Update 225

pooja - iska ye matlab nahi hai ki tu kuch bhi karengi
neeta - didi dubara aisa nahi karenge
pitaji- par tumne aisa kiya kyu
neha - masterji ne kaha tha
jaysingh- masterji ne , zut mat bolo
neeta - sach bhaiya masterji ne kaha tha
pitaji- suru se batav kya kaha kisne
neha - kal college me masterji ne kaha ki "daal me kuch kala hai "
jaysingh- ye to kahavat hai
pitaji- to tune ink daal di daal me
neeta - puri bat to suniye
pitaji- kaho
neha - ham ne masterji ko kaha ki daal to pili(yellow) hoti hai
neeta - to masterji ne kaha ki daal me kuch kala hota hai ye kahavat hai
pitaji- to
neha - hamne pucha ki kala matlab , kya thodi kali hoti hai jisse hame dikai
nahi dete
pooja-masterji ne kya kaha
neeta - ye ink jaisi kali hai vaisa kala
pitaji- to tumne daal me ink dal di
neha - ham dekna chahte the ki daal me kala kaha hota hai
jaysingh-masterji se tik se puchna tha na
neeta - kaise puchte , hamare kuch puchne se pahale ganti baj gayi aur chhutu
ho gayi
pooja - to aage kya hua
neha - ghar aaker rashoi ghar me deka to maa ne daal nahi banai thi , par aaj
banai thi
neeta - hamne maa ko rashoi ghar se bahar nikaala
pitaji- wo kaise kiya
maaji- dono ne kaha ki bahar barish ho rahi hai kapde gile ho jayenge ,, to
main bahar chali gayi ,
neha - pir hamne daal check ki , par daal to pili thi , masterji ne kaha tha ki
daal me kuch kala hota hai, ya pir kala daalna hota hai ,
jatsingh- muze puch leti , main bata deta
neha - aapke pass aaye the par aapne kaha bad me puchna jo puchna hai
jaysingh-to ruk jati
neeta- ruk jati to daal hamari pet me chali jati
pitaji- daal me kala nahi mila
neeta - nahi
pitaji- pir ink kyu dali daal me
neha -masterji ne kaha tha ki ink jaisa kala to hame laga ki ink dal di daal me
to pata chal jayenga
pooja - meri ink kyu li
neeta - hamare pass blue ink thi , kali ink sirf aapke aur bhaiya ke pass hoti
hai
pooja - to bhaiya ki leti na
neha - bhaiya ki kyu lu , bhaiya padai karte hai , aapki vali ink ki nottle ek
mahine se vaisi hi padi hai
pooja - chup raho
pitaji- tum mera 1 rupaya vapas karna
pooja- ab nahi milenga
neeta - didi 10 paise mere hai usme
pooja - mil jayenge tumko
pitaji- ye kya chkker hai
pooja - kuch nahi , are haa tum kuch bata rahi thi ink ke barrme ( ye to unki
chaal hoti hai , neha neeta pooja ki chizo ko hant lagati hai pir pooja guass
hone ka natak karti hai aur jo paise milte hai wo aapas me share karti hai )
neha - haa , to hamne didi ki ink ki bottle le li ,
chhotu- par meri notebook kharab kyu ki
neeta - check kar rahe the ki ink blue hai ya black hai
maaji- check karne ke liye iski book mili
neeta - maa wo notebook aise jhi padi huyi thi
pitaji- par uspe chhotu hi kyu likha
neha - aise hi , chhotu ko tang karne me maza aata hai
pooja - muze bhi
chhotu- pooja ki bachi
pitaji- chhotu vhup raho
neeta - pir hamne ink daal me dal di
pitaji- to pata chala daal me kya kala tha
neha - haa , puri daal hi kali thi
jaysingh- meri bahane scientist banegi (yahi bat Avi bhi kahta hai kavita aur
leena ko , )
pooja - main to ban jaungi
jaysingh- main teri nahi neha neeta ki bat kar raha tha
pooja - pitaji deko bhaiya kya kah rahe hai
pitaji- jay singh , tum bade ho
pooja ne anguta dika diya apne bhaiya ko
neha - to hame daal me kuch kala nahi mila
pitaji- kaise milta , wo kala kankad to nikaal liya tha
jaysingh- pitaji daal me kuch kala hai iska matlab kuch aur hota hai
neeta - kya hota hai bhaiya
jaysingh- matlab kuch sanshaya jaisa hai , jaise pooja ko 1 rupaya diya aur
neeta 10 paise maang rahi hai , matlab kuch to gadbad hai , daal me kuch kaha
hai

neha - samaj gayi
neeta- bhaiya pahale bata dete to daal kali nahi ban jati
pitaji- lo bhagvan , mil gaya tumara jawab
maaji - inke mastetji ko belan se sida karna hoga , bacho ko adura gyan nahi
dena chaiye
pitaji- deka meri betiyo ko , inki kohi galti nahi thi
maaji- meri daal ki galti kya thi , kuch ke chakker me puri daal kali ho gayi
pooja - daal kha kha kar bhor ho gayi hu
maaji- meri daal ko kuch mat kahna
chhotu- maa meri notebook
maaji- isko 2 rupaye dijiye
pooja -2 rupaye
pitaji-jaysingh la denga
maaji- pooja ko paise de sakte to mere bete ko kyu nahi de rahe ho

pitaji- lo , 2 rupaye
chhotu ne 2 rupaye milte neha pooja ko tenga dikya
neha- hamare vajase pooja didi aur chhotu ko paise mile hai
maaji- pir chhotu kaha tune
neeta- maa tumara chhotu bhag gaya 2 rupaye mite
maaji- main bhi jati hu varna pir se daal me kuch kala mil jayenga
aur maa ke is joke pe sab hasne lage
jaysingh- main ne kaha tha na pitaji kuch nahi hone denge
neha - didi mere 10 paise
neeta- mere bhi 10 paise
pitaji- ye kya chakker hai
pooja - aap nahi samjoge ,
aur teeno apne kamre me chali gayi
jaysingh- pooja aapko chuna laga kar gayi hai pitaji
pitaji- pata hai muze , muze mat bata , wo teeno khush haina bas itna hi chaiye
muze
aur pir daal yellow vali , kala nikal gaya tha
sab ne milke haste huye khana kha liya
hamari neha isi tara masti mazak karte huye apni life ji rahi thi
pitaji bhi unke sath masti karte huye chote bache ban jate
pooja to neha neeta pe aise hi guass karti , pir paise milte aapas me baat leti
jaysingh to padai me busy rahta
par jab neha kahti to wo padai chhod kar khelne lag jata
sabi 5 bhai bahan milke khelne lag jate to suraj kab ddhal gaya pata bhi nahi
chalta
neha sirf ghar ke logo ko pareshan nahi karti thi gaon me bhi bahot masti karti
thi

neeta aur neha ke kisse gaon me mashoor hone lage
yogendrasingh ki vajse kisi ki himmat hi nahi hoti ki kohi neha ko rok le
ek bar to panditji unko pareshan karne ka soch rahi thi neha
ye hua aise ki
ye bat ek saal bad huyi thi
neha aur neeta ko achanak mandir jane ki icha huyi
tab jungle jada dur tak paila tha , mandir tak jane ke liye rasta tha par barish
ke vajse rasta bhi dikani nahi deta
gaon ko lag kar tha jungle ,
mandir me jane ke liye jungle se hoker jana padta tha
neha ne mandir jane ka plan neeta ko bata diya ( lekon pitaji aur thakurji ne
mele je samay mandir tak ke jungle ko kam kar diya tha .
neha - neeta , chal mandir chalte hai
neeta- tum pagal hai mandir to jungle me hai ,
neha - to kya hua , jungle me sher nahi hai
neeta- to kya hua , muze dar lagta hai
neha - dar to muze bhi lagta hai ,
neeta- haweli chalte hai
neha - chal na mandir
neeta- tu jayengi to main to aaungi hi par pitaji
neha - unko panditji batayenge
neeta- pandtji , wo to mandir me honge wo kaise batayenge
neha - mere pass ek plan hai
neeta- bata ,
neha ne neeta ko plan bata diya
neeta- isme maza to aayenga par pitaji ko pareshan nahi karenge
neha - to
neeta- pitaji ghabara jayenge
neha - pitaji ko pata hai hamare bareme , wo jada tension nahi lenge

neeta- maa ko batayenge
neha - maa to jada dar jayengi
neeta- to kya kare
neha - tu chal rahi hai kya
neeta- chalo
dono tayyar ho gayi mandir jane ko
pitaji- ye kya kar rahi ho
neha -.plan banaya hai
pitaji- ab kya kar rahi ho
neeta- neha se puchiye
pitaji-neha kya chal raha tumare dimag me
neha -.mandir ja rahe hai
pitaji- kya
neeta- mandir ja rahe hai
pitaji-jungle me ja rahi ho
neha -.aap rokonge nahi
pitaji- tume jane dene ka sawal hi paida nahi honga
neha- pitaji jane dijiye na
pitaji-main bhi aaunga
neha -aapke aane se plan kharab honga
pitaji- plan kya hai
neeta- ye tamatar mere dress pe lagenga , aur main sher ,
pitaji-panditji ko pareshan karna hai
neha -haa
pitaji- kyu us pandit ki neend kharab kar rahi ho
neeta- bas thoda mazak kar rahe hai
pitaji-chalo main aata hu ,
neha -jane dijiye plan cancel , aise maza nahi aayenga
pitaji- to yahi ghar pe jo karna wo karo par jungle galti se bhi mat jana
neeta- kaha tha tume
neha -pitaji , jaiye main aapse bat nahi karungi
pitaji- main chalta hu to manaa kar rahi ho ,
neha - main ro dungi
pitaji-tuze akele kaise jane de sakta hu
neha -muze jaana hai to jana hai
pitaji- haweli chal vaha jo karna hai karna
neha - muze mandir jana hai wo bhi akele
pitaji-pooja jaysingh
jaysingh- pitaji aapne aawaz diya
pitaji- neha ko mandir lekar jav
jaysingh- meri padai
pitaji- jitna kaha hai utna karo
jaysingh- ji pitaji
neha -muze akela jana hai
pitaji- tu samaj kyu nahi rahi hai wo jungle hai
neeta- main bhi to rahungi na sath me
pitaji-tum dono choti ho
maaji- main ne pahsle hi kaha tha ki itna chadav mat sar pe
pitaji- muze sochne do
neha-muze jane hai mandir
maaji- ek thappad laga dijiye
pitaji- kya kaha
maaji- kuch nahi main to aise hi bol rahi thi
pitaji -aisa dubara mat kahna
maaji- ji ,
pitaji- jav tayyari karo jane ki
neha ko ijajat milte wo khush nahi huyi

pitaji ne neha aur neeta ko ijajat de di
par neha ko ijajat milne ke bad bhi khush nahi thi
kya chal raha tha neha ke dimag me
usko to ijajat mil gayi par unke chehae pe ye piki simile kyu thi
dono apne kamre ki taraf jane lagi to pitaji ne inko rok liya
pitaji- tum dono ko nahi sab ko tayyar hone ko kaha hai
neha- pitaji hame akele jaana hai
pitaji- tum mandir nahi ja rahi ho
neha - par aapne abi to permission di thi
pitaji- tum choti ho mandir me jane ko
neeta - pitaji
pitaji- tume shahar le jata hu , tum mandir jane ka bhul jav
neha - hame mandir jana hai
pitaji- tume shahar le ja raha hu mandir jane se jada maza aayenga
neeta - hame panditji ko darana hai
pitaji-shahar me jada maza aayenga
neeta - hame mandir jana hai
neha - ham shahar chalenge par main jo kahungi wo karna honga

pitaji- tum jo kahungi vahi karenge
neeta - neha tumne to kaha tha
neha - promise kijiye
pitaji- promise
neeta- par hame to mandir jana tha
neha ko shahar jane ki permission milte wo uchal padi
neeta ko samaj nahi aa raha tha ki neha kar kya rahi thi
plan to mandir jane ka tha
pir neha shahar jane ki bat se itni khush kyu hai
neeta to apna sar khuja rahi thi
pitaji bhi samaj nahi paa rahe the ki neha itni khush kyu hai
unno ne to shahar jane ki ijajat di pir neha itni khush kyu hai aur neeta aisa
react kyu kar rahi thi
neeta - neha tuze kya ho gaya , hame mandir jana tha na
neha - neeta ham shahar jayenge , rajesh khanna ki nayi movie dekenge
neeta - kya ?
neha - tune to raat me kya tha ki rajesh khanna ki nayi movie dekni hai tuze
neeta - par mandir jane ki bat
neha - wo natak tha pitaji ko shahar le jane ke liye
pitaji- to tum.mandir jane ka natak kar rahi thi
neha - haa , muze shahar jana tha
pitaji- tu sidhe sidhe bata deti to main manaa nahi karta
nehaa - par maa manaa karti ,
pitaji- tu bhi na neha , chalo sab tayyari karo shahar jayenge ham
neeta - muze nahi jana shahar
neha- tuze kya hua
neeta - tune apna plan muze pahale kyu nahi bataya
neha - rajeah khanna ki movie hai
neeta - muze tune bataya kyu nahi
neha - sorry baba , main ne tere liye ye sab kiya
neeta - tuze batana chaiye tha ,rajesh khanna se muze tu pyari hai
pooja-neeta nahi aa rahi hai to uske popcorn main kha lungi
jaysingh-main bhi neeta ki ice cream kha lunga
neha - neeta nahi jayengi to man bhi nahi jaungi , neeta main ne tere liye kiya
pitaji- neeta rajesh khanaa ki movie hai
neeta - tum dubara aisa mat karna , tabi aaungi
neha - ab sab kuch tuze bataya karungi
maaji - aap bigad rahe hai dono ko ,
chhotu- main tayyar hu
pooja - chhotu tuze nahi le ja rahe hai
chhotu- maa main pooja ka khoon pi jaunga
neha- chhotu darcula ban gaya , bhago shahar bhago
pitaji- tum chinta mat karo meri beti apni maryade janti hai
maaji- jaisa aap tik samaje
chhotu- chaliye na main tayyar hu
pitaji- tum sab bhi tayyar ho jav ,

neha ne pir se apni saithani dimag se ek badiya plan tayyar kiya
mandir jane nahi denge ye bat neha ko pata thi tabi usne mandir jane ka
bahane karke shahar jane ka promise karva liya
neha ne neeta ke liye sab kiya
neeta ko rajesh khanna kitna pasand hai ye sabko pata hai
rajesh khanna ki nayi movie aur neeta na deke ye neha kaise hone deti
neeta ke liye to neha kuch bhi kar sakti hai
neha aur neeta ka pyar dek kar pitaji ko acha laga
pooja ko bhi shahar jane ko mil raha hai
wo bhi shahar se apne kaam ki chize kharid lengi
pooja apne paise bacha kar rakti hai taki jab bhi wo shahar jane to chupake se
uski chize wo le sake
jaysingh ko bhi kuch kitabe kharidni thi
jaysingh ko movie dekne me interest nahi tha
par theater ke pass jo modern achool hai usme jaysingh ka interest tha
jaysingh us college ko dekna jata hai , uski icha hai ki wo aise college me pad
kar engineer ban jaye
chhotu to neha ke is chakker ki vajase khush tha
use movie dekne ko mil rahi thi
kal college me apne dosto ko movie ke kisse bata kar apni badai karenga
sab tayyar hote pitaji sabko shahar le jane lage
neeta to neha ka hant pakad kar chal rahi thi

neha ne sahi time par drama kiya , unke gaon me jo ek bus aati hai us me
baite kar shahar aa gaye
shahar aate sab theater ki taraf jane lage
pachho bhai bahan ek dusare ka hant pakad kar aage aage chal rahe the ,
pitaji aur maaji unke piche piche chal rahe the
apne bacho ko is tara sath sath chalte huye , unka pyar dek pitaji aur maaji
khush the
maaji- suniye
pitaji- haa ,
maaji- jay apne bhai bahano ko kaise sath lekar chal raha hai
pitaji- haa, main chahta hu ki wo sabko sath lekar chale
maaji- chhotu pe ager jay ne dyan diya to wo bhi uski tara padai karenga
pitaji- chhotu ko tumare laad pyar ne bigad diya hai
maaji- wo bachpan se aisa hai to usme uski kya galti , dekna mera chhotu is
ghar ko sambalenga
pitaji- tum sahi kah rahi ho , jay ke sapne bahot bade hai , muze dar lag raha
hai uske sapno se
maaji- sapne dekna to achi bat hoti hai
pitaji- par jay kuch jada hi serious ho gaya hai , wo shahar3 jakar padna
chahta hai

maaji- jane dijiye na , uski itni icha hai to , usko bhi uske marji se jine dijiye
pitaji- ager wo shahar3 chala gaya to hamare gaon hamari parampara ka kya
honga ,wo shahar ki ronak me kho jayenga
maaji- wo sirf padne to jana chahta hai
pitaji- tum samaj nahi rahi ho thakur ne muze bataya hai ki ek bar ager shahar
chala gaya to gaon vapas aana mushkil ho jata hai
maaji- thakur bhi to vilayat se aaye the
pitaji- unko unki haweli ke vajase aana pada
maaji- jay bhi aa jayenga
pitaji- uske sapne badte jayenge shahar jaker
maaji- sochiye na ager jaysingh acha officer ban gaya to uske piche piche
pooja neha neeta aur chhotu bhi kuch banege
pitaji- lekin hamari parampara
maaji- uske liye ham haina
pitaji- kya matlab
maaji- hamara pota honga use ham apni parampara ka is ghar ka warish
banayenge
pitaji- jaysingh ke bete ko
maaji- jaysingh ya pir chhotu ke bete ko
pitaji- ek bar tik se socho
maaji- jaysingh ya chhotu ke bete ko warish bana lenge
pitaji- to jaysingh ko shahar 3 bhej du padai karne ko
maaji- inko jine dijiye unki marji se ,
pitaji- ager hamare pote ne bhi yahi kaha to
maaji- ham use apne pass rakenge , jaysingh ko samjana mushkil honga , wo
apne sapne ko jina chahta hai

pitaji- tum kah to sahi rahi ho , jaysingh kisi bhi puja me bhag nahi le raha hai
maaji- uska man hi nahi hai isme to wo hanari parampara aage lekar gaya to
bhi uska faiyada nahi honga , mandir me mele ke samay dil se puja karni padyi
hai , jay ka dil kahi aur honga
pitaji- muze itna batav tum kya chahti ho
maaji- jaysingh ko shahar3 jane dijiye , use uske marji se jine dijiye , aap
dekna , hamne ager sache dil se puja ki hai to jaysingh khud hamare pass
aayenga aur kahenga ki wo parampara aage chalna chahta hai
pitaji- khas aisa ho
maaji- kal wo aagan me akela baite kar aasman ki taraf dek kar soch raha tha
pitaji- kya kaha jay ne
maaji- wo kah raha tha ki aap sirf apni betiyo ko pyar karte hai , aapko uski
kohi parva nahi hai ,
pitaji- usne aisa kaha
maaji- muze ye sunkar rona aa gaya tha
pitaji- tume to pata hai main sabko ek jaisa pyar karta hu
maaji- par jay nahi samaj raha na , usko to shahar jake padna hai bada aadmi
banna hai

pitaji- wo ab yaha raha to , hamare liye acha nahi honga aur na uske liye
maaji- main bhi yahi kah rahi hu , pata nahi kis manus ne mere bete ke dimag
me shahar jane ka bhoot ghusa diya hai , use kidde pade
pitaji- main kuch karta hu
maaji- aap kya karenge
pitaji- main chahta hunki ye paacho bhai bahan aise sath sath zindagi bhar
chale ,par jaysingh ke raste alag dik rahe hai
maaji- wo bada hoker aisa bol raha hai jis se muze dar hai ki chhotu bhi aisa
na soch le ki aap use pyar nahi karte
pitaji- main bat karta hu jaysingh se
maaji- kis bareme
pitaji- ham apna warish apne pote ko banayenge
maaji- ji ,
pitaji- tab jaysingh bhi bich me aaya to main sununga nahi , mera pota hi mera
warish banega
maaji- apne pote ko ham aapke jaisa banayenge
pitaji- hame jaysingh se bahot umid thi , jane do jine do use uske marji se ,
udne do use ,
maaji- yahi tik honga
pitaji- par aise nahi use kuch karna honga
maaji- kya ?

pitaji- uske ache matk lane honge tabi use shahar3 bhejenge
maaji- main duva karungi ki use kam mark mile taki wo gaon me hi rahe
pitaji- aur kya kaha tha jaysingh ne
maaji- usne kaha ki duniya kaha se kaha pahoch gayi hai aur ham yahi gaon
me usi purani parampara me fase huye hai , use ye sab nahi karna , use
duniya ke sath chalna hai , use bada aadmi banna hai
pitaji- wo ab hamare kaam nahi aayenga
maaji- vahi main kah rahi thi
pitaji- use shahar3 hi bhej dene me uski aur hamari bhalai hai , use shahar3 ke
kride ne kaat liya hai
maaji- aap bas soch samaj kar faisala karna
pitaji- ham milkar faisala karte hai , aur jaysingh ko uske marji se jine dete hai
maaji- ji , dekiye , jaysingh ki najare kaha hai
jaysingh ko jana hai theater ki taraf par wo college ki taraf dek raha tha
shahar ke modern college ke bachoo ko dek kar jaysingh ne pooja aur chhotu
ka hant chhod diya
baki chhoro aage jane lage
par jaysingh vahi ruk kar college ki taraf dekne laga
maaji- deka aapne
pitaji- tum sahi kah rahi ho ,jaysingh ne apne bhai bahano ka sath chhod diya
hai , abi se wo chharo jaysingh ke bina rahenge to unko aage jaker jaysingh ki
kami mahsus nahi hongi ,
maaji- jaysingh
pitaji- rahne do use yaha
maaji- par
pitaji- use kuch der akela chhod do ham theater me chalte hai
jaysingh college ke pass chala gaya
aur baki sab theater ke under aa gaye
jaysingh to din me sapne dek ne laga
use lag raha tha ki wo bhi is college me pad raha hai
wo to sabko bhul hi gaya aur apne sapno me kho gaya

jaysingh apne sapne me kho gaya tha
aur baki sab college ke samne vale chote se theater me chale gaye
theater ka milik pitaji ka dost tha jis se ticket mil gayi ,
rajesh khanna ki movie ki ticket milna wo bhi 1 st day vali , mushkil hota hai
par pitaji ne neha aur neeta ke liye theater vale se dosti kar li jis se unko ticket
mik jati hai
chhotu- muze samosha chaiye
pitaji - wo picture aadi hone ke bad milenga abi popcorn
chhotu- main bhaiya ka popcorn bhi lunga
neha - bhaiya kaha hai
pooja - kaha honge , college ke samne hamesha ki tara
neeta- itni achi movie chhod kar kaise ja sakte hai bhaiya
pooja - bhaiya ko ,yaha aate din me sapne dikai dete hai
pitaji- tum sab chalo under
neha - pitaji ek bat puchu
pitaji- haa pucho na ,
neha - bhaiya ko aap shahar3 kyu nahi bhejte padai karne ko ,unki kitni icha
hai

pooja - pitaji main bhi neha ki bat se sahmat hu , bhaiya ka sapna hai shahar3
jake padne ka to padne dijiye na
neeta -bhaiya shahar3 jayenge to hame bhi nayi nayi bate shikne ko milengi
pitaji- uske salne bahot bade hai ager pure huye to bhi acha nahi honga aur
nahi pure huye to bhi acha nahi honga
neha - pitaji aise me kosish ki to samadan rahta hai ki hamne kosish ki hai ,
aisa lagta ki agar haarte nahi to jit hamari hoti
pitaji- meri beti itni achi bate karti hai ye muze pata nahi tha , tu to badi ho
gayi hai
neeta- main bhi badi huyi hu
neha - tu kitni bhi badi ho ja rahengi to muzse choti hi
neeta- maa muze bada kyu nahi kiya
maaji- mere bant me kuch nahi tha ,
chhotu- ager hota to maa muze bada bana deti haina
maaji- tum chota hi acha hai , isi liye tuze itna pyar karti hu
pooja - ham bhaiya ki bat kar rahe the

neha - muze lagta hai ager bhaiya ko itna acha gaon chhod kar bahar jana hai
to jarur unno ne kuch soch raka honga
pooja - main to isi gaon me rahungi
maaji- shadi ke bad to tuze jaana honga
pooja - pitaji muze isi gaon me rahna hai
pitaji- tumare dhule ko yaha lekar aayenge
neha - aur main
neeta- main pahale bata rahi hu , jaha neha rahengi vaha main rahungi
maaji- ab tum badi ho gayi ho , ab to dur rahna shiko , shadi ke bad tume dur
rahna honga
neeta- pir to main shadi hi nahi karungi
neha - ham do bhai se shadi karengi , pir to ham sath rahenge
maaji- ye dono bhi na
pitaji- sahi to kaha , sath rahne me inko ek dusare ka pyar milta rahenga
neha - ekta me sakti
pitaji- sahi kaha , to chale under
pooja - ham pir bat badal rahe hai , ham bhaiya ke bareme bat kar rahe the
neha - pitaji bhaiya ko shahar3 jane dijiye na , main ne bhaiya ko kahi bar
akele baite kar sochte huye deka hai
pooja - wo college me bhi yahi sochte rahte hai , masterji kahte hai bache bade
hote hai to unko udne ke liye ghar chhodna padta hai
neeta - bhaiya ko hamara pyar vapas gaon me lekar aayenga
maaji- khas aisa ho

pitaji- tik hai , vaise bhi ham ispe bat kar chuke hai , ab tum sab bhi yahi
chahti ho to main bat karta hu jaysingh se chalo ab movie dekne
neeta - ab to movie dekne me jada maza aayenga
aur sab hall ke under aa gaye
under aate rajesh khanna ko dekte neeta ne siti baja di
aur neha neeta movie me kho gaye
pooja ko bhi movie dekne me maza aa raha tha
pooja ko heroine ke kapdo me interest tha ,
chhotu to apni hi dund me apni maa ke sath movie dek raha tha
pitaji ke dimag ne kuch aur chal raha tha
pitaji movie nahi dek rahe the
wo jaysingh ke bareme soch rahe the
jaysingh ager vapas nahi aaya to
usne zindagi bhar shahar3 me rahne ka faisala kiya to
ager shadi ke bad usne sare riste thod diye to
ager unke pote ko unse dur kiya to
ager jaysingh goan me nahi rahna chahta hai to wo apne bete ko kaise rahne
denga

muze jaysingh ke liye aisi jivan sathi dundni hongi jo usko badal de , uski
soch ko badal de
par shahar3 jake jaysingh ne shadi kar li to
muze kya karna chaiye
pitaji ki kashmkas ko maaji samaj gayi
maaji- kya bat hai
pitaji- kuch nahi
maaji- aap muzse to zut mat boliye
pitaji- jaysingh ke bareme soch raha hu
maaji- kya soch rahe the
pitaji- tum yahi bacho ke sath ruko main bat karke aata hu jaysingh se
maaji- main bhi chalti hu
pitaji- tum yahi ruko , main usse jo bat karunga tume bata dunga
maaji- ji , jaldi aana
pitaji- tum daro mat , main abi aata hu
pitaji bacho ko maaji ke bharose chhod kar theater se bahar aa gaye

pitaji college ke pass gaye
.jaysingh abi tak vahi khada tha ,
wo college ke bacho ko dek raha tha
pitaji jaysingh ke pass chale gaye
pitaji- jaysingh
jaysingh to apne hi khayalo me khoya tha
pitaji- jaysingh
jaysingh-haaa kya hua ,
pitaji- tume kya hua
jaysingh-movie
pitaji- wo to kab ki suru ho gayi hai , sab movie dek rahe hai
jaysingh-main wo yaha par
pitaji- tum yaha kya kar rahe ho muze pata hai
jaysingh-pitaji wo main
pitaji- tume aage badna haina
jaysingh-ji
pitaji- tume gaon ki galiyo se nikal kar shahar3 ke road pe bhagna hai
jaysingh-ji
pitaji- par aisa karne se kahi tum gir gaye to
jaysingh-aapka beta hu gir gaya to bhi khada hokar pir se chalne lagunga
pitaji- mera beta hota to gaon chhodne ki bat kabhi nahi karta
jaysingh-main bas padai karne jana chahta hu
pitaji- tuze bhi pata hai ki uske bad bhi tu shahar3 me rahenga vahi job
karrnge
jaysingh-main khud ki company nikaalna chahta hu ,
pitaji- us se tuze khushi milengi ?
jaysingh-haa
pitaji- par tune aaj apne bhai bahano ka hant chhod diya hai ,pir aage to tu
unko puchenga bhi nahi
jaysingh-main unko bhi sath lekar chalunga , unki life badal dunga
pitaji- par tune aaj unka hant chhoda hai kal nahi chhodenga uski kya garnty
hai

jaysingh-aapka beta hu , jaban dunga to puri jarur karunga
pitaji- kya karenga
jaysingh-aap jo bolenge wo main karunga
pitaji- tu shadi meri marji se karenga
jaysingh-ji
pitaji- tere bete pe mera hak honga
jaysingh-ji
pitaji- soch kar bolo
jaysingh-muze manzoor hai
pitaji- tere beta warish banega
jaysingh-ji
pitaji- pir mat kahna ki uske bhi sapne hai
jaysingh-tab tak main khud yaha vapas aa jaunga
pitaji- to
jaysingh-to main ja sakra hu shahar 3 me
pitaji- pahale meri bat sun
jaysingh-ji
pitaji- tune to tere bhai bahano ka hant chhod diya aaj , par tere bhai bahan ne
tere
sapne ko pure karne ko kaha hai muze , ye bat yaad rakna ki tu tere bhai
bahano ke vajase apne sapne pure kar raha hai
jaysingh-main unke pyar ko kabi nahi bhulunga
pitaji- bhul gaye to bhi muze dukh nahi honga par khud ko kabhi mat bhulna ki
tum khon ho

jaysingh-khud ko jis din bhulunga wo aakri din honga mera
pitaji- kaha padna chahta hai , is college me
jaysingh-yaha nahi , shahar3 me padna chahta hu
pitaji- itni dur
jaysingh-vaha acha college aur college hai
pitaji- tik hai , main bandobast karta hu , par apni bat yaad rakna
jaysingh-ji yaad rakunga
pitaji- aur khud ko bhulne vali bat bhi
jaysingh-ji
pitaji- aur haa ye ek saal tuze apne bhai bahan ke sath gujaarna honga , unko
khush rakna honga tabi tu agale saal ja payenga shahar3 padai karne ko (ek
saal bad may be tu sabka pyar dek kar shahar3 jane ko manaa kar de)
jaysingh-ji
pitaji- is saal ager tu is tahsil me aval aaya to tab tuze shaha3 bhejunga
jaysingh-ji main ji jaan laga dunga
pitaji chah rahe the ki jaysingh shahar3 jaye hi nahi
pitaji- chal ab sab tera intzar kar rahe hai
jaysingh-kya sach main shahar3 jaunga

pitaji- ager tu meri bat yaad rakenga tabi ja payenga
itna sunte jaysingh pitaji ke gale lag gaya
pitaji- kabi dubara ye mat sochna ki main tume pyar nahi karta , main tere
bhalai ke liye tuze shahar3 jane nahi de raha tha
pitaji- par tuze tere sapne hamse jada pyare hai to yahi sahi ,
pitaji- ye saal apne bhai bahano ke naam kar dena
jaysingh-ji
pitaji- pir se kah raha hu khud ko bhulna mat ki tum khon ho ,
jaysingh-ji , nahi bhulunga
pitaji- apni pahachan jo bhul jata hai wo jite ji mar jata hai
jaysingh-meri pahchan main hu , mari family hai , mara gaon hai
jaysingh ki bat se pitaji khush to huye
par unko pata tha ki wo kya karne ja rahe hai
sab yahi chahte hai to yahi sahi
neha pooja aur neeta ne pitaji ko jaysingh ke shahar3 bhejne ki bat karke ,
pitaji ne decide kiya ki unko kya karna hai
bas wo kuch bate clear karna chahte the
pitaji ko pata tha ki jaysingh ki biwi haysingh ki badal sakti hai
wo abi se jaysingh ke liye aisi biwi dundne me lag jayenge jo jaysingh ki biwi
nahi is ghar ki beti ban kar is family ka hisha bane
.tab jake pitaji jaysingh ko vapas la payege
pitaji ne sahi socha

pitaji ne dur ka socha kar jaysingh se shadi ka promise karne ko kaha
aur pote ki bat karke clear kar diya ki wo ud sakta hai par usko uske udne ki
kimmat me uska beta pitaji ko dena honga
jaysingh aaj jawan ki josh me haa to bol gaya
par pata nahi aage kya hota hai
safar lambha hai
lambhe safar me aksar aadmi ki soch badam jati hai jis se safar kabhi tay nahi
hota hai
jaysingh ne promise to kiya ki wo khon hai ye bat kabhi nahi bhulenga
par wo shahar hi kya jo aadmi ki pahachan na bhula de
shahar aaker ache ache aadmi khud ko hi bhul gaye hai
par aaj to sab khush the pitaji ko jo chaiye tha wo mila unka warish
jaysingh ko uska sapna pura karne ka chance mila hai
maaji apne bete ko khush dek kar khush thi
jaysingh ke aate sabko movie aur achi lagne lagi
Next page: Update 226
Previous page: Update 224