Update 337
Maa ke pet me axe ghus gayi thi.
Pitaji ye dekte jor se chilane lage.
Jaysingh aur salini bhi bhagte huye maa ke pass aa gaye.
Maa ko is halat me dekte jaysingh khud ko rok nahi paya
jaysingh-maa
aur jaysingh apni maa ka hant pakadne vala tha ki pitaji ne use dhakka de kar
dur kar diya.
pitaji-dur ho ja ,ye sab tere vajase hua hai. agar teri maa ko kuch hua to teri
jaan le lunga.
maa-aaahhhh jaysingh ko kuch mat kahiye.
neha to ye dekte khud ko sambal hi nahi payi
neeta aur pooja bhi bhag kar apni maa ke pass aa gayi
pitaji-kuch mat kaho ,tume dard hoga.
maa-jaysingh
pitaji-kohi doctor ko bhulav
jaysingh-maa,
maa-jaysingh
jaysingh-main aapko kuch nahi hone dunga
shalini-maa ko hospital le chaliye
pitaji ne maa ko ghod me uta liya.auf maa ko thakurji ke car me le aaye .
jaysingh apne maa ka hant pakade huye tha.
pitaji maa ke lekar car me baite gaye aur sath me jaysingh bhi.
thakur car ko hawa me udate hua hospital le aaye.
pitaji vaise hi maa ko ghod me uta kar hospital me chale gaye .axe abi bhi maa
ke pet me thi.
doctor jaldi maa ko opertion room me le gaye .maa ka operation suru ho gaya.
operation room ke samane pitaji aur jaysingh khade hokar ro rahe the.
neha neeta aur pooja bhi hospital me aa gayi .aur rona suru kiya.
shalini aur shalini ke pitaJi bhi hospital me aa gaye.
shalinj ko to kuch samaj hi nahi aa raha tha
ye kya ho gaya
itna kuch ho jayenga ye kisi ne socha nahi tha
ager maa ko kuch ho gaya to jaysingh ko iski bahot badi kimmat chukani
padengi ye shalini ko pata tha
shalini bas duva kar rahi thi maa ko kuch na ho
har kohi yahi duva kar rahe the ki maa ko kuch na ho
shalini ke pita pitaji ko sahara dena chahte the par wo kis muh se unse bat
karte .abi thodi der pahale unno pitaji se zagda kiya .ab pachata rahe the
neeta-mere vajase hua hai.
pooja-tune kya kiya
neeta-main ne vaha axe feki thi
pooja-pir to meri galti hai. wo sweta ka khilona tha.
neha-meri vajase maa ki aisi halat huyi hai.meri galti hai
teeno bahane khud ko ko kasur var maan rahi thi.
teeno ko lag raha tha ki ye sab unke vajse hua hai .
teeno ne soch bhi liya ki unke vajase ye sab hua hai
jaysingh apni bahano ko dekta rah gaya .uske ankhoin se pani nikal raha tha.
jaysingh apni.maa ke bahot karib tha
maa ko ager kuch ho gaya to wo khud ko kabhi maaf nahi kar payenga
jaysingh aisa kabi nahi chahta tha.
shalini bhi ro rahi thi.kya se kya ho gaya.
ek pal me puri family bikar gayi.
shalini ne neha neeta ko gale laga liya.
shalini-kuch nahi hoga maa ko
neha-bhabhi ye kya ho gaya. mere sath aisa kyu ho raha hai
shalini-jise jitna pyar milta hai utna dard bhi milta hai.
neha-mere sath hi kyu ho raha hai
shalini-kuch bhi to nahi hu ,pichli bar bach gayi .is bar bhi bach gayi. main
tuze kabi kuch nahi hone dungi.
neeta-bhabhi bhaiya ne aisa kyu kiya
shalini-unke ankhoin par dosti ki patti bandi huyi hai .jis din nikal jayengi tab
sab acha ho jayenga.
pitaji-kuch acha nahi hoga.
thakur-himmat rako, tum aisa kahonge to neha neeta ka kya honga , chhotu ko
jab ye pata chalenga to usko tume sambalna honga
pitaji-kaise roku ,jab apna beta apne jaan ka dushman ho to kaise himmat raku
thakur-beta hai galati ho jati hai
pitaji-ek bar nahi kitni bar galati karenga.
pahale gaon chhod kar gaya. ghar ki bahu ko dur raka, ghar ke warish ko dur
raka , neha ka sath nahi diya , aur ab
thakur-ye samay sahi nahi hai in bato ke liye
pitaji-aisa beta kis kaam ka jo apni bahan pe vishwas nahi rakta ,apni bahan
ko zuti bolta hai. apni maa ko maar diya
aakari word sunte jaysingh vahi zameen par gir gaya.
Jaysingh apne pitaji ki bat sunkar khoon ke aasu rone laga.
shalini ke pita ne jaysingh ko uta kar chair pe baita diya.aur usko sahara dene
lage
par last me pitaji ne jo kaha ki "jaysingh ne maa ko maara hai "ye bat kisi ke
dimag me bas gayi ,
pitaji-agar neha ki maa ko kuch hua to main isko chhodunga nahi.
shalini-pitaji inki kya galati hai.
pitaji-ye tu kah rahi hai.muze tumse ye umid nahi thi bahu
shalini-pitaji ye ek accident hai.
pitaji-accident , isne mara hai meri patni ko , jaysingh ne mara hai apni maa
ko
Apne pitaji ki bat sunte neha ko guass aa gaya .neha jaysingh ke samane jakar
khadi ho gayi,
pitaji ne bhavnayo me bah kar ye bol diya tha , par neha ke dimag ne isi ko
sach maan liya
neha ke dil me jaysingh ke liye nafrat paida ho gayi
neha ko apne pitaji ki bat sahi lagi
neha jaysingh ke pass aa gayi
neha ko dekte jaysingh ko usko gale lag kar rone ka dil ho raha tha
jaysingh ke samne khada ho gaya ,
dono bhai bahan ro rahe the
neha ne apne aasu ko poch liya
aur jaysingh ke gaal par thappad mar diya
bas ek thappad nahi ,
neha bina ruke jaysingh ko thappad maarti gayi
aur bolne lagi ki tumne maa ko mara hai
neha ko kisi ne roka nahi
jaysingh ko bhi lag raha tha ki wo saja ke kabil hai
use saja milni chaiye
neha jaysingh ko thappad maarte maarte thak kar vahi niche baite kar rone
lagi
neha-maro muze ,muze bhi maar dalo , jAise maa ko maara hai
jaysingh rone laga.
neha-main nafrat karti hu aapse nafrat, muze laga aap ek din muze samaj
jayoge par main galat thi. aapne mara hai maa ko, aapne
Jaysingh apni bahan ki bat sunte tut sa gaya.
shalini ne neha ko vaha se alag kiya.aur jaysingh ke pass baite gayi.
jaysingh shalini ke gale lag kar rone laga.
jaysingh chhote bache ki tara rone laga.
shalini jaysingh ko santh karne ki khosish karne lagi.
pooja bhi apne bhai ko bahot kuch bolna chahti thi par bol nahi payi.
shalini aisi jaga fasi huyi thi ki wo na neha te taraf se bol sakti thi aur na apne
pati ke
aur jiska dar tha vahi hua
doctor operation room se bahar aa gaye
doctor-sorry ham unko bacha nahi paye ,axe unke dil ke karib thi ,ham ne puri
khosish ki par ham bacha nahi paye
doctor ko bol apne kaano par padte pitaji ghutno par niche gir gaye aur unki
ankhoin se aasu nikalne lage.
Neha neeta aur pooja doctor ki bat sunte aise rone lagi ki nurse ko unko
pakadna pada.
maa ke jane ki bat sunkar pitaji ka dil chir gaya.
Pitaji ki jaan unke sharir se chali gayi thi.
Pitaji ne maa ke bina jine ke bareme kabi socha nahi tha.
Pitaji ko aisa lag raha tha ki unke sine se unka dil nikaal liya ho.
Jaysingh ko apni maa ke jane ki bat sunkar jordar zataka laga.
Jaysingh rote huye khada ho gaya .aur apne pitaji ke pass jane laga.
Jaysingh se chala bhi nahi ja raha tha ,jaysingh girte huye apne pitaji ke pass
jakar baite gaya.
Jaysingh ko apne samane dek kar pitaji ko uski jaan lene ka man ho raha tha
par wo aisa kar nahi sakte the.
Bolna aasan hota hai ki apne bete ki jaan le lunga aur karna namumkin hota
hai.
Jaysingh ne apne pitaji ke hant pakad kar apne gale par rak diya
aur khud ko maarne ke liye bol raha tha
Jaysingh apne pitaji ke hanto se apni gardan daba raha tha.
Jaysingh ko aisa karte huye dek kar pitaji fut fut kar rone lage.
Jaysingh rote huye apne pitaji ke hanto ko pakad kar apne gaalo par thappad
marne laga.
Shalini bhi ro rahi thi. Shalini apni nanand ko sambalte huye ro rahi thi.
Thakur pitaji ko sambalne ki puri khosish kar rahe the.
Jaysingh khud ko gunnegar maan raha tha.
Neha apni maa ke jane ka jimmedar apne bhai ko maan kar uske liye apne dil
me nafarat paida kar li.
Isme kisi galati thi ye sab se bada sawal tha.
Sab ne to Jaysingh ko jimmedar maan liya tha .par kya usne kiya hai ,
Pitaji maa ko dekne ke liye room me chale gaye .
Maa ko is tara bed par leta hua dek kar unke ankhoin se pani nikal raha tha.
Pitaji-tum muze akela chhod kar kyu gayi. Ham ne sath rahne ki kasame khai
thi .kya hua us kasamo ka,
Shalini-pitaji
Pitaji-deko na bahu ,muze akela chhod kar chali gayi. Ek bar bhi nahi socha ki
uske bina main kaise jiunga
Shalini-aap aise royenge to hamara kya hoga.
Pitaji-main iske bina kaise jiunga.
Shalini-hamare liye jina hoga aapko,neha ke liye jina honga
Pitaji-us jaysingh ke liye ,usko meri najaro se dur leke jav varna main use......
Shalini pitaji ki bat sunte samaj gayi ki ab pitaji ko jaysingh se nafarat ho gayi
hai.
Shalini ne maa ko vachan diya tha ki wo ghar ko kabi tutne nahi dengi. Par
shalini apna vachan pura nahi kar payi.
Ab shalini kuch naì kar sakti thi.
Jaysingh ko gaon lane ke liye shalini kya kuch nahi kiya .
Ab shalini rone ke siwa kuch nahi kar sakti thi.
Jaysingh apni maa ke jane se rote rote behosh ho gaya.
Neha neeta aur pooja ek dusare ke aasu pochte huye maa ke jane ka dard batt
rahi thi.
Pitaji maa ke sath usi bed par let kar rote rote behosh ho gaye.
Shalini pitaji ko aise maa ke sath sote huye dek kar ,unka pyar dek kar ,khud
ko rok nahi payi .aur room ka gate band karke pitaji ko maa ke pass vaise
sone diya.
Dusare din maa ko gaon laya gaya.
Chhotu apni maa ko dekte pagalo ki tara rone laga.
chhotu ke liye maa hi sab kuch thi
chhotu maa ke bina rahne ka soch bhi nahi sakta , chhotu bhi maa ke sath
jane ki bat kar rah tha
sab se jada chhotu ro raha tha
Chhotu ko sambalne ke liye 2 log lage. Suman bhi apni saas ko dek kar shalini
ke gale lag kar ro rahi thi
Jaysingh ek khone me baite kar khoon ke aasu nikaal raha tha.
Neha aur neeta to maa ke pass baite kar unka hant pakade huye ro rahi thi.
Pooja bacho ko sambal rahi thi .
Maa ke jane ki khabar ramesh ko batai gayi.
Ramesh company se chhuti nikaalne ki puri khosish kar raha tha. Par chhuti
milna mushkil lag raha tha.
Badi mushkil se ramesh ko chhuti mili par 2 din bad ki.
Pitaji ko yakin karna mushkil ho raha tha ki maa unko chhod kar ja chuki hai.
Pitaji apne guasse ko apne sine me daba kar jaysingh ko dek rahe the.
Thakur ne sab intzam kar diya. Sab ko bataya gaya ki pair fisal kar axe par
girne se death huyi hai.
chhotu se bhi bat chuapai gayi ki us din neha ke ghar pe kya hua tha
us din vaha jo jo present tha unko hi pata tha ki kya hua tha
ager chhotu ko pata chala ki jaysingh ke vajse maa use chhod kar chali gayi
hai
pir to chhotu jaysingh ko jaan se maar denga
chhotu ke liye yahi acha tha ki use zut bataya jaye
Ye bat sab se chupai gayi ki us se pahale kya hua tha. Sab isko accidental
death maan rahe the
Pitaji rote huye maa ke pass aaye ,aur maa ke sar pe kiss kiya .aur maa ko
utane lage.
Jaysingh ne aage aakar rote huye apni maa ko utane me pitaji ki madat ki.
Pitaji jaysingh chhotu aur thakurji ne maa ko uta kar chita pe lita diya.
Panditji antimsanskar ki tayyari karne lage.
Shalini aur baki sab bhi khud ko rok nahi paye aur maa ko dekne ke liye
samshanghat par aa gaye.
Pitaji lagatar ro rahe the.
Panditji ne chita ko aag dene ke liye pitaji ko pucha.
Panditji-chita ko aag khon dega.
Pitaji ne rote huye panditji ki taraf deka, pitaji ke muh se jaysingh ka naam
nahi nikal raha tha
Maa ki yahi icha tha ki unki chita ko aage jaysingh de
Panditji ne pir se ek bar pucha,par pitaji bas rote rahe.
Thakur-jaysingh denga.
Panditji ne jaysingh me mashal di .
Jaysingh ne apne pitaji ki taraf deka aur apni maa ki chita ko aag di.
Pitaji Maa ki chita ko jalte huye dekte rah gaye
Vaha se kohi ghar jane ke liye hila nahi. Pitaji ke sath sab rote huye maa ko
alvida kar rahe the.
Aag santh hote pitaji khade ho gaye aur apne aasu poch liye.
Pitaji ne chhotu ka hant pakad liya aur dusari taraf apni betiyo ka , aur apne
ghar le jane lage
Jaysingh pitaji ko aise jate huye dek kar pir se rone laga.
Shalini ne jaysingh ko himmat di aur ghar le jane lagi.
Pitaji apni betiyo ke sath ghar aa gaye. Pitaji ne maa ke photo ki taraf deka aur
apne dil ko pather ka bana diya.
Pitaji ne Avi ko apni ghod me uta liyat.Avi apne dadaji ke ghod me aate unke
gaal pe ek kiss kiya.
Pitaji ke ankhoin se aasu nikal gaye .apne dadajii ko rota hua dek Avi bhi rone
laga.
Pitaji Avi ko uta kar gate ke pass aa gaye jaha par jaysingh aur shalini khade
the.
Pitaji ke piche baki sab bhi aa gaye.
Pitaji ne Avi ko shalini ke ghod me diya.
Pitaji ne ek bar apni bahu aur pote ki taraf deka aur gate band kar diya.
Gate band karte pitaji rone lage. Pitaji ke sath baki sab bhi rone lage.
Pooja samaj gayi ki pitaji ne kya kiya hai.
Pitaji ke is tara gate band karne se jaysingh puri tara se tut gaya.
Shalini rote huye apni pati ko sambal rahi thi.
Jaysingh vahi gate ke pass baite kar rote huye apne pitaji ko gate kholne ko
kah raha tha.
Pitaji jaysingh ki aawaz sunkar rote huye apne betiyo ko gale laga liya.
Pitaji-chale jav yaha se dubara mere samane mat aana ,
Jaysingh vahi rote huye apne pitaji ko gate kholne ko kahta gaya.
Shalini ne jaysingh ko chalne ko kaha.
Pahali bar shalini jaysingh ko yaha se chalne ko kah rahi thi.
Shalini ko pata tha ki pitaji jaysingh ko kabi maaf nahi karenge.
pitaji ne maaf kar bhi diya par neha jaysingh ko kabhi maaf nahi karengi
Shalini us din ka intazar karne ke liye khud ko mentaly tayyar karne lagi jis din
pitaji jaysingh ko maf karenge.
Shalini jaysingh ko vaha se le gayi. Jaysingh hamesha gaon se jana chahta
tha par aaj jaysingh gaon chhodne ko tayyar nahi tha.
jaysingh shalini ko yahi rahne ke liye bol raha tha
par shalini jaysingh ko gaon se vapas le jane lagi
shalini ko ye karna hi tha
ager jsysingh yaha raha to pitaji ke gaav kabhi nahi bharenge
BHAGAVAN kaise kaise din dikata hai
shalini hamesha jaysingh ko gakn lane ki kosish karti aur aaj khud jaysingh ko
gaon se dur le ja rahi thi
Shalini badi mushkil se jaysingh ko gaon se le gayi.
Pitaji apne pote ko dur kar ke kaise khush rah paate ,pitaji ka dil usi din pather
ka hoga jis din maa chali gayi.
Pitaji ne apne pote ke liye rona band kiya .aur apni betiyo ke liye jina suru
kiya.
Is tara jaysingh aur shalini apne ghar se dur ho gaye.
Jaysingh ke liye neha ke dil me nafarat paida ho gayi.
Pitaji apni patni ki icha puri karne pe lag gaye. Chhotu ko baap banane ki.
Dusari taraf jaysingh kuch samay ke liye maa ki death ke sadme me chala
gaya.
Shalini apne taraf se puri khosish kar rahi thi jaysingh ko sadme se bahar
nikaalne ki.
Shalini apne pati ke sath shahar3 me rahne lagi aur pitaji apni betiyo ke sath
gaon me.
Choti chachi ne aaj muze wo kahani sunai use sunkar main rone laga.
aaj tak muze kitni bate chupai gayi.
Papa ko aisa nahi karna chaiye tha. Par isme papa ki galati nahi thi.
Dost pe hamesha apni family se jada vishwas har kohi karta hai.
papa ki samne sare saboot neha bua ke khilaf the aise me wo bhi kya karte
Meri maa ke bareme jan kar muze unka bete hone pe abimaan hua.
Maa ne pure ghar ko ek karna chaha ,hamesha sach ka sath diya. Apni family
imp diya.
Main apne maa aur papa ki kahani sun kar rone laga.
Choti chachi muze rota hua dek kar rone lagi.
chachi ne muze gale laga liya.
main chachi ke gale lag kar rone laga.
C chachi-tu ro kyu raha hai.
Avi-itna kuch ho gaya aur aaj tak aapne muze kuch nahi bataya
C chachi-kaise batati. tum sun ne ke halat me tha hi nahi.
Avi-main ne sun liya na, kuch kaha kya bich me
C chachi-bada aaya sun liye bolne vala, main jaise jaise bata rahi thi tu vaise
vaise ro raha tha.
Avi-main nahi roya
C chachi-ankhoin se pani nikal raha hai aur kahta hai ro nahi raha hu.
Avi-wo apne aap nikal rahe hai.
C chachi-ab band kar rona varna aage kya hua wo nahi bataungi.
Avi-main rok raha hu par aasu rukne ka naam nahi le rahe hai
C chachi-muze bata main rok dungi.
Avi-maa(shalini) ne muz se sab kuch chupaya kyu
C chachi-tu kitna chhota tha us wakt ,tuze kaise batati shalini bhabhi.
Avi-par main ne kitni bar pucha tha ki dadaji hamare ghar kyu nahi aate ,ek bar
bhi nahi bataya
C chachi-kaise batati ,aur kya kahti tumare papa ne dadi ko maara hai is liye
dadaji nahi aate
Avi-papa ne kuch nahi kiya, aap ko aisa lagta hai papa ne dadi ko mara hai.
C chachi-nahi, kohi beta apni maa ko kaise maar sakta hai
Avi-pir aapne aisa kyu kaha
C chachi-wo to isi liye kaha ki ye dadaji na aane ki vaja thi.
Avi-par papa ko aisa nahi karna chaiye tha.thoda barosa karte to
C chachi-tumare papa ne kuch nahi kiya. wo to pair fisalne se hua.
Avi-main neha bua ki bat kar raha hu
C chachi-neha ke sath jo hua wo uski kismat me likha tha ,tumare papa ne
kuch nahi kiya.
Avi-papa ko neha bua ki bat pe vishwas karna chaiye tha.
C chachi-neha ke pass apni bat sabit karne ke liye kohi saboot nahi tha .aise
me tumare papa ne kuch galat nahi kiya.
Avi-ye aap kaise bol sakti hai
C chachi-neha ke shadi ke samay jo hua wo aisi situation thi jaha tumare papa
ko apne dost aur apni bahan me se kisi ek ko select karna tha
Avi-papa ko neha bua ka sath dena chaiye tha
C chachi-kaise dete ,tumare papa ne wo shadi karvai thi ,tumare papa ne
kumar ko vaha laya tha.kumar unka dost tha,dost pe ham hamesha jada
vishwas karte hai. tumare papa ne bhi vahi kiya.aur kumar ki shadi ho chuki
hai ye jaysingh se kaise chup sakti hai , tumare papa ko neha ki bat pe
bharosa nahi ho raha tha , aur shayad unko khud pe guass aa raha honga ,
kya pata kya tha unke dil me
Avi-neha bua unki bahan thi.
C chachi-haa neha unki bahan thi. par tumare papa ki soch thi ki unka dost
apni shadi ki bat kyu chupayega. tumare papa to sula karva rahe the wo is liye
kumar je piche gaye the ki ager dulha aise mandap se chala jayenga to khon
neha se shadi karenga , tumare papa neha ke liye kumar ko manaa rahe the,
Avi-to papa ne uske bad neha bua se bat karna band kyu kiya.
C chachi-tumare papa kumar ko samajane gaye the. tumare papa nahi chahte
the ki unki bahan ki shadi me dulha aise mandap chhod kar jaye.aise me neha
se khon shadi karta
par idar neha ko suresh ke sath shadi karte huye dek kar unko guass aa gaya.
tumare papa ko laga ki neha ne suresh se shadi karne ke liye aisa kiya hai.
Avi-maa ne papa ko bataya kyu nahi
C chachi-tumari maa ne tumare papa ko bata diya par tumare papa kuch sun
ne ko tayyar nahi the. , tumari maa ne jab kaha ki neha aur suresh ek dusare
se pyar karte hai to jaysingh ko laga ki neha ne ye sab suresh se shadi karne
ko kiya hai ,
Avi-to galati kisi ki hai
C chachi-galti uski hai jisne neha ki kismat ko aisa likha hai
Avi-par uske bad jo hua kumar ne jo neha bua ke sath karna chaha uske bad
to papa ki galti thi?
C chachi-tumare papa ne jo deka uske sath chalna sahi samaja.
Avi-kya matlab
C chachi-ajit ne kamre me vapas jakar khoon ko saf kiya kyu ki usko tumare
papa ka dar tha.sare saboot mita diye
fliwer plot ko change kiya
pir usne kumar ki chot pe taake laga diye. jiske liye kumar ko apne baal kaatne
lage.
ajit ne kumar ko nakli baal lagava diye ,aur chot chup gayi.ajit ne meeting me
jo tha unko samaja diya ki tumare pitaji ko bata de ki wo raat me vaha aaye
the.
Tum hi socho tumara papa kya karte
Avi-sahi kaha papa ko kisi ne samaja hi na
C chachi-tumare maa thi na, unko pata tha ki tumare papa bina vaja neha ko
zuti nahi bolenge
Avi-maa ne dadaji ko samajana chaiye tha.
C chachi-shalini bhabhi se jitna ho saka utna unno ne kiya ,par wo aisi
situation thi ki kar kohi apni jaga sahi tha.
Avi-kya matlab
C chachi-tumare dadaji sahi the kyu ki wo neha se pyar karte the,dadaji ne
vahi kiya jo ek baap karta
tumare papa ne jo deka usi ke sath chalna sahi samaja.
shalini bhabhi dono ke bich me fasi huyi thi. tumari dadi na apne bete ki taraf
se bol sakti thi aur na apne pati ki
Avi-par dadi ko papa ne kaha maara hai?
C chachi-tumare dadaji aisa sochte hai ki tumari dadi tumare papa ke vajase is
duniya me nahi hai. aur deka jaye to neha ,neeta aur pooja ke vajase tumari
dadi is duniya me nahi rahi.deka jaye to us ghar ne jitne the unke vajase
tumari dada ki death huyi hai
neeta ne axe vaha raki, pooja didi ki beti ka khilona tha, aur neha ke vajase ye
sab ho raha tha. par sab tumare papa ko dosi maan rahe the
Avi-pir mere papa ko akele ko saja kyu mili
C chachi-kyu ki wo situation aisi thi.ek taraf tumari teen bua aur dusari taraf
tumare papa
Avi-maa ne dadaji ko samajana chaiye tha. unki bat har kohi maanta tha
C chachi-shalini bhabhi ne puri khosish ki, par wo is tara fasi huyi thi ki wo
kuch samaj paaati is se pahale tumari dadi ke sath haadsa ho gaya
Avi-maa ne pir bhi sab ko sambale raka.
C chachi-tumari maa jaisi bahu pa kar tumari dadi bahot khush thi. wo khushi
khushi ghar ko shalini ke bharose chhod kar chali gayi.
Avi-maa ne sab ke dil me thi
C chachi-tu bhi unki tara hai, sab ke dilo me bas gaya hai
Avi-aapke vajase
C chachi-teri maa ke vajase, shalini bhabhi ne jo suman didi ko sikhaya ,vahi
main sikh gayi aur tuze unke tara banaya ,matlab tu apni maa ki tara bana.
Avi-aaj maa hoti to kitni khush hoti.
C chachi-aasman se shalini bhabhi tume dek kar khush hogi.
Avi-main maa ko hamesha khush rakne ki khosish karunga.
C chachi-tu apne dadaji jaisa hai.
Avi-hame neha bua ke pass jana chaiye
C chachi-tu vaha jakar pir rone lag jayenga.
Avi-muze ab pata hai ki muze kya karna chaiye
C chachi-neha tum se bahot pyar karti hai.
Avi-aapki kahani se samaj gaya main
C chachi-kya samaja
Avi-neha bua ko meri jarurat hai
C chachi-tu neha ka sahara banega.
Avi-haa, main aaj tak unko bura samaj raha tha par wo aisi nahi hai.
C chachi-main to tuze hamesha kahti thi ki neha ko apne pyar se badal dena.
Avi-tab main samaja nahi tha .aaj samaj gaya hu, aur main neha bua ko
bataunga ki mere papa galat nahi hai mere papa kitna pyar karte the unse wo
bataunga, mere papa ki kohi galti nahi thi
C chachi-neha tume bura bhala kahengi, jis se tum rone lagoge.
Avi-main nahi rounga.
C chachi-kya karenga.
Avi-komal ko dek kar apne kaan band karunga.
C chachi-chalo
Avi-ek minute
C chachi-kya hua
Avi-komal ki bat pe papa ne vishwas kyu nahi kiya.
C chachi-komal itni chhoti thi ki kaise uske bate pe kohi vishwas karta.
Avi-par dadaji ne to
C chachi-dadaji ne komal ki bat sunkar neha se pucha tha. tab wo bat samaj
gaye.
Avi-pir bhi papa ko ek bar bua pe bharosa karna chaiye tha
C chachi-galati sab se hoti hai.
Avi-matlab papa galat the
C chachi-kaha na kohi galat nahi tha.
Avi-aap galat thi
C chachi-kya kaha.
Avi-aapne aaj tak muzse ye bat jo chupai
C chachi-ab bata diya na.
Avi-pahale bata deti to is wakt main komal ke sath hota
C chachi-deko main kaan pakad rahi hu.sorry
chachi muzse mafi maangne lagi.
Avi-aap kuch bhi kariye main aap se naraz hu
C chachi-is bar maf kar de, aage se kuch nahi chupaungi.
Avi-aap muze kahti hai sab bataya kar aur aap ne
C chachi-tune bhi to chacha ki bat chupai thi.
Avi-main sahi samay ka intazar kar raha tha.
C chachi-main bhi vahi kar rahi thi.is bar apni chachi ko maf kar ,main aage ki
kahani bhi bata dungi
Avi-aage ka muze pata hai. pir maa aur papa ka accident hua ,aur main yaha
aa gaya
C chachi-main ne kaha na tuze kuch pata nahi hai. tuze sab zut bataya gaya
tha.
Avi-zut ,kis bareme
C chachi-tum khud soch kya ho sakta .
Avi-haa, dadi ki death chacha ki shadi se pahale huyi ye zut bataya gaya tha.
C chachi-tumare chacha ki dusari shadi se pahale dadi ki death huyi.
Avi-par aapne kaha tha ki badi chachi ne akele ghar sambala tha
C chachi-sahi to kaha, suman didi ke shadi hote tumari dadi neha ke ghar gayi
thi. ,uske bad bhi neha neeta ke ghar jati thi .suman didi ne akele ghar
sambala tha
Avi-bataya aapne ki badi chachi ne chacha ko kaise badal diya .aur ghar
sambal liya.
C chachi-uske bad dadi ke kahne pe tumare chacha suman didi ko pareshan
karne lage.
Avi-wo pata hai muze ,seema chachi ne bataya tha ,badi chachi mayake gayi
thi pir unki didi ne unko pareshan kiya ,aur badi chachi vapas aa gayi aur
chacha ko dusari shadi ki ijajat di
C chachi-suman didi vapas aayi uske bad dadi ki death huyi .uske bad dadaji
ne tumare chacha ki dusari shadi karva di. tumare chacha ne kar li. tumare
chacha ko bhi apni maa ki icha puri karni thi , unko dadi banana tha , pir pata
nahi tumare chacha ko kya hua ki wo vapas apne dosto ke sath rahne lage.
kheto ka kaam tik se nahi karte the
Avi-shayad unko pata chal gaya hoga ki wo kabi baap nahi ban sakte
C chachi-ye to aaj bhi unko pata nahi hai. wo to yahi samajte the ki kami ham
me hai.
Avi-ek bat puchu
C chachi-haa pucho
Avi-chacha sach me 4th shadi karne vale the.ya aapne zut kaha.
C chachi-tumare chacha dusare shadi ke liye tayyar nahi the.
Avi-pir kaise tayyar huye
C chachi- tumari dadi tumare chacha ko baap bane dekna chahti thi. Tumare
dadaji ne isi liye dusari shadi karne ko chacha ko kaha
Avi-dadaji ne
C chachi-haa, aur tumare chacha ne haa kar di, maaji ke bajase tare chacha ne
haa kar di
Avi-aap ke sath shadi kaise huyi. Kya dadaji ke kahne pe chacha ne pir shadi
ki.
C chachi-nahi, mere sath shadi ke liye tumare chacha ne dadaji se kaha.
Tumare chacha dadaji ko pota dena chahte the.
Avi- ek minute , dusari shadi ke liye dadaji ne chacha ko manaya , aur 3 rd
shadi ke liye chacha ne dadaji ko manaya , ye kaise ho sakta hai
c chachi- ye aage pata chalenga , aur shadi pote ke liye ki gayi
Avi-aap ne unko pota de diya
C chachi-dena pada ,uske vajase har kohi khush ho gaya.
Avi-ye bataiye aur kya kya chupaya hai muzse se
C chachi-bahot kuch chupaya hai.
Avi-par kyu
C chachi-kyu ki tum apne mata pita ke death ke bad 2 saal aise sadme me
chale gaye the ki kya batau , ye kaha ja sakta hai ki tum coma me the , aise me
kisi ki himmat nahi huyi. aur tumare dadaji ne manaa kiya tha. uske bad dadaji
ke sath jo hua.
Avi-kya hua tha dadaji ko, muze aisa lag raha ki dadaji ke bimari ke piche ka
sach muzse chupaya gaya hai.
C chachi-tume bata hi deti hu
Avi-aap muzse kuch mat chupana
C chachi-tumare dadaji pahalvan the wo aise bimar kaise pad sakte the.
Avi-pir kya hua tha.
C chachi-kumar ne goli mari thi ,
Avi-kya?
C chachi-haa dadaji ko goli mari thi.
Avi-ye bat chupa kar aapne tik nahi kiya.
C chachi-ye bat to sirf muze ,suman didi, thakurji ko pata hai ,baki sab ko kaha
gaya ki dadaji building se gir gaye the. aur tume bataya gaya ki wo bimar hai
Avi-aisa kyu kiya
C chachi-tumari halat aisi nahi thi ki dadaji ki bat sun paate. tumari halat to
dadaji ko bed par lete huye dek kar aur kharab ho gayi thi. isi liye dadaji ko
aasharam le jana pada.
Avi-aap ne itna kuch chupaya muzse
C chachi-teri bhalai ke liye karna pada. tu akela waris tha is ghar ka.
Avi-dadaji ke bareme batana chaiye tha.
C chachi-main mazboor thi. ham tume khona nahi chahte the. muze maf kar de
main ne kuch nahi kaha.
C chachi-Avi muze maf kar do ,main ne sabki balai ke liye aisa kiya
Avi-aapko pahale ye sach bata dena chaiye tha
C chachi-nahi bata sakti thi,us wakt vahi rasta sahi tha jo ham ne isatmal kiya.
Avi-zut bol kar
C chachi-to tume dadaji ke bareme batati pir ye sab bhi batana padata. tum
pirse sadme me chale jate.ham tume khona nahi chahte the.
Avi-aap pahale bata deti to main jaldi bada ho jata.
C chachi-main mafi maangti hu.tum chaho to main yaha se chali jaungi par
muzse naraz mat raho,
Avi-ek promise par
C chachi-muze sab mazboor hai.
Avi-aaj ke bad aap muzse kuch nahi chupayegi.kuch bhi
C chachi-main amit ki kasam khati hu
Avi-amit se yaad aaya ,aapko maa bana kar main bhi khush tha.
C chachi-pata hai muze ,tabi se tum badal gaye .yahi dek kar suman didi
khush rahne lagi.
Avi-ab bataiye ,dadaji ko kya hua tha.
C chachi-ajit ne goli mari thi.
Avi-par kyu
C chachi-tum rona mat tabi bataungi.
Avi-nahi rounga.
C chachi-kumar ne .,main suru se batati hu.
Avi-pahale batiaye ajit aur kumar ne aisa kyu kiya aur wo kaha hai. use main
maar dalunga.
C chachi-wo mar chuke hai.
Avi-kis ne mara
C chachi-kumar ko tumare dadaji ne mara .aur ajit ko thakurji ne ,jab unko
pata chala ki dadaji ko ajit ne maara to thakurji ne usko kutte ki mout di.
Avi-dadaji ke sath itna kuch hua aur aapne muzse chupaya raka
C chachi-tumari halat
Avi-muze puri bat sun ni hai. Aur thakurji ne hamari madat ki
C chachi-wo hamesha tumare dadaji ki madat karte the.
Avi-aur main ne unke sath kya kiya.
C chachi-tune unke sath kuch bura nahi kiya. tune to thakurji ka ghar barbad
hone se bacha liya.thakur kitne khush hai tum pe
Avi-par
C chachi-tu khud unse mil ke dek lena. wo tumare ahasanmand hai jo kuwar
aur ranjit ko tum ne ek kiya
Avi-main unse jarur milunga.
C chachi-mil lena. main bhi thakurain ke thappad maarne pe tuze kaha tha ki
unko saja dena.thakurain ne tuze mara tha is bat se guass ho gayi thi .par
tune jo unki madat ki uske liye main khush thi.
Avi-main ek bar thakurji se mafi maang lunga.
C chachi-jaisa tume tik lage vaisa karna par tum ne kuch galat nahi kiya. tab
tumko pata nahi tha. pir bhi tum ne puri thakurji family ko khushi di. wo aaj
tumare vajase khush hai. unki khushi ki vaja tum ho.
Avi-agar muze tab pata hota to ... aap muze kahani batane vali thi.
C chachi-vahi se suru karti hu jaha khatam ki thi.
Avi-main apne maa aur papa ke sath gaon chhod kar gaya tha.
Shalini jaysingh ke sath gaon chhod kar chali gayi
Pitaji gate ke pass baite kar rote rahe.
Neha neeta aur pooja apne pitaji ke gale lag kar ro rahi thi.
Chhotu ko laga ki neha ki shadi me jo hua tha us se jaysingh chala gaya hai.isi
liye pitaji ne jaysingh ko nikaala hai
Suman ko shalini ne sab bata diya .shalini chahti thi ki ghar ki bahu ko pata
rahe ki bat kya hai.
Shalini ne neha ke ghar jo hua wo bata kar aane vale situation ke liye tayyar
rahne ko kaha.
Shalini ko dar tha ki pitaji jaysingh ko kabi ghar nahi aane denge .aise me
suman ko akele ghar sambalna hoga.
Maa ke jate shalini ghar me badi ho gayi. Shalini ko jaldi sabke liye sochna tha
.
Shalini ne suman ko kaha ki ghar ka dyan rakna ,chahe kuch bhi ho jaye,
family ke bareme sochna.
Pahale apni family ki khushi dekna pir apne bareme sochna.
Suman ne shalini bhabhi ko wachan diya ki wo ghar ki bhalai ke bareme
sochengi.
Pitaji ko aisa rote huye dek kar suman ne ek ek karke apni nanand ko kamre
me jakar samajaya ki wo royengi to pitaji royenge.
Pooja suman ki bat samaj gayi aur khud ke bhavnavo ko control me rakte
huye neha aur neeta ko sambal liya.
Pitaji vaha se ut kar apne kamre me chale gaye. Aur maa ki yaado me kho
gaye.
Pitaji ne us raat na khuch khaya .aur na raat bhar so paye.
Suman apni nanand ke sath ghar ko sambalne lagi.
Pooja aur neeta jaldi sambal gayi. Unko samaj me aa gaya ki galati kisi ki nahi
hai.
Par neha ke dil me jaysingh ke liye nafrat aur apni bhabhi ke pyar tha .aise me
Avi ke kabi pyarto kabi nafrat paida ho gayi.
aise hi ek din pitaji ne apni bhavanavo ko control karte huye apne ghar ke
bareme sochna suru kiya.
Pahale pitaji ne maa ki aastiya layi. Aur unko table par rak diya.
Chhotu apni maa ke jane se apne kamre me band tha
pitaji se jada kharab halat thi chhotu ki
Pitaji ne apni bahu suman aur betiyo ko maa ke aastiyo ke pass bhulaya.
Pitaji-tum 4 ke alava mera kohi nahi hai
Suman-shalini bhabhi
Pitaji-main ne kaha tum chaaro ke alava mera kohi nahi hai.
Pooja-ji pitaji
Pitaji-main chahta hu tum sab mere ankhoin ke samane raho
suman-ham to yahi hai.
Pitaji-main pooja se bat kar raha hu.
Pooja- pitaji aap kahna kya chahate hai
Pitaji-tum yahi gaon me raho, mere ankhoin ke samane
Pooja-ye kaise ho sakta hai
Pitaji-kyu nahi ho sakta
Pooja-wo nahi maanenge
Pitaji-main ramesh se bat karta hu.
Pooja-wo ghardamad nahi banenge
Pitaji-main ghar damad ki bat nahi kar raha hu
Pooja-pir
Pitaji-main yahi par shahar2 jaise ghar bana dunga. isi gaon me
Pooja-pir bhi wo nahi maanenge
Pitaji-ramesh se main bat karunga. tum teeno yaha rahogi to main tumara
dyan rak paunga. ek sath rahogi to safe rahogi.tumari maa muze akela chhod
kar chali gayi , aise me muze tum sabka dyan rakna hobnga aur ye tabi ho
sakta hau tum ek jaga raho taki neha ke sath jo hua vaisa dubara naa ho
sab ne pitaji ki bat ko support kiya
maa ke jane ke vajse pitaji jo soch rahe the usme sabne pitaji ka sath diya
Pooja-muze apne gaon me rahne se kya aitraaz ho sakta hai. aap unko manaa
lijiye
Pitaji-ramesh ko chhoori ki vaja bata denge .wo maan jayenga.
Pooja-pir bhi manaa karenge
Pitaji-tum hi batav ,kya kiya jaye jis se ramesh maan jayenga.
Pooja-main kya bata sakti hu
Pitaji-tuze gaon me mere samane rahna pasand to haina
Pooja-ji, main to gaon me rahne ko tayyar hu
Pitaji-pir ramesh ko manaa le, main akela sab nahi sambal sakta. tumari maa
thi tab bat alag thi. ab to muze tumari maa ban kar tumara dyan rakna hoga.
apne pitaji ki bat sunkar Pooja ke ankhoin me aasu aa gaye
Pooja-main jyoti didi se bat karti hu, wo unki bat maan jate hai.
Pitaji-neha tum