Update 227
neha aur neeta har din nayi nayi masti karne me lagi huyi thi
masti ke sath wo padai bhi karti thi
par pooja to padai kam aur apni saheli ke sath timepass jada karti thi
jaysingh to jor laga kar padai kar raha tha
use ache mark laker shahar3 jana tha
exam ho gayi
jaysingh ko puri umid thi ki uske shahar3 jane ki ticket use mil jayengi
chhutiya suru hote aam ka session suru ho gaya
aam ka bhagicha dire dire bada ho raha tha
ek hector tak bada ho gaya
ek ped se suruvat huyi thi
Bat 3 ,4 saal purani hai
ek din puri family khet me gayi thi
pitaji aur maa khet me kaam kar rahi thi
jaysingh pooja neha neeta aur chhotu khel rahe the
khelte khete neha aur neeta ko aam ka ek chota pauda dikai diya
dono ne us paude ko zameen se nikaal kar apne pitaji ke pass le gayi
neha - pitaji
pitaji- kya hai neha
neha- dekiye hame kya mila
pitaji- kya hai
pitaji ko neha ke hant me aam ka pauda dikai diya
maaji-ye kya kiya ,loaude ko bahar kyu nikaala
pitaji- kaha mila tume ye pauda
neha - wo vaha dur zadiyi me mila
pitaji- to
neeta- ham use nikaal kar le aaye
pitaji- meetti ke sath nikaala
neha - haa
pitaji- par tum yaha kyu lekar aayi ho
neeta- ham isko hamare khet me lagate hai
pitaji- to laga do par iski dekbal tume karni hongi
maaji-tum dono kuch bhi karti rahti ho,ab ye naya bhoot ghus gaya tumare
dimag me
pitaji- neha jav laga do khet me
neha - ji pitaji
pitaji- par iski dekbal bhi karna
neeta- main bhi karungi pitaji
maaji- chalo acha hai ye dono us paude ke piche lagi rahengi ,
neha aur neeta ne pauda khet me laga diya
usko pani diya
aur valas pitaji ke pass aa gayi
neha - pitaji pauda laga diya
pitaji- jav ab khelo aur ghar jate huye pir se pani dena
neeta- ji
aur neha neeta pir se khelne lagi
sham me ghar jane se pahale neha ne paude ko pani diya
aise 1 hafta nikal gaya
neha neeta roj us aam ke paude ko pani deti
wo pauda jine ki jaga mar raha tha
neha aur neeta ye samaj hi nahi paa rahi thi ki ho kya raha hai
wo to pani de rahi hai pir paude ke patte gir kyu rahe hai
neha bhag kar apne pitaji ke pass aa gayi
.neha ko aise hafte huye dek kar pitaji ne usko pani diya
pitaji- kya hua aise bhag kyu rahi ho
neha - jaldi chaliye mere sath
pitaji- kya hua aur neeta kaha hai
neha- jaldi chaliye
pitaji neha ke sath jane lage
maa bhi pitaji ke piche piche jane lagi
neha pitaji ko lekar us aam ke paude ke pass aa gayi
meha - pitaji dekiye ye pauda to mar raha hai
maaji- pagal , tune khet ke bich me lagaya pauda
pitaji-tum ruko , neha kya hua
neha - pitaji ye pauda mar raha hai
pitaji- tum ne galat jaga lagaya hai
neeta- aapne to kaha ki khet me laga do
maaji- to kya bich me lagayogi khet ke
pitaji-neha yaha kyu lagaya pauda
neha - taki ye khet ke bich me khada rakh kar sabi paudo ko chhav de
pitaji- ye to acha socha tumne
maaji- us se pata hai kya hoga
pitaji- tum chup raho
neeta- par ye to
pitaji- main kuch karta hu , tum ek lakdi lekar aav neha
neha bhag kar ek lakdi lekar aa gayi
pitaji- jaysingh , senkhat lekar aav
jaysingh bhi khat lekar aa gaya
pitaji- jaysingh khet ke baju me jo pakki meetti hai wo lekar aav
jaysingh meetti lekar aa gaya
pitaji- ye meetti aam ke ped ke liye tik nahi hai , pakki meetti chaiye ,taki ped
ko mazbooti mile
neeta- ji
pitaji- ab ham yaha jaga bana denge , is pakki meetti se jaga bana denge
maaji- is se to khet ki jaga waste ho jayengi
pitsji- thodi jaga se kuch nahi honga
pitaji ne neha aur neeta ke paude ke liye jaga bana di
us paude ko khat diya aur lakdi ki madat se sahara diya
aur us pauda me pir se jaan aa gayi
pitaji- ab roj pani dena dekna ek din bahot bada ped ban jayenga
neha- ji , aur bada hone par ham iske aam khayenge
pitaji- ab iska dyan rakna kuch din
neha khush ho gayi
neha aur neeta paude ke sath khelne lagi
unko khelta hua dek kar pitaji ko acha laga
maaji- ye aapne kya kiya kheto ke bich ki achi jaga waste kar di
piraji- kuch nahi hota, deko neha aur neeta kitni khush hai
maaji- wo to hai
jaysingh- pitaji mere dimag me ek idea aaya hai
pitaji- bolo
jaysingh- uder dekiye kya dik taha hai
pitaji- jungle
jaysingh- jungle ke aage
pitaji- ek banjer khet hai aur uske bad hamara khet hai
jaysingh- tik se dekiye
maaji- tum kahna kya chahta hai
pitaji- main samaj gaya jaysingh kahna kya chahta hai
masji- muze bhi batiye
pitaji- neha ka wo aam ka ped bada ho gaya to jungle dikenga nahi
maaji- ek ped se jungle kaise chup sakta hai
jaysingh- kyu na ham vaha par aam ka bhagicha bana de taki jungle chup jaye
aur log hamare khet me kaam karne bhi aa jayenge
pitaji- ye tum ne acha socha
maaji- par uske liye to kafi time lagena , 3 4 saal lag jayenge
pitaji- ham dire dire jungle ko chupa denge
jaysingh- lahale ek hector se suruvat karte hai
pitaji- tum sahi kah rahe ho , jungle bhi chup jayenga aur garmiyo ke dino me
aamdani bhi ho jayengi
maaji- haa , ye acha rahenga
pitaji-neha neeta pooja chhotu idar aav
sab bhag kar pitaji ke pass aa gaye
ppoja- pitaji aapne bhulaya
pitaji- tum sabko ek kaam karna honga
neeta- kaisa kaam
pitaji- neha tumare pauda to akela haina
neha - haa
pitaji- usko dost nahi chaiye khelne ko
.
neha- ham hain uske dost
pitaji- aur raat me use dar lag gaya to
neha - haa , main to ye socha hi nahi
pitaji- ham ek kaam karte hai , kal main tum sabke liye aam lekar aaunga
chhotu - aam , muze jada chaiye
maaji- mere bhi kha lena
pitaji- ham aam khayenge , aur usko zaneen me laga denge , pir us se aam ka
pauda nikalena aur pir hamra sunder aam ka bhagicha ban jayenga
neha - aam ka bhagicha, pitaji aap bahot ache ho
neeta- pir to ham aam ke bhagiche me chhutiyo me khel bhi sakte hai
jaysingh- pitaji ham paude kharid kar bhi laga sakte hai
pitaji- us se acha hai ham khud apne meetas se pauda banaye ,
maaji- pahale to jaga pakki karni hongi
neha - haa , abi jaisa kiya hai
pitaji- ham milkar banayenge , puri chhutiya me ham yahi masti karte huye
aam ka bhagicha banayenge
neeta- isme to bahot maza aayenga
pooja - muze bhi kaam karna honga
pitaji- ham sab thoda thoda kaam karenge , roj 2 paude lagayenge
ager sab tik raha to hamare bhagicha tayyar ho jayenga
aur sab ne pitaji ka sath diya
ek dusare ki madat karte huye
ek dusare ke kande se kanda mila kar aam ka bhaghicha banane me lag gaye
chhotu aam kha kar seed deta
jaysingh aur pitaji meetti ko pakki bana dete ,
maaji aur pooja seed ke liye khadda tayyar karti
aur neha neeta us me seed daal kar khadda buza dete
pir vaha paude ke liye lakdi ka shahara aur khat aur pani ka intzam kar diya
sab is tara se aam ka bhagicha banane me lag gaye
umid bahot kam thi ki khet ki zameen par mazboot ped lag jayenga
par sab ka hoshla itna jada tha ki pitaji ne bahot mehnat ki ped vaha khade rah
sake
ped ko pani ki jaga pasine se bada kiya gaya
usko itna pyar diya gaya ki aasman ko jaldi se chhune laga
barish ke mosum ke bad to paude bade ho gaye
par barish jada hone se kuch paude gir gaye the
par unka pir se sahara de kar kada kiya
aur dekte dekte aam ka bhagicha khilne laga
dire dire aam ka bhagicha jungle ko chupane laga
neha aur neeta bagicha dek kar khush ho gayi
gaon vale bhi ise apne roji roti ki najariye se dekne lage
dire dire aam ka bhagicha bada ho gaya
maaji- ye to ho gaya , muze to vishwas nahi ho raha hai
pitaji- sabne itni mehnat jo ki hai
pooja - agale saal to aam bhi lag jayenge
pitaji- haa , agake saal aam lag jayenge
neha - pitaji main bahot kush hu
pitaji- tumara pauda kaha hai
neeta -wo to sab se bada ban gaya hai wo dekiye
pitaji- chalo aaj uski ke niche khana khate hai
maaji-pooja meri madat karo
aur sab aam ke bhagiche me baite kar khana khane lage
apne mehnat se lagaye huye ped ki chhav ke niche baite kar khana khane se
sab ko sukun mil raha tha
aam ke bhagiche me ye chhutiya enjoy karne ke liye jaysingh apne bhai
bahano ke sath aaya tha
kuch saal pahale lagaye huye aam ke ped ab bade ho chuke the
is saal pahali bar aam lage the
pitaji sabko khet me lekar aaye the
jaysingh in chhutiyo ke bad padai karne ke liye shahar3 jane vala tha
par jane se pahale wo ye sari chhutiya apne bhai bahano ke sath bitane vala
tha
maa bhi khush thi ki unka beta apne sapne pure karne ja raha hai
lekin wo apne aam ke bhagiche ko dek kar khush thi
sab ke pyar mehnat pasine se bana hua tha ye bhaghicha
neha ne lagaye huye us ek paude se itna bada bagicha ban gaya tha
ye bhighche unke liye paise kamane ki jaga unke pyar ki nishani jaisa tha
is aam ke bhaghiche se unki yaade judi thi
pitaji aur maa ne apne bacho ki tara inko bada kiya tha
neha neeta ko to yakin nshi ho raha tha ki unka nanna sa pauda itna bada ho
gaya ki use aam lage hai
sab kuch ek sapne jaisa dik raha tha
pooja - pitaji ye hamne lagaya hai , hamari mehnat se ye bana hai
pitaji- haa , ham sab ne milke banaya hai
jaysingh- ye to jaisa socha tha us se acha ban gaya
maaji- jungle to ab dikai nahi de raha hai
chhotu- muze to aam khane hai
neha- pahale main khaungi
neeta- pahae main
pooja - badi main hu ,
jayaingh- sab se bada main hu
chhotu- maa
maaji- aap hi batai main to inme nahi padungi
pitaji- ek sath hamla karte hai , aaj to pet bharke aam khayenge
neha - ye cheating hai bhaiya jit jayenge
pitaji- main hu na
neha aur neeta ko pitaji ne apne ghod me uta liya
pitaji- ab dekna khon jitenga
neha - pitaji hi jitenge
chhotu - maa
maaji- main tuze uta kar nahi bhag sakti , par main vaha pahale ja rahi hu , tu
jaldi aana main aam thod kar dungi
aur maa chalke aam ke bhagiche me chali gayi
pitaji neha aur neeta ke sath tayyar ho gaye ,
jaysingh bhi tayyar tha , pooja aur chhotu ne line mark ki
maa ke hant dikate sab aam ke bhagiche ki taraf bhagne lage
jaysingh sabse aage tha
pir pitaji
last me pooja thi
neha- pitaji ham haar rahe hai
neeta - pitaji aur tez
pitaji- tum pakade rahna
aur pitaji apni puri takat laga kar bhagne lage
neha- pitaji chhotu pass aa raha hai
neeta- ham bhaiya ke pass pahoch gaye hai
pooja - main thak gayi hu muzse nahi honga
chhotu- neha tuze haarke rahunga
maaji- pooja ruko mat thodi kosish karo
aur pitaji jaysingh ke sath bhagne lage
neha - pitaji bas thodi dur aur
pitaji- tum pakdi rahna
aur chhotu bhagte huye niche gir gaya
chhotu niche girte rone laga
chhotu ke girte maa udar se bhag kar chhotu ke pass aane lagi
pooja bhi jo chal rahi thi wo bhi bhag kar chhotu ke pass aane lagi
neha - pitaji chhotu gir gaya
pitaji ne palat kar deka
neha- pitaji ruk jaiye ,,
neeta- chhotu ke pass chaliye
pitaji- ye race
neha - kuch nahi hota , chhotu ro raha hai use chot lagi hai
pitaji neha ke jawab se khush ho gaye
pitaji ne jaysingh ki taraf deko
jaysingh aam ke bhagiche ki taraf ja raha tha
pitaji ko is se bahot dukh hua
pitaji vapas chhotu ke pass aa gaye
maa bhi chhotu ke pass aa gayi aur chhotu ko apne gale laga liya
pooja ne apni napkin nikaal kar chhotu ke pair pe laga di
neha - pagal hai kya , itni jor se bhagne ki jarurat kya thi
maaji- chup kar , wo ro raha hai
neeta - aam bhage thodi jaa rahe the
pitaji- kuch nahi hua , chot lagne se mazboot hote hai
maaji- mere bete ko dard nahi hua , wo abi rona band karenga
chhotu - muzse chala nahi ja raha hai
maaji - meri ghod me aa
chhotu ko jada chot nahi aayi
chhotu jaldi chup ho gaya
par sab yaha the
sab chhotu ko rota hua dek kar uske pass aa gaye
par jaysingh kaha hai
maa aur pitaji ne bhaghiche ki taraf deka to jaysingh vaha pahoch gaya tha
ye dek kar pitaji ko bahot dukh hua ,
jaysingh bada hai usko sabko sath lekar chalna chaiye , aise bich raste me
chhotu ko chhod kar jaysingh ne galat kiya
apne bete ki jit ko dek kar maa ko bura laga
aisi jit maa ko nahi chaiye
aisi jit maa ko nahi chaiye
bada beta hone ke nate use yaha hona chaiye tha
wo bilkul anda ho chuka hai
neha neeta us se choti hai par wo jitne ki jaga chhotu ke pass aa gayi
pooja se bhaga nahi ja raha tha pir bhi wo bhag kar chhotu ke pass aayi ,
par jaysingh ne jitne pe dyan diya
pitaji ko ye umid nahi thi jayaingh se
wo din be din apne jimmedari se dur bhag raha hai
pitaji ko guass aa raha tha te bat maa ne dek liye , maa ne unka hant pakad kar
unko rok liya , beta kaisa bhi ho maa ko pyara hi hota hai
sab ne chhotu ko sahara diya
aur sab milkar aam ke bhagiche me aa gaye
jaysingh- chhotu jada chot to nahi lagi
chhotu - nahi bhaiya
neha - bhaiya aap jit gaye
jaysingh - haa ,
pooja - pahala aam aap ko milenga
jaysingh - sharat vaisi hi lagi thi ,
jaysingh ne aam uta liya par pitaji ne rok liya
jatsingh - kya hua pitaji
pitaji - us aam par chhotu ka hak hai
pitaji - chhotu ye lo aam
jaysingh -pitaji main bhi to ..........
jaysingh ki bat puri hone se pahale pitaji bol pade
pitaji-jitna jaruri nahi hota tum kaise jite ho ye jaruri hota hai , tum haar gaye
ho
maaji - jay , race kohi bhi ho ,apno ko sath lekar chalna chaiye , tum bade ho ,
tume to chhotu ke pass hona chaiye tha , par tumne jitna jaruri samja , tu jit to
gaya hai par ham haar gaye hai ,
pitaji- tune apne mata pita ko hara diya hai
jaysingh ne apna sar nicha kar liya
pitaji - chhotu ye lo aam , tum sab bhi lo , tum ne chhotu ke liye race chhod
kar ye bata diya ki jitna jaruri nahi hota , haar me ager sab sath ho to jitne se
jada khushi milti hai
aur pitaji ne jaysingh ko ye bataya ki wo kaha galat tha
chhotu ne pahala aam kha liya
pir neha neeta aur pooja ne bhi apna inam ka aam kha liya
jaysingh aaj jit kar haar gaya
pir bhi wo khush tha ki chhotu ko inam ka aam mila hai
ajib tha jaysingh
wo padai me 1st tha par real life me wo last rah gaya
pooja - ek se kya jonga , aaj to pet bharke khane vale the
chhotu - main to ped pe chhad nahi paunga
jaysingh - tu bata tuze khonsa aam khana hai main thod kar dunga
jaysingh ne ek choti si kosish ki pitaji se mafi maangne ki
par kuch galtiyo ki mafi ham nahi de sakte , wo samay deta hai
kyu ki ye pahali bar nahi hua ki jaysingh ne apne bhai bahano ka sath chhoda
hai
par pitaji chahte the ki ye aakari bar ho
maa chahti ki jaysingh dubara aisa na kare
neha - main to khud thodungi aam
pitaji - neha dyan se
neeta- main bhi khud thodungi ,
pooja-pitaji aap neha ke sath rahiye main neeta ko dekti hu
pitaji - jaysingh ki taraf dekte huye , tu beti nahi mera beta hai
jaysingh ko is bat se bahot bura laga ,
par wo is bat ka kis tara se iska meaning samajnga ye uspe tha
chhotu ke to maze ho rahe the
neha aur neeta bhi use aam thod kar de rahi thi
maa chhotu ko apne hant se aam khila rahi thi
chhotu - maa aaj to pet bhar ke khaunga
maaji - sab tera hi hai,
maa jaise jatsingh ko bol rahi ho ki usne sab kuch kho diya hai
pooja bhi badi hone ka farz ache se niba rahi thi
pitaji apne sabi bacho se khush the bas ek jaysingh apni jimmedari ko samaj
jata yo unki tension khatam ho jati
pitaji ko khud pe guass aa raha tha
unko aisa lag raha tha ki jaysingh ko achi parvarish nahi de paye hai
usko pada likha kar gakti ki aisa lag raha tha pitaji ko
gaon me college khola taki sab yaha pad sake par usko to bahar jana hai
jaysingh ke dimag me kya chal raha tha ye usi ko pata honga
jaysingh ko samjna chaiye tha ki pitaji ne aisa kyu kaha tha ki ek saal apne
bhai bahano ko dena
apne bhai bahano ke pyar ko feel karke jaysingh shahar3 jane se manaa
karenga par sab kuch ulta ho raha tha
ab umid ki sirf ek kiran thi
jayaingh ki shadi ladki se nahi devi se ki jaye
aisi devi jo apne dever ko bete jaisa pyar kare , apni nanad ko apni bahan
samaje , saas sasur ko mata pita jaisa aadar de
sasural ko apna ghar samaj kar use pyar se bhar de ,
is ghar ko tutne na de
jaysingh ko badal de ,
jaysingh ko ye bataye ki family kya hoti hai , apme kise kahte hai , pyar kise
kahte hai ,
ager aisi devi nahi mili to jaysingh ko pitaji hamesha ke liye kho denge
maa ko bhi pitaji ke mathe ke lakir saaf dikai de rahi thi
maa ko pata tha ki pitaji kya soch rahe hai
jaysingh ke bareme soch rahe honge
neha neeta bhi badi ho rahi thi
unko bhi samaj me aa raha tha ki ye ho kya rahahai
pitaji ke bato ka matlab wo bhi samjti thi
pitaji ko jada dukh na pahoche is liyr pooja hamesha aage aaker sabka dyan
rakti hai
pooja ko pata hai ki bhaiya ke vajse pitaji kitne upset rahte hai aise me wo aur
pitaji ko dukh nahi dena chati thi
bas ek akela jaysingh hai jo ye bat samaj nahi raha tha
itna padai me tej hai par real life me wo fail ho gaya tha
kya pata uske dimag me kuch aur chal raha honga
pitaji alna mood kharab karke , jaysingh ke vajse apne betiyo ka din kharab
nahi karenge
pitaji ne apne dard ko alne chine me chupa liya aur sab ke sath aam ka maza
lene lage
neha apne pitaji ke sabse karib thi
usne pitaji ki ye khubi dire dire apne under le li
neha ne apne pitaji se shika apne dard ko daba kar rakna
ham achi chize bhi shikate hai aur buri chize bhi shikate hai ,
jaysingh ko pitaji ki smile dek kar laga honga ki pitaji bhul gaye aur usko maf
kiya
par jaysingh galat tha
wo uske liye nahi apni betiyo ke apne chehare pe smile lekar aaye hai
is aam ke bhagiche me din bhar hasi mazak karke sab khush the
chhotu ka pet to tight ho gaya tha
use to maa ne apni ghod me uta kar ghar le aayi
neha neeta hamesh ki tara apne pitaji ke sath chalti thi
jayaingh ko akela chalte huye dek kar pooja uska hant pakad kar chalti thi
jayaingh jitne bar bhi acha karne ki kosish karta us se galti ho hi jati thi
pitaji kitni bar uski galtiyo ko najarandaz karte
maa ko bhi is bar guass aaya tha
par maa jada der apne bete se guass kaise rahti ,
maa ke maf karne se jaysingh ko acha laga
ab to garmiya hone se sab pura din khet me bitate the
aam ke bhagiche me khel kar din bita rahe the
neha neeta pooja jaysingh aur chhotu naye naye khel khelne lage
pitaji apne kaam me lage rahte the
maa unko madat karti thi
bacho ko khelte huye dek kar wo tension free ho jate thi
jaysingh jab bhi galti karta tha tab pitaji aur maa usko bata deti thi
neha neeta ke liye ye chhutiya nayi masti lekar aayi thi
dono kafi khush thi
par ye din bhi kaise bit gaye pata bhi nahi chala
pitaji to chah rahe the ki ye garmiya kabi khatam hi na ho
unko pata tha ki ab jaysingh shahar3 jane ki bat karenga
jaysingh ko to result ka intzar tha
aur jaisa jaysingh chahtha tha vaisa hi hua
jaysingh ache marks se pass ho gaya
usne pichale saal se bhi jada mark le li
masterji ne uske pass hone ki khushi me college me function raka tha
jaysingh aaj bahot khush tha kyu ki use shahar3 padne jane ko milenga
pitaji ko samaj nahi aa raha tha ki wo khush huye ya roye
bete ke mark dek kar unko khush hona chaiye tha par unko is bat se rona aa
raha tha ki ab jaysingh unse dur chala jayenga
unko pata tha ki ye duriya kabhi kam nahi hongi
jaysingh ne ghar aate pitaji ko result dikakar sab se pahale apne shahar3 jane
ki bat kahi
jaysingh- pitaji main ne apna vada pura kar diya ab muze shahar3 jane dijiye
pitaji ne sirf haa me gardan ghumai aur apne kamre me chale gaye
jaysingh to apni khushi me duba hua tha
usko apne pitaji ka dard dikai nahi de raha tha
par neha apne pitajj ke pass chali gayi
neha - pitaji aap ro rahe hai
pitaji - nahi , ye to khushi ke assu hai , tumare bhai pass ho gaya
neha - pitaji main badi ho gayi hu ,
pitaji - tu kabi badi mat hona , tu aisi hi rahna , mere pass
neha - main aapko kabhi chhod kar nahi jaungi
neha pitaji ke gale lag gayi
pitaji - teri jaisi samaj ager jaysingh ko hoti to sab acha hota
neha - bhaiya ko bas aur padna hai isliye shahar3 ja rahe hai , wo vapas jarur
aayenge
pitaji - (khas teri bat sach ho ) jayenga kaha ham uska kaan pakad kar layenge
neha - ek kaan neeta pakadengi aur dusara kaan main pakadungi
pitaji -tu hi , usko ghar lekar aana
neha - chaiye na , varna bhaiya ko bura lagenga
pitaji -tu chal main thodi der me aata hu
neha ke jate maa.pitaji ke pass aa gayi
maaji- jay pass ho gaya
pitaji -tum.kya chahti ho bas itna batav
maaji- use jane dijiye , usne shahar3 jane ke liye saal bhar bahot mehnat ki hai
, ager use jane nahi diya to wo tut jayenga
pitaji -tum kya chahti ho wo batav
maaji- main uske bina rah lungi , wo ek din vapas jarur aayenga
pitaji -tum kya chahti ho
maaji- use uske sapne pure karne dijiye , usko bada aadmi banna hai banne
do
pitaji -tume pata haina hai wo ek bar gaya to vapas aane ke chance kam hai
maaji- main use vapas lekar aaungi ,
pitaji -tum nahi kar paungi
maaji- ham sath mil kar use vapas lekar aayenge
pitaji -main kal hi shahar3 jane ka soch raha tha badme kheti ke vajase ja nahi
paunga
maaji- aap khud ko akela mat samjana main aapke sath hu , aur aapke sath hi
rahungi
pitaji -jaysingh ko bata do ki ham kal shahar3 jayenge , use sab kuch pata
honga , use tayyar rahne ko kaho
maaji- aap kahenge to use acha lagenga varna wo samjenga ki aap.khush nahi
hai
pitaji -main khush kaise ho sakta hu
maaji-mere liye ,
pitaji -chalo
pitaji bahar aa gaye
pitaji - jaysingh
jaysingh- ji pitaji
pitaji- ham kal shahar3 jayenge
jaysingh-kal
pitaji -badme kheto ke kamo ki vajase aa nahi paunga
jayaingh-kal to form nahi nikalenge
pitaji -ham dek kar aate hai , 1 2 din vahi rukenge , puch tach karenge
jayaingh-ye tik rahenga , vaise main ne sari info nikaal li hai , hame jada
problem nahi hongi
pitaji -paise kitne lagenge
jayaingh-reservation me admission hua to kuch bhi nahi lagenge ,
pitaji -tik hai , ham kal nikal jayenge
jayaingh-ji
pooja - bhaiya , aap shahar3 ja rahe hai
jayaingh-haa ,
pooja - hame bhul mat jana
jayaingh-tume kaise bhul sakta hu
chhotu - bhaiya aap jab bhi shahar se vapas aayenge tab mere liye gift lana
jaysingh- sabke liye gift launga
neha - muze naye naye dress chaiye
jaysingh- tuze pari jaisa saja dunga
neeta - aur muze
jaysingh- tuze apsara
pitaji -suno , aaj khane me sweat banana , jaysingh pass ho gaya hai
maaji - ji ,
pitaji -jaysingh , tayyari karo shahar3 jane ki , mehnat karna , aur haa khud
ko.kabhi bhulna mat , tum kya ho ye bat hamesha yaad rakna ,
jayaingh-ji pitaji