayenga
M chachi- khana khane ke bad
B chachi- mere bete ne itna acha kaam kiya hai ki aaj to main apne hanto se
khilaungi
Avi - chachi neha bua itna pyar karti hai muzse
B chachi- haa , ham to suru se kahte aa rahe hai , tu uske pyar ko samajne ki
kosish karna , deka nahi us din komal ko khush dek kar tuze pyar karna chahti
thi , par wo apne feeling ko bahar aane hi nahi deti
Avi - main unke pyar ko bahar nikaalunga ,
B chachi- tu ne aisa kiya na to main tuze roj apne hanto se khana khilaungi
Avi - pir to main aisa hi karunga
B chachi- chal ab khana kha le
Pir Badi chachi ne muze khana khilaya.
Badi chachi ne muze apne hanto se khana khilaya.
Pir chachi ne sawalo ki barish suru ki aur main ne jawab dena suru kiya.
Choti chachi chup chap sun rahi thi ,unke sawalo ke jawab main kamare me
dunga

Seema chachi ne muze garam garam parate parosti gayi. Aur apne hasi mazak
vale sawal puch kar mahol mazedar bana rahi thi
Chachi ke sawal hote main bacho ke sath khelne laga.
Main dusaro ko samay de sakta hu to apne bacho ke liye samay nikaal hisakta
hu. Unke liye thakan ka bahana nahi chalenga.
Bacho ko pyar karte main apne kamre me chala gaya.
apne kamre me aate main badi chachi ki bato ke bareme sunne laga
badi chachi kah rahi thi ki neha bua muze pyar karti hai bas dikati nahi
wo chup kar muze pyar kati hai
mere ache ke liye muze rokti hai tokti hai
badi chachi kya sach bol rahi thi

ya pir muzse sach chupane ke liye aisa kaha
badi chachi muz se zut nahi bolti
jarur kuch to bat honhi jis se neha bua apne pyar ko chupa kar rakti hai
neha bua ki bat kabi kabhi dard deti hai to kabhi kabhi pyar bhi najar aata hai
muze khud pata lagana honga ki neha bua aisi kyu hai
par badi chachi jab bol rahi thi tab choti chachi chup thi
choti chachi ne kuch bhi nahi kaha
ek word bhi apne muh se nahi nikaala
shayad unko bura laga honga mera badi chachi ko puchna
choti chachi ne kaha tha ki muze kuch bhi puchna ho to unse puchu
choti chachi ko mera badi chachi se sawal puchna bura hi laga honga
par choti chachi kuch batati nahi hai
aise ne badi chachi se main ne pucha to kya hua
main aise hi idar udar se puch kar neha bua mere sath aise kyu rahti hai iska
pata laga lunga
komal se kaha tha ki jitna ho sake neha bua ke bareme muze bata de
par ye choti chachi ab tak aayi kyu nahi
kya unko sach me bura laga honga
bura laga honga to bhi choti chachi mere pass jarur aayengi
main choti chachi ka intzar karne laga

Aur choti chachi ke aane ka intazar karne laga.
choti chachi ko shayad badi chachi ne bhulaya honga
badi chachi pahale choti chachi se bat karengi
choti chachi ke chup rahne se muze ajib ajib khayal aa rahe the
aur choti chachi ko inti der hone se muze pakka shak ho raha tha ki badi
chachi aur choti chachi kuch bat kar rahi hongi
choti chachi ne muze manaa kiya tha ki badi chachi se is bareme kuch puchne
se

par main ne aaj badi chachi se puch hi liya
aur badi chachi ne muze bata diya ki neha bua mere bareme kya sochti hai
neha bua ke bareme ab muze bahot kuch pata chal gaya tha
ab to main sab se aise hi thoda thoda puch liya karunga jab tak choti chachi
muze kuch batati nahi hai
aur mera intzar khatam ho gaya
choti chachi mere kamre me aa gayi
choti chachi ke chehare ka tej thoda kam ho gaya tha
jarur kuch badi bat huyi hongi badi chachi aur choti chachi ke bich me
Avi- chachi
C chachi-Avi tune ye kya kiya
Avi- kya hua chachi
C chachi-tune to kamaal kar diya aaj
Avi- rajesh ke bareme bat kari hai aap
C chachi-haa ,tuze kya laga kis bareme bat kar rahi hu
Avi- muze laga badi chachi ko main ne neha bua ke bareme pucha to aapko
guass aaya honga
C chachi-guass , nahi bahot jada guass aaya hai
Avi- ye mazak tha na chachi
C chachi-tune suman didi se ye sab kyu pucha
Avi- badi chachi ne aapko kuch kaha kya
C chachi-mere sawal ka jawab de
Avi- jawab aapko pata hai
C chachi-aaj aisi kya jarurat pad gayi jo sumam didi se puch liya tune
Avi- aaj main ne itna kuch kiya , rajesh khush hai neeta bua khush hai , neha
bua khush thi , par muze neha bua ne thanks bhi nahi kaha , pyar se naam bhi
nahi liya

C chachi-neha aisi hi hai
Avi- wo aisi kyu hai itna hi to pucha badi chachi se
C chachi-muze bhi to puch sakta tha
Avi- aap kuch batati nahi hai
C chachi-sahi samay to aane do
Avi- har sawal ka jawab yahi deti hai aap
C chachi-samay se pahale kuch kiya to dard milta hai
Avi- thoda thoda to bata sakti haina
C chachi-thoda thoda kuch nahi hota
Avi- isiliye main ne badi chachi se pucha , deka badi chachi ne muze jawab de
diya
C chachi-aur tu is jawab se khush ho gaya
Avi- kya matlab
C chachi-aade adure jawab se tu khush ho gaya
Avi- badi chachi se main is se jada puch nahi paya , unko bura lag jata to
C chachi-isi liye to kah rahi hu ki muze pucha kar
Avi- aap bata deti
C chachi-nahi

Avi- isi liye badi chachi se pucha
C chachi-tune puch to liya par unko bura laga honga ye nahi socha tune
Avi- badi chachi ko bura kyu lagenga
C chachi-didi jaldi bhauk ho jati hai , wo tere samne roti thodi
Avi- badi chachi ro rahi thi
C chachi-aur nahi to kya , neha ki vajse tuze dukh mil raha hai tu pareshan hai
ye dek kar kya unko acha laga honga
Avi- main to
C chachi-tuze jo puchna tha muze puch leta
Avi- sorry chachi
C chachi-dubara aisa mat karna
Avi- badi chachi se mafi maang keta hu
C chachi-aisa to bilkul hi mat karna , varna unko aur bura lagenga , main ne
unko samaja diya hai
Avi- aapne badi chachi ko
C chachi-main ne unko sula diya hai , par tu dubara aisa mat karna
Avi- nahi karunga , ab se aapko pucha karunga
C chachi-muz pe vishwas rak , main tuze ek din jarur bata dunga
Avi- ji , main us din ka intzar karunga
C chachi-ab to lagta hai wo samay jaldi aa jayenga
Avi- kya matlab
C chachi-neha ke dil me tere liye pyar paida ho raha hai
Avi- sach
C chachi-haa , komal ke bad tum ne neha ki dusari kamzori ko hant lagaya hai
Avi- rajesh
C chachi-neeta hai neha ki kamzori
Avi- neeta bua , wo to unki bahan hai
C chachi-pooja didi se jada pyar karti hai neha neeta se ,
Avi- aapne pahale bhi bataya tha
C chachi-neha ki sirf ek friend hai wo hai neeta , deka nahi neha rajesh ko
kitna pyar kar rahi thi
Avi- badi chachi ne kaha ki wo muze pyar kar rahi thi
C chachi-didi ne sahi kaha , komal ke samay deka nahi tha tumne , neha apne
dil ki bat batane se pahale kamre me bhag gayi thi , neha apni feeling ko daba
kar rakti hai , usko bahne nahi deti
Avi- ye galat bat hai

C chachi-haa , aisa karne se unke dil me dard hi dard bhar gaya hai
Avi- aur nafrat
C chachi-haa , tu bas apne pyar se unke nafrat ko kam kar dena
Avi- wo to kar dunga par muze neha bua ke bareme kuch bhi pata nahi hai
C chachi-ek kahani sunega
Avi- ab ye kahani bich me kaha se aa gayi
C chachi-bol sunega kya
Avi- aap aisa hi karti hu , bat badal deti ho isi liye badi chachi se puch liya
C chachi-main kahani ache se batati hu
Avi- muze neha bua ke bareme jaanna hai
C chachi-wo to tume kabhi na kabhi bata dungi
Avi-wo din kab aayenga
C chachi-aayenga , jaldi aayenga , tu bada ho raha hai
Avi- intzar karunga
C chachi-jo pucha ho muze pucha kar
Avi- to puchne par aap bata dengi
C chachi-nahi ,
Avi- ye cheating
C chachi-main aisi hi hu
Avi- to main badi chachi se puchunga
C chachi-aur unko rula kar tuze acha lagenga
Avi- aap se puch lunga par pahale aapko rajesh ke sath kya kiya wo bataunga
C chachi-pahale meri kahani sun
Avi- aapko janna nahi hai ki main ne kya kiya
C chachi-wo badme puch lungi pahake meri kahani
Avi- aap bina bataye maanegi nahi
C chachi-mere bete ko kahani suna kar sulana chahti hu
Avi- batai , aaj kahani sunkar sounga
C chachi-hat muze bed par letne de
Avi- aap , main aapki ghod me let jau
chachi bed pe baite gayi aur main unke ghod me sar kar unki kahani sunne
laga
Avi- chachi suru karo
C chachi-kahani suru to karungi , par tume meri kuch bate maanni hongi
Avi- kya karna honga muze
C chachi-tu bich me kuch nahi bolenga , aur kahani sunkar bhi kuch nahi
puchenga
Avi- kahani me aisa hai kya
C chachi-promise kar
Avi- (kahani to hai , isme itna kya sochna hai ) bataiye
C chachi-promise karo
Avi- main kuch nahi puchunga na kanahi ke bich me aur na kahani ke bad
C chachi-to sun
once upon time in
Avi- rukiye
C chachi-main ne kaha tha na ki bich me mat bolna
Avi- hindi me bataiye
C chachi-tik hai ,

tume ek natkat , hashmuk , ek pyari ladki ki kahani batati hu ,
ye kahani ek chote se gaon me rahne vali ladki ki hai
jitna wo gaon pyara tha us bhi jada wo ladki pyari thi
hasti khelti , apne bhai bahano ke sath masti karna yahi uski life thi
apne choti bahan ko jaan se jada pyar karti hai
apne bade bhai ki ladli hai
apne pitaji ke dil ka tukda hai
sabke jaban par in do bahano ka naam hi rahta hai
Maa ji- ruko ye mat karna ............ ye kya kiya tumne................ , in dono se
pareshan ho gayi hu.............. , pura khana jala diya hai .............., ab bhag kaha
rahi ho ............., tumari pitai karni hongi ..............., ab tumare pitaji bhi tume
bacha nahi payenge ......... kaha chupi ho ................., bahar
nikalo............... , muze pir se khana banana honga .............
apni choti bahan ke sath milke pir se usne apni maa ko tang kiya
pura khana jala diya
aur hamesha ki tara apne pitaji ke piche jaker chup gayi hongi
unka ye roj ka kaam tha , apni maa ko pareshan karna pir apne pitaji ke piche
chup jana ,
unko pata hai hai ki pitaji unko maa ke guasse se bacha lenge
pitaji-kya hua ............., pir se dono ne masti ki hongi ,.............., tum dono kab
badi hogi .............., are chup jav tumari maa aa rahi hai ................... tumari maa
bahot guasse me hai .................. vaha nahi bed ke niche chup jav................
main bata dunga ki tum dono yaha nahi ho ..............
hamesha ki tara pitaji ne unko chupa diya

unki maa aaj bahot guasse me thi , unka guass surf pitaji santh kar sakte hai ,
apni pyari betiyo ko pitaji se bacha liya ,
unko bed ke niche chupa diya
maa ji - kaha hai wo dono
pitaji-muz kya pata main yaha apna kaam kar raha hu
maa ji - zut mat boliye , muze pata hai wo dono yahi aayi hongi
pitaji-wo to bahar bhag gayi hai
maa ji - aane do unko aaj unko acha sabak shikaungi
pitaji-par hua kya hai
maa ji - pura khana jala diya hai
pitaji-pir to unki pitai karni hi chaiye , jav bahar jake deko
maa ji - aap aaj unke taraf se nahi bol rahe hai , kuch to gadbad hai
pitaji-aaj dono ne khana jala diya , kal kuch bhi kar sakti hai , aaj main tumare
sath hu , unki pitai kar dena taki wo dubara aisa na kare
maa ji - aap bich me mat aana
pitaji-main to dur hi rahunga
maa ji - kaha gayi wo
pitaji-unko bahar bhagte huye deka tha
maa ji - jayengi kaha , unko aaj main chhodungi nahi
aur maaji unko dundne ke liye bahar chali gayi
maajj ke jate pitaji bed ke paas aagaye
pitaji-tum dono ne ye kya kiya , tumari naa bahot gausse me hai
pitaji-kuch der yahi rahna mere pass varna tumari pitai ho jayengi
dono ki masti unki age ke sath kam hone ki jaga badh rahi thi
par unke pitaji unko daatne ki jaga unke sath masti karne me lag jate the
hamesha ka yahi drama tha
maa ji - wo dono to kahi nahi mili
pitaji-jab aayengi tab dek lena , jav dubara khana bana do , muze bhuk lagi hai
maa ji - abi banati hu
maaji pir se khana banane ke liye chali gayi
pitaji-ab bahar nikalo , tumari maa ko khana banane ke liye bhej diya
dono haste huye bahar nikal aayi
pitaji-khana banane tak yahi rukna , tab tak tumari maa ka guass khatam ho
jayenga
dono khush ho gayi unki pitai bach gayi
par pir se ek jorder chikh sunai di
pooja - neha neeta , tum dono ko main chhodungi nahi , tumari himmat jaise
huyi mere chizo ko hant kagane ki
ye thi us natkat ladki ki badi bahan
lagta hai neha aur neeta ne pir se pooja ki chizo ko hant lagaya hai
pooja ki sherni ki dhahad sunkar pitaji bhi dar gaye
maaji ki guasse se jada pooja ka guass khatarnaak tha
neha aur neeta dar gayi
aur pitaji ne unko pir se bed ke niche chupa diya
ye kahani hai neha ki

pooja , ghar ki badi beti
ghar ki sherni hai
pooja ki dhahad sherni jaisi hai
pooja ke muh se apna naam sunte neha aur neeta pir se bed ke niche chup
gayi
pitaji bhi pooja ki dhahad se dar gaye ,
pitaji jitna maaji se nahi darte utna pooja se darte hai
unki ladli jo hai ,
pitaji pooja ko apni beti nahi apna beta maante hai
pooja - kaha ho , aaj tum dono mere hant ka maar kha kar rahogi
pitaji hall me aagaye
pitaji - kya hua beti
pooja - pitaji aaj aap bich me nahi bolenge
pitaji - par hua kya hai wo to batav
pooja - neha aur neeta ne meri chizo ko hant kaise lagaya
pitaji- wo choti hai , galti ho gayi
pooja - unko kitni bar bataya hai ki meri chizo ko hant na lagaye
pitaji- tum teeno ek kamre me rahti ho to itna to chalta hai
pooja - aap mere liye naya kamra bana dijiye , main unke sath nahi rahungi
pitaji- aaj hi bana dunga , guass thuk do , deko dono dar ke chup gayi hai
pooja - unko itna dar lagta hai to wo aisa karti hi kyu hai , kitni bar kaha hai
meri chizo ko hant na lagaye
pitaji- main unko samaja dunga , dubara wo aisa nahi karengi
pooja - aap har bar yahi kahte hai
pitaji- is bar pakka bol dunga
pooja - kaha hai wo dono
pitaji- bed ke niche chup gayi hai teri maa bhi guass hai aur tu bhi , bichari dar
gayi hai , ro rahi hai
pooja - neha aur ro rahi hai , has rahi hongi , usko to rona kya hota hai pata hi
nahi hai
pitaji- jane de na , bachi hai , meri sherni beti meri bat nahi sunegi
pooja - aapke liye unko chhod rahi hu , par dubara
pitaji- main granty deta hu ,
pooja - dijiye 1 rupaya
pitaji- 1 rupaya kis liye
pooja - meri ink ki bottle gayab kar di dono ne , nayi leni hai
pitaji- ye lo , par ab bahar mat jana , khana ban gaya hai khana kha kar jana
pooja - ji , main khana kha kar jaungi sida sham me aaungi , muze apni saheli
manda ke ghar rukna hai

manda pooja ki best friend , dono bahano ki tara rahti hai , manda rakesh ki
bahan hai , rakesh pooja ka lover hai , pooja ke piche piche bhagta rahta hai ,
par ek number ka darpok hai , pooja ke ek aawaz se peshab nikal jati hai ,pir
bhi rakesh pooja ke piche piche laga rahta hai is umid me ki ek din pooja uske
pyar ko samaj kar haa kar dengi
pitaji- tu manda ko yaha bhulaya kar ,
pooja -muze uske yaha kaam hai
pitaji- kya kaam hai
pooja - aapko kyu batau
pitaji- dek beti , wo rakesh
pooja - pitaji rakesh khargosh hai , aur main sherni ,
pitaji- tik hai ,khana kha kar jana
pooja 1 rupaya lekar apne kamre me chali gayi ,
10 paise ki ink lengi aur baki ke paiso khrach karengi manda ke sath milke
pitaji - neha neeta ka kya karu , inko bachate bachte mere pasine nikal jate hai
pitaji pir se bed ke pass aa gaye
dono pooja ki bate sunkar has rahi thi
pitaji - tum yaha has rahi ho vaha mere pasine nikal rahe the
Neha- pitaji , aap gaon ke number 1 pahalvan ho , aur aap pooja didi se dar
rahe ho

pitaji- beti main 10 aadmi ko ek sath pachhad du par pooja muze pacchd deti
hai , tum us se dur raha karo
neha - ham nahi darte pooja didi se
pitaji- acha , meri neha bahadur ho gayi hai
neeta - main bhi bahadur hu pitaji
neha - tuzse jada main bahadur hu
neeta - khusti khel mere sath pir dek khon bahadur hai
neha - main tuzse badi hu
neeta - kuch minute ka farak hai
pitaji- zagda mat karo , tum dono
neha - ham dono bahadur hai
pitaji- darpok ho , bahadur hote to bed ke niche nahi chupti
neeta -pitaji , rani ladai nahi khelti,
neha - aap hamare senapati ho , hamne aapko ladai khelne bheja tha
pitaji- tum dono ki aisi bate muze achi lagti hai
neeta - senapati , dushman kaha hai
pitaji- rani sahiba , dushman apne kamre me hai
neha - aur pahali dushman
pitaji- wo khana bana rahi hai
neeta - ham bahar aa sakte hai , maidan clear haina
pitaji- ji rani sahiba
aur dono haste huye bahar aa gayi
abi bahar aayi thi ki pir se ek aawaz sunai di jis me shikayat saf najar aa rahi
thi

chhotu- maa , maa , deko neha ne kya kiya
ye chhotu hai , yogendraaingh ka chota beta (Avi ka chacha)
neha neeta se bhi chhota hai ,
iska naam badal kar chhotu neha aur neeta ne hi raka hai pooja ke kahne pe
sabse chhota hone se , neha ko isko chidane me maza aata hai is liye sab isko
chhotu kahte hai
chhotu apni maa ka ladla hai
pitaji ko apni betiyo se pyar tha to maaji ko apne bete ko pyar karti thi
chhotu ki aawaz sunte maaji belan lekar bahar aa gayi
maa ji- kya hua mere sonaa ko
chhotu - deko na maa meri nayi notebook pe neha ne chhotu likh diya
maaji - neha , tuze is belan se tik karti hu , jaa dund kaha hai neha
chhotu - kaha hongi , pitaji ke kamre me chupi hongi
maaji- chal mere sath aaj neha ki akal tikane late hai , bahot pareshan karke
raka hai jab deko tab masti karti hai
pooja - jay bhaiya bahar aav , maa aaj neha ki pitai karengi
jay singh- pitaji ke hote huye ye mumkin nahi hai
jaysingh , yogendrasingh ka bada beta , (Avi ke papa jaysingh )
is ghar ka warish

introduction -
yogendrasingh- ghar ke mukiya , roj subha sham kasarat karte hai , gaon me
inse sab darte hai , apni patni se bahot pyar karte , apni patni ke bina jine ka
soch bhi nahi sakte , apni betiyo me inki jaan basti hai ,inka ek best friend hai
thakurji (pratapsingh -ranjitsingh ka pitaji), pitaji ne thakurji ke jaan bachai thi
, tab se thakurji aur pitaji dost ban gaye
maa ji - jitna pitaji inko pyar karte hai unse kahi jada maaji unse pyar karti hai ,
jab se shadi karke aayi hai kabhi mayake nahi gayi , kyu ki pitaji ke bina ye rah
nahi sakti , inki 2 kamzori hai , ek unke pati aur dusare unke bete , rajsingh aur
chhotu
jaysingh - ghar ka bada beta , maa ka ladla , padai me tej , din bhar kitabo me
ghusa rahta hai , iske sapne bade hai , unka pura karne ke liye ji jaan laga kar
padai kar raha hai , pitaji ke bad jaysingh hi sabse jada pyar karta hai neha ko
(jaysingh Avi ke papa)

pooja - betiyo me sab se badi , ghar ki sherni , apni choti bahan ki masti se
sab se jada pareshan rahti hai , padai me normal ,ek khas saheli manda , ek
lover hai rakesh manda ka bhai , par pooja rakesh ko bhav nahi deti
neha - ghar ki natkhat masti khor, har kohi iske masti ke karan pareshan rahta
hai , aise bahot kam log honge jinko neha ne pareshan nahi kiya honga , sab
se jada apni maa aur pooja didi ko pareshan karti hai , unko pareshan karne
me neha ko jada maza aata hai , neha ki best friend uski judwa bahan neeta
hai , ya kahu to neeta uski jaan hai , padai me pooja se tej hai , aur masti karne
me isko kohi hara nahi sakta
neeta -neha ki judawa bahan , kuch minute ka farak hai , isi ko lekar dono
bahas karti rahti hai khon badi hai , neha ki tara masti karti hai par neha ko
masti me hara nahi sakti , neha ke sath jina hi uska maksad ban gaya hai ,,
neha ko kabhi akela nahi chhhodti , us se chipki rahati hai , padai me pooja se
tej par neha se kam mark milte hai

chhotu - ghar ka sabse chhota member maa ka ladla , maa ke pyar se padai
me sabse last rahta hai , aarama karna , khelna yahi pasand hai , college me na
jane ke bahane dundta rahta hai , par ek din achanak isme badlav aa gaya aur
roj college jane laga pir bhi mark utne hi mile , pata nahi college me kya karta
hai
manda - pooja ki saheli
introduction end
pooja - maa bahot guasse me hai ,
jaysingh- muzepadai karne de , ye roj ka drama hai kuch nahi honga
pooja - chalo na dekte hai
jaysingh- chal
aur chhotu ki vajase maaji ka guass aur badh gaya
aur chhotu ki vajase maaji ka guass aur badh gaya
pitaji ne maaji ka guass kam kar diya tha par chhotu ne aag ne tel daal diya
maaji- kaha hai neha
pitaji- ab kya hua , kyu mere betiyo ke piche padi rahti ho
maaji- aap apni beti ko samaja dihiye ki mere bete se dur rahe
pitaji- kya hya chhotu ko
chhotu- maa deko na pitaji ne bhi chhotu kaha
maaji- ye sab us neha ki vajase ho raha hai , aaj is belen se pitai karungi uski
pooja - kya hua chhotu
pooja didi ke muh se bhi chhotu word sunte neha apni hasi rok nahi payi
maaji-kya kaha tune , tu hongi apne pita ji sherni , mere samne tu bakri hai
chhotu- maa , neha yahi chupi hai , main ne unki hasi suni hai
jaysingh- tuze kuch bhi sunai deta hai neha yaha nahi hai
jaysingh bhi pitaji ki tara neha se bahot pyar karta hai , wo bhi neha ko bacha
raha tha
chhotu- maa ye sab neha ko bacha rahe hai
maaji- aaj ye belen se usko sida kar dungi
neeta-neha aaj to ham bachenge nahi
chhotu-maa wo deko bed ke niche chupi hai
neha -neeta kya jarurat thi bolne ki pakade gaye na
maaji- nahar niklo varna main vaha aa jaungi
neha - aap belen fek do tabi ham bahar aayengi
maaji- bahar aati ho ki
pitaji- neha bahar mat aana
neha - ji pitaji
maaji- aap ke pyar ki vajse neha bhigad rahi hai

pitaji- tumare pyar se chhotu bigad raha hai , fail hote hote bach gaya
neha aur neeta daat dika kar hasne lagi
chhotu- maa
maaji-aap apni ladli ko deko , aisa na ho jaye hant se nikal jaye
pitaji- meri beti aisi nahi hai
pooja neha neeta- ji pitaji
maaji- ji ki bachi , bahar nikal , aaj tune bahot pareshan kiya hai
pitaji - jane do na bachi hai
maaji- bachi bachi bolte bolte iski masti kam hone ki jaga badh rahi hai
pooja - jane do maa ,
maaji- tu abi neha pe guass ho rahi thi aur ab jane dene ko bol rahi hai
neeta - maa pitaji ne usko 1 rupaya diya hai ,
maaji - main pir kah rahi hu itna laad mat karo ki wo bhigad jaye , pir sar pakad
kar baitna padenga
pitaji- meri beti ke sath aisa kuch nahi honga
maaji- pura gaon rakesh aur pooja ki bate kar raha hai
pitaji- bate to hoti rahti hai
pooja - maa wo darpok aur meri kya barabari karenga , meri ek aawaz pe uski
peshab niklti hai
jaysingh- jane do na maa , muze bhuk lagi hai
maaji-aise kaise jane du , khana jala diya hai
neha - khana jalya nahi hai
pitaji- khana jalaya nahi hai aisa bol rahi hau
maaji- puri daal khali ho gayi hai
neha - wo to hamne daal me kali ink daali thi jis se daal khali ho gayi hai
pooja - meri ink daal me daali , bahar nikalo
pitaji- tum sab santh raho main puchta hu
maaji- aaj usko nahi chhodungi
pitaji- pir aise khade raho din bhar
maaji- puchiye
pitaji- neha neeta bahar aa jav main hu yaha par
neha aur neeta apne muh chhota karke bahar aa gayi jaise ro rahi ho
ye unko hatiyar tha , unka chehara dek kar pitaji kisi ko hant lagane bhi nahi
denge
neha aur neeta bahar nikalte pitaji ke piche chhup gayi
pitaji- ab batav kya hua
maaji - ye kya tarika hua puchne ka , dhaat kat pucho
pitaji- main puch raha hu na
chhotu- pahale mere bareme puchiye
pitaji- chhotu.tum last me
chhotu-maa deko pitaji ne pir se chhotu kaha
pooja - chup kar, tu chhotu hai to chhotu kah rahe hai
chhotu- pooja teri chhutti kaat dunga
Jaysingh- chhotu ye kya tarika hai pooja badi hai tuzse , didi bol
chhotu- wo muze chhotu bolti hai chal jata hai , wo muze chhotu kahengi to
main unko pooja kahunga
pitaji- tuze maar chaiye
maaji- kya kaha aapne, lagta hai aapko bahar sona hai aaj
maa ki bat sunte neha aur neeta hasne lagi
pitaji- wo batimizi kar raha hai
maaji- aur neha kya kar rahi hai
pitaji- wo to pyar se bhulati hai isko chhotu
maaji- usko pasand nahi hai chhotu kahna ,
chhotu- maa
maaji- mera pyare bete ko kohi chidayenga nahi
pooja - to kohi chhotu ko chhotu nahi kahenga
jaysingh- chhotu ko chhotu nahi kahenge to kya kahenge wo bhi bata do
neha -main bhi usko chhotu nahi kahungi
neeta - chhotu kohi nahi bolelnga lekin pir bolenge kya
chhotu-maa deko sab jaanbuz kar muze chida rahe hai
maaji- aaj kisi ko khana nahi dungi ,
chhotu neha ko anguta dikane laga
pitaji- tumare hant ka khana khaye bina pet nahi bharta
maaji- ye sab chhotu kahne se pahale bolna tha
neha - pitaji bahar chale khana khane
maaji- bigado aur
pitaji- tumne hi to kaha ki khana nahi dungi , pir main apne bacho ko bhuka
kaise rahne du
maaji- to kya main rahne deti , main ne to aise hi
chhotu- maa
pitaji- chup kar , maa maa karta rahta hai , kabhi to pitaji bola kar
chhotu- aap maarte ho , kasarat karne ko bolte ho
pitaji - to kya zindagi bhar gadda ban kar rahenga
chhotu- maa deko na pitaji kya bol rahe hai
maaji- wo kuch bhi bane , aapki betiyo se kahi gunna acha hai mera beta
neha - ho gaya , muze bhuk lagi
maaji- teri chatni dungi sabko khane ke liye
pooja - muze extra chili ke sath chiye
neeta - muze thika kam
jaysingh- muze sweat chatni chaiye
neha - meri chatni muze milengi kya ?
pir se neha aur neeta hasne lagi
aur maa apne belen ko apne sar par maarne lagi

pitaji-meri beti se jitna mushkil hai
maaji- wo aise galti karti rahengi to sar pitna padenga
neha - maa hamne kiya kya hai
maaji- puri daal jala di
pitaji- daal jali nahi hai aisa kaha na neha ne
neeta - sirf kali ho gayi hai
pitaji- kya ?
neha - pitaji , daal me hamne didi ki ink daal di
pooja - meri ink ,
neha - didi aapko to thanks kahna chaiye , hamare vajase 1 rupaya mila hai
aapko
Next page: Update 225
Previous page: Update 223