Update 265


shalini ko jaysingh shadi karke apne sath apne ghar lekar aa gaya
sabne shaini ka khushi khushi swagat kiya is family me
is family ka hidha bante shalini saalo se aa rahi parampara ka hisha ban gayi
ab wo hongi is ghar ki parampara ko aage chalane vali ghar ki nayi bahu
neha neeta ne apni bhabhi ko unka kamra dikya jaha pe unki suhagraat hongi
chhotu ka kamra us se chhin gaya , chhotu ko store toom vale kamare me
shift hona lada

chhotu ko dukh nahi hua , wo khush tha apni bhabhi ke liye
neha neeta ne khud sajaya apne bhabhi ka kamra jis ke liye shalini ne unko ek
ek sari gift di
par neha neeta itni aasani se jaysingh aur shalini ka milan nahi hone dengi
pitaji aur maa neha aur neeta se to dur hi rahte the
jaysingh to is raat ka kab se intzar kar raha tha
shalini bhi jaysingh ki hone ko tayyar thi
par neha neeta us kamre se jane ko tayyar nahi huyi
pooja- neha neeta chalo apne kamre me , bhabhi ko aaram karne do
neha- kya didi aap to kuch bhi bol rahi hai , aaj bhabhi soyengi thodi
neha ki bat sunte pooja samaj gayi ki neha neeta ab choti nahi rahi
pooja- tume pata haina , pir bhabhi ko akela chhodo bhaiya aate hi honge
neeta- bhaiya ko bol do ki aaj bhabhi ke sath ham rahenge
shalini hasne lagi
shalini- tumare bhaiya se pucho , muze to kohi problem nahi hai
neha- bhaiya hame kuch nahi kahte
jaysingh- tum sab yahi ho , jav pitai j tume bhula rahe hai
neha- pitaji bhula rahe ya aapko bhabhi ke sath akele me bat karni hai
jaysingh- tum to samajdar ho , ab muze shalini se bat karne do
neeta- aap kal bat karna aaj ham bat karenge
jaysingh- pooja inko bahar nikaalo
pooja- neha neeta chalo apne kamre me , bhaiya ko tang mat karo
neha- ham bhaiya ko kaha tang kar rahe hai , ham to bhabhi ko tang kar rahi
hai

shalini- neha aaj tumare bhaiya se bat karti hu pir kal se tumare sath bat
karungi
neha-shalini ke kaan me bat ki , sirf bat karengi
shalini- neha
maaji- neha neeta chalo ab , tum badi ho gayi ho ye bachpana chhod do
neha- maa aap hamare bich me mat aaiye
jaysingh- 2 minute me bahar nahi gayi to
neeta- to aap chale jayenge haina
shalini-neha neeta , meri bag hall me hai usme tumare kiye ek gift raka hai
neha- gift
shalini,- kamre me jane se rokte hai to nanad ko gift dete hai
neeta- kya hai bhabhi gift me
shalini- jaker khud dek lo
neha- ham abi jaker dekte hai ,
aur jaise neha neeta bahar gayi jaysingh ne kamre ka door band kiya
neha neeta samaj gayi ki ye chaal hai par unko shalini ka gift mil gaya
us raat to jaysingh ne shalini ko apna bana liya
pitaji ne bhi maa ko pyar kiya
pooja neha neeta ko apne suhagraat ki bate batani lagi
neha neeta ko bhi pata chal gaya ki bhaiya bhabhi kya kar rahe hai
raat to unki thi

par subha hote neha neeta ne bhabhi ke door ka khatkataya
shalini to ut gayi par jaysingh ko guass aa raha tha neha neeta pe
shalini jaysingh ki halat dek kar has rahi thi
par neha neeta ko khon samajayenga ki naye couple ko akela samay dena
chaiye
shalini subha hote apne kaam me lag gayi
shalini ne ghar la kaam apne hant me liya
neha neeta tab bhi apni bhabhi ke piche piche rahti
shalini unko batati ki wo kahi nahi ja rahi hai par dino to bas shalini se bate
karne me acha lag raha tha
jaysingh to bas intzar karta rahta ki kab neha neeta shalini ko akela chhod
dengi
par shalini apne pati aur nanad dono ko khush rakti
pooja aur maa ko to aaram mil gaya , sara kaam shalini hi karne lagi
jaysingh shalini ko mandir lekar gaya tha
shalini ne mandir me jaker puja ki
neha neeta shalini ko mele aur parampara ke bareme batane lagi
shalini ko is parampara ka hisha hone ki khushi huyi
shalini jada se jada iske bareme jaane chahti thi
shalini gaon se aayi thi jis se is bato me jada interest tha
neha neeta jis tara bata rahi thi us se to shalini ka interest aur badh raha tha
jaysingh ko to bas shalini ko pyar karna tha
jaysingh to shahar3 ko bhul gaya tha

bhula tha matlab wo shalini ko shahar 3 kaise lekar jaye ye soch raha tha
kyu ki wo 3 mahine se company se dur tha
par jaysingh is ke bareme jada nahi soch raha tha
shalini ko jaysingh ka gaon apne gaon se jada pasand aaya
is gaon ki khubsurati me to jaise shalini sab kuch bhul gayi
shalini ko to apna gaon yaad hi nahi aa raha tha .
neha neeta shalini ko bhor hi nahi hone de rahi thi
neha neeta ke sath jaise shalini khud ko bhul jati
neha neeta shalini ke sath nayi nayi masti karti
shalini jab mayake gayi tab jaysingh ke sath neha neeta bhi gayi
neha neeta to shalini ko akela chhidtui hi nahi
pitaji ko tang karne me to shalini bhi neha ka sath deti
pitaji shalini aur neha ka pyar dek kar tension free ho gaye
par maa ko tang karte huye shalini thodi dur rahti
chhotu to shalini ke ek aawaz pe bhag kar aa jata
shalini ko kuch bhi lagta to wo jaysingh ki jaga chhotu ko bolti
shalini ko chhotu ne pura gaon dika diya
thakurji ne bhi naye couple ko apne haweli bhula liya
shalini ko haweli dek kar jada khushi nayi huyi
kyu ki shalini ko ghar bada nahi chaiye , ghar me rahne valo ka dil bada chaiye
tha
haweli se jada mandir ki bato pe shalini ko interest tha
neha - bhabhi ye jo mandir hai inse hamari family ka bahot purana rista hai
shalini- kaisa rista
neeta- yaha puja ham karte hai
shalini -sach

neha - yaha to mela bhi hota hai
shalini- haa main ne suna hai is mele ke bareme
neeta- us mele me thakurji ke sath pitaji puja karte hai
shalini -aur kya hota hai
neha - mele ka kaam thakurji ki family aur hamari family dekti hai
shalini- pir to bahot maza aata honga
neeta- pucho hi mat , 25 din dhamaal karte hai ham
shalini -is bar main bhi karungi
neha - aap nahi kar payogi
shalini- kyu?
neeta- is bar bhaiya ko dene vale hai pitaji mele ka kaam , aap to usi me busy
rahengi
shalini -tumne to laddu dika kar bol diya ki mera upvass hai
neha - kyu bhaiya ,
jaysingh- main nahi.lene vala wo jimmedari , pitaji hi tik honge
shalini- aap kyu nahi karenge puja
jaysingh- mere liye time hai , pitaji abi bhi wo kaam kar sakte hai ,
neeta- ye zut hai
jaysingh- mere liye time hai , pitaji abi bhi wo kaam kar sakte hai ,
neeta- ye zut hai
jaysingh- neeta
shalini -aap rukiye , neeta kya bat hai
neeta - bhaiya ko shahar3 rahna hai , gaon me rahna pasand nahi hai
shalini- kya ?
neeta- bhaiya yaha nahi rahte
shalini -aap itne ache gaon ko kaise chhod kar ja sakte hai
jaysingh- main chhod kar kaha jata hu ,main shahar3 aur gaon dono jaga raht
hu

neha - aap shahar3 me jada rahte hai
jaysingh- tum abi bachi ho , tume is bareme kuch pata nahi hai
shalini- neha main to yahi rahungi gaon me
neeta- sach bhabhi
shalini -haa,
jaysingh- shalini
shalini- kitna pyara gaon hai ,muze to yahi rahna hai
neha - pir to bhaiya ko bhi yahi rahna honga
shalini- bilkul
jaysingh- ham shahar3 me rahenge
neeta- bhaiya
shalini -abi to aap yahi haina
jaysingh- kuch mahine
shalini- 6 mahine na
jaysingh- jaisa tum kaho
neha -6mahibne ke bad
shalini- wo bad me dek lege ham ,abi to main tumare sath hi rahungi
neeta- bhabhi aap yahi rahna
shalini -ek sharat pe rahungi
neha - kya?
shalini- muze mandir aur mele le bareme aur sunna hai
neeta- to aaj raat aap hamare sath so jana
jaysingh- jo bat karni hai wo abi kar lo
shalini -haste huye , chalo mandir chalte hai vahi bat karenge
neha - main bhi yahi kahne vali thi
shalini- kyu na aaj ghar se khana bana kar mandir chalte hai , vahi par khana
khate huye bat katenge
neeta- picnic jaisa
shalini -haa chalo , pitaji se puchte hai
jaysingh ne ishara karke shalini ko rukne ko kaha
shalini- tum dono pitaji se puch lo

neha neeta bahar chali gayi
jaysingh- kya kah rahi thi tum
shalini- main ne kya kaha
jaysingh- ham gaon me nahi shahar3 me rahenge
shalini- jaha aap vaha main
jaysingh- ham bas kuch mahine yaha ruk rahe hai
shalini- ye gaon bahot pyara hai
jaysingh- to ham hamesha ke liye thodi ja rahe hai
shalini- to
jaysingh- ham 3 mahine bad aate rahenge
shalini- sach
jaysingh- main to 6 mahine bad aata tha par tumarr liye aisa lar raha hu
shalini- neha neeta itni pyari hai , aap unke bina dur kaise rahte
jaysingh- ab to muze dono pe bahot guass aata hai
shalini- wo kyu ?
jaysingh- hame akela chhodti hi nahi
shalini- aur aap raatme muze kya kam tang karte ho jo din bhi chaiye aapko
jaysingh- main to tume din raat pyar karna chahata hu
shalini- muzse nahi honga
jaysingh- aaj to jungle me pyar karunga acha socha tumne picnic ka
shalini- bas aapko to vahi dikta hai
jaysingh- tum chalo to pir dikata hu tume
aur jaysingh shalini se pyar karne ka kohi chance nahi chhodta tha
neha neeta jaysingh ko shalini ke sath akela rahne hi nahi dete

neha neeta ke vajase shalini ka dil laga hua tha
shalini ko to apne mayake ki yaad bhi nahi aa rahi thi
shalini ke bhaiya bhabhi apne bacho ke sath milne aa gaye ,
shalini ko khush dek kar wo tension free ho gaye
shalini.ko jaisa sasural chaiye tha vaisa mil gaya
shalini isi me khush thi
neha neeta ke sath mandir jana
kheto me jaker pitaji ko madat karna
aam ke bhagiche me samay bitana
ab to aam ka session bhi nahi tha pir bhi shaliji apni nanad ke sath kheto me
jarur jati
par shalini itne bade bagiche ko dek kar sochne lagi ki inkio aam lagenge to
ye bagicha kaisa diknga
shalini dopher me khet ne aayi to sham ko shalini ko ghar chalne ko bolna
padta
ghar me kaam karna , neha neeta ki madat milne se kaam jaldi ho jate jis se
shalini sab ke sath bat kar leti
pitaji jab neeta ko movie dekne ke jate to jaysingh shslini ko bhi le jata
jaysingh kuch na kuch bahaana karke neha neeta se dur ki saet leta taki
shalini ke sath movie dek sake
par neha bhi smart thi
jaysingh ke sath pitaji ko baiata deti aur khud apni bhabhi ke sath movie dekti
jaysingh to pareshan ho gaya tha

neha neeta ne naak me dam karke raka tha
jaysingh sochta ki shalini ke sath ghumne jaye
ghumne ka naam sunte neha neeta pahake tayyar hoti
jaysingh ko pir chup chap unko bhi sath le jana padta
pooja jaysingh ke shadi ke bad 1 mahina ruki
pir wo vapas apne ghar chali gayi
ramesh chahata tha ki delivary shahar2 me ho
pitaji ne pooja ko rokna chaha par pooja ruk jati to ramesh akela kaise rahta
pitaji ne ijajat de di
pooja ke jane se neha neeta ko jada farak nahi pada kyu ki unke pass shalini
bhabhi thi
neha neeta college jati to jaysingh shalini ko ghumane lekar jata
par jaise neha neeta aati to shalini unke sath busy ho jati
isi bich jaysingh ko taar (khat) aa gaye
kumar akele company ko kab tak sambalta
8 mahine ho gaye jaysingh ko dur rahe company se
company loss me chal rahi thi
tender jo mile the wo samay pe pure nahi ho paye jis se payment kam huyi aur
der se kaam hone se agale bar tender milane ke chance kam the
jaysingh ko ab jana hi honga shahar3
shahar3 me uska ghar tha
jaha shalini ko le jane ko jaysingh kab se betaab tha
par shslini to apni nanad aur devar ke sath khush thi
jaysingh to ab musibat me fas gaya tha
jaysingh kaise kahenga apne maa se apne pitaji se
shalini ko jaysingh ki pareshani ka ahsas ho gaya
jaysingh ko samajne vali shalini hi thi
pitaji bhi kabhi jaysingh ke dil ki bate jaan hi nahi paye aur jaysingh ne bhi
kabhi kisi ko kuch nahi bataya ,

isi liye pitaji ne jaysingh ke liye shalini ko select kiya
shalini ko pitaji ki pasand nahi balki jaysingh ki pasand bana kar uske sath
shadi karvai taki jaysingh aur shalini ka rista mazboot ban sake
shalini ke aate jaysingh apne dil ki bate shalini ko batane kaga aur shalini bhi
jaysingh ka pura sath dene lagi
jaysingh jo khud ko hamesha akela samajta tha aaj uske pass shalini thi jis se
wo apne sapne apne dil ki bete shhare kar sakta tha
jaysingh ka chehara pad leti thi shalini
kumar ke yaar pe taar aa rahe the
jis se jaysingh tension me aa gaya ye bat shalini ne dek li
shalini- kya bat hai
jaysingh- kuch nahi
shalini- main aapki biwi hu , aap muzse to zut boliye hi mat
jaysingh- yaha aise ksb tak rahenge
shalini- ye aapka ghar hai
jaysingh- par shahar3 me bhi mera ghar hai
shalini- to aap yaha se jana aana suru kyu nahi karte , main yahi rukti hu aur
aap sunday sat ko yaha aate jaiye
jaysingh- jane me ek din aur aane me ek din lagta hai
shalini- to
jaysingh- vaha company loss me chal rahi hai
shalini- aapki company
jaysingh- meri mehnat ki company hai
shalini- aap kya chahte hai
jaysingh- ham shahar3 chalte hai , ,9 mahine se yaha hu main
shalini- yaha to muze bahot maza aata hai vaha to muze akele rahna padenga
ghar pe

jaysingh- jaldi tume maa bana dunga
shalini- abi nahi
jaysingh- chalo na shahar3
shalini- lekin main vaha kaise rahun
shalini- lekin main vaha kaise rahungi
jaysingh- itne pyar se bol raha hu varna guasse se kahta to tum chup chap
chalti
shalini- aap muzpe guass kar hi nahi sakte
jaysingh- chalo na , tume dikana hai ki main ne kya kya kiya hai , tume asoo
aaram ki zindagi dena hai
shalini- ham neha neeta ko sath lekar chalte hai
jaysingh- wo bahi aayengi
shalini- main kahungi to jarur aayrngi
jaysingh- tum abi tak samji hi nahi payi neha neeta ko
shalini- kya matlab
jaysingh- wo pitaji ko chhod kar kahi nahi jayengi , tumare sath bhi nahi
shalini- main bhi nahi jana chahati pitaji ko chhod kar
jaysingh- chalo na , ham 3 mahine bad 1 hafte ke liye gaon aaya karenge
shalini- pakka
jaysingh- tumari kasam
shalini- to bat kajiye pitaji se
jaysingh- tum karo , tumari bat maan jayenge pitaji
shalini- aap to bade chalu ho muze fasa rahe ho
jaysingh- main maa se bat karta hu
shalini- aur neha neeta ka kya
jaysingh- eo samajdar hai , samaj jayengi ,

shalini- lekin
jaysingh- main to unko shahar3 le jakar doctor banana chahata tha
shalini- pir kyu nahi banaya
jaysingh- jane do us bat ko
shalini- batav na
jaysingh- shahar3 jake bataunga
shalini- tik hai, main bat karti hu
jaysingh- aise bat karna ki pitaji na nahi kare
shalini- aap ke khushi ke liye kar rahi hu , varna meri khushi to yahi rahne me
hai
jaysingh- ham dono jaga rahenge , gaon aur shahar3 me
shalini- aur hamare bache
jaysingh- unka bhi problem hai
shalini- ab kya problem huyi
jaysingh- wo shahar3 jakar bataunga
shalini- matlab muze ab tak kuch bhi nahi bataya hai
jaysingh- tume yaha aaye 6 mahine hi huye hai , dire dure sab pata chal
jayenga
shalini- bat kya hai
jaysingh- tume main sab kuch bata dunga tum bas shahar3 chalna aur mere
sath rahna
shalini- main to aapke sath hi rahungi chahe kuch bhi ho jaye
jaysingh- to tum abi bat karo pitaji se
shalini- karti hu

jaysingh apni maa se bat karne chala gaya
aur shalini pitaji se bat kar rahi thi
jaysingh- maa
maaji- kya hua beta
jaysingh- maa 6 mahine ho gaye shadi ko
maaji- kitne jaldi din bith jate hai
jaysingh- haa , aap khush ho
maaji- tu khush hai to main khush hu
jaysingh- maa wo main soch raha tha
maaji- haa bolna
jaysingh- sab kitne khush hai , neha neeta chotu to apni bhabhi ke sath kitne
khush rah rahe hai
maaji- haa shalini ne sabka dil jit liya hai
jaysingh- maa , wo main , kaise kahu samaj nahi aa raha
maaji- bolna
jaysingh- kaise kahu
maaji- tuze shahar3 jana hai
jaysingh- haa
maaji- to ja na , kisne roka hai
jaysingh- main shalini ko bhi lekar jana chahata hu
maaji- teri biwi hai tere sath hi jayengi na ,
jaysingh- aapko kohi problem nahi hai
maaji- tu ek din to jane vala tha shalini ko shahar3 sath lekar , tu itne din ruka
hamare liye , main khush hu , muze to laga tu shadi hote chala jayenga par tu
to 6 mahine ruka ,
jaysingh- main ja sakta hu
maaji- haa ,

jaysingh- main ja sakta hu
maaji- haa par yaha aate rahna
jaysingh- aap mere liye aisa bol rahi haina
maaji- main bas tuze khush dekna chahati hu
jaysingh- maa , tum bhi chalo na shahar ham sab sath rahenge
maaji- tu jaha jayenga shalini vaha aayengi , vaise tere pitaji jaha rahenge
main vahi rahungi
jaysingh- ham bich bich me gaon aate rahenge
maaji- tu shalini ko lekar ja , apna ghar basa ,
jaysingh- maa , main aata rahunga gaon , pichali bar ki tara diwali me nahi ,
har 3 mahine bad aa jaunga
maaji- ye to achi bat hai , tume mere bareme socha is se main khush hu
jaysingh- main abi nahi jaunga , aur 1 mahina ruk kar jaunga taki neha neeta
ko jada dukh na ho , wo dire dire shalini ke bina rahma shik le
maaji- mera beta , hamesha khud se jada hamare bareme sochta hai , ja apne
pitaji se bat kar
jaysingh- pitaji se shalini bat kar rahi hai
maaji- tu bhi kar lena tere pitaji ko acha lagenga ,
jaysingh- ji
jaysingh khush tha ki maa ne ijajat de di
bas ab shalini pitaji ki ijajat le le
pir wo shalini ko shahar3 lekar jayenga
vaha apna ghar apni company dikayenga
shalini ko jane ka dil to nahj kar raha tha par use jana to padenga ,
jaysingh uska pati hai , jaha wo vaha shalini

shalini pitaji ke pass chali gayi
pitaji kuch hishab kitab kar rahe the
shalini ke aate pitaji ne apna kaam rok diya
shalini- pitaji
pitaji -beta tum , kya bat hai
shalini- aapse bat karni thi
pitaji -haa kaho
shalini- kaise kahu samaj nahi aa raha tha
pitaji -kya bat hai shalini , jaysingh ne kuch kaha te
shalini- nahi ,
pitaji -to bat kya hai jo itna soch rahi ho
shalini- wo bol rahe the
pitaji -to jaysingh ne tume bheja hai , wo aata to acha lagta muze , kohi bat
nahi , main tumara hi intzar kar raha tha
shalini- aap samaj gaye main yaha kyu aayi hu
pitaji -haa ,muze to laga tha jaysingh pahale hi tume bhej denga par usne
bahot samay laga diya
shalini- main to yahi rahna chahati hu par wo kah rahe the ki
pitaji -kya kah raha tha wo
shalini- wo yaha aise kab tak rahenge
pitaji -main yahi soch raha tha ki jaysingh ne ab tak jane ki bat kyu nahi ki
shalini- matlab aapko pata tha
pitaji -muze to laga shadi hote chala jayenga , ya 1 mahine bad jayenga par wo
to 6 mahine ruka

shalini- to aap
pitaji -use na main ne pahale kabhi roka tha aur na aaj rokunga , vaise usne
itne din ruk kar acha kiya , main khush hu jo tume itni dun harame sath rahne
diya .
shalini- aapko pahale se pata tha ki main yaha nahi rahungi
pitaji -haa , jaysingh ke sapne bade hai ,wo apne sapno ke sath rahna chahata
hai
shalini- aapne ye muze pahale kyu nahi bataya
pitaji -tume uske sapne pure karne me sath dena honga ,
shalini- par aapne pahale kyu nahi bataya
pitaji -tu kahi bhi raho par rahogi hamare dil me
shalini- sapne ka kya chakar hai
pitaji -jaysingh ne bataya nahi tume
shalini- bataya tha ki unke kuch sapne hai , par kya hai ye nahi bataya
pitaji -shahar3 jate puch lena , aur uska sath dena sapne pure karne me
shalini- aap muze rokne ki jaga jane ko bol rahe hai
pitaji -main to tume kahi jane naa du par tume jaysingh ke sath jana honga ,
uske sapne pure karne honge aur usko vapas gaon me lana honga
shalini- main samji nahi
pitaji -main tume sab kuch batata hu , kuch nahi chupaunga kyu ku tume sab
pata hona chaiye
shalini- ji , unki bato se pata chala tha ki muze kuch pata nahi hai
pitaji -muze tunse bahot umid hai
shalini- kaise umid

pitaji -tume mera ek kaam karna hai
shalini- kya ,
pitaji -batata hu , pahale tume jaysingh aur is ghar ki kahani batata hu ,
jysingh ke sapne usko pura karne ko kya lkya kiya jaysingh ne wo batata hu ,
kyu jaysingh shahar3 rahta hai wo bataunga
shalini- aap sab kuch batna
pitaji -tum is ghar ki badi bahu ho tume sab pata hona jaruri hai
aur pitaji shalini ko jayaingh ki kahani batane lage
kaise jaysingh ne shahar3 jane ke liye apne bhai bahano ka sath chhod diya
apne bhai bahano ke pyar ko samaja nahi
pir shahar3 jake kaise khud ko bhul gaya
shahar3 usko dire dire khane laga
kaise jaysingh ne pitaji se zut kaha
pooja ki shadi me kya hua tha
pir jaysingh ne kya kiya
kaise pooja ki shadi ki
kyu pitaji ne jaysingh se shadi karvane ka promise liya
kaise apna warish shalini ke beto ko banaya
kyu pitaji ne jaysingh se zut bol kar shalini ke pass bheja
kyu shalini ko select kiya
kitne umide hai shalini se sab kuch pitaji ne shalini ko bata diya
sari bate sunkar shalini ke ankhoun me assu aa gaye
shalini- itna kuch ho gaya
pitaji -haa
shalini- aapne muze bataya bhi nahi
pitaji -tum abi to is ghar me aayi ho abi kaise bata deta
shalini- aap kya chahate ho wo bataiye
pitaji -muze beta chaiye , muze mera beta vapas chaiye
shalini- main aapko aapka beta vapas laker dungi
pitaji -tum kar logi

shalini- haa , main unko is gaon me vapas lekar aaungi
pitaji -jaysingh ko bata ki ghar kya hoa hai
shalini- wo kise chhod kar shahar3 ja rahe haui ye main unko samja dungi
pitaji -tume jitna samay chaiye utna lo par muze beta vapas de
shalini- wo to dena hi honga , aapne apne bete liye kya kuch nahi kiya pir bhi
aap unni ke bareme sochte rahe
pitaji -wo mera beta hai ,
shalini-ab aap befikar rahiye , ye mera ghar hai main is ghar ki khushi me meri
khushi hai
i
shalini-ab aap befikar rahiye , ye mera ghar hai main is ghar ki khushi me meri
khushi hai , main is ghar ki khusiya vapas lekar aaungi , sabko ek kar dungi ,
pitaji -tum bas jaysingh ko gaon me vapas le aav main tumare ahsasn kabhi
nahi bhulunga
shalini- pitaji ye mera ghar hai ,isme ahsan ki bat hi nahi aati ,, aapne muze
pahale bata diya hota to main uske bareme kab ka soch leti
pitaji -tuze main pareshan nahi kahna chahata tha
shalini- ab aapki pareshani meri hai
pitaji -isi liye main ne tume apni bahu nahi beti banaya hai , ye sirf tum hi kar
sakti ho
shalini- main jarur pura karungi , aapka bharosha tutne nahi dungi
pitaji -par tum jaysingh ke sapne bhi pure karna
shalini- kya matlab

pitaji -wo apne sapne pure karenga to muze jada khushi hongi
shalini- ab bhi aap unke bareme soch rahe hai , main sabko khush rahungi ,
unke sapne bhi pure karungi , , unko gaon bhi laungi aur neha neeta chhotu
ka dyan bhi rakungi
pitaji -main yahi sunna chahata tha
shalani -main ab tak bina kaam ke bhor ho rahi thi
pitaji -kab ja raha hai jaysingh
shalini- pata nahi ,
maa kamre me aa gayi
maaji-1 mahine bad
pitaji -samajdar ho raha hai jaysingh
maaji- bahu ka kamaal hai
pitaji -wo to hai „
shalinu- aur wo kah rahe the ki 3 mahine bad gaon aayenge
pitaji -kafi samajdar ho gaya hai
shalini- ji
[[[[[[[[[[[[[[[[[ ...........
maaji- aap 10 minute ke liye bahar jaiye muze bahu se bat karni hai
pitaji- tum bhi samaja do bahu ko
aur pitaji bahar chale gaye
shalini- unno aapse bat ki
maaji-haa
shalini- aap khush hai
maaji-bete ke dur jane se khonsi maa khush ho sakti hai
shalini- aapne to ijajat di hai
maaji-jay ki khushi me meri khushi hai
shalini- ji

maaji-tume pata hai coin ki 2 side hoti hai
shalini- haa
maaji-vaise jaysingh ki kahani ki bhi 2 side hai
shalini- kya matlab
maaji-ek side jo neha ke pitaji ne tume batai hai
shalini- samaj gayi , pitaji ko kuch bate pata nahi hai
maaji-muze bhi kuch bate pata nahi hai
shalini- main samji nahi
maaji-tum jay ko ghar vapas lana chahati ho ,to tume sab kuch pata hona
chaiye
shalini- haa pitaji ne bataya hai
maaji-ab main bhi tume kuch bate bataungi jo tumare pitaji ko pata nahi hai ,
aur kuch bate jaysinghh se puchna jo ham dono ko pata nahi , tabi tum jay ko
ghar la payogi
shalini- ye aapne baravar kaha , faisala tabi lena chaiye sab kuch pata ho ,
maaji-muze to bahot kam pata hai par jitna pata hai tume batati hu
maa jaysingh ke bareme shalini ko batane lagi
jo bate pitaji ko pata nahi hai wo bate shalini ko pata hona jaruri hai
jaysingh ke sapne ke bareme kisi ko pata nahi hai
jaysingh ne kya kya kiya sapne ke liye shahar3 jane liye
uska sach kya tha

kyu pooja ki shadi ka virod kiya
wo ek bhai tha
kya kya socha tha usne , sabko shahar3 lekar jayenga , sabko padayenga
likhayenga
pir sapne ko jalaane ki bat bhi batai maa ne
kaise jaysingh roya tha wo bhi bataya
pir bhi kis tara pooja ki shadi ki wo bataya
sari bate shalini ko bata di
maaji-ye hai pura sach
shalini- muze lag hi raha tha ki wo aise nahi hai
maaji-jaysingh bura nahi hai , wo dil ka bahot acha hai , bas neha ke pitaji ki
tara apne dard apne sapno ko apne dil me chupa kar rakta hai
shalini- ji
maaji-deka nahi , kaise neha ke pitaji ne kaha ki uske liye ek ladki pasand hai ,
aur usne to tume bhul jane ka bhi soch liya tha , tum hi batav ager jayaingh
matlabi hota to aisa karta
shalini- nahi karte
maaji-jay bahot acha hai , bas tume usko samajna padenga , dekna wo khud
tume kahenga ki gaon chalte hai
shalini- main samaj gayi ki muze kya karna hai
maaji-kya karogi
shalini- ab main , neha se neeta se chhotu se bhi sab kuch pata karungi jo
unko pata hai bina une shak huye , pooja se bhi pata karungi , unse bhi puch
lungi

maaji-main yahi sunna chahati thi
shalini- main unka sath kabhi nahi chhodungi , aur unko ghar lekar aaungi
maaji-sabse pahale jay se puchna
shalini- maaji ye sab karne ko samay lagenga , jaldi kiya to gadbad ho jayengi
maaji-tum uske sath rahna , matlab main befikar rah sakti hu , tere sath
rahenga to khud ko bhulenga nahi
pitaji- ho gayi saas bahu ki bate
maaji-haa ho gayi
shalini- pitaji maaji main aap dono ka kaam kar dungi , ye mera vada hai
aapse
Shalini -aapka aashirvad raha to jaldi main hamesha ke liye gaon me vapas
aaungi
maaji-hamara aashirvad tumare sath hai
pitaji- muze tum par pura vishwas hai
shalini ko sach pata chal gaya
ab use ye bhi pata chal gaya ki jaysingh kaisa hai
ab to shalini ka pyar jaysingh aur is ghar ke liye aur badh gaya
ab shalini ko ek bada kaam mil gaya jisko use pura karna hai
.shalini ne jo kaam hant me liya wo pura kiya hai
ye kaam thoda difficult hai par namumkin nahi hai
Next page: Update 266
Previous page: Update 264