Update 249
jaysingh pooja ki saghai ki bat sunkar shocked ho gaya
use umid nahi thi ki use aisa bhi sunne ko.milenga
jaysingh is ke liye tayyar nahi tha
itna bada zatka laga tha ki jaysingh kuch der ke liye hosh kho baita
neha neeta bate kar rahi thi
unki bate jaysingh ko torcher kar rahi thi
unki bate jaysungh ka dimag karab kar rahi thi
usne kya socha tha pooja ke liye
pooja ko teacher bana denga
pooja ko pahale apne pairo pe khada karenga
uski khud ki pahchan hongi
pir uski shadi aise karenga ki puri duniya dekti rah jayengi
pooja to abi bachi thi
itni jaldi kya thi shadi ki
uske to kelne ke din the
pitaji aisa kaise kar sakte hai
pitaji bhi pade likhe hai unko pata hai ki jaldi shadi karne se kya hota hai
pir bhi pooja ki shadi ki jaldi kya thi
uski to padai chal rahi hai
wo nabalik hai
bhale wo 3 mahine bad balik ho rahi ho par ye kuch jaldi ho raha hai
jarur pitaji ne pooja ko mazboor kiya honga
varna pooja ko to kitna kuch karna tha apni life me
usne to pichali bar muze wada kiya tha ki wo shahar3 ghumne aayengi
pooja to muzse chhoti hai
pir uski shadi muzse pahale kyu karne ka soch rahe hai pitaji
mera intzar bhi nahi kiya
muze puch to lete
aisi kya jaldi ho gayi ki mera intzar bhi nahi kiya gaya
kya pitaji ko dar tha ki main ye saghai hone nahi dunga
kaise hone deta
maa ne bhi mera intzar nahi kiya
neha neeta bhi yaha nahi thi
pir ye sab hua kaise
kitne sapne deke the main ne pooja ke liye
pooja ke admission ki bat bhi karke aaya tha
usko teacher ke rup me dekna tha muze
pooja yaha gaon ke college me padati to pitaji ko bhi acha lagta
sab kuch khatam ho gaya
ek zatke me mere sapne thod diye pitaji ne
neha - bhaiya , kya hua , kya soch rahe ho
neeha - bhaiya
pooja - bhaiya kya hua aap naraz ho gaye
maa- jaysingh
jaysingh- haaaaaa maaaaaaa
maa- kya hua
jaysingh- kuch nahi , chakker aa raha hai
maa- aa baite ja , ye neha neeta bhi na , aate suru ho jati hai
maa ne jaysingh ko bed pe baita diya
pooja - bhaiya pani pi lo
jaysingh ne pani nahi liya
pooja - bhaiya guass ho muzpe
neha- guass to honge na , aapne kaam hi aisa kiya hai
neeta- main bhi guass hu
pooja - bhaiya
neha - bhaiya bat hi mat karna pooja didi se
pooja - neha tu chup rahengi
neha - kyu chup rahu , aapne to hamara bhi intzar nahi kiya
pooja - wo main
pitaji- neha , poojo ko pyar ho gaya tha
neha - pyar
pooja- tume kaha tha na ki muze rajkumar ka intzar hai
neeta- hame to laga wo rajkumar rakesh honga
pooja- rakesh , tune socha bhi kaise
neha - pure gaon ko pata hai
pooja - wo darpok hai
neha- ramesh jijaji
pooja - wo to rajkumar hai
neeta- muze to aisa nahi laga
pooja- ek din me mera dil jit liya tumare jijaji ne
neha- matlab kal hi mile the aap
pooja- haa
neeta- aur kal hi aapne saghai ka faisala kiya
pooja - haa
neha - romantic lag raha hai
neeta- full to romantic
neha - didi kya hua tha batav na
pooja - pir kabhi bata dungi
neha - shortcut me bata do na
pooja- wo achank mere samane aaye aur mera dil jit liya
neha - par aap to kah rahi thi ki jo pitaji ko hara denga wo aapka rajkumar
honga
pooja - pitaji ko haraya na tumare jijaji ne
neha- ye ho nahi sakta
pooja - pitaji se puch lo
neha - pitaji kya ye sach hai
pitaji- haa , pooja ko jis rajkumar ka intzar tha wo mil gaya
neha - hame milaane se pahale aap ne saghai kar li
pooja - wo bahot fast hai , yahi to unki style muze pasand aa gayi
neeta- wo karte kya hai
pitaji- wo yahi pass ke company me kaam.karte hai
neha- rahte kaha hai
pitaji- shahar2 me
neha - aapne deka unka ghar
pooja- main ne sirf unke pyar ko feel kiya hai aur itna hi muze chaiye tha unko
apna banane ke liye
neha- ager wo zopadi me rahte ho to
pooja- sab manzoor hai muze ,
neha- didi aapko to pyar ho gaya
pooja - bata nahi sakti ki kal se mera kya haal ho raha hai , aisa lag raha kahi
ud jau tumare jijaji ke sath
maaji- pooja
neha- ager wo zopadi me rahte ho to
pooja- sab manzoor hai muze ,
neha- didi aapko to pyar ho gaya
pooja - bata nahi sakti ki kal se mera kya haal ho raha hai , aisa lag raha kahi
ud jau tumare jijaji ke sath
maaji- pooja
maa ne neha neeta ko aise bate batane se manaa kiya
neha -batav na didi kya hua tha
pooja - bata dungi jaldi kya hai
neeta- jaldi hai aapki to 1mahine bad shadi hai
pooja - 1mahina unke bina main kaise rahungi
maaji- pooja
neha - didi aap to deewani ho gayi ho
pooja - muze to ab tumare jijaji har jaga najar aate hai
neha- khas muze bhi aisa rajkumar mil jaye
maa ye sunte pooja ko under ke kamre me le gayi
maaji- pooja ye sab kya hai
pooja - kya hua maa
maaji- neha neeta choti hai ye bat to yaad rako
pooja- maa muze pyar ho gaya hai
maaji- to iska ye matlab nahi ki pagalo jaisi bate karo
pooja - maa apko bhi aisa hi laga tha na jab pitaji se shadi hone vali thi
maaji- main teri jaise pagal nahi thi
pooja - batav na
maaji-ek sharat pe
pooja- kya
maaji- tum apni prem kahani neha neeta ko abi nahi batayongi
pooja- unke bade hone pe bata dungi
maaji- jab tere pitaji ko deka tha na tab se shadi tak main so nahi payi thi ,
ankhoin lagte tere pitaji dikai dete , har kisi me tere pitaji najar aate , tea me
shakker ki jaga namak daal deti
pooja- muze bhi aisa hi laga raha hai
maaji- tum thoda control me rah tere kahne pe kal tere pitaji ne teri saghai kar
di , varna main bina puchtach kiye saghai hine nahi deti
pooja- mere pitaji jaisa kohi nahi hai , mere kahte meri saghai kar di , kitna
pyar karte hai muze ,kitna vishwas hai meri pasnad pe , pitaji muze bahot pyar
karte hai , unko pata hai ki meri khushi kis me hai
maaji- main bhi karti hu tuze pyar
pooja- pitaji bahot jada pyar karte hai muze
maaji- par jaysingh neha neeta ko guass aaya honga , tere khushi ke liye tere
pitaji ne saghai to kar di ab ata nahi kya honga, tu thodapyar se kaam lena
pooja- ji
maaji- wo acha hua ki neha neeta , sham me aa gayi aur wo teri saghai me
samil huyi par jaysingh ko bura laga honga wo tera bada bhai hai
pooja- pitaji ne sirf meri khushi deki ,
maaji- par jaysingh ka tuze pata haina
pooja - main bol dungi ki ye sab main ne pitaji ko karne ko bola hai ,main zidd
na karti to pitaji ek din me anzane ladke se meri saghai thode karte
maaji- tere pitaji ko tuz pe bahot vishwas hai pyar hai , unko pata hai ki teri
khushi kis me hai , tuze ramesh pasand hai to pitaji ne tere kahne pe saghai
kar di
pooja- main har janam me pitaji ki beti banna chaungi
masji- tere kahte hi teri saghai kar di , ab tu jada gadbad mat karna
pooja- neha neeta ko main samja dungi
maaji- chal ab ,
maa ne pooja ko samja diya
pooja ne subha ramesh ko deka , dopehar hone tak dono ne khud ko apna
jivan sathi chun liya ,
aur jaise pooja ne kaha ki usko aaj saghai karni hai to pitaji ne na ramesh se
sawal kiya bas pooja ki khushi dek kar saghai kar di , pitaji ki ankhoin pachan
leti hai logo ko , aur saghai se pahale ramesh ki.maa se bat kar li thi pitaji ne
ramesh me pitaji ne ache jivan sathi ki chavi deki
par shadi se pahale pitaji sab kuch check kar lenge
ramesh karta kya hai uska ghar kausa hai pooja khush rahrngi na
par idar jaysingh ne poona ke liye jo sapne deke wo tut gaye
pitaji ne apni beti ki khusiya dek kar saghai kar di
par jaysingh ke sapno ka kya
neha- didi jiju ke bareme aur kuch bataiye na
pooja- jaise muze pata chalenga vaise bata dungi
neeta- aapko bhi nahi pata ,
pooja- tumare jiju ko dekte pyar ho gaya
neha- aapni bato se mera gussa to khatam ho gaya
neeta-aur ham bhi to saghai me samil huye , der se kyu na ho ,
masji- neha neeta chup raho , jaysingh kya hua
pitaji- jaysingh
maaji-tum kuch bol kyu nahi rahe ho
jaysingh- bolne ke liye bacha hi kya hai
maaji- ye kya bol rahe ho
jaysingh- pitaji aap aisa kaise kar sakte hai
pitaji- main jo kiya wo pooja ke khushi ko dyan me rak kar kiya
.
pitaji- jaysingh
maaji-tum kuch bol kyu nahi rahe ho
jaysingh- bolne ke liye bacha hi kya hai
maaji- ye kya bol rahe ho
jaysingh- pitaji aap aisa kaise kar sakte hai
pitaji- main jo kiya wo pooja ke khushi ko dyan me rak kar kiya
.
jaysingh-wo abi bachi hai , use kya pata ache bure ki pahcan kaha hai
pitaji- main logo ko dekte pahchan jata hu ki wo kaise hote hai
jaysingh- kab tak aap ye purani parampara ke sath jiyoge
pitaju- kya matlab
jaysingh- kya ek din me ladka deka aur saghai kar di aisa kohi karta hai kya
pooja- bhaiya isme pitaji ki kohi galti nahi hai
jaysingh- tu chup rahe , tuze sahi galat ki samaj nahi hai
pitaji- tum kahna kya chate ho
jaysingh- wo khon hai , kya karta hai , aapko kuch pata nahi hai , achanak wo
aa gaya aur pooja ko apni bato me fasa diya , pooja ne kaha ki saghai kar do
to aapne saghai kar di ,wo abhi bachi hai pitaji
pitaji- muze mat bata ki muze kya karna chaiye , 2 kitabe jada pad li to beta
baap nahi ban jata
jaysingh- aapne jo kiya kya wo tik hai , ager kal pooja kisi bhikari ko laaker
kahengi ki is se muze shadi karni hai to aap kar denge , pooja to nasamaj hai
par aap to samajdar hai , aapko sochna chaiye tha , aap kaise baap ho jo khud
apni beti ko kuhhe me dhakka de rahe ho ,
pitaji- jaysingh
jaysingh- aaj pooja ko kuhhe me dhakka diya hai kal neha aur neeta ke sath
bhi aisa hi karenge , unki zindagi bhi barbad kar donge , aap khud apni betiyo
ki zindagi barbad kar rahe ho
aur pitaji ne jaysingh ko ek jordar thappad maar diya
thappad aisa pada ki pure ghar me sanata fail gaya
pahali bar pitaji ne apne bacho pe hant utaya tha
kisi ko asi umid nahi thi
pitaji aisa karenge kabhi kisi ne socha nahi tha
jaysingh ne ye kaha hi kaise ki pitaji apni betiyo ke sath aisa karenga
pitaji ne jaysingh ko thappad maar diya
jo kabhi pitaji soch bhi nahi sakte aaj pitaji ko wo karna pada
pitaji ne apne bacho pe kabhi hant nahi utaya tha aaj unko hant utana pada
thappad jaysingh ko laga tha par dard pitaji ko hua
aasu maa ke ankhoin se nikaalne lage
teeno bahano ke dil rone lage
chhotu to thappad ki aawz sunkar dar ke apne kamre me chup gaya
jaysingh ko thappad maarte pitaji ko laga honga ki ye hant tut jaye
jaysingh ne bat hi aisi ki jis se pitaji khud ko rok nahi paye
pitaji kaise apni betiyo ko kuhhe me dhakel sakte hai ye jatsingh ne socha bhi
kaise
kya pitaji ka pyar kahi kam pad gaya
jis se jaysingh ke dimag me aisi bat aa gayi
jaysingh ne pahale bhi pitaji ko kahi bar dukh diya hai
jaysingh ke vajase pitaji ko kahi bar rona pada tha
par aaj jaysingh ne pitaji ki kamzori pe pair raka tha
jaysingh ko aisa nahi karna chaiye tha aisa maa ko bhi lag raha tha
maa ab sirf rone ke siwa kuch nahi kar sakti hai
ek taraf unka beta aur dusare taraf neha ke pitaji
maa ko pata hai na unka beta galat hai aur na neha ke pitaji galat hai
galti unki hai jo apne bacho ko ache sanskar nahi de saki
kohi kuch nahi bol raha tha
jaysingh ke muh se khoon nikal raha tha
maa ye dekte jaysingh ke pass jana chahati thi par wo kiske pass jati , idar
pooja bhi ro rahi thi
jaysingh ke muh se khoon nikalte huye dekte usko bhi guass aa raha tha
jaysingh hai to unka khoon hi na
pitaji ne thappad to mara aur malam bhi khud laga rahe the
pitaji ne napkiin nikaal kar jaysingh ke khoon ko pacho diya
pitaji ke aisa karte jaysingh ne unka hant zatak diya
pitaji pir se jaysingh ke ke khoon ko nikalne se rok tahe the
jaysingh ne is bar pitaji ko dhakka diya
pitaji ko dhakka dena kisi ko acha nahi laga
par jaysingh ka pitaji ko kuch bhi bolna bardast ho raha tha par apni betiyo ke
bareme pitaji thode bhauk ho jate hai
par ye maa se bardast nahi hua
maa- jaysingh
maa ne pahali bar itne guasse me jaysingh ka naam liya tha
maa jaysingh ko thappad maarne ke liye aage aa rahi thi ki pitaji ne ishara
karke maa ko rok diya
jaysingh ki sari galtiyo pe ab tak maa ne parda dal diya tha
par aaj jo jaysingh ne kiya wo maa bardast kaise karti
jaysingh- yahi baki rah gaya tha
pitaji-jaysingh
jaysingh-ye thappad is bat ka saboot hai ki aapne kabhi muze pyar kiya hai
nahi , kabhi meri parva ki hi nahi , labhi apna samja hi nahi
maaji- jaysingh
jaysingh- aap bas khud se pyar karte hai , aapko jo acha lagta hai vahi hame
karna chaiye , yahi aap chahte hai
pitaji-main ne aisa kabhi nahi chaya tha
jaysingh- dekiye pooja ki taraf , kaha se ye aapko shadi ke umar ki lagti hai
pitaji-uski khushi usi me thi
jaysingh- khushi khushi , kya laga ke raka hai , uske future ke bareme socha
aapne , nahi socha
pitaji-ramesh pe usko vishwas hai , wo pyar karti hai ramesh se
jaysingh- jamaana badal gaya hai , vishwas, khushi , pyar se pet nahi bharta
pitaji-tu kahna kya chahata hai
jaysingh- us bachi ki shadi karvane se pahale aapne socha bhi nahi ki wo us
layak hai ki nahi
maaji-jaysingh ye kya tarika hai
pitaji- bolne do use
pitaji bhi dekna chahte hai ki jaysingh unke bareme kya sochta hai
jaysingh- uski padai chal rahi hai aur aap ne iski saghai kar di
pitaji-pooja yahi chahti thi
jaysingh- wo bachi hai , par aapko to samjna chaiye tha ki uski umar kya hai ,
pitaji-hamne sab socha hai
jaysingh- kya socha , pooja pad likhti to future me iske liye acha hota ,
zamaana badal raha hai
jaysingh- kya pata hai ramesh ke bareme , kya karta hai , kaha rahta hai , kuch
pata nahi hai aur aapne shadi fix kar di
pitaji-usne sab bata diya tha
jaysingh- usne bata diya aur aapne maan liya ,puchatach karne ka nahi socha
maaji- shadi nahi ki hai sirf saghai ki hai , , tu to aise bol raha hai jaise shadi
kar di ho
jaysingh- kya pata kal hi shadi karva dete
pitaji-tu kya samjta hai main kya aise hi shadi karva dunga
jaysingh- aapka kya bharosaa , kal ko
jaysingh- kya pata kal hi shadi karva dete
pitaji-tu kya samjta hai main kya aise hi shadi karva dunga
jaysingh- aapka kya bharosaa , kal ko pata chal jayenga ki neha neeta ki shadi
bhi ho gayi
pitaji-jaysingh , tu ye mat bhul ki kis se bat kar raha hai
jaysingh- kya galat kaha main ne
jaysingh- boliye
maaji- tu kahna kya chahta hai
jaysingh- ab bolne ke liye raka hi kya hai , main neha neeta ko yaha rahne hi
nahi dunga , main unko apne sath lekar jaunga , wo yaha rahengi to unke sath
bhi aap aisa hi kuch karenge
pitaji-wo kahi nahi jayengi
jaysingh- wo yaha rahi thi to aap unka bhi future kharab kar denge , wo mere
sath shahar3 jayengi abi ke abi
pitaji-jaysingh
jaysingh- neha neeta chhotu apne kapde pack karo
neha neeta apni jaga se nahi hili
jaysingh- suna nahi main ne kya kaha
neha- hame nahi jana us shahar3 ,us shahar3 ne mere bhaiya ko kha liya hai
neeta- hamare bhaiya ko kha gaya to ham bhi vaha bhul jayenge ki ham khon
hai
jaysingh- tumara future vaha shahar3 me hai , yaha gaon me rahongi to kuch
nahi honga
neha- hamari family yaha gaon me hai
jaysingh- family banai jati hai
neeta- hame nahi banani ham yahi khush hai apne pitaji ke pass
jaysingh- neha tu to samaj ki yaha gaon me kuch nahi hai
neha- yaha goan me meri family hai ,yaha nere pitaji hai meri maa hai mere
bhai hai meri didi hai
neeta- shahar 3 me kisi ke pass apno ke liye bhi time nahi hota
neha - main yahi tik hu
pitaji- jaysingh main ne kaha tha ki khud ki pachan ko bhulna mat , par tum
bhul gaye ki tum khon ho , par hamne nahi bhule ki ham kya hai , hamare
khoon me kya hai ye hsm nahi bhule hai
jayaingh-muze pata hai main khon hu , par aap muze apne jaisa banana
chahte hai , nahi ban sakta main aapke jaisa , aap samajte kyu bahi hai , nahi
rahna hai muze gaon me
pitaji- main ne tuze kabi nahi kaha , tuze jo karna tha wo karne diya
jaysingh- bhik maangni padi har bar muze
pitaji-hamare pyar ko tu bhik bol raha hai
jaysingh- mere kahne ka mAtlab tha ki.....
pitaji-tu kya kahna chahata hai main samaj gaya hu
jaysingh- aap kabhi nahi samjoge , kohi muze nahi samjta
pitaji-tera baap hu main aur main tuze nahi samjunga
jaysingh- aap ne kabhi pucha muze ki muze kya karna hai ,
jaysingh- kabhi jaanne ki kosish ki , muze kya chaiye
jaysingh- kabhi muze pucha ki muze kya acha lagta hai
jayasingh- kabhi pucha muze ki mere sapne kya hai
jaysingh- kabhi nahi pucha , aapko to lagta hai main aapke jaisa ban jau , aap
jaisa main nahi ban sakta hai , aap ne padai ki pir bhi is gaon me ho main nahi
kar sakta aisa ,
pitaji-tum kar bhi nahi sakte
jaysingh- aap ke raste alag hai mere raste alag hai ,
pitaji-tune pahale hi apna rasta soch raka tha
jaysingh- yahi to , aap ne muze kabhi samja hi nahi , raste alag the par manjil
ek thi , ye aap samaj nahi paye
pitaji-tune muze har bar nirash kiya ,
jaysingh- kyu ki aapki soch alag thi aur meri , aap samaje hi nahi ki ham dono
ki generation alag hai , raste alag to honge hi par manjil ek thi
pitaji-par tu us raste pe akela chalna chahata tha
jaysingh- aap ko aisa lagta hai , rukiye abi dikata hu main kya karna chahta tha
pitaji-kya dikayenga , wo paper leke aana
maaji- jane dijiye na
pitaji- main ne kya kaha suna nahi tumne .
maaji-ji
jaysingh bag kholte kholte ruk gaya
maa ek paper lekar aa gayi
pitaji ne news paper apne hant me liya
pitaji- tu to anda ho gaya hai , main hi pad kar dikata hu
aaj ka ubarta hua sitara ,
ye kohi flim star nahi hai ,
ya kisi bade baap ka beta ,
ye hai jaysingh
ek chote se gaon se is shahar3 me apni takdir banane aaya hu naujawan
Aisa naujawan jisne apni smartness ne pure shahar3 ko apna bana liya
har kisi ke jaban par uska hi naam hai
itne kam samay me ek band company ko suru kar diya
suru hi nahi , itni uchai tak le gaya ki sab businessman iski bat kar rahe hai
ye aane vale saalo me elctronics industry ki pahchan honga
jaysingh jaysingh jaysingh
pitaji-ye tera sach to muze kab ka pa
pitaji-ye tera sach to muze kab ka pata hai ,
maaji- jaysingh tune hamse zut kaha
pitaji- tuze kabhi roka nahi main ne , jo tune chaha wo diya tuze , pir bhi tune
itna bada zut chupaya
maaji- jaysingh tune muze bhi nahi nahi bataya
pitaji-tuze shahar3 me rahna tha to bol deta , main rokta nahi , par tunme apne
pitaji ke pyar pe vishwas hi nahi tha ,jis se tune hamse itna bada zut bola
pitaji-main to usi din samaj gaya tha ki tu kabhi vapas nahi aayenga ,par ye
nahi pata tha ki tu zut bhi bolne laga hai , zut kis se bola , apne mata pita se
,kya mila zut bol kar , kuch paise , par kya khoya ye nahi dika tuze , tune
hamare pyar ko kho diya hai
maaji- kya ham tuze rokte , na pahale kabhi roka tha aur na ab rokte , par tune
pahale soch liya tha ki tuze kya karna hai
pitaji- ham yaha tumara intzar kar rahe the , aur tu vaha party kar raha tha
maaji- bade bete ke hote huye tere pitaji ko saghai karvani padi , kyu ye nahi
socha tune ,tuze batate to ek aur zut bol deta ,
pitaji- tuzse to acha chhotu hai ,
maaji- chhotu jaisa bhi hai par isne khabhi hamara dil nahi dukaya
pitaji-tune apne sapne pure karne ke liye zut bol kar ye bata diya ki tuze apne
sapne pyare hai ham nahi , sapne dekna achi bat hai par use pura karna us se
bhi achi bat hai , par un sapno ko pura karne ke liye pyar ka gala ghot diya hai
tune , aise sapne pure ho ke bhi kisi kaam nahi aate jis se pyar ki chita jali ho
maaji- chhotu ne kal teri kami mahsus hone nahi di , hame lagta tha ki chhotu
ko tuze kuch shikna chaiye , par ham galat the , tuze chhotu se shikna chaiye
ki bete ke farz pure kaise kiye jate hai
pitaji-tuze shahar 3 me rahna haina hai vahi rah , kar apne sapne pure ,
maaji- ja tu shahar3 me
pitaji-muze laga tha ki tu aayenga to ham milke pooja ki shadi karenge par tu
to shadi thodna chahta hai , apni bahan ki khusiya gum me badalna chahta
hai
maaji- pooja jo kal khush thi aaj teri vajase ro rahi hai
pitaji - tune ham sabko rula diya
maaji- teri vajse aaj main royi hu , ye yaad rakna ,
chhotu - muze nahi chaiye ye gift , aap bure ho , aaapne maa ko rulaya hai
pitaji- jab tak chhotu hai tab tak main akela nahi hu ,
maaji-pooja chup ho ja
pooja - ye sab nere vajase hua hai ,
pitaji-acha hua , ye kabhi na kabhi hona tha aaj ho gaya acha hua
jaysingh ko bhi bura lag raha tha
par is me kisi ki galti thi kuch kah nahi sakte
jaysingh ne sahi kaha har generation ko soch alag hoti
bhale unke raste alag ho par manjil ek hoti hai
pitaji bhi family ke ache ke liye soch raha the
aur jaysingh ne bhi sabke ache ke liye socha tha
jo pitaji kabhi karna nahi chahte the wo aaj kar diya
pitaji ne jaysingh ko thappad maar diya
thappad jaysingh ko mara tha par dard pitaji ko hua
jaysingh ko is ki umid nahi thi
maaji- ye aap ne kya kiya
pitaji- tum chup raho
pooja- sab mere vajase hua hai
.aur pooja rone lagi ,
maaji- tune kuch nahi kiya ,
pooja- na main pitaji se saghai ki bat karti aur na ye sab hota
maaji- tune kuch galat nahi kiya
neha - didi aapko to aapka rajkumar mila tha aise me use aap jald se jald apna
banana chahti thi
neeta- pitaji ne hamara bhi intzar nahi kiya matlab aap correct thi ,aap khush
thi
neha- kal tak aap kitni khush thi , aur aaj
neeta- bhaiya aapne hamari didi ko rulaya hai ,
neha-bhaiya aap bure ho
maaji- neha neeta chup raho
neha- pitaji ne kabhi hame mara nahi aur aaj unko hant utana pada ,to galat
khon hai
neeta- bhaiya , pitaji kabhi galat nahi ho sakte
neha- pitaji hamare bhale ka sochte hai ,hame kitne pyar karte hai
neeta- aise me wo hamare bareme galat kaise soch sakte hai ,
neha- aap se jada pitaji ko hamari chinta hai
neeta- unko pata hai hamari khushiya kis me hai
neha- unko pata hai hame kya chaiye
neeta- pitaji ko pata hai ki hamara jivan sathi kaisa hona chaiye
neha- pooja didi ka pyar aapko nahi dika
neeta- pooja didi ke chehare ki khushi dekte na aap tab samajte ki pooja didi
ki khushi kisme chupi hai
neha- kal main ne nayi pooja didi ko deka tha
neeta- aisa laga ki pooja didi ko jiska intzar tha wo mil gaya hai
neha- pooja didi ko jiska intzar tha wo mil gaya
neeta- pooja didi ke itne intzar ke bad unka rajkumar mil gaya to usne ruka
nahi gaya
neha- kaise rukti , unka dar tha ki unka rajkumar unse dur na ho jaye
neeta- is dar ko khatam karne ke liye pitaji ko kaha ki saghai kar dijiye
neha- pitaji aap se bade hai unko bhi pata hai shadi karne se pahale kya dekna
chaiye
neeta- pitaji ne aap se jada duniya deki hai
neha-pitaji sirf pooja didi ki khushi deki
neeta- pooja didi ke khushi ke samane pitaji ko kuch nahi dika
neha- aise pita paane ke lite kismat achi honi chaiye
neeta- pyar ka naam sunte kuch log apni beti ko maar dalte hai , pyar na milne
me sucide kar lete hai , kya pitajj ko iska dar nahi honga ki unke na karne pe
pooja didi ne kuch kar liya to , pooja didi ka to aapko pata hai , wo jo chahti
hai wo nahi hua to kya karti hai , pir bhi aap pitaji ko galat maan rahe hai
neha- is liye pitaji ne pooja didi ki saghai kar di
neeta- hamara bhi intzar nahi kiya
neha- kyu nahi kiya , kyu ki wo bhi pooja didi ke liye us se acha jivan sathi
nahi dund paate
neeta-didi to deewano ho gayi
neha- pitaji ne vahi kiya jo ek pita ko karna chaiye
neeta- aur abi to sirf saghai huyi hai
neha- shadi tak sab kuch pata kiya ja sakta hai ki jiju kaise hai
neeta- kisi kisi ke bareme kuch pata karne ki jarurat nahi hoti , unke chehare
ka tej sab kuch bata deta hai
neha- didi ne vahi dek liye ,
neeta- didi ne kuch galat nahi kiya
neha- na pitaji ne kuch galat kiya ,
neeta - aap ne apna future bana diya
neha- ham hamara future banayenge , jaisa pitaji ne hame shikaya hai
jaysingh chup chap sun raha tha
neha - pitaji ham teeno ko teacher banana chahte hai
neeta- gaon ke college ka teacher banana chahte hai ,
neha - ham bhi banege , lekin pitaji ne iske liye hampe kohi dabav nahi dala ki
hame teacher hi bana chaoye ,
neeta- pitaji ne to kaha ki hame jo karna hai ham kar sakti hai
neha - neeta aur main padai me tej hai , par pooja didi hamari jaisi nahi hai ,
neeta- chhotu bhi aapki tara padai me tej nahi hai ,
neha - hant ki pacho ungli ek jaisi nahi hoti hai , ye aapne hi hame shikaya tha
neeta- aur aap hi bhul gaye
neha- pooja didi aur ham alag hai
neeta - pooja didi ke sapne alag hai , hamre sapne alag hai
neha- ham sapne dekte hai ki ham teacher ban gayi hai aur gaon ke college me
pada rahe hai
neeta - aur pooja didi sapne dekti hai apne rajkumar ke , ki wo aisa honga
vaisa honga
neha- aise me pooja didi ko unka future apne rajkumar me dikta hai
neeta - pitaji ne pooja didi ka sapna pura kiya hai , aise me aap hi bataiye ki
pooja didi pe jor daalna chaiye tha ki wo teacher hi bane
neha- kya pitaji ko pooja didi ki pitai karni chaiye thi aur usko bolna chaiye tha
ki tu teacher hi banegi
neeta - pitaji aise nahi hai
neha- unko to hamari khusiya pyari hai
neeta - nahi padna honga pooja didi ko aage to kohi kuch nahi kar sakta ,
aapne hi kaha tha ki padai kisi ke jor jaberdasti se nahi ki jati ,
neha- pitaji aap se jada ache se hame jaante hai
neeta - unko pata hai ki pooja didi ki shadi kab karni chaiye aur hamari kab ,
ham padna chahte hai aur pooja didi shadi karna chahti hai ,
neha- sab ek jaisa nahi hota
neeta - aur kisi ko tum jo chahte ho vaisa karme ko kaha to ye kis vajse tik
honga
neha- aapko bhi pitaji ne kabhi ye nahi kaha ki aapko unke jaise gaon me
rahna chaiye
neeta - pitaji ne aapko shahar3 jane nahi diya aisa aapko lagta hai
neha- pitaji to aapke pahali bar kahte aapko shahar3 bhej dete par aisa karne
se bache bigad jate hai , pitaji ne ye socha honga, sab kuch maangte mil jaye
to uska alag asar hota hai
neeta - pitaji ne aapko ahsas dilyaya ki aap khon ho kyu shahar3 ja rahe ho ,
kisi vajse shahar3 ja rahe ho , kya kurbani de rahe ho aap shahar3 jane ke liye
neha- ye bat aapko yaad rahi hongi tabi aap apna sapna pura kar paye na
neeta - aap to shahar3 chale gaye par yaha hamara kya hua ye pata hai aapko
neha- aap yaha the to chhotu aapke dar ke vajse padai kar leta thax
neeta - par aapke shahar3 jate chhotu ka dar khatam ho gaya aur wo fail ho
gaya class me
neha- aapne to vaha shahar3 me top kiya honga par yaha gaon me chhotu to
fail ho gaya
neeta - nahi hai chhotu aapke jaisa , use padai achi nahi lagti , nahi hai pooja
didi hamari jaisi , nahi padna honga unko ,, kya aapne bat ki pooja didi se , kya
pucha ki unko kya karna hai , bas aapne socha ki pooja didi ka future aisa
hona chaiye aur lag gaye pitaji se zagda karne ke liye
neha- ham pitaji ke hant ki paanch ungliya hai , ham paacho alag hai , ham ek
jaise nahi hai kohi ek jaisa nahi hota
neeta - ham takat hai pitaji ki , hamare pitaji jaise kohi nahi hai
neha- aapko pata hai gaon me ek ladki ko choti cast ke ladke se pyar ho gaya
aur uske pita ne manaa kiya shadi se to us ladki ne sucide kar liya , 1 hafte
pahale ye ghatna huyi thi
neeta - pitaji teen ladkiyo ke pita hai
neha- unko us ghatna se dar nahi laga honga ki unki betiyo ne aisa kiya to
unko kya karna chaiye
neeta - pitaji bhale gaon ke pahalvan hai par unko bhi hamre liye dar laga
rahta hai
neha- pitaji bas ek bat soch kar nahi chalate , unko sab ke bareme sochna
hota hai , aur har bar unko naya sochna padta hai ki ab kya kare, aisi bahot si
bate hongi jis se pitaji ne pooja didi ki saghai kar di , rakesh aur pooja didi ke
bareme pure gaon ko pata hai , bhale pooja didi rakesh ko pyar nahi karti hai
par gaon valo ko to lagta hai ki dono me kuch chal raha hai , aise me rakesh
ne kuch ulta sidha kiya to , bhale rakesh darpok ho , pitaji se darta ho par
kuch bhi ho sakta hai , aisi bahot si bate hai jo aapko pata nahi hai kyu ki aap
yaha the hi nahi ,
neeta- pichale saal pooja didi ne shahar me ek ladke ki pitai ki thi ........
neha-bahot si bate hai , kya kya batayenge aapko
neeta - muze nahi lagta ki hamre pitaji ne pooja didi ki shadi fix karke kuch
galat kiya ho
neha- dusare gharo me to ladki ko dulhe ko dikaya bhi nahi jata , direct
suhagraat ko ek dusare ki dekta hai , par yaha to pitaji ne pooja didi ki oasand
ko haa kaha
neeta - aap hi kahte ho ki ladki ne ladke ko passnd karna chaiye tab shadi
karni chaiye
neha- vahi to kiya pitaji ne , thoda jaldi kiya par ab bhi jijaji ke bareme pata liya
ja sakta hai
neeta - ham to aaj bhi aapki batai huyi bato pe chalte hai
neha- par aap un bato ko bhul gaye hai
neeta - aap bhul gaye ki aap kis se bat kar rahe the
neha- maa hamse jada aapko pyar karti hai
neha- maa hamse jada aapko pyar karti hai , pir kyu unko aap ko thappad
maarne ka dil kiya ,
neeta - bhaiya , aapne kaha tha ki labhi zut mat bolna
neha- aur aapne hamse zut kaha , kya mila aapno zut bol kar
neha neeta ki bate sunte jaysungh aur tut gaya
usko laga ki uski bahane uska sath dengi
par aisa nahi hua
neha neeta ne pooja didi aur pitaji ka sath diya
neha neeta ke bato se pooja ka rona band ho gaya
neha neeta ne jo kaha us se sunkar jysingh under hi under ro raha tha .
neha neeta ne sahi kaha
ek bhai ke najariye aur pitaji ke najatiye me farak hota hai
ek pita ko kis tara sochna chaiye ye jaysingh samaj hi nahi paya
neha neeta choti hokar ye samaj gayi ki pitaji ne kya soch kar pooja ki shadi
tay ki hongi
jaysingh padai ki duniya me 1st tha
par real duniya me me use bahot kuch shikna baki tha
kuch bate ham tab tak samaj hi nahi paate jan tak ham us kaga ya us situation
se gujarte nahi hai
ham apni ray de sakte hai , ray dena aasan hota hai par pitaji ke jaga par
jaysingh hota to kya karta apne bacho ko maar daalta kyu ki unno pyar kiya
hai , ya unke napasand ladke ko pasand kiya hai is liye shadi nahi karvata , ,ya
apne sapne pure karne ke liye jor jaberdaati karta , ya unko pyar se samjata
,ya kohi rasta na milne pe unki bat maan jata aur shadi karva deta
is bat pe jaysingh sochta rah gaya
neha neeta ne jo kaha wo galat bhi to nahi tha
jaysingh ne apne sapne ke bareme socha par pooja se pucha bhi nahi ki uske
sapne kya hai
par jayaingh under hi under ro raha tha
usko laga ki wo khud sach bata denga ki wo shahar3 me company chala raha
hai
par ye bat to pitaji ko pata hai
pir bhi pitaji ne usko vapas bhulaya nahi
use shahar3 me rahne diya
kyu ki pitaji ko usko khush dekna tha
lekin jaysingh ki kya galti thi
usko bhi to fikar hai pooja ki
kitna kuch socha tha ki wo pooja ko aisa banayenga , itni khushiya denga ,
uske sare sapne pure karenga
par yaha to pooja kisi aur ke sath sapne dekane lagi hai .
jaysingh tut gaya
haa wo thoda guasse me aakar kuch bhi bol gaya par itna to hota hi hai
jaysingh yaha rukenga to kis ke liye
jaysingh ka dimag kah raha tha ki yaha se vapas shahar3 chalte hai
jaysingh ka dil kah raha tha ki ye hamare apne hai
apno me aisi bate to hoti rahti hai iska ye matlab nahi hai rista hi thod diya
jaye
jaysingh apne dil aur dimag ke bich me fas chuka tha
ager wo yaha se vapas chala gaya to kya honga
shahar3 me hamesha ke liye rah payenge
wo apne bache huye sapne ko pura kar payenga
ek aazad panchi ban jayenga
pitaji ki tension khatam ho jayengi
par yaha se jane ke drwaback bhi the
jaysingh chala gaya to log kya kahenge
shadi me bade bete ko naa dek kar log kya kahenge
pooja ke sasural valo ko lagenga ki pooja ki family achi nahi hai
pooja ko ye taana mara jayenga ki uska bhai shadi me nahi aaya tha
badd bete ke hote huye pitaji kaam karenge ye kaisa dikenga
jaysingh ko jo karna tha wo soch samaj kar karna tha
wo pahale itna bhara bhula kah kar sabki najro me utar gaya tha
ab aur wo aisa kuch nahi karna chahta ki uski shakal dekna bhinkohi passnd
na kare
jaysingh ne rukne ka faisala kiya
pitaji ko laga ki jaysingh vapas chala jayenga
maa jaysingh pe guass to huyi par unko dar lag raha tha ki jaysingh guasse
me ghar chhod kar gaya to
pooja apne bade bhai ke bina shadi kaise karengi
neha neeta shadi ke mahol me royengi to kya acha lagenga
chhotu tayyar tha shadi ko apne kando pe utane ko
saghai me kaam karke usne itni tarif jo suni thi
par hua sabki soch ke ulta
jaysingh bhi tak khud ko bhula nahi tha
wo tha to yogendrasingh ka beta
yogendrasingh ka beta apni jimmedari se dur nahi bhag sakta
usko sab kaisa bhi samaj le par wo vaisa nahi tha
wo apne family ki ijajat ko kuch hone nahi de sakta
jaysingh apne bag lekar store room me chala gaya