Update 349
Neha bua rote huye apne kamre me chali gayi .aur komal kavita mere gale lag
gayi.
Avi-main aa gaya hu na ab rona band karo,
Komal-papa kaha chale gaye
Avi-wo hamare dil me hai.
Kavita-bhaiya aap hame chhod kar mat jana
Avi-nahi jaunga ,main to apna samaan bhi lekar aa gaya hu
Sweta didi-komal thoda aaram kar lo
Neeta bua-kavita chalo mere sath,
Dono vaise hi mere gale lagi rahi.
Avi-main kahi nahi jaunga.tum bua ke sath jav
Komal aur kavita neeta bua ke sath apne kamre me chali gayi.
Pooja bua-Avi
Avi-haa bua
Pooja bua-tume pata haina tum kya kar rahe ho
Avi-haa ,muze pata hai
Pooja bua-sital poonam tum komal ke pass jav
sital didi komal ke karme me gayi aur neeta bua hall me aa gayi.
Pooja bua-tumare aisa karne se neha ko dard ho rah hai.
Avi-saalo se jo dard unke dil me chupa hua hai uspe malam laga raha hu
neeta bua-neha ka dil itna dard zel nahi payenga. tumare aisa karne se uske
dil to tesh lag rahi hai.
Avi- aisa karna jaruri hai
Pooja bua-agar neha pe iska ulta asar hua to
Avi-kaisa bhi ho uske liye main tayyar hu
B Chachi-neha tuzse nafrat karne lagengi
Avi-main bhi yahi chahta hu ki neha bua ek to muze pyar kare ya nafrat kare.
neeta bua-kya matlab
Avi-neha bua muze pyar bhi karti hai aur nafrat bhi ,jo unke liye acha nahi
rahenga. aisa karne se neha bua undar hi undar roti rahti hai
jatin-ye bahot risky hai jo tum kar rahe ho. neha bhabhi ke dil me kya hai kohi
nahi bata sakta, suresh ne bhi khosish ki thi par kohi faiyda nahi hoga.
Avi-tab bat alag thi ab alag hai
Pooja bua-tume jaisa lage vaisa karna ,neha ko khush rakna.
Avi-main hamare family ke liye kar raha hu
M Chachi-hame Avi ke dadaji ko batana chaiye ki nahi.
sabne ek sath jawab diya ,"nahi"
Pooja bua-pitaji ko kuch pata nahi chalna chaiye
neeta bua-pitaji neha ko aise nahi dek payenge.
unko batana na batana ek jaisa tha , unki halat achi thodi hai jo wo samaj
payenge
B Chachi-seema tum dek ke bola kar, pitaji neha se bahot pyar karte hai. neha
ko aisa dekte unki halat aur kharab ho jayengi.
M Chachi-main to bas puch rahi thi.
Pooja bua-galati se bhi unko pata nahi chalna chaiye
c chachi-main dyan rakungi ki unko pata na chale
jatin-main leena ko lekar ghar jata hu. rajesh bhi aata hoga.
neeta bua-aap leena ko samabal lena. main yahi rukati hu
Pooja bua-tuze to rukna hi hoga. tere bina neha ko sambalna mushkil hoga. tu
hi usko sambal sakti hai
c chachi-neeta kar payengi? kal manaa kar rahi thi.
neeta bua-Avi ko dek kar meri himmat badh gayi hai.
B Chachi-hame jana chaiye. bacho ko bhuk lagi hogi
Pooja bua-tu ja ,aur seema ko bhi le ja,
M Chachi-pooja didi ,main to
Pooja bua-bacho ko bukh lagi hogi is liye kah rahi hu
c chachi-main bhi chalati hu
neeta bua-meena tu ruk na
c chachi-Avi haina, wo akela sambal sakta hai
neeta bua-ek bar aakar jana
c chachi-jaisa tum kaho
Pooja bua-neeta tum neha ke kamre ka gate kholne ki khosish kar main apne
ghar se khana lekar aati hu.
pooja bua ne sab ko kya karna hai ye bata kar komal aur kavita ke liye khana
lene chali gayi.
Sweta didi aur poonam didi komal ke sath baiti huyi thi.
neeta bua aur main hall me baite kar ek dusare ki taraf dek kar soch rahe the.
Avi-bua
neeta bua-haa
Avi-ek bar paap karke deke
neeta bua-kya kaha,aise suiation me tum kaise kah sakte ho.
Avi-ek bar karte haina
neeta bua-Avi, ye kuch jada hi ho raha hai.
Avi-nahi karengi
neeta bua-muze tumse ye umid nahi thi
Avi-muze bhi aapse ye umid nahi thi.
neeta bua-tume ye kaise kah sakte ho, wo bhi jab komal ke papa ki death huyi
hai.
Avi-aap aise kaise baiti rah sakti hai jab neha bua ne khud ko kamre me kaid
kar li hai.
neeta bua-main vahi soch rahi hu ki kamre ka gate kaise kholu
Avi-sochne se kaam nahi chalenga.aap kuch kijiye
neeta bua ut kar door ke pass gayi.
neeta bua-neha door khol , aise rone se jijaji vapas nahi aayenge
neha bua ne jawab nahi diya. bas ro rahi thi
neeta bua-neha mere liye door khol ,tu aise royengi to main bhi ro dungi.
neha bua-tu ja yaha se
neeta bua-ek bar door khol main tuze dek kar chali jaungi.
neeta bua-muze akela chhod do
neha bua aise nahi maanegi.
main komal ke kamre me gaya aur sweta didi ko bataya ki kohi bahar mat aa,
pir main ne neeta ke kaan me apna idea bataya
aur neeta bua ki kamar pe jor se chutaki kaat li.
neeta bua jor se chilai
neeta bua-maaaaaaaaaaaaaaa
Neeta bua ki aawaz sunte neha bua door ke pass aa gayi.
Neha bua-neeta ,
Avi-bua kya hua ,ankhoin kholo ,bua ,khohi pani lekar aaya
Meri aawaz sunkar neha bua ne door khol diya. Aur main ne neeta bua ko
undar dhakka de diya.
Neeta bua kamre ke undar chali gayi. Neha bua kuch samajti us se pahale
main ne door bahar se band kiya.
Main bahar se band na karta to bua undar se kar deti.
Neeta bua neha bua ke pass rahengi to wo unke liye acha hoga.
Neeta bua ko tik dek kar neha bua uske gale lag kar rone lagi.
Neeta bua neha bua ko sambal lengi.
Main komal ke kamre me chala gaya aur sweta didi hall me bhej diya.
Komal aur kavita ne mere shirt ko apne aasu se gila karna suru kiya.
Pooja bua khana lekar aa gayi.
Komal aur kavita ne khana khane se manaa kiya.
Unko khana khilana jaruri tha ,aise me main ne pooja bua ko khana kitchen me
rakne ko kaha.
Pooja bua ne khana kitchen me rak diya aur neeta bua ko bata diya ki khana
kitchen me hai
Neha bua ne khana khane se manaa kar diya.
Choti chachi ne raat me ek bar aakar deka ki main kya kar raha hu.
Muze komal aur kavita ke sath dek kar vapas chali gayi. Pooja bua bhi apne
ghar chali gayi.
Neha bua apne kamre me jakar ro rahi thi.
Main komal aur kavita ko lekar komal ke kamre me chala gaya.
Komal aur kavita kamre me jate mere gale lag kar rone lagi.
Main unko chup karane ki puri khosish kar raha tha par wo chup hone ka
naam nahi le rahi thi.
Aise rote rahne se unki sehat kharab ho sakti thi.
Aise me muze unko jald se jald santh karne khana khilana tha aur unka rona
band karke sulana tha.
Komal-Avi, maa ko kya ho raha hai
Avi-kuch nahi, wo apna guass nikalna chahti hai.
Komal-tum ne kya kiya
Avi-tume lagta hai main ne kuch kiya hoga.
komal-nahi, tum kuch nahi kar sakte,
kavita-bhaiya ,papa ham chhod kar chale gaye
Avi-kisne kaha, main to yahi hu
kavita-papa chale gaye
Avi-kaha gaye ,yahi to hai,
komal-kavita mat ro
kavita-papa muzse mile bina chale gaye
Avi-tume pata hai uncle ne muze kya kaha tha.
komal-kya kaha tha papa ne
Avi-yahi ki meri komal aur kavita rote huye achi nahi lagti, muze kaha ki unko
hamesha hasate rahna
kavita-aur kya kaha papa ne
Avi-aur kaha ki ,main nahi batane vala
kavita-bhaiya ,kya kaha papa ne
Avi-tum to ro rahi ho ,
Kavita-bataiyna papa ne kya kaha tha
Avi-main nahi batane vala.uncle ne kaha tha ki kavita aur komal royengi to
unko kuch mat batana
komal-main nahi ro rahi, kya kaha papa ne
Avi-tumare ankhoin se pani nikal raha hai aur tum kahti ho ro nahi rahi hai
kavita-kya kaha mere bareme
Avi-tum royogi to main kaise bata sakta hu. uncle ne manaa kiya tha. kaha ki
komal aur kavita jab tak rona band nahi karengi unko batana mat
komal-main nahi ro rahi. batav papa ne kya kaha tha.
Avi-tum pir ro rahi ho, aur khana bhi nahi khaya
kavita-main nahi roungi batav na bhaiya
Avi-uncle ne kaha ki kavita bina khana khaye soti hai to unko acha nahi lagta
kavita pir se rone lagi
kavita-papa ne aisa kaha
Avi-haa,
komal-aur kya kaha
Avi-kaha ki kavita buri hai
meri bat sunte kavita jor jor se rone lagi
kavita-papa muze buri nahi kah sakte
Avi-wo to main ne kaha hai
meri bat sunte komal ne mere chest pe muke mare .kavita ko rulane ke liye
kavita meri bat sunkar pir se rone lagi.
kavita-main buri nahi hu
Avi-tum buri ho
komal-rote huye. aisa mat kaho
Avi-kyu na kahu ,uske bina khaye sone se uncle ko kya acha lag raha hoga.
Kavita muzse dur ho gayi.
Kavita ne apne aasu poch liye aur kamre se bahar jane lagi.
komal-kavita ruko
Avi-jane do use ,main uncle ne di huye chiz use nahi dunga.
kavita gate ke pass ruk gayi. aur palat kar meri taraf deka.
kavita-main khana khane ja rahi hu
Avi-ye to achi bat hai. par uncle ne tumare liye kya laya tha pata hai
komal-papa ne kya laya tha
Avi-muze unke pocket me kya mila tha pata hai
kavita-kya mila tha.
komal-papa ne kya laya tha hamare liye
main ne apne pocket se 2 chocolate nikaal li.
Avi-unke pocket me muze chocolate mili thi.
mere hant me chocolate dekte komal aur kavita apne papa ko yaad karke rone
lagi.
Avi-tum ko rona hai to ro lo ,main to chocolate khaunga. uncle ki chocolate
hai
mere aisa kahte kavita bhag kar mere pass aayi.
komal aur kavita ne mere hant se chocolate le li.
dono chocolate ko dek kar apne papa ke pyar ko yaad karke rone lagi.
Avi-tum pir rone lagi. do muze chocolate vapas
kavita ne chocolate ko aise chupaya ki jaise uski jaan kisi ne maang li ho aur
wo muzse chupana chahti ho
main komal ki taraf dekne laga to komal muzse dur chali gayi.
komal aur kavita bas chocolate ko dekti rahi . par chocolate ko khana suru
nahi kiya.
main ne dono ko vaise rahne diya aur kitchan me jakar ek plate me khana
lekar aa gaya.
dono abi tak apni apni jaga par khadi hokar chocolate ko dek kar ro rahi thi.
main ne kavita aur komal ko bed par baita diya.
dono ke hant me chocolate thi. wo apne papa ki chocolate ko chhodna nahi
chahate the.
par dono ka khana khana jaruri tha.
main ne ek nivala uta kar kavita ke muh ke pass le gaya.
Avi-kavita khana kha lo,uncle ko bura lagenga agar tum ne khana nahi khaya
to
kavita ne meri taraf deka aur mere gale lag kar rone lagi.
main ne khana baju me raka aur use chup karne laga.
kavita thodi der vaisi roti rahi pir mere hant se khana khane lagi.
kavita ne nivala kha liya. main dusara nivala komal ke pass le gaya.
Avi-komal thoda sa kha lo, apne papa ke liye
komal ne rote huye apna muh khol diya. nivale ke sath komal ke apne aasu bhi
pi liye
Main dono ko ek ek nivala khilata gaya.
Komal aurkavita ke halak se badi mushkil se nivala niche utar raha tha.
Mere kahne pe komal aur kavita ne thoda thoda khana kha liya.
Main ne unko jada force nahi kiya.
Jitna wo kha sakti thi utna khila diya
Dono abi tak chocolate ko apne hanto me rake huye dire dire ro rahi thi.
thodi der bad komal ut kar almari ke pass gayi aur chocolate ko sambal kar
rak rahi thi.
Avi-komal ye kya kari ho
komal-papa ki chocolate
Avi-uncle ne wo khane ke liye layi thi. tum dono ko chocolate pasand haina is
liye layi thi
komal-wo papa ki aakari chocolate hai.
Avi-to kya uncle ki chocolate ko na kha kar tum tik kar rahi ho. uncle ne itne
pyar se layi thi aur tum ho ki khane ke bajay usko sambal ke rak rahi ho
kavita-ye papa ki chocolate hai
komal-ye unki yaad hai.
Avi-kya kya sambal kar rakogi. uncle ko kabi acha nahi lagenga ki tum unki
chocolate khane ke bajay aise rak rahi ho,uncle ke liye chocolate kha lo, unko
acha lagenga.
komal ne chocolate ka rafer khol diya.
chocolate pigal gayi thi pir bhi komal aur kavita apne papa ne layi huyi
chocolate khani suru ki.
dono ke aasu chocolate pe gir rahe the ,komal aur kavita chocolate ke sath
apne aasu pi rahi thi.
dono ne chocolate kha li .aur rafer ko almari me rak diya.
komal aur kavita aise hi karengi.chocolate ka rafer sambal kar rak diya.
aur dono mere gale laga kar papa ki chocolate dene ke liye thanks kahne lagi.
main dono ko apne sath bed par le gaya.
ek taraf komal aur dusari kavita mere gale lag kar rote huye so gayi.
ye raat un dono ke liye kafi lambi hone vali thi.
muze isi tara komal aur kavita ka dyan rakna hoga
komal aur kavita ki tara agar neha bua ne bhi khana kha liya hota to acha hota.
neha bua ko neeta bua ne khana jarur khilaya hoga.
neeta bua neha bua ke sath so gayi.
neha bua ke sath kohi to chaiye tha ,neeta bua se acha neha ko khon samaj
sakta tha.
isi liye neeta bua neha bua ke sath ruk gayi.
Subha meri neend jaldi khul gayi.
Komal aur kavita muzse chipak kar so rahi thi.wo kal din bhar roti rahi jis se
unki ankhoin itni bhari huyiki ab khul nahi rahi thi.
Komal sote huye kitni masum lag rahi hai. Uske chehare ki masumiyat ne
muze uske sar pe kiss karne pe mazboor kiya.
Kohi komal ko subha sote huye dek le to usko komal pe pyar aayenga. Gulab
ke phool ki tara komal thi hamari komal, neha bua ne komal ko apne jaan ki
tara sambal kar raka tha.
Kavita choti bachi ki tara muze apna papa samaj kar chipak kar so rahi thi.
Main thodi der aur unke sath so gaya. Pir bhi wo dono uti nahi. Unko aaram ki
jarurat thi.
Main ne komal ka hant apne upar se alag kiya .aur kavita ka pair side me karke
ut kar fresh ho gaya.
Bahar hall me sab jama ho gaye the.
Neha bua ki halat vaisi hi thi , unke baal bikare huye ,kapde bikare huye the.
Hall me ek khone me baite kar dire dire ro rahi thi.
Avi-bua ne khana khaya
neeta bua-nahi, kal bahot khosish ki par ek nivala bhi nahi khaya.
Avi-aap khana lekar aav aur mere liye tea
pooja bua-sweta ja Avi ke tea bana ,aur ek plate me khana lekar aa
sweta didi-abi layi
Avi-uncle hame astiya lane jana hai na
ramesh-tumare chacha ne intzam kar diya hai.
Avi-neha bua ko khana khila kar chalate hai
neha bua meri taraf guasse se dek rahi thi.
sweta didi mere liye tea lekar aa gayi.
main tea pine laga. aur baki sab meri taraf dek rahe the ki main kya karne vala
hu.
Avi-neha bua ke ghar ke tea me alag hi teast hota hai.
B Chachi-kaisa teast
Avi-aisa lagta hai kisi ne rote huye apne dard bhar aasu se tea banai ho,
jisko samajna tha wo samaj gaye.
neha bua us pal ko yaad karne lagi jab suresh uncle ne neha bua ko mere
papa ko maf karne ko kaha tha .aur neha bua ne apne aasu ki tea papa ko pilai
thi.
pooja bua-muze to kabi aisa teast nahi laga.
neeta bua-muze bhi nahi,
Avi-pata nahi muze kyu lagta hai, shayad neha bua ko pata ho,
Avi-neha bua aapke ghar ki tea ka teast muze aisa kyu lagta hai
neha bua ne kuch nahi kaha ,bas muze dek kar roti hai
neeta bua-aasu jaisa teast, shayad kohi kisi bat se khud ko dard de raha ho
Avi-kya khub pahchana aapne ,tea pine se ,uska teast vahi bata raha tha.
neha bua ke aasu rukne ka naam nahi le rahe the
jisko samaj me aa raha tha wo mere next step ka intzar kar raha tha.
Avi-kuch bhi kaho ,aasu vali tea pi kar aisa laga jaise dil se kohi bada boz utar
gaya ho.
sweta didi-tum kya bol rahe ho muze samaj nahi aa raha hai.
pooja bua-chup rah kar suno
Avi-ab to main neha bua ke ghar ki tea roj piunga. neha bua muze tea pilayogi
na
neha bua ne vaha se ut kar jane ka socha par neeta bua ne mere isharo pe
unko rok diya.
ramesh-jatin chalo ham apne kaam me lag jate hai.
ramesh aur jatin uncle chale gaye.
ab to hall me sab ladies aur main akela mard tha.
Avi-sweta didi khane ki plate kaha hai
sweta didi-abi lata hu.
sweta didi khane ke plate lekar aa gayi
neeta bua-subha subha khana kha rahe ho,
Avi-neha bua ke ghar ka khana har kisi ko khane ko nahi milta
neeta bua-main to roj khathi hu
Avi-aap lucky hai par kohi aapke jaisa lucky hota ,kisi ko bas aasu ki tea milti
neeta bua-kise mili thi
Avi-ye to muze bhi nahi pata ,shayad neha bua ko pata ho
choti chachi meri bate sunkar apne bete pe garv mahsus karne lagi.
main ne kitni jaldi khud ko sambal liya ye dek kar chotk chachi khush thi.
main khane ki plate lekar neha bua ke samane jakar baite gaya.
Avi-bua aapko to pata hoga neha bua ko kya pasand hai
neeta bua-neha ka dil kitni bar dadhakta hai muze pata hai
Avi-pir to aapko pata hoga ki neha ko ko roti jada pasand hai ya rice
neeta bua-roti, mere hanto ki bani huyi.
Avi-ye bhi aapne banai hai
neha bua rote huye meri bat sun rahi thi
neeta bua-haa ,main ne banai hai.
Avi-pir to neha bua manaa nahi kar sakti
neeta bua-kiya to main yaha se chali jaungi.
Avi-aapke jane se neha bua ko kohi farak nahi padenga.
neeta bua-try karke deko, mere liye kuch bhi kar sakti hai neha.
Avi-pir to raat me aapke hant ka khana jarur khati
neeta bua-ek bar to galati sab ko maf hoti hai
Avi-sab ko?
Pooja bua-sab ko honi chaiye
Avi-neeta bua ne to neha bua ko maf kiya ,par har kohi aapke jaisa maf nahi
karta
neha bua ko meri bate bardast nahi ho rahi thi
wo vaha se jana chahti thi par neeta bua ne unko rok kar raka tha.
Avi-kal aapne khilaya tha.
par neha bua ne khaya nahi.ab main try karta hu
main ne nivala liya aur neha bua ko khilane laga to neha bua ne meri taraf
deka aur mere hant ko zatak diya , nivalahant se gir gaya.
neeta bua ko bura laga par wo neha ke dard ko samaj sakti thi.
main ne dusara nivala diya wo bhi neha bua ne nahi khaya.
Avi-bua
neeta bua-rote huye haa
Avi-kal main ne bhi kisi ko khana khilana chaha par kha nahi rahi thi
neeta bua-khon
Avi-komal
komal ka naam sunte neha bua ne rona band kiya.
Avi-komal ne pata hai kya kaha tha
neeta bua-kya kaha tha?
Avi-jab tak uski maa khana nahi khayengi ,wo bhi nahi khayengi.
meri bat sunte neha bua rone lagi.
neeta bua-aisa kaha komal ne
Avi-haa, raat bhar komal apna pet pakad kar buki pet soti rahi.
neha bua meri bat sunte apni komal ke pass jana chahti thi.
main ne unko jane nahi diya.
aur ek nivala neeta bua ne unke muh ke samane le gayi .
neeta bua -komal ke liye
komal ka naam sunte neha bua ne nivala kha liya.
neha bua ke khana khate sab ke chehare pe khushi dik rahi thi
neha bua ka khana khana ham sab ke liye jaruri tha.
unki halat bahot kharab ho chuki thi.
neeta bua ,pooja bua, chachi, meri bahan neha bua ko khana khilate huye dek
rahi thi.
neeta bua ek 2 nivale khilane ke bad main vaha se jane laga
Avi-aap neha bua ko khana khilav ,main komal ko khana khilake aata hu
neeta bua-main neha ko khila dungi.
neha bua komal ko dekna chahti thi par pooja bua ne jane nahi diya aur neeta
bua komal ka naam lekar khilati gayi.
main dusari plate lekar kamre me gaya .aur komal ko uta kar use nasta khilane
laga.
neha bua khana kha kar komal ke kamre ke pass aa gayi.
muze komal ko nasta khilate huye dek kar unko acha laga.
neha bua ne kamre me aakar komal ko gale lagaya .aur rone lagi.