Update 360


Meri bat sunte neha bua, neeta bua aur pooja bua ek dusare ke chehare dekne
lagi.
Neha bua ko kuch samaj nahi aa raha tha. Komal ki bat ko jaysingh se kyu jod
raha hu.

Neeta bua aur pooja bua,dadi ke sath jo hua use ek accident maanti thi. Par
neha bua ye maan ne ko tayyar nahi thi.
Pahale to teeno bua khud ko gunnegar samaj rahi thi.par bad me neeta bua
aur pooja bua usko ek accident samajne lagi. To neha bua usko mur*er samaj
rahi thi.
Dadi ki accidental death ko mur*er ka naam de kar mere papa pe ilazam laga
diya
Lekin usdin neha bua ke sath jo hua tha uske vajase sab neha bua ka sath de
rahe the.
Neha bua ke liye dadaji ne mere papa ko ghar se hamesha ke liye nikaal diya
tha.
Neha bua ko agar us incident ko accident batana itna aasan nahi tha.
Neha bua unko samaje aise langauage me bata raha tha ki wo ek accident tha
aur aaj jo hua wo ek accident tha
Par us din neha bua ke sath jo hua tha uske vajase neeta bua neha bua ki taraf
se hogayi.
Neeta bua-Avi tum kahna kya chahta hai
Pooja bua-tu sabit kya karna chahata hai.
Avi-jo sach hai wo batana chahta hu
Pooja bua-kaisa sach, main vahi thi muze sab pata hai.
Neeta bua-neha ke sath jo hua tha wo galat tha, bhaiya(jaysingh)galat the
Avi-maanta hu papa galat the par dadi ke sath hua wo ek accident tha
Neha bua-bhaiya ne maara tha maa ko
C chachi-neha wo bas ek accident tha.
Neha bua-usme bhaiya ki galati thi
Neeta bua-neha tere sath jo hua usme bhaiya ki galati thi. Par maa ke sath jo
hua wo ek accident tha

Pooja bua-neeta sahi kah rahi hai. Maa ka pair fisal gaya aur
Neha bua-wo sab bhaiya ke vajase hua tha.
Avi-pir to komal ke sath jo hua wo aapke vajase hua hai.
B chachi-Avi tik kah raha hai. Agar us din jo hua usme Avi ke papa ki galti thi
to aaj neha ki galti hai.
Badi chachi ke support ke vajase muz me himmat badh gayi.
Avi-aaj jo hua wo us din jaisa hi to hai.
Neeta bua-us din kya hua tha wo tume pata nahi hoga.main vaha thi muze pata
hai neha ke sath kya hua tha
Avi-neha bua ke sath jo hua tha wo muze pata hai. Par uske bad jo hua tha wo
aaj jaisa to hua hai.
Pooja bua-kahna kya chahte ho
Avi-us din papa guasse me ja rahe the . Aaj neha bua ja rahi thi.
Us din dadi ne papa ko rokna chaha tha aur aaj komal ne.
Us din dadi ke sath accident ho gaya aur aaj komal ke sath.
Agar us din mere papa gunnegar the to aaj neha bua gunnegar hai
Neha bua-to ye tune jaanbuz kar kiya hai taki
Avi-jo hona hota hai wo ho jata hai. Isme kohi kuch nahi kar sakta
Neeta bua-neha Avi tik kah raha hai. Maa ke sath jo hua usme bhaiya ki galti
nahi thi. Aise accident to kisi ke sath bhi hote. Kal maa ke sath hua tha aaj
komal ke sath hua tha.
B chachi-neha tu khud soch ki komal ko is halat me dek kar tuze kaisa lag
raha hai. Aur Avi ke papa ko kaisa lag raha hoga.
Pooja bua-neha ham jise pyar karte hai use chot kaise pahocha sakte hai.use
dard me kaise dek sakte hai.
C chachi-Avi ke dadaji ne bhi maan liya tha ki wo ek accident tha par tere liye
Avi ke papa ko ghar se nikaal diya.
Avi-dadi ke jane sepapa utne nahi roye hoge jitna aapke ilazam lagane pe roye
honge
Neha bua komal aur meri taraf dekne lagi.
Komal ka sar abi tak meri ghod me tha. Mera hant uske sar ko sahala raha tha.
Komal ke liye mera pyar dek kar neha bua khud pe guass hokar rone lagi.
Neeta bua-neha tum ne shalini bhabhi ke bareme sochna chaiye tha.
Pooja bua-neha ham ne tume kitni bar samaja ki maa ke sath jo hua wo ek
accident tha.par tune kabi nahi suna.
Neha bua-bhaiya
Neeta bua-bhaiya tume aur maa ko sab se jada pyar karte the aise me wo maa
ko

Neha bua rone lagi.
Pooja bua-tune bhavanayo me bahke faisale liye the. Ek bar bhi nahi socha ki
ek beta apni maa ko kaise maar sakta hai.
Avi-neha bua aap apne dard ko dil me chupa kar khud ko dard de rahi ho.
Neha bua-bhaiya ne maa ko
Neeta bua-bhaiya ne maa ko nahi maara ,us din jo hona tha wo ho gaya tha.
Usme sabki galti thi. Meri, teri, didi ki, pitaji, bhaiya ,bhabhi, sabki galti thi.
Neha bua-bhaiya ne muz pe vishwas kyu nahi kiya.
Avi-kyu ki mere papa ke samane zut ko sach bana kar pesh kiya gaya tha.
Pooja bua-kya kaha.
C chachi-zut ko jab sach banakar pesh kiya jata hai to sach bhi kamzor ho jata
hai. Us din bhi vahi hua tha.
Neeta bua-kya hua tha us din, tu to thi bhi nahi thi us din.
C chachi-suman didi muze lagta hai aapko sach batana chaiye.
Pooja bua-khonse sach ke bareme bat kar rahi ho .
B chachi-meena tu hi bata de ,neha ko sach ka pata chalna jaruri hai.jo shalini
bhabhi muze bataya tha wo neha ko bata de.
Neha bua-kya kaha tha shalini bhabhi ne.
C chachi-shalini bhabhi ne didi ko wo bate batai jise tum sun nahi payogi.
Neeta bua-meena kya bataya tha shalini bhabhi ne ,kya chupa rahi ho tum
Avi-mere papa aur maa ka accident nahi mur*er hua tha. Kumar aur ajit ne
unke accident karvaya tha. Mere papa neha bua se mafi maangne aa rahe the
,unko pata chal gaya tha ki kumar ne neha bua ke sath kya kiya. Par mere
papa neha bua se milte us se pahale unka accident karva diya tha.
Meri bat sunte Neha bua, neeta bua,aur pooja bua ke ankhoin se aasu nikalne
lage.

Bua ko apne kaano pe vishwas nahi ho raha tha.
Bua ke dimag me mere word ghumane lage
Bua ne kabhi socha nahi tha uske bareme main ne bata kar aisa zataka diya ki
teeno bua rone lagi.
Neha bua neeta bua ke gale lag kar rone lagi.
Pooja bua-suman
B chachi-ye sach hai,
Neha bua-bhaiya muzse milne ke liye aa rahe the
Avi-haa, papa ko pata chal gaya tha ki kumar ki pahale bhi shadi ho chuki thi.
Neha bua-bhaiya muzse milne ke liye aa rahe the.
Avi-haa, papa ko pata chal gaya tha ki shadi ke din aapne jo kaha tha wo sahi
tha.
Neha bua-bhaiya
Avi-papa ko pata chal gaya tha ki usdin kumar ne aapke sath kya kiya tha.
Neeta bua-pir us din bhaiya ne hamari bat kyu nahi maani
C chachi-kyu ki Avi ke papa ke samanezut ko sach banakar pesh kiya tha.
Pooja bua-kya matlab
C chachi-us din Avi ke papa meeting karke neha bua ke ghar aaye the.
Meeting me kumar aur ajit dono the.
Pooja bua-main samaji nahi.
Avi-bua ne kaha tha ki unno kumar ke sar pe flower plot maara tha. To khoon
nikala hoga. Par kumar ke sar pe kohi chot ka nishan nahi tha. Aise me papa
ko laga ki neha bua pir se zut bol rahi hai.
C chachi-aur kamre me flower plot tik tha. Khoon nahi tha .aise me Avi ke
papa ko laga ki neha zut bol rahi hai.
Avi- kumar aur ajit ne sare sabot mita diye the.par papa kumar se puchne vale
the ki dadi ke sath accident ho gaya
Neha bua-bhaiya ne
Neeta bua-bhaiya ,

Pooja bua-pir bhi bhaiya ne neha pe vishwas nahi kiya.
Avi-kaise karte ,kohi sabot hi nahi tha. Aur neha bua ne bhi to komal ki bat ka
vishwas nahi kiya. Unko jo sahi laga vahi kiya.
Neha bua-aisa tha to bhaiya vapas shahar kyu gaye the.
B chachi-neha tume aisa lagta hai ki is ghatna ke bad Avi ke papa badal nahi
gaye the.
Neeta bua-ham to us samay maa ke jane se duki the.
Avi-papa ne to hamesha ke liye gaon me rahne ka man bana liya tha.
Wo to shahar jana bhi nahi chahte the ,par dadaji ne papa ko ghar me aane
nahi diya. Dadaji ko lagta tha ki papa yaha rahenga to neha bua papa ko dek
kar aur guass ho jayengi.
Aise me dadaji ne papa ko gaon se chale jane ko kaha.
Neeta bua-bhaiya ko itna dukh hua tha to wo vapas usi shahar kyu gaye.
Vapas kumar ke sath kaam kyu kiya.
B chachi-us din ke bad Avi ke papa kumar se sirf ek bar mile,aur usdin Avi ke
papa ka accident hua.
Neha bua-bhaiya vapas us company me nahi gaye.
Avi-kaise jate ,itna sab ho jane ke bad papa aur dadaji ko dukh kaise pahocha
sakte the.
Pooja bua-wo company bhaiya ke liye sab kuch thi.
Avi-apni bahan se jada pyari nahi thi.
Neha bua apne bhaiya ke bareme sunkar khud ko bhara bura kahne lagi.
Unke aasu rukne ka naam nahi le rahe the.
Neeta bua ne neha bua ko gale laga
Neha bua apne bhaiya bhabhi ke bareme me sunkar khud pe guass hone lagi.
Unko ab tak lag raha tha ki uske bhaiya galat the
Par aaj pata chala ki jitna unka bhaiya galat tha utni wo bhi galat thi.
Neha bua itne zatake bardast nahi kar payi.
Aur neeta bua ke gale lag kar rote huye neha bua behosh ho gayi.

Neha bua behosh ho gayi.
Neha bua ke behosh hote main ne unko utakar unke kamre me le gaya.
Aur komal ko uske kamre me le gaya.
Main ne choti chachi ko bata diya ki komal ko kuch nahi hua hai.
Neeta bua pooja bua apne hi khayalo me khoyi thi.
Seema chachi vidhya ko apne sath le aayi.
Main ne vidhya ko bata diya ki use kya karna hai.
Vidhya ne komal ko check kiya aur subha tak aaram karne ko kaha .
Pir ham neha bua ke kamre me chale gaye .
Neeta bua-Meena ,
C chachi-haa
Neeta bua-bhaiya ke bareme aur ham se kya chupaya gaya hai.
C chachi-aur bahot kuch chupaya gaya hai
Pooja bua-par kyu?
B chachi-kyu ki tab ye bata dete to
Neeta bua-aur us kumar ka kya hua.
Avi-dadaji ne use maar diya.
Neeta bua-pitaji ne par kab,
Pooja bua-suman pitaji ke sath kya hua tha. Unki aisi halat kaise huyi thi.
Neeta bua-muze lag raha pitaji ke bareme ham se chupaya gaya hai.
B chachi-pitaji ke sath ..,
Avi-rukiye, neha bua ko hosh aa raha hai.
Neeta bua-neha
Neha bua-komal ,komal kaha hai, kaisi hai ho
Neeta bua-komal tik hai, wo aaram kar rahi hai.
Neha bua-bhaiya

Aur Neha bua pir se rone lagi.
Neeta bua-neha sambalo khud ko, abi bahot kuch jaan na baki hai
Neha bua-ab kya baki rah gaya. Bhaiya ne kitni bar muzse mafi maangni
chaiye par main ne unko maf nahi kiya.
Avi-aapne papa ko maf kar diya tha.us din aapke aaso se bani huyi tea pi kar
papa ko unki bahan ka pyar mil gaya tha.
Neha bua-bhaiya
Neeta bua-tu khud ko dosi maan kar khud ko dard mat de
Neha bua-bhaiya ke dard ke samane mera dard kuch bhi nahi hai.
Avi-aapko jo dard mila hai wo kisi ko na mile
Neeta bua-pitaji ke sath kya hua tha.
Neha bua-pitaji ke sath, neeta kya hua pitaji ko
Neeta bua-pitaji ko kuch nahi hua. Par
Neha bua-par kya.
Avi-main batata hu.
Us din papa ye gaon to chhod kar chale gaye the. Par sath me aisa dard apne
dil me chupa kar le gaye ki us se bahar nikalna mushkil tha.
Maa papa ki himmat ban kar unke sath rahi. Unka sahara bani,papa ko jine ki
ek umid thi.
Papa to dadi ke jane ke bad to tut gaye the. Wo to aise sadme me chale gaye
ki unko dek kar maa bhi kamzor pad rahi thi. Papa ko us sadme se bahar
nikalne me 6 mahine lage. maa ne aise bure samay me unko jine ka ek maksad
diya .wo tha neha bua se mafi maangne ka.
Papa ne us din ke bad kumar aur ajit se dur rahne ka faisala kiya.aur us
company me kaam karna band kiya
Ek simple si noukari karne lage.papa ne nayi zindagi ki suruvat kar di. Par
unko us din ke bad kabi neend hi nahi.unko jab tak neha bua se mafi nahi milti
tab tak unko neend kaise aa sakti thi.

Aise karte karte 3 saal bit gaye. Pir mela aa gaya.
Papa aur maa ko is mele se kafi umid thi. Aur hua bhi aisa hi, mele me dadaji
ke dil me papa ke liye jo nafrat thi wo pyar me badal gayi.
Aapne bhi papa ko tea pi lakar ek tara se maf kar diya.
Papa ne purane gile sikaye bhulakar komal ko pyar kiya.
Us din mele me papa ko wo mila jiski umid me wo zinda the.
Neha bua ,neeta bua, aur pooja bua ke ankhoin se aasu nikal rahe the.
Neha bua-main ne bhaiya
Neeta bua-tuze kitna dard hua hoga muze pata hai. Jitna bhaiya ro rahe the
utni tu bhi ro rahi thi.
Pooja bua-pir kya hua
Avi-pir dadaji ke kahne pe papa jaipur rahne chale gaye.
Papa me mele ke bad kafi badalav aa gaya.
Papa ka dard neha bua ne mele me kam kar diya tha
Aise me papa ko ek din pata chal gaya ki, kumar ki shadi ho chuki thi. Neha
bua sach kah rahi thi.matlab kumar aur ajit neha bua aur neeta bua ke sath
galat karna chahte the.
Papa ne usi din neha bua se mafi maangne ka faisala kiya .aur gaon ki taraf
nikal gaye.
Par raste me papa kumar aur ajit se mile .aur unko unki karni ki saja de kar
gaon ki taraf nikal pade.
Papa ko kumar ne bata diya ki usne kya kya neha bua ke sath kiya.
Papa sab sunkar khud pe kafi guass aaya.
Papa ne ek bar bhi apni bahan ki bat nahi suni jis se papa jald se jald neha
bua se milkar mafi maangna chahte the.
Par unki kismat me kuch aur likha tha,kumar ne papa ka accident karwa diya.
Us accident me papa aur maa BHAGVAN ke pass chale gaye.
B chachi-ye sab shalini bhabhi ne muze bataya. Aur kaha ki Avi neha ko
bataye.

Neeta bua-itni badi bat ham se chupai
B chachi-chupani padi,shalini bhabhi ke jane se kohi is halat me nahi the ki
tum ko sach bataye jaye
Pooja bua-par muze to bata deti.
B chachi-pitaji ne manaa kiya tha.
Neeta bua-bhaiya bhabhi ke sath itna kuch hua aur hame batana chaiye tha.
C chachi-kuch bate sahi samay par batani chaiye.
Neeta bua-neha
Neha bua meri baat sunkar murat ban gayi thi.
Neha bua ko lag raha tha ki jitna dard mila sab uski ko mila hai. Par aaj pata
chala ki unka bhai usi dard me ji raha tha jis me neha bua ji rahi thi.
Dono bhai bahan apne dard ko apne dil me chupa kar ji rahe the.
Na kabi neha bua ne apne dard ko kisi ke samane aane diya .aur na mere papa
ne
Neha bua apne bhaiya bhabhi ke bareme soch rahi thi.
Unki shalini bhabhi ne unki khushi ke liye kya kuch nahi kiya.
Jab bhi neha bua ko sahare ki jarurat thi tab tab unki shalini bhabhi unke sath
thi.
Neha bua apne past ko yaad karke ro rahi thi.
Neeta bua-neha ,neha
Neeta bua ne neha bua ko vapas hosh me laya.
Hosh me aate neha bua khud ke gaalo pe thappad marne lagi.
Neha bua ke aisa karte neeta bua ne unko rok diya.
Neeta bua-neha ye kya kar rahi ho.
Neha bua-main isi layak hu.
Pooja bua-tune kuch nahi kiya. Jo kismat me hota hai use badal nahi sakte.
Neha bua-bhaiya ke dard ko main ne kabi samaja hi nahi.
Neeta bua-tuzse acha bhaiya ko khon samajata tha. Wo tuzse sabse jada pyar
karte the.

Neha bua-main ne unke pyar ko kabi samaja hi nahi.
Neeta bua-unka pyar tumare sath hamesha tha. Shalini bhabhi ,bhaiya ke liye
tu hamesha sepcail thi.
Neha bua-main ne shalini bhabhi ke pyar ke badale me unko kitna dard diya.
B chachi-tume aisa lagta hai. Hame pata hai tu shalini bhabhi ,Avi ke papa ,aur
Avi se kitna pyar karti hai
Pooja bua-haa, neha tu duki mat ho, jo hua wo kismat me likha tha.
Neha bua-bhaiya se ek bar bat karti ,unko maf kar deti
Avi-aapne papa ko maf kar diya tha. Unke aakari samay me aapne unka rakhi
baandh kar papa ko maf kar diya tha.
Neeta bua-neha tune bhaiya ko maf kar diya tha par us bat ko kabi accept nahi
kar rahi thi.
B chachi-uska saboot hai tera Avi ke liye pyar
Neha bua ne meri taraf deka.
B chachi-main ne Avi ke liye tera pyar deka hai.tu bas us bat ko maanti nahi
hai.
C chachi-didi ne sahi kaha. Tum Avi ko kitna pyar karti ho hame pata hai.
Neeta bua-neha tum bahot lucky hai. Pitaji tuze sab se jada pyar karte
the,bhaiya bhabhi ka pyar tuze hameshe jada mila. suresh jiju ke liye tu sab
kuch thi. Avi ke liye tera pyar ....
Neha bua-main ne
Pooja bua-neha tune hamesha vahi kiya jo sahi tha. Teri galati nahi thi. Teri
jaga kohi aur hota to wo bhi vahi karta jo tune kiya.
Neeta bua-neha ,
Avi-bua main bas itna kahunga ki maa aapko hamesha khush dekna chahti thi.
Neeta bua-shalini bhabhi ke liye rona band kar de..
Neha bua ne neeta bua ko gale laga liya.
Pooja bua-suman
B chachi-haa
Pooja bua-pitaji
Neeta bua-pitaji ke sath kya hua tha.
Neha bua-kya kaha neeta tune
Avi-dadaji ki aisi halat ki jimmedar kumar aur ajit tha.
Neha bua-kya ,par pitaji to
B chachi-pitaji chhat se gir gaye the ye aada sach tha.
Neha bua-pitaji ke sath kya hua tha. Kya hai pura sach

Neeta bua-suman kya hai wo sach jo ham se chupaya gaya tha
B chachi-main nahi bata paungi.
C chachi-Avi bata denga.
Avi-bua jaise aapko pata chala ki mere maa aur papa ka accident hua tha.
Vaise dadaji ko pata chal gaya ki unka mur*er hua tha. Dadaji ko pata chalte
wo guasse se pagal ho gaye.
Dadaji bina kisi ko bataye kumar ke pass chale gaye. Aurkumar ko maar kar
apne bete aur bahu ke khoon ka badala le liya.
Par ajit ne dadaji pe dokke se hamla kar diya .dadaji ko goli mar di aur chhat
se niche gira diya.
Usi samay thakurji aur choti chachi vaha pahoch gayi aur dadaji ko bacha liya
.
Dadaji ki halat bahot najuk thi. Par unka bacha liya gaya .
Dadaji ne kumar aur ajit ko maar diya. Mere maa aur papa ke khoon ka badala
le liya
Par dadaji ek zinda lash bankar rah gaye.
Aapke liye dadaji chhat se gir gaye the .aur mere liye dadaji bimar ho gaye.
Dadaji ke bareme main bata diya .aur pir se neha bua ko rula diya.
Pooja bua-suman tum ne ye tik nahi kiya .ham se pitaji ke bareme chupa kar
B chachi-muze aisa karna pada.pahale Avi sadme me tha ,aise me pitaji ke
bareme bata deti to sab ko lagta Avi ke vajase hua hai.
Neeta bua-pitaji akele kyu gaye the. Thakurji ko sath le jate to
C chachi-hame jab pata chala to ham pitaji ko dundne nikal gayethe. Par
hamare pahochne tak der ho gayi thi.
Neha bua-meena tune pitaji ko bacha liya yahi kafi hai
Pooja bua-pitaji ko ham jaldi tik kar denge.
Neeta bua-pitaji agar use nahi marte to main maar deti.
Pooja bua-us kameene ki vajase hamare bhaiya bhabhi is duniya me nahi
rahe.

Neha bua-bhaiya mere vajase is duniya me nahi hai.
Avi-aapki vajase nahi.jo unki kismat me likha tha vahi hua hai.
Neeta bua-tu khud ko dosi maan kar apne dil pe boz mat le
Pooja bua-haa, tune kuch galat nahi kiya. Agar tu samay rahte shalini bhabhi
ko bata nahi deti to kitni zindagi barbad ho jati.
Neeta bua-ham aaj kote par baite hote.
B chachi-aise kaise, shalini bhabhi kabi aisa nahi hone deti.
Neeta bua-shalini bhabhi ke vajase ham khush hai.
C chachi-shalin bhabhi ne hamesha family ke bareme socha. Tabi wo ham sab
ke dil me hai
Neha bua-shalini bhabhi mere liye sab kuch thi. Aur bhaiya bhi.
Pooja bua-bhaiya se ek bar bat kar lete to unke dard ko samaj pate.
Neha bua-bhaiya ko ek bar
Main vaha se ut kar komal ke kamre me chala gaya.
Aur papa ne likha hua letter lekar vapas bua ke pass aa gaye.
Avi-ye lijiye ,papa ne neha bua ke liye aakari samay me kuch likha tha.
Neeta bua-muze do main padti hu
Neha bua ne neeta bua se pahale wo paane mere hant se le liye.
Letter neha bua ko de kar main badi chachi aur choti chachi ke pass baite
gaya.
Badi chachi ne mere mathe pe kiss kiya.
Apne bete se ek maa ko jo chaiye wo aaj unko muzse mila tha.badi chachi ke
undar ki maa aaj bahot khush thi.
Choti chachi ne to muze thodi der tak gale lagaya raka. Aur mere upar apne
pyar ki barish kar di.
Seema chachi is wakt yaha nahi thi par unka pyar hamesha mere sath hota
hai.
Seema chachi mere bacho ka khayal rak rahi thi.
Neha bua ne mere papa ka letter apne pass liya.
Neeta bua ek taraf aur pooja bua dusari taraf baite kar us letter ko dekne lagi.
"Neha...
Itna likhne ke bad papa ne page ko fad diya. Aur next page pe likhne lage
"Meri pyari bahan
Itna likhate papa ke ankhoin se aasu nikal gaye. Aur papa ke aasu us page par
gir gaye.

Papa ke aasu ke nishan abi tak us page par the jine dek kar bua ke ankhoin se
aasu nikalne lage.
"Pooja, Neha,Neeta, main tumara gunnegar hu
Pir se papa se aage likhne ki himmat nahi huyi. Aur us page ko pir se fad diya
tha.
"Main ek badnasheeb bhai hu, jis ne apni bahano ke pyar ko kabi samaja hi
nahi, unko pyar dene ki jaga hamesha nafrat di hai, dard diya hai.
Neha bua ne pages ko mod kar band kar diya .aur neha bua ke aasu un pages
par gir gaye.
Neeta bua ne neha bua ke khando pe hant rak kar himmat dete huye aage
padne ko kaha.
Pooja bua ne neha bua ka hant pakad kar pages ko vapas khol diya.
Neha bua pages ko padne lagi.
"Pitaji aap ne muze ....
Next page
"Pitaji mere vajase aapka sar hamesha niche zuka raha,main na ek acha beta
ban saka ,aur na ek acha bhai ban saka, shalini na hoti to main ek acha pati
bhi nahi ban paata, aaj muze samaj me aaya ki aap muzse jada shalini se pyar
kyu karte the. Shalini ko aapne apni beti maana tha.shalini ne ek badi bahan
hone ke sare farz pure kiye, jo muze apni bahano ke liye karna chaiye tha wo
shalini ne kiya. Shalini ne pooja neha neeta ko wo pyar diya jo main bhi nahi
de sakta tha.
Papa ne apne dil ki bat ek bar me puri likhani chai. Par unke aasu ne likhne
nahi diya. Papa ke aasu word pe gir ke unko mita rahe the par is bar papa ka
pyar kamzor nahi padne vala tha.
"Pooja, main tumare khilaf nahi tha, tum ne neha ke liye jo socha tha vahi
main ne socha tha. Shalini ne bataya tha ki tum neha ki shadi karvana chahti
thi. Main ne bhi apni bahan ki khushi ke bareme soch kar uski shadi karvani
chai. Muze agar pata hota ki neha suresh ko pasand karti to main kabi manaa
nahi karta . Tum ne neha ke liye jo socha tha us me shalini ne tumara sath
diya. Shalini kabi galat ka sath nahi deti aise me muze tumara sath dena
chaiye tha. Pitaji ne tume hamesha apna beta maana hai. Tumne muzse bhi
acha beta ban kar neha aur neeta ki khushi ke bareme soch kar poorf kiya.tum
hamari family ki beti nahi beta ho. pooja tum.... Sweta sital aur raj ko main ne
bacho ki tara pyar kiya ...

Pooja bua apne bareme pad kar apne aasu ko poch diye .agar wo royengi to
neha aur neeta ka kya hoga.
"Neeta ,main to tume hamesha natkhat samajta tha.par tune jis tara apne ghar
ko basaya, jatin ka sath diya ,ek pal ke liye main pahchan nahi paya ki ye
hamari neeta hai.mere aisa karne ke bad neha ko ek sahare ki jarurat thi. Jise
tum ne ache se nibaya. Tumare vajase neha ka dard kam hua hoga .shalini
tumari bahot tarif karti hai. Tum ,pooja aur neha jaisi bahane mili ,shayad main
ne pichale janam me kohi acha kaam kiya hoga. Par ..... Rajesh naam muze bhi
pasand tha ,
Neeta bua apne bareme padkar apne bhaiya ko yaad karne lagi.
Is bich chacha ke bareme papa ne 2 line likhi thi.
"chotu, tera gaon me rahne ka faisala sahi tha ,tune us samay muze shahar
aane se manaa kar ke acha kiya tha. Pitaji ka sirf ek beta tha wo tu hai. Bete
hone ke sare farz tune pure kiye. Apne bareme na soch kar family ke bareme
soch kar tune bata diya ki tu is ghar ka asali varis hai. Suman ne tuz pe jo
badalav laya use se tuz me muze pitaji najar aate hai
Ab wo pages baki the jise padne se pahale neha bua ke hant kaap rahe the.
Neha bua ka dil jor jor se dhadak raha tha.
Kya likha hoga bhaiya ne, ye soch kar neha ke dimga me ajib ajib khayal aa
rahe the.
Neeta bua aur pooja bua ne neha bua ko himmat dete huye aage padne ko
kaha.
"Neha ,tum ,tume main nafrat kaise kar sakta tha. Karne ka sochta to bhi kar
nahi paata ,tumare liye main ne kabi kuch bura nahi socha tha. Tu to meri jaan
thi .tere ache ke liye main teri shadi karvana chahata tha.muze agar pata hota
ki kumar itna bura aadmi hai to main kabi uski shadi tumse nahi karvata. Tune
ek bar muze suresh ke bareme bata diya hota to main teri shadi suresh se
karvata. Is me teri bhi galati nahi thi. Tune to khud ko khurban karne ka socha
tha. Main khud ko kismatvala maanta hu ki main tera bhai hu. Tu ne khud ke
bareme na soch kar neeta ke bareme socha ,teri jaisi bahan kismat valo ko
milti hai.

"Main ne komal ko kabi uske hishe ka pyar nahi diya .par tune Avi ko apna
beta maana, use naam diya, pyar diya, shalini ne bataya ki tune Avi ka naam
raka tha ye sunkar muze acha laga tha. Mere guasse ke bad bhi tune Avi ko
apna pyar de kar bua hone ka farz pura kiya .par main mama ka pyar komal ko
de nahi paya,
"Neha tumare dard ka pata muze us din chala jis din tumare aasu se bani huyi
tea pi, tumare dard ke saamane mera dard kuch bhi nahi tha. Tume muz se
nafrat karne ke liye kitne aasu bahane pade is ka pata chala. Suresh jiju se mil
kar muzse ye ahasas ho gaya ki tumare liye sahi tha. shalini aur pooja ne
tumare liye sahi jivan sathi chuna. Main bhi suresh jaisa ladka tumare liye
dund nahi paata,
"Tum ne sahi kaha tha, maa ko main ne maara hai. Main ne us din na sirf maa
ko khoya tha balki tume hamesha ke liye kho diya. Main ne us din khud ko
maar diya tha.us din maa bete ke pyar ki chita ke sath bhai bahan ki chita jal
rahi thi. Main kitna badnasheeb bhai hu jis ne bhai bahan ke pyar ki chita ko
apne hanto se jala diya tha.
Neha bua ke aasu us page pe likhe huye bure word ko mita rahe the.
"Pitaji ne muze ghar se nikaal kar sahi kiya tha.main isi layak tha. Main ne
apno pe vishwas na karke dusaro pe vishwas kiya. Pitaji ne hamesha muze
sahi rasta dikana chaha par main dek nahi paya.
"Neha kal main tumse milne aa raha hu. Tum muze jo saja dena chahogi main
khushi khushi bhugat lunga. Bas apne bhai ko ek bar maf kar dena . Kitne
saalo se meri khalai suni padi hai us pe rakhi baandh kar muze maf kar dena "
Jis tara ye likhte huye papa ke aasu nikal rahe the vaise padte samay neha
bua ke ankhoin se aasu nikal rahe the.
Badi chachi aur choti chachi ko pata tha ki is me kya likha hai. Unko pata tha
ki ye pad kar neha bua ka dil jarur royenga.
Neha bua ke aasu ne neeta bua, pooja bua ,chachi ke ankhoin se aasu nikaal
diye.
Neha bua ne apne dil me jo nafrat daba kar raki thi wo aasu yo ke sath bahar
nikal rahi thi.
Neha bua is liye ro rahi thi ki wo apne bhaiya ke sath aakari bar bat nahi kar
payi.
Neha bua us shadi ke din ke bad aaj apne dil me apne bhaiya ke liye apne dil
me pyar ko mahsus kar rahi thi.
Apne Bhaiya aur shalini bhabhi ke jane ka gum aaj neha bua ko undar hi
undar kha raha tha.

Neha bua ke dil me jo mere liye nafrat thi wo kam huyi ya nahi ye muze pata
nahi tha.
Par itna pata tha ki mere papa ki aatma ko aaj santhi mili hogi.
Neha bua ke dil me nafrat na dek kar meri maa ko acha lag raha hoga.
Meri maa aakari samay tak apne family ke liye jiyi thi.
Jate jate meri maa ne family ko ek karne ki key badi chachi ko di thi.
Meri maa is duniya me nahi hai aisa kohi kah nahi sakta.meri maa sab ke dil
me basi huyi hai.bua ,chachi ke pyar karne se meri maa ka pyar muze milta
hai.
Muze ek nahi 6 maa mili hai.
Mere papa ko neha bua ne jate samay rakhi baandh kar unki aakari icha puri ki
thi.
Pata nahi kaise, neha bua ne khud aage aa kar papa ko rakhi baandi thi .
Mere papa aur neha bua ka pyar tha, jo neha aua khud ko rok nahi payi aur
papa ko rakhi baandh di thi.
Aaj meri maa mere papa zinda hote to puri family ek sath ek chhat ke niche
hoti.

Neha bua us pages ko apne sine se laga kar ro rahi thi.
Neeta bua aur pooja bua unke gale lag kar ro rahi thi.
Teeno bua apne bhaiya, apni jaan se pyari shalini bhabhi, apni maa ko yaad
karke ro rahi thi.
Neha bua ki kismat ko badalana meri maa ke liye mumkin nahi tha par jitna
meri maa ne neha bua ke liye kiya utna kohi apni sagi bahan ke liye nahi karta.
Choti chachi aur badi chachi ne puri khosish ki muze apni maa jaisa banane
ki.
Choti chachi ne muze dadaji jaisa bana diya.
Badi chachi mere gale lag kar ro rahi thi.
Choti chachi is intazar me thi ki kab neha bua muze pyar se aawaz dengi.
Neeta bua-neha bas kar kitna royengi.
Neha bua-bhaiya
Pooja bua-bhaiya ka sara dard is letter ke har ek word se pata chal raha hai.
Neha bua-bhaiya se main bat bhi nahi kar payi.
Neeta bua-kisne kaha ,ye letter ke jariye bhaiya ne ham se bat hi ho ki hai
Neha bua-bhaiya ko kaisa laga hoga jab main ne unko maa ka
Neeta bua-bhabhi thi unke sath
Neha bua-bhabhi aap muze chhod kar kyu gayi.maa ke bad aapka hi to sahara
tha.
Neeta bua-bhabhi kahi nahi gayi wo hamare dil me hai.
pooja bua-shalini bhabhi hamesha hamara dil me rahengi.
B Chachi-shalini bhabhi ne hame ek dor se baandh raka hai. ham us dor ko
kabi tutne nahi dengi.
Neha bua-bhaiya ek bar muze apne dard ke bareme bata dete to ,ye sab nahi
hota.

Neeta bua-bhaiya kaise kahte ,
Neha bua-main unko maf bhi nahi kar payi. ek bar main unko maf kar deti to
unki aatma ko santi milti.
Avi-aapne unko maf kar diya tha.
neha bua-main ne
Avi-papa ko rakhi baandh kar aapne unko maf kar diya tha. papa ki aakari icha
yahi to thi.
Neeta bua-neha tune bhaiya ki icha puri karke bhaiya ko maf kar diya.
neha bua-bhaiya ,
pooja bua-kitna royengi, shalini bhabhi ko tere ankhoin me aasu ache nahi
lagte the.
Neha bua-main ro nahi rahi hu.
Neeta bua-to ye tere ankhoin se kya nikal raha hai
Neha bua-main inko roku kaise, itne saalo semere undar dafan huye the. aaj
bahar nikal rahe hai.
Neeta bua-aaj apne dard ko bahane de, is dard ko hamesha ke liye khatam kar
de
pooja bua-bhaiya bhabhi ke pyar ke malam se is dard ko khatam kar de
aur itna kahte neha bua pooja bua aur neeta bua ke gale lag kar rone lagi.
bua ko ham ne vaise rahne diya .aur chachi ke sath main hall me aa gaya.
B Chachi-Avi
Avi-haa maa
B Chachi-aaj mere sar se bada boz halka ho gaya.
Avi-ye boz to mere dil pe kab se tha muze bhi pata nahi ,aaj maa aur papa ke
liye jo kar sakta tha wo main ne kar diya
B Chachi-Tune ye sab karne se pahale hame bataya kyu nahi. ham komal ki
halat dek kar kitne gharab gaye the.
Avi-komal ko main kuch hone kaise deta
C Chachi-Komal ko hua kya tha.
Avi-usko behosh ki dava sunga di thi .niche girte hi ,
B Chachi-hame bata dena chaiye tha
C Chachi-muze pata tha. Avi ne ishara kiya tha.
Avi-chachi ab main bada ho gaya hu
B Chachi-tu kitna bhi bada ho ja par mere liye to mera beta hi rahenga na
Avi-aage se aapko bataya karunga
c Chachi-chalo didi, ham ghar jana chaiye ,seema didi bacho ke sath akeli
hogi.

Avi-itni raat me ,main chhod deta hu
B Chachi-tu komal ke pass ruk ,ham ja sakte hai.
Avi-maa, main jaldi vapas aa jaunga.
B Chachi-tik hai. chal
main chachi ke sath ghar se bahar nikala tha ki hamare ghar ke samane
ambulance aakar ruk gayi.
ramesh uncle ko ambulance lane ko kaha tha. ye to main bhul hi gaya tha.
ramesh uncle-Avi ,komal kaha hai.
Avi-komal tik hai. vidhya ne check kiya hai
ramesh uncle-kya hua tha komal ko
Avi-chakkar aakar gir gayi thi ,aur neha bua pareshan ho rahi thi.
ramesh uncle-ab tik haina wo
Avi-haa ,
ramesh uncle-ambulance ko vapas bhej du
Avi-haa, komal ab tik hai.
jatin uncle-Avi tum kaha gaye the.tume ham ne kitni jaga dunda par tumara
kuch pata hi nahi chala.
Avi-komal ko change ki jarurat thi ,to usko ghumane le gaya tha.
jatin uncle-bata kar jate, neha bhabhi kitni pareshan thi
Avi-main ne neha bua ko samaja diya. dubara aisa nahi hoga.
ramesh uncle ne ambulance ko vapas bhej diya.
ramesh uncle-raat kafi ho gayi .chalo komal ko dek kar so jate hai
B Chachi-Avi ,tum komal ke pass ruko ,ham tumare chacha ke sath chale
jayenge.
Avi-ji
chachi chacha ke sath ghar chali gayi.
ramesh uncle aur jatin uncle ne komal ko check kar liya.
ramesh uncle-Avi, pooja kaha hai.
Avi-pooja bua ,neha bua ke pass hai. aaj wo yahi rahengi.
jatin uncle-aur neeta
Avi-neeta bua ko kal se chhuti mil jayengi
jatin uncle-kya matlab.
Avi-aapko kal pata chal jayenga.
jatin uncle-jab se dubai se aaya hu neeta se bate karne ko nahi mila.
Avi-kal aap aaram se bat kar lena.kal se neeta bua ko chhuti mil rahi hai.
jatin uncle-pir neha bhabhi ke sath khone rahengi.
ramesh uncle-jatin kal bate karte hai. muze neend aa rahi hai.
ramesh uncle aur jatin uncle apne apne ghar chale gaye.
aur main komal ke pass chala gaya.
choroform ki vajase komal gahari neend me so rahi thi.
komal ke vajase aaj neha bua ko apne bhaiya ke bareme pata chala.
komal ne muze apne maa papa ke jane ke sadme se bahar nikaala tha.
aur aaj neha bua aur mere papa me jo nafrat thi usko pyar me badalna komal
ke siwa mumkin nahi tha.
main ne komal ke mathe pe kiss kiya aur usko apne baho me lekar so gaya
Next page: Update 361
Previous page: Update 359