Update 285
Badi chachi aur pooja bua bacho ke pass ruk kar bate kar rahi thi.
Baki sab aunty ki madat karte huye bate kar rahi thi.
Kavita leena to TV dek kar enjoy kar rahi thi.
Komal ne to muze aaj pir se apna naya rup dika kar shocked kar diya.
Komal jor shor se kaam kar rahi thi.
Komal ko is tara kaam karte huye dek kar sabke ankhoin me chamak dik rahi
thi, chehare pe khushi dik rahi hai.
Komal to aaj sabke dil jit kar rahengi.
Rani bhi kaha piche rahne vali thi.wo to sabka dyan rak rahi thi.
Sabke juban par rani aur komal ka naam tha.
Main to damad ki tara chup chap baite kar sabki harkate dek raha tha
Rani ne ek 2 bar meri taraf smile ki par itne logo ki bich ham thoda bhi risk
nahi lena chahte the.
Kitchen me davat ka intazam chalu ho gaya.
Hamare pass samay bahot tha kyu ki davat sham me thi. To sab bate jada kar
rahi thi.
Aunty ,bua aur chachi ke sath jaldi ghul mil gayi taki apni beti ke sasural valo
ke bareme pata kar sake
Choti chachi aur neeta bua to jaldi free ho jati hai aur saheliya aisi banati hai
jaise kabi tute na.
Aunty to sabke bich me itna pyar dek kar khush najar aa rahi thi.
Aise me aunty ki najar muzpe padi. Muze apne mobile ke sath khelte huye dek
kar mere pass aa gayi.
R mummy-beta aise akele kyu baite ho.
Avi-kya karu aunty .aap to apne damad ka khayal hi nahi rak rahi hai.
R mummy-damad ka maan sabse ucha hota hai.par tumari chachi se bhi to
milna hai.
Avi-chachi ko khush kar rahi hai .
R mummy-apni beti ke saas ko khush to rakna padta hai
c chachi-main to khush hu.
Avi-lijiye aunty ,aapki samdan to khush hai
R mummy-ye mere liye achi bat hai ki samdan ko hamari mehman navaji
pasand aayi.
c chachi-Avi ,aaj to rani aur samdan ka pura samay hamara hai.
Avi-ji bilkul, aapke liye to davat raki hai.
c chachi-chaliye ham pyass aur sabjiya cut karte huye aate karte hai
R mummy-main bhi yahi soch rahi thi ki aapse akele me bat kaise karu. par
jaisa rani ne kaha vaisi aap hai ,har problem ka solution choti chachi
c chachi-ye rani kuch bhi bolti hai. chaliye
aur aunty choti chachi ke sath kaam karte huye bat karne lagi.
R mummy-aapke bareme main ne rani se bahot kuch suna hai.
c chachi-main bhi to sunu kya kaha rani ne
R mummy-rani to kahti hai use aapke jaisa banna hai.
c chachi-lekin main to use kisi aur jaisa banna chahti hu
R mummy-kiske jaisi
c chachi-Avi ki maa ki tara rani ko ek perfect bahu banana chahti ho
R mummy-(shalini didi ) ye to achi bat hai.
c chachi-vaise aapko mere bareme to rani ne bata diya honga.
R mummy-haa,
c chachi-to kuch apne bareme me bhi muze bataiye
R mummy-wo bhi bata dungi. ab to ham milte rahenge .vaise Avi ne sirf aapko
rani aur uske bareme bataya,aur kisi ko nahi.
c chachi-seema didi ko bhi pata hai
R mummy-par aapne baki sabko kyu nahi bataya.
c chachi-main chahti hu ki rani aisa kaam kare ki sab khud rani ko Avi ki jivan
sathi ke rup me select kare.
R mummy-ye to achi bat hai .par badme kisi ne manaa kiya to
c chachi-aisa nahi hoga, main hua na. main dire dire sabko manaa lungi. aur
abi sabko bata diya to Avi aur rani ka milna mushkil hoga kyu ki suman didi
haa karne ke bad kahengi ki shadi sepahale milna tik nahi hota. aur rani ko
doctor banna hai tab tak rani aur Avi dur rahe to wo unke liye acha nahi hoga.
R mummy-aap bahot dur ki sochti hai . aap se bahot kuch shikhne ko milenga.
c chachi-main to aaj bhi aap se shikh rahi hu. aap ke pyar ne komal ko bhi rani
jaisa bana diya.
R mummy-komal bahot pyari ladki hai.
c chachi-rani ke sath rahengi to bahot kuch shikh lengi.
R mummy-hame life me shikhate rahna chaiye
c chachi-aapki soch achi hai.
R mummy-to aapke pati nahi aaye
c chachi-unko aise naye logo se milna pasand nahi hai.aur wo yaha akele bhor
ho jate
R mummy-aap teeno sauthan hoke bahano jaisi rahti hai
M chachi-kyu ki suman didi ne hame apni bahan banaya hai
R mummy-aap ,
M chachi-kya bate ho rahi hai. main bhi aapki samdan hu aap to muze bhul hi
gayi.
R mummy-aapka maan sabke ucha hai. aapko kaise bhul sakte hai.
C chachi-didi acha hua aap aa gayi. aap hi bat karo apni samdan se
R mummy-aap ki jitni shikayat hai wo bata dijiye main puri kar dungi.
M chachi-shikayate to shadi ke samay puri ki jati hai
R mummy-main to akeli hu ,abi se bata dijiye,varna bad me muze mushkil
hongi.
M chachi-wo dire dire bata denge .pahale ek dusare ke bareme jaan lete hai.
R mummy-rani ke bareme to aap janti hai.
c chachi-haa, par aapke bareme aur rani ke papa ko kya hua tha.
R mummy-unko heart attack aaya tha
M chachi-kya hua tha.
R mummy-mera aur rani ka pyar wo apne dil me sama nahi paye is liye
BHAGVAN ke pass chale gaye ek aur dil maangne
aunty ke jawab se choti chachi impresred huyi.
M chachi-to aapne akele ghar sambal liya.
R mummy-rani thi mere sath ,ham ne milke jina sikh liya.
c chachi-aap himmat vali hai
R mummy-aise duniya me akele jine ke liye khud kuch na kuch karna hota hai.
c chachi-aapki aur meri khub jamengi.
M chachi-mera kya.
R mummy-rani ne kaha hai ki aapka khas dyan raku .aap special hai.
M chachi-wo to main hu hi.
R mummy-ek bat kahu
c chachi-haa kahiye
R mummy-aap teeno ki soch alag hote huye aap teeno me itna pyar hai ye dek
kar acha laga.
c chachi-aap ko abi bahot kuch pata lagna baki hai. jitne jada ham milenge
utni jada pahchan badengi
R mummy-ye sahi rahenga
M chachi-to agali bar aapko hamare yaha aana hoga.
R mummy-beti ke sasural me,
c chachi-aana to hoga.
M chachi-varna kya pata sasural bane hi na
R mummy-main itna bada risk nahi le sakti. aisa sasural dundne se bhi rani ko
milenga nahi.
c chachi-ye huyi na bat ,vaise main ne suna hai aap job bhi karti hai
R mummy-wo hote to main job nahi karti par rani ke shadi ke liye paise to
jamane the ,
m chachi-matlab dowery milengi.
R mummy-aap jo chahe wo mil jayenga.
c chachi-hame to sirf rani chaiye
M chachi-aur muze to beti chaiye
R mummy-aap ne ye bol kar meri to chinta khatam kar di.
c chachi-to ye samaj lijiye ki wo sasural nahi apne ghar ja rahi hai
R mummy-aap mere liyeto BHAGVAN bankar aayi hai.
c chachi-ab itni bhi tarif mat kijiye
R mummy-rani kismat vali hai jo wo aapki bahu banengi, us ghar ki bahu
banegi
M chachi-bahu nahi beti
c chachi-ye to bate chalti rahengi ,ham apni bate karti hai
M chachi-main apne bareme bata du ki muze khush rahna pasand hai
R mummy-muze bhi. jiyo to khush rah kar jiyo
c chachi-mera bhi yahi principle hai
R mummy-par family ke sath enjoy ho to kya kahne
M chachi-ye rani ke dada nana nahi hai
R mummy-rani ne aapko bataya nahi
M chachi-muze nahi pata
R mummy-wo main ne aur rani ke papa ne bhag kar shadi ki thi jis se sabne
ham se rista thod diya
c chachi-love marriage ki thi aapne ,pir bhi aap rani ke liye haa kar di.
R mummy-pyar karna gunna to nahi , rani ko Avi jaisa jivan sathi mil raha hai
to main manaa kaise karti.
c chachi-to wo shadi me aayenge. rani ke dada dadi
R mummy-invitation denge,aana na aana unpe hai
M chachi-kohi bat nahi ham milke shadi karvayenfe
R mummy-uske liye time hai ,
c chachi-haa rani ko doctor banna hai.
R mummy-uske papa ki icha thi rani doctor bane
M chachi-Aur aapki kya icha thi
R mummy-rani ko saas nahi maa mile
c chachi-ye icha main puri kar dungi
neeta bua-abi tak pyass cut kar rahe ho
R mummy-ham bato bato me bhul hi gaye, abi cut kar deti hu
neeta bua-aap rahne dijiye main kar deti hu
R mummy-main kar lungi
M chachi-aap suman didi ke pass jaiye ,unko kya chaiye puch lijiye
R mummy-main to unko bhul hi gayi.
c chachi-akele hone se samaj nahi aata ki kya kare
neeta bua-ham haina madat ke liye
R mummy-par sab aap karengi to kaisa chalenga
c chachi-kuch nahi hota ,aap chaliye mere sath ,suman didi aur pooja didi se
milva deti hu
R mummy-unse milna jaruri hai aur kaam bhi karna hai
neeta bua-kaam main rani aur komal ke sath dek lungi. aap didi se mil lijiye
c chachi-chaliye ab
R mummy-aap sab kitni achi hai. khas main aapki bahan hoti
neeta bua-ham to aapko bahan hi maan rahe hai. aap dekiye didi ko kya chaiye
R mummy-abi dekti hu
aur choti chachi aur aunty badi chachi ke pass chali gayi.
Meri taraf to kohi dyan nahi de raha tha .
Aise me main raj ke sath masti karne laga.Raj to rosgulle khane ke sath
meresath masti karne laga
Avi-abe jada mat kha .varna rosgulla ban jayenga.
Raj-bhaiya , main mottu ho gaya to aap ke sath kasarat karunga.
Avi-kal se aata ja ,tuze hero bana dunga pir tuze heroine milengi.
raj-maa ,deko bhaiya kya bol rahe hai
ye raj to muze marva denga main ne uske muh pe hant rak diya.
Avi- gadde ,bua ko kyu bhula raha hai.
raj-aapne gandi bat kyu ki.
Avi-(ye dimag se bada kab hoga) mere baap dubara nahi kahunga ,chup rah
komal-Avi main to thak gayi
komal mere pass aakar bed par gir gayi.
Avi-kya hua
komal-kuch mat pucho ,kitna kaam main ne apni sari zindagi me nahi kiya.
Avi-thakne ka naam mat lo ,tumare kaam karne se bua khush hai
komal-aur tum
Avi-Main to bahot khush hu ,kal nayi komal dekne ko mili thi aur aaj ek alag
komal dek rahi hu
komal-to main chali khana banane
Avi-ruko ek mimute
atr main ne ek rosgulla uta ke komal ko khila diya.
komal ko isi ki jarurat thi ,
komal- thanks, ab deko main sweat khana bana bahaungi
aur komal mere gale lag kar apne kaam me lag gayi.
par raj to mere piche pad gaya .uska rosgulla jo main ne komal ko diya tha.
raj mere piche bhagne laga. main raj ke sath masti karta gaya.
pooja bua-Suman rani ki mummy achi hai. aisa laga ki jaise apne se mil rahe
hai.
B chachi-haa, rani ko dek kar pata lag gaya tha ki uski maa kaisi hogi.
pooja bua-dono akele hoke kitne khush rahte hai.
B chachi-ek dusare ka sath jo unki himmat ban rahi hogi.
pooja bua-rani ke to kya kahne ,choti hai par sabke dil jit leti hai.
B chachi-rani jaisi ladki is jamaane me milna mushkil hai. sanskaro ka dusara
naam hai rani hai.
pooja bua-komal rani se bahot kuch shikh rahi hai.
B chachi-haa, komal ko kaam karte huye dek kar neha ke chehare pe khushi
deki aapne
pooja bua-neha ko khush rakne ke liye to main kuch bhi kar sakti hu
C chachi-didi dekiye aap se milne khon aaya hai
R Mummy-nasmate
pooja bua-are aap ,aaiye ham aapki bat kar rahe the
R Mummy-bate to hoti rahengi aap ko kuch chaiye to nahi.
B chachi-nasta jada kar liya ab kuch mnahi chaiye. aur lagenga to maang
lenge ,
R Mummy-apna ghar samaj kar bata dijiyega. aur kohi galti huyi to choti bahan
samaj kar maf kar dena
pooja bua-ye aap kaisi bat kar rahi hai. galti huyi bhi to neeta chupa deti hai
aap jada tension mat lijiye
R Mummy-pahali bar aap aaye hai ,jis se maneage karne me pareshani ho rahi
hai.
B chachi-aapko jada pareshani ho iske liye neeta aur meena hai aapki madat
ke liye.
R Mummy-neeta ji ki madat milne se muze aapse milne ka samay mila hai.
pooja bua-aap aaram se baitiye ,neeta khane ka dek lengi
R Mummy-ji. aap tea pina pasand karengi.
B chachi-tea ,rani ke hant ki tea piye huye kafisamay ho gaya.
R Mummy-main rani ko bata kar aati hu
pooja bua-aap rukiye main bata deti hu aur muze washroom bhi jana hai.aap
suman se bat kijiye
pooja bua washroom chali gayi.
R Mummy-aapke bache bahot pyare hai,
B chachi-BHAGVAN ki kripa hai jo main maa ban gayi.4 bacho ki maa
R Mummy-4 ,yaha to 3 hai
B Chachi-Avi. Avi mera bada beta hai
R Mummy-rani ne bataya tha , ki aap Avi ki chachi nahi maa hai.
B chachi-Avi mere dil ka tukda hai
R Mummy-rani mere dil ka tukda hai.
B Chachi-rani to sabke dil me bas chuki hai.
R Mummy-ye to aapka pyar hai .jis se rani aapki bate karti rahti hai.
B chachi-vaise ek bat puchu
R Mummy-ji puchiye
B Chachi-kya ham pahale mil chuke hai , muze aapko dekate aisa lagta hai ki
ham pahale bhi mile hai
R Mummy-(us bat ko bahot din ho gaye. aap bhul gayi par muze aaj bhi yaad
hai) shayad market me mile honge
B chachi-nahi. kahi aur deka hai ,par yaad nahi aa raha
R mummy- muze to yaad hota hi
B Chachi-muze aisa lag raha hai ki main ne aap ko pahale kahi deka. aur muze
to aapki aawaz suni huyi lag rahi hai jaise ham ne bat bhi ki ho
R Mummy-(rani ne kaha ki purani bat mat karna ) muze to aisa kuch yaad nahi
,main to kiei ko bhulti nahi.
B chachi-aap is se pahale kaha rahti thi.mera matlab hai rani ne kaha ki aap
job ke vajase ghumti rahti hai , to aap kaha kaha rah chuki hai shayad vaha se
pata chal jaye
rani-tea hazir hai
rani ne bich me aakar bato ka ruk badal diya.
R Mummy-lijiye rani ke hanto ki tea
B Chachi-is tea ki yaad to jati nahi. mele me rani ke hanto ki tea ki aadt lag
gayi thi
R Mummy-main to jada se jada rani ko tea banane ko kahti hu. rani ke hanto
me ek meetas hai
C chachi-haa. aisa lagta hai annpurna ho rani. wow kya tea hai
rani-is tarif ke rup me mera inam mil gaya.
B Chachi-tuze gift to cake cut karne ke bad milenga.
R Mummy-aapko pata hai. cake rani aurkomal ne ghar pe banaya hai.
C chachi-sach , Pir to cake jaldi cut karna hoga.
rani-khana bante cut kar lenge
R Mummy-aur meri ek saheli hai uske aate ham cake cut kar ke davat suru
karenge
B Chachi-kaha hai aapki saheli
R Mummy-wo shahar2 me rahti hai. Wo nikal gayi hai par jaldiyaha pahoch
jayengi.
B chachi-aapki saheli se bhi mil lenge
R Mummy-rani tum ne room ko sajaya nahi
rani-abi karti hu
C Chachi-kavita leena ko bol do .wo ye kaam kar dengi
rani-ji
aur rani hall me aa gayi.
R Mummy-aap ne apni family ko ache se sambala hai
B chachi-meena jaisi bahan mile to sab mumkin hai
R Mummy-haa, par aapki jaisi mukiya to chaiye
B Chachi-kya kaha
R Mummy-aap apni family ki mukiya haina
B chachi-aap galat samaj rahi hai. ham to family ke mukiya ko mukiya bana
rahe .Avi hai hamare family ka mukiya
R Mummy-par wo to chota hai.
C Chachi-to kya hua ham haina
R Mummy-matlab aap kya kya sambalti hai.
B chachi-isi liye ham sath me rahti hai. ek muthi ban kar rahti hai.
R Mummy-main aap sab se bahot prabhavit huyi hu. aap sab ki soch ki jitni
tarif ki jaye utni kam hai
B Chachi-ye aapka badapan hai.aur aapne to rani ko jo sansakar diye wo ham
bhi de nahi paate
R Mummy-meri ek didi hai ,main rani ko unke jaisi banana chahti hu
B chachi-main bhi milna chaungi. aapki didi se
R Mummy-wo ab is duniya me nahi hai.
C Chachi-sorry
R Mummy-kohi bat nahi. aapke bache to bade ho rahe hai
B chachi-haa jaldi inka birthday aayenga
C Chachi-aur aapko aana hoga
R Mummy-ji jarur. ab to aana jana chalta rahenga
C chachi-aise nahi. aap ko aana hi hoga.
R Mummy-ji ,
B Chachi-meena unko job pe bhi jana hota hai.
R Mummy-family ke liye time nikalna padta hai
B chachi-ye sahi kaha.
R Mummy-aap aaram kijiye main dekti hu kitchen me kya chal raha hai.
B Chachi-main to thodi der let leti hu .
R Mummy-aap aaram kijiye
Badi chachi thodi der ke liye so gayi.
Rani kavita aur leena ke pass aa gayi.
Rani-tum dono yaha baitne aayi ho.
kavita-to kya kare didi kohi kuch kaam bata nahi raha.
Rani-main ek kaam dungi to karogi.
leena-ham to vaise bhi bhor ho rahe hai.bataiye hame kya karna
Rani-aaj mera birthday hai par tume birthday jaisa kuch lag raha hai.
kavita-nahi.
Rani-to hame kya karna chaiye
kavita-ghar ko sajana chaiye
Rani-to ye kaam tum karo
leena-chalo kavita saman late hai
Rani-main ne sab chize khardi hai tume sirf hall ko sajana hai.
aur rani ne birthday ka saaman kavita leena ko diya.
kavita-didi aap hamara kamaal dekna kaise hall ko sajate hai ki sab dekte rah
jayenge
rani-muze nirash mat karna. tume sab se imp kaam diya hai.
kavita-aap befikar rahiye
komal-rani kaha ho , ,yaha kya kar rahi ho chalo mere sath laddu banane hai
Rani-haa ,aa rahi hu. kavita ko unka kaam bata rahi thi.
kavita-didi aap apni friend ko bhula lijiye
rani-nahi ye davat sirf hamare liye hai
komal-rani kavita tik kah rahi hai. kuch saheliyo ko bhulate , cake kaatne ke
bad wo chali jayengi aur ham davat suru karenge
Rani-idea to acha hai. main mummy se puchti hu
komal-main puch lungi .muze manaa nahi karengi. aur pados ke chote bacho
ko bhulate hai.
ye komal to smart ho gayi.
Rani-mere sath rah kar smart ho rahi hai.tum hall ko saja do ,chalo komal
kavita leena ko unka manpasandita kaam mil gaya.
wo dono hall ko sajane me lag gayi.
rani ne apne college ki kuch saheliyo ko bhulaya. aarati ko bhi call kiya par wo
kaha aane vali thi.
laddu banate huye komal aur rani saheliyo ko call bhi kar rahi thi.
neha bua-neeta rani ki mummy kitni achi hai.
neeta bua-haa ,unke sath rah kar komal me kitna badalav aaya hai
neha bua-haa, komal pahale se jada smart ho gayi hai. kitne man laga kar
kaam kar rahi hai.
neeta bua-dekna neha. rani ke sath rah kar komal aur nikar jayengi
neha bua-main to rani ko beti ki tarapyar karne lagi hu. komal bhi rani ko
bahan ki tara tretj karti hai.
neeta bua-komal ke liye acha haina ki use rani jaisi saheli mili hai.
neha bua-komal rani ke sath rah kar kitni khush rahti hai .main ne to komal ko
puri aazadi di hai .wo to weekand pe rani ke sath rahti hai.
neeta bua-kavita aur leena bhi rani se kafi prabhavit hai. rani meri beti hoti to
kitna acha hota.
neha bua-teri kyu .meri beti hoti to acha hota
neeta bua-main choti hu na
neha bua-to kya hua,
neeta bua-tuze pahale 2 betiya hai. aur rajesh to muzse jada apni mousi ko
matlab tuze pyar karta hai.
neha bua-to kya hua main sabko apne bache maanti hu. sab mere liye ek jaise
hai
neeta bua-aur Avi
mera naam sunte neha bua chup ho gayi.
neeta bua-neha ye kab tak chalenga.
neha bua-main kya karu. muze kuch samajme nahi aata
neeta bua-Avi shalini bhabhi ka beta hai. ye to mat bhul ,use nafrat karne ki
jaga tera pyar chaiye
neha bua-main Avi ko pyar karna chahti hu .par jaise usko dekti hu to bhaiya
ka chehara samane aata hai.aur purani bate mere ankhoin ke samane aa jati
hai.
neeta bua-tu khud se kab tak ladti rahengi. nafrat aur pyar ke bich me fis
jayengi
neha bua-isi liye to Avi se dur rahti hu.
neeta bua-jane de ,bato bato me purani bat yaad aa jayengi aur rani ka
birthday kharab ho jayenga.
neha bua-tum sahi kah rahi ho. vaise rani ki mummy hai kaha dikai nahi de
rahi hai.
neeta bua-meena ke sath hai.
neha bua-unko to hamare naam pahale se pata the
neeta bua-rani aur komal ne bataya hoga. aur mele ke photo jo rani ke pass
hai us se bhi pata chala hoga.
neha bua-par kuch bhi ho ,rani ki mummy se milke aisa laga hi nahi ki ham
pahali bar mile ho
neeta bua-neha darling ,tour ko jate huye mili thi na
neha bua-neeta mere kahne ka matlab tha ki kitne jaldi ek dusare se freely bat
karne lage the
neeta bua-wo to hai. jaise rani hamari family ka hisha ban gayi vaise uski
mummy ban jayengi.
R mummy-personal bate ho rahi hai .
neha bua-ham to aapke bareme bat kar rahe the
R Mummy-mere bareme, sabko kya ho gaya jo mere bareme bat kar rahe hai.
neeta bua-aap ne aur rani ne jo khubiya hai ham uski bat kar rahe the
R Mummy-aisa kuch nahi. rani ke liye jo aapka pyar hai ye wo bol raha hai.
vaise rani ne muze bataya ki nehaji ne unko mele me beti jaisa pyar diya
neha bua-rani itni pyari hai ki mera pyar kam pad raha tha
R Mummy-par rani to kah rahi thi ki aap muzse bhi achi hai
neha bua-ye bache to kuch bhi bolte hai.
R Mummy-lekin iske vajase muze ek bahan mil gayi.
neha bua-rani meri beti hai to aap meri bahan ho gayi.
neeta bua-aur main
R Mummy-tum bhi. sorry aap kahna chaiye tha
neeta bua-tum kahne se apna sa lagta hai. muze chal jayenga.vaise baki
mehmaan dik nahi rahe
R Mummy-aap hi mehmaan hai
neeta bua-rani ke dada dadi ,wo nahi aayenge
R Mummy-ab aapko kya batau ,bahot lambi kahani hai.
neha bua-short me bata dijiye
R Mummy-sab ne hamse rista thod diya. rani ke papa dusare cast ke the, aur
gareeb the
neeta bua-ab ye cast ka chakkar ke bareme kya sochna, muzse bat karvana
main samajaungi unko
R Mummy-wo nahi maanege ,
neha bua-wo nahi aaye to kya hua ham haina .
R Mummy-aapke family ke sath rahne se rani ko unki kamiya mahsus nahi
hoti.
neeta bua-rani ko to ham apna maante hai uske khushi ke liye kuch bhi kar
sakte hai
R Mummy-aapne itna kaha yahi kafi hai.
neha bua-vaise aap ne khud ko ache se maitain kiya hai
R Mummy-bacho ke shadi ke din aa rahe hai aur main kya maitian karungi
neeta bua-sach ,aap ko dek ke lagta nahi ki rani jitni badi beti ki maa hongi
R Mummy- kuch bhi
neha bua-aap sach me khubsurat hai.
R Mummy-is khubsurati ke vajase to lakho problem aati hai
neeta bua-samaj sakti hu .akeli aaurat ko jamaan kis najariye se dekta hai .ek
aaurat ache se jaan sakti hai.
R Mummy-kya batau ,jawani me khubsurati ki tarif sunna acha lagta hai. par
akele ho jane par khubsurati kaate ban jati hai.
neha bua-pir bhi aapne jo himmat dikai wo kabile tarif hai
R Mummy-rani ke liye main ne apni himmat nahi khoyi.
neeta bua-rani bhi himmat vali ladki hai
R Mummy-use vaisa banaya main ne.vaise komal ke papa kab aane vale hai
neha bua-jaldi aayenge. sweta ki shadi haina agale saal tab tak aa jayenge
R Mummy-sweta ki shadi jaldi nahi ho rahi
neeta bua-sital ki shadi jaldi ho rahi hai. par ladke ache hai. unko pyar karte
hai .wo unke sath khush rahengi. is se jada kya chaiye
R Mummy-kab raki hai shadi
neha bua-agale saal ,
R Mummy-pir to main bhi aaungi. dek lungi shadi me kya lagta hai .rani ke
shadi me kaam aa jayenga
neeta bua-rani ki shadi.
R Mummy-uski shadi ka sochna hoga.aur paise jama karke rakne hoge .life ka
kya hai kab sath chhod de
neha bua-aap to 100 saal jiyengi.
R Mummy-muze to rani ki shadi tak jine ko mila utna kafi hai.
neeta bua-aap aisi kyu bol rahi hai.
R Mummy-age badti hai to bimari lag jati hai ,rani ke papa bhi to aise achanak
heart attack aaya tha
neha bua-aap befikar rahiye aapko kuch nahi hoga. agar kuch hua to main
aapko promise karti hu ki rani ka kanyadaan main karungi. rani ki shadi main
karvaungi. ye mera wada hai.
neeta bua-neha ne kaha na. ab aap aise negative bate nikaal lijiye apne dimag
se
neha bua ki bat sunte aunty unke gale lag gayi.
R Mummy-aap ne rani ke bareme jo socha uska sukriya main kaise adda karu
neeta bua-ek smile de kar
neha bua-aap rani ki jada tension mat lijiye ,ye mat sochiye ki aap akeli hai.
ham sab rani ki family hai. rani jitni aapki beti hai utni meri bhi hai. ham milke
rani ki shadi karvayenge
R Mummy-rani ki kismat BHAGVAN ne apne hanto se likhi hogi.
neeta bua-rani jaisi ladki dundne se nahi milengi
neha bua-chaliye rotiya bana lete hai pir kaam khatam ho jayenga
R Mummy-sath me banate hai
neeta bua-sathi hant batana sathi re