Update 372


next day
pooja bua- sweta tumari tayyari ab tak kyu nahi huyi
sweta didi- time hai maa
pooja bua-jaldi kar , aur ye raj kaha chala gaya
sweta didi- vidhya ke sath shahar gaya hai
pooja bua- raj aise time par shahar kyu gaya , usko pata haina ki aaj hame
nikalna hai
sweta didi- pata nahi
poojabbua- tu call karke puch aur jaldi bhula
---------
neha bua- kavita ye saman kyu nikaal rahi hai bag se
kavira- dek rahi hu ki sab kuvh raka hai ki nahi
neha bua- to yaad karti , ab pir se saman rakna honga
lavita- majn kar lungi aap bas didi ka deko
neha bua- komal rani
rani- haa aunty aapne aawaz di
neha bua- tumari tayyari ho gayi hongi to jav sweta aur sital ki madat karo
rani- aunty safar hi to karna hai to main aise hi aane vali hu
neha bua- tik hai par jaker sweta ki madat karo aur ye konal kaha hai
komal- main naha rahi hu ,
neha bua- jaldi kar ,
komal- maa aap aaram se baite jav ,
neha bua- ab kaha aaram kar sakti hu , ye Avi kaha chala gaya
Avi- bua aapne yaad kiya aur main aa gaya
neha bua- Avi sabka saman hall me rak de , bahot bhari hai bag
Avi- abi karta hu
aur main ne saman tik se rak diya
---------
jatin uncle- neeta , make up kyu kar rahi ho , ham bas us jaga par ja rahe hai
neeta bua- tume to kuch samjta hi nahi , vaha par samadan samdi to honge na
sawagt karne ko , unke samne aise kaise rahu
jatin uncle- acha baba , vaise tum na mera saman alag raka na
neeta bua* haa , main to neha ke sath rahungi
jatin uncle- suresh hota to
neeta bua- suresh jiju nahi hai , aur aise me main tumare sath rahi to neha
alkeli oad jayengi , isi liye main uske sath rahungi
jatin uncle- muzE to kohi problem nahi hai , main to aaram se akela rahunga
neeta bua- aap ki tayyati ho gayi hongi to dekiye rajesh kaha hai
jatin uncle- wo to bus laane gaya hai
neeta bua- rajesh bike se aayenga ,
jatin uncke- vaha par bike ki jarurat pad sakti hai , tum tension mat lo , rajesh
bada ho gaya hai aur Avi bhi hai iske sath
neeta bua-pir bhi tum kahna ki dyan se aana ,
jatin uncle- bol dunga , aur tum na pooja bhabhi ko kaama karne hi mat dena
neeta bua- tum se jada samajdar hu
jatin uncle- tum to sab se jada samajdar ho , vaise main kah raha tha kyu na
ham hamare shahar2 vale ghar bhi hoker aaye
neera bua- tum , ye bat neha ko pata chali to usko pichali bat yaad aayengi ,
aur tim chahte ho ki shadi ka mahol kharab ho
jatin uncle- main bas sujav de raha tha
neeta uncle- shadi ho jane do pir ham na kuch din ke liye vaha chale hayenge
,
jatin uncle- ye kahi samajdari vali bat
neeta bua- tum na bas bate karne me time waste karte ho , sara saman haal
me rak do , bus kabhi bhi aati hongi
-----------
c chachi- didi ham kab se tayyar hoke baite hai
B chachi- meena jaldi kaam ho jane se aaram hi milta hai
M chachi- tayyatri karke baitna muze pasand nahi hai
B chachi- deko seema , shadi ke samay aisa vaisa mat kahna , aur hame jada
se jada kaam karne hai shadi me
C chachi- didi aap badi hai , aap bas bacho aur samdan ko dekna , baki aap
ham par chhod dena

m chachi- aapko sikayat ka mikka hi nahi denge
B chacgi- Avi ke chacha kaha gaye hai
C chachi- khet me , itne din dur rahenge to worker ko kaam batane gaye hai
B chachi- aur Avi
M chachi- wo to bas apne bua ke ghar hi rahta hai
B chachi- wo bhi to uska ghar hai ,
m chachi- ab to vidhya bhi vahi rahti hai
C chachi- main ne hi kaha , vidhya ke vaha rahne se pooja didi ko madat milti
hai
B chachi- acha kiya ,
C chachi- ye shadi ache se ho gayi to khusiya hi khusiya aayengi hamare ghar
me
B chachi- haa ,par ladke vale ko khush rakna honga
m chachi- main to madubalaji se bat bhi nahi karungi , kya pata galti se kuch
nikal jaye muh se ,madubalaji ka to kuch samaj me nahi aata
B chachi- seema tum na us se dur hi rahna ,
C chachi- Avi ne madubalaji aur sangitaji ke liye ache gift liye hai , unko dekte
khush ho jayengi
B chachi- sweta ki hone vali saas khush rahi to haMari betiya raaj karengi
M chachi- pooja didi ne socha nahi honga utne ache damad aur ghar mila hai
C chachi- unka jewellary ka business acha chalta hai ,
B chachi- utna hi nahi hai , sweta bata rahi thi ki unke ghar me kheti bhi bahot
hai , aur jadatar khet shahar2 ko lag kar hai
C chachi- pir to wo meeti ke khet nahi sone ke khet huye
B chachi- sweta ne bataya ki jaha shadi ho rahi hai wo khoti bhi crore ki hai ,
vaha ke zamidar the par bad me shahar2 aaker naya business suru lar diya
m chachi- suna to main ne bhi hai ki thakurji ki haweli jaisi hi hai rohan ki
khoti
B chachi- hongi par thakurji jaisa rutna nahi honga ,
C chachi- ham to bas bate karne me busy hai , main Avi ko call karti hu dekti
hu bus aayi ki nahi
----------
Avi- rajesh kaha hai
rajesh - bhaiya bas aap ghar se bahar niklo to bus dilai dengi
lo bus bhi aa gayi
vahi bus thi jo tour ke wakt istmal ki thi
bus ke aate sab bhagdoud karne lage
Avi- aise to kaam nahi banega
rajesh- saman mix ho jayenga , aur pir vaha jaker problem hongi
Avi- ek kaam kar pagale pooja bua ke ghar chal ,
pooja bua ke ghar aate sab bahar aa gaye
poojabhua ne bus car ki uja ki
unki ki tayyari puri ho gayi thi jis se main aur rajesh saman bus me rakne laga
yaha saman jada tha jis se time lagenga
5 member , mehmano ke gift , sara saman yahi par tha
raj bhi aa gaya tha to ham teeno milkar jaldi jaldi kaam kar rahe the
bus ke chhat par sara saman pooja bhua ke ghar ka tha , hamne decide kiya ki
yaha bas unka hi saman rhenga
pir neha bua ke ghar aur neeta bu ke ghar ka saman bhi bus me rakk diya par
aise raka ki mix na ho
jinko bus me rakna tha wo hus me baite gaye
ppoja bua- Avi suman tayyar haina
Avi- haa , chaliye
chachi to intzar hi kar rahi thi
tour ke samay jaisa aarengment kiyta tha ab bhi vaisa hi kiya
chachi vidhya aur mera saman car ke upar raka gaya
ppoja hua- deko sab yaad karo ki kuch chhut to nahi gaya , kyu ki ham.vapas
nahi aayenge
sab ne ek sath kaha ki nahi
ramesh uncle- to sab chalne ko tayyar hai
jatin uncle- saale saab aap na bus me baito ,vaha ka saman ka dyan bhi to
rakna hai

chacha- ye to main ne pahale hi socha tha ,
ramesh uncle- Avi aur rajesh kaha hai
Avi- hamari bike bhi tayyar hai
ramesh uncle- ab bus sidha shadi vali kothi me rukengi
raj- main ne to khane ka saman le liya hai
ramesh uncle- jisko bathroom jana ho abi jaker aav , kyu ki pahale der ho gayi
, vaha samdi intzar kar rahe honge
kavita- uncle aap green signal dika do
ramesh uncle- pahale car pir bus iske piche bike , kuch samam gir gaya to
najar rahengi
rajesh- uncle , ab hame chalna chaiye
pooja bua ne ijajat dete ham nikal pade kothi ki taraf
meri bahne to bus me thi to unki bate suru ho gayi
sab decite the
shadi bole to excitement to hoti hi hai
aur do family sath rahe to kya kahne ,
main ache bache ki tara bus ke piche ja raha tha
shahar2 aate bus se kuch jada hi aawze aa rahi thi
car aur bus ko saja kar laya tha to shahar2 ke log hame hi dek rahe the
ham jyoti bua ke ghar jane vale nahi the , na rohan ke ghar par sidha kothi oar
bus rukengi
matlab hamara hi intzar ho raha hai
shahar2 se 15 km dur thi rohan ka gaon
us gaon me unke dadaji ki kothi thi jaha shadi hone vali thi
gaon aate dur se hi kothi dik rahi thi
ab colour aur maintnce ka kaam karne se cham chama rahi thi
bus ki khidakiyo se sabke sar bahar nikal kar kothi ko dek rahe the
achi kothi thi

mere paisa se hi achi banayi varna bhoot mahal tha
hamri bus aate huye dekte vaha kothi me bhi halchal suru ho gayi
rohan ke papa ne pahale bata dita tha ki kothi me bas family member hi
rahenge jada logo ko mat lana
isi liye to bas bua aur chachi hi thi
baki mehman to hotel me rukenge
kothi ke samne bada gardan tha aur uske piche bu bahot jaga thi ,
kothi dekte sab kush ho gaye
sweta didi aur sital didi to sapne dek rahi hongi
bus kothi ke samne rukte hamea sawgat karna suru ho gaya
wo ladke vale the pir bhi hamara sawagat ache se kiya
ramesh uncle to apne samdi ke gale lag gaye
rohan sohan bhu the , wo to bas didi ko dek rahe the
didi ko jab laga ki rohan sohan gur rahe the to wo sharmane lagi
sohan ke sath uske dost bhi the
abi to ham aaye hai ,
dire dire sab se pahchan ho jayengi
ham to pahale unki khatirdari ka lut utane lage
sohan aur rohan to muze apne pass bulaya aur apne dosto se pahchan
karwai
dire dire ham un sab me ghul milne lage
aaj ka din to bas pahchan aur yaha khud ko settle karne me jayenga
tea nasta hote muze rohan ke papa ne ek list di
hame north side di gayi thi aur ladke vale south side me rahenge kothi ke
matlab kothi ki north side hamri thi
ye acha tha , ab is se kohi problem nahi hongi ,
muze bas room ke hishab se sabko aarenge karna tha
idar sab bate karbe me busy the
aur main ne sabke liye room select ki
sohan aur rohan to apne dosto ke sath shahar2 chala gaya
unke jate main ne bus se saman room me pahochabe laga ,
bacha gang 1st flour oar aur bade log griund flour oar , pooja bua bua ka room
bhu 1st flour pe raka taki ham par najar bhi rahe
is lambe safer ke bad sabaaram karne chale gaye
aur main lag gaya apne kaam me
Note-----
Intro
rohan sister- kajol
kajol ki nanad- trisha
rohan bhabhi- sangita
rohan mom- madubala
rohan
sohan
Sohan friend- jack
rohan ke papa
rohan ke bade papa
rohan ki badi mummy
rohan ki cousin sister -rekha
rohan ka cousin brother
shadi mubarak - anushka
Sara

ham shadi vali kothi me pahoch gaye
hamara sawagat jordar hua
unki jo demand thi main ne puri jo ki hai
pahchan aur khatirdari ka program lambha chala
ye unki taraf se thi khatridari , iske bad to sab hame hi karna tha
rohan ke papa- aap sab safer karke aaye hai to aaram kijiye ,
ramesh uncle- pahale sabko unka room dika dete hai , pir ye kothi dika kar
ham apne kaam me lag jayenge
rohan ke papa- vaise ham to kal hi kothi me aaye the , par aaj ham vapas apne
ghar ja rahe hai taki aapko aaj kothi ko ache se dekne aur shadi ki tayyari me
madat mile

ramesh uncle- sirf aaj vapas ja rahe hai ,
rohan ke papa- haa , kal se hamari family sath hi rahengi
rohan ke papa ne ijajat leke shahar2 ki taraf chale gaye
acha hua ladke vale nahi honge jis se aaj ham plan bana sakte hai
ramesh uncle- suno sab , abi to sab apna apna saman apne apne room me rak
lo , pir dresh hoker tik 30minute bad sab muze yahi milenge , main me kaha
sab
pooja bua- raj
raj- sorry maa , wo main kothi dek raha tha
ramesh uncle- to sab apne apne room me jav , neha tum niche ke room me
raho , main aur pooja upar rahenge
neha bua- ji jijaji ,
aur ham sab fresh hone chale gaye
pooja huaka room komal aur rani ke baju me tha , to bakiiyo ke room bhi aise
hi the
Avi- uncle
ramesh uncle- haa Avi
Avi- aap jyoti bua ko bulana to bhul gaye
ramesh uncle- bhula nahi hu , vaha pahale jate to time lag jata , ab yaha ka set
karte jyoti ko lene jaunga , ab tum bhi feesh ho jav pir bahot kaam karne hai
aur main apne room me gaya
Rajesh - bhaiya yaha to sab tayyar hi hai , bahar to log sajane lage hai kothi
ko

Avi- uska contract diya hai , tu bas dek rek karna
rajesh- aur
Avi- aur main jo jo bataunga wo karte rahna
bate kuch khas hoti hi nahi thi
jis se bhi bat karu wo yahi kahta ki shadi ki tayyari kaisi chal tahi hi
sab shadi ki bate hi kar rahe the
main to pak gaya tha
par kya karu sare kaam muze hi karne the
rajesh to fresh hone chala gaya aur main kothi ko dekne laga
kothi ki har ek jaga apne tara se dek raha tha
kitchen hall , gardan rooms , chhat sab par main ne apni najar ghumayi
rohan ke papa ne jo list di us hishab se sweta didi ke opposite me south taraf
rohan ka room rha
muze to maharaj ka room dekna tha
kitachen bada tha , yahi par shadi la khana bhi banaya ja sakta tha
kothi ke piche bada maidan tha aur pir khet chalu ho jate hai
kothi ke piche ki taraf ek chota ghar bhi bana hua tha shayad nukwro ke liye
honga

sorry sorry , yaad aaya , rohan ke tayaji yahi rahte the , kothi ki halat kharab
hone se wo is piche vale ghar me rahte the
par yaha to maharaj dik rahe hai
shayad maharaj yaha ruke ho
Avi- namste maharaj ji
maharaj- namste , tum sab kab aaye
Avi- ham to abi abi aaye hai , aap yaha , rohan ki family ko shahar2 gayi hai
maharaj-acha, kohi bat nahi , vaise bhi main aana jana kaha karunga
Avi- ye bhi tik hai , vaise aap is ghar me kya kar rahe hai
maharaj- main yahi rukta hu , jab bhi aata hu to yahi rukta hu
Avi*-0ar rohan ke papa ne to kaha ki
maharaj- muze shor sharab pasand nahi hai , aur har bar main yahi rukta tha
vaise tum ye sab kyu puch rahe ho
Avi- main aapko hi dund raha tha
maharaj- muze kyu
Avi- aapki bahan, hamare gaon ki panditain ne aapke liye kuch saman bheja
tha
maharaj- meri bahan ne , kya bheja hai
Avi- ek bag diya hai kaha ki aapko du ,
maharaj- bag kaha hai
Avi- mere room me hai , main thodi der bad lekar aa jata hu
maharaj- tik hai , usko bulaya ki nahi shadi me
Avi- panditain ke bina shadi kaise hongi , par wo yaha nahi aayengi , wo vahi
ke mandir me shadi karvane vali hai
mahataj- tik hai , tum kothi dek rahe the
Avi- haa , socha ki dek lu , ab aap mil gaye to aapki khatirdati ja intzam bhi
karta hu

msharaj- meri jaga ladke valo ki khatirdati karo , aur tum to meri bahan ke
sasasural se ho ,muze tumara dyan rakna chaiye
Avi- bas aapka aahsirvad mila yahi kafi hai
maharaj- achi bate karte ho
chalo maharaj se bat ho gayi
maharaj ko khush karne ke liye jaanbuz kar panditan ko kaha ki kuch gift
muzse apne bhai ke liye bhej do
maharaj is bat se khush ho jayenge
main pir se kohti ke chalker laga kar hall me aa gaya
sab mera hi intzar kR rahe the
pooja bua- Avi bhi aa gaya
ramesh uncle- Avi kaha gaye the tum
Avi- mahaaj se bat karne
neha bua- Avi ko kuch batana hi nahi padta , usne kaam suru bhi kiya honga
ramesh uncle- Avi tume to kothi ke bareme pata hai , main bakiyo ko dika kar
aata hu
Avi- aur main shadi mubarak valo se mil leta hu
ramesh uncle- unko thodi der bad haall me hi le aana jis se sab unse bat kar
lemge jus se aage jaker kuch bhi ptoblem huyi to unse bat kar sakte hai
Avi- ji ,
aur ham sab devide ho gaye
ramesh uncle kya dikayenge pata nahi
par main shadi mubarak valo se milne ke liye kothi ke bahar garadan me aa
gaya
kal se kothi me shadi suru ho jayengi to sab last finishing kar rahe the
matlab aaj shadi mubarak vale yahi mil jayenge
main ne anushka ko call kiya
anushka shadi mubarak ki head thi , aur sara zoya ki best friend thi
sara ne hi kaha kli anushka ko contract du , rohan ke papa ne jisko contrat
dene ko kaha uske jaga anushka ko contract dene se hone maraz ho gaye the
rhan ke papa , lekin badme unko samja diya , sara ki friend hai anushka to
mere liye uske sath kaam karne me asni hongi
anushka ko call kiya
Avi- hello

anushka- hello sir ,
Avi- main kothi me aa gaya hu , aur tumari tayyari complete nahi huyi
anushka- sab ho gaya sir bas last finishing kar rahi hu
Avi- dikav muze kya kya hua hai
anushka- aap kaho ho
Abi- tumare piche
aur anushka palat gayi
anushka- sir aapne to dara hi diya tha
Avi- tum muze mat darna suru karo ye bol kar hi kaam.nahi hua
anushka- sir ye aap kya bol rahe ho , is shadi me kohi kami nahi hone dungi
Avi-acha
anushka- aap hi dek lo , samay se pahale sara intzam kar diya hai
Avi- acha par aaj jo nasta mila wo tumari company ke reputation ka nahi tha
anushka- sir aapne kal se kaha tha , kal se ham.honge kitchen me , aaj to
ladko valo ne banaya hai
Avi- unko kyu banane diya , muze call karti
anushka- main yaha nahi thi , par aisa kal se nahi honga , ladko valo ko
kiychen me aane nahi dungi
Avi- ye last mistake honi chaiye , jo contrct me nahi wo bhi kwro , bad me fees
de dunga
anushka- ji sir
Avi- varna main sara ko call karunga
anushka-sara meri friend hai , usne kaha ki is shadi ko apne ghar ki shadi
jaisa samaj kar kaam karna , main vahi kar rahi hu aur sara bhi yahi hai
Avi- kaha

sara- tumare piche
Avi- ab muze dara diya
sara- tum kab se aaye ho aur muze call nahi kiya
Avi- main busy hu , par tum yaha kya kar rahi hu
sara- tumare bahan ki shadi hai to mere bahan ki shadi huyi , is liye main
anushla ki madat karne aayi , kohi to chaiye jo anushlka pe dyan rak sake
anushka- badi aayi muzpe najar rakne vali
sara- main ne tuze contract diya hai kya samji
anushka- sorry madam
Avi- mazak ho gaya ho to kaam pe dyan do
sara- Avi tum tension mat lo , main ne shadi tak chhuti li hai , zoya hospital
sambal rahi hai , main yaha hu anushka ke sath
Avi- thanks , tum rahogi to main relax ho salta hu
anushka- Avi , main aur sara sab sambal lene
Avi- yaha Avi mat kaho, sir kaho
sara- sorry sir
aur dono hasne lagi
anushka aur sara shadi ki tayyari dekni lengi
sara ke aane se muze sabse jada madat huyi
Avi- kaam to acha kiya hai
anushka-
Avi- ab chalo tume sab se milvata hu aur unko batav ki kab kya kaise plan kiya
hai
aur main anushka aur sara ko lekar sab ke pass aa gaya
ramesh uncle kitchen dika rahe the
Avi- uncle ek minute
ramesh uncle- kya hua Avi
Avi- sab meri taraf deko , ye hai anushka aur sara , shadi mubarak vale , shadi
ki tayyari aur planning inke taraf di hai , to kisi ko kuch bhi problem huyi ya
laga ki ye tik nahi hai to inse bat karna
anushka- hello , kuch bhi ptoblem huyi to muze batana main solve kar dungi
sara- shadi ke kis din kya aur kaha kaha function honge wo ham aapko bata
denge

sweta didi- aap to docter haina , haina mami
c chachi- haa , par ye shadi organise bhi karti hai apni friend ke sath
anushka- kothi dekte huye ye bhi bata deti hu ki naste me kya honga lunh aur
dinner , pir function ke bareme
Avi- uncle aap ab inko kothi dikane dijiye
ramesh uncle- ye tik rahenga
Avi- aap bhi dek lijiye ki plan kaisa banaya hai tab tak main shahar2 hoker aata
hu
c chachi- vaha kyu ja rahe ho
pooja bua- kya kaam hai Avi
Avi- main poonamm didi ko lekar aata hu ,
neeta hua- poonam par to main pahale guass karungi
sweta didi- Avi jaldi le aana poonam didi ko
ramesh uncle- tum car lekar jav aur jyoti ko lekar aana
Avi- aapko to khoti dekne me 2gante lag jayenge tab tak main didi ko lekar
aata hu
aur main vaha se jane laga
B chachi- meena dek Avi kaise shadi ke kaam kar raha hai aaj shalini bhabhi
hoti to unko Avi par naaj hota
C chachi- haa , Avi ko kuch batana hi nahi pad raha hai , sab apne aap kar
raha hai
B chachi- Avi ke matha choomne ka dil kar raha hai
c chachi- shadi ho jate aap usko pyar karte rahna abi anushka kya kah rahi wo
dekte hsi
aur sab shadi ka plan samajne lage
aur main chala poonam didi se bhulane

main poonam didi ko lane chala gaya
unke bina shadi me maza nahi aayenga
muze bhi unse mile bahot din ho gaye
ab to wo job karti hai us se din bhar poonam didi ko jyoti bua ka chehara
dekne ko nahi milta
poonam didi muze dek kar khush hongi par jyoti bua najare nahi mila payengi
main sidha poonam didi ke ghar gaya to meri najar unke pados ke ghar par
padi

jab bhi aata to ria zia ke ghar par lock hota tha
par aaj unka ghar khula hai
matlab wo bhi ghar par hongi , main unse mil lunga , unko acha lagenga ki
main unko milne aaya hu
pahale poonam didi se to mil lu
Avi- hello poonam didi
poonam didi- main tumare call ka inzar kar rahi thi ,tum sab ab tak aaye nahi
Avi- didi main to aa bhi gaya hu , door to open karo
aur poonam didi ne door khol diya
poonam didi muze dek kar khush huyi par wo mere piche dekne lagi ki kohi
aaya kyu nahi
poonam didi- Avi tum akele aaye ho ,mama mami kaha hai
Avi-wo kothi par hai , aur main aapko lene aaya hu
poonam didi- kothi par , par muze batata nahi
Avi-kyu ki sab aap par guass hai kyu ki aap gaon nahi aayi thi
poonam didi- meri job ke vajase aa nahi payi , par unko to muze lene aana
chaiye tha
Avi-main aaya hu na
poonam didi- tumari jaga mamaji aa jate to
Avi-wo aane vale the par wo sabko unke kaam bata rahe hai kal se shadi suru
ho jayengi , uncle tendion me hai thode ,, ab aap kohi drama karke tension
mat badana
poonam didi- tik hai , vaise bhi main ne packing karke raki hai ,
Avi-bua aur tumare papa
poonam didi- papa bhi ready hai
Avi-jyoti hua

jyoti bua ka naam lete poonam didi ka mood off ho gaya
Avi-aap mood off mat karo , jaldi se uncle aur aapka saman le aayo ,
aur poonam didi uncle ko batane gayi aur khud bhi tayyar hone lagi
lagta hai ab tak poonam didi ne jyoti bua we bat nahi ki
jyoyi bua ka aana bhi jaruri hai varna bada drama ho jayenga
main jyoti bua ko bulane chala gaya
deka jaye to jyoti bua aur uncle dono tayyari kar rahe the
chalo acha hai jyoti bua aa rahi hai , varna ramesh uncle shadi cancel kar
dete
inki tayyari me time lagenga tab tak kyu na chhat par ghum aau
main chhat par jane laga lekin pahale poonam didi ko bata kar chhat par chala
gaya
chhat par jaker main ria zia ko milna chahta tha
ager wo bhi chhat par huyi to chance hai mere milne ke
lekin ager wo chhat par nahi huyi to
ria zia ke liye chance le sakta hu
main chhat par aaker pahale ria zia ke chhat ki taraf najar gumayi
aaj aasaman me baadal hone se dup bhi nahi thi
to meri kismat achi thi jo chhat par ria ya zia me se kohi ek khadi thi
wo dusari taraf dek rahi thi
ria ya zia me se kohi bhi kyu na ho , chalo usko surprized deta hu
main chupake se ria zia ke chhat par chala gaya
wo abi tak dusari taraf dek rahi thi
main uske bilkul paas khada ho gaya aur usko kuch samaj jata us se pahale
uski kamar ko pakad kar uta liya aur gol gol ghumane laga
wo to shocked huyi aur chilaane lagi
uske is tara chillne se main ne usko chhod diya ,
aur jaise usne meri taraf deka to main shocked ho gaya
ye na ria thi na zia thi , ye to kohi aur thi
ladki- tumari himmat kaise huyi mere aath aisa karne ki aur tum ho khon
Avi- i am sorry ,

ladki- kya sorry , wk thhpad padenga tab samaj me aayenga , aur tum mere
chhat par kaise aaye
Avi- ye ria ka ghar haina
ladki- ye mera ghar hai aur khon ria
Avi- sorry , muze laga tum ria ho ,
ladki- tum us ria ki bat kar rahe ho jo hamse pahale yaha rahti thi ,
Avi- ab tum.rahti ho yaha par , kya tume pata hai ria kaha hai ab
ladki- muze nahi pata , aur agali bar dek kar mazak kiya karo , varna thappad
pad jayenga , deka main ne ki tum poonam didi ke yaha aaye the , is liye maaf
kar rahi hu
itna bol kar wo chali gayi
ye kya hua ,
ria zia to yaha nahi hai , pata nahi kaha gayi , ager mil jati to kuch bate hoti ,
is ladki ke bareme pata karna honga
main nirash hoker vapas niche aa gaya
poonam didi tayyar thi
poonam didi- Avi chalo
Avi- ho gayi tayyari galiya khane ki
poonam didi- main kya karti , job se chhutiya bhi nahi le sakti thi ,
Avi- ye sab sweta didi ko batana
poonam didi- main mafi maang lungi ,
Avi- chaliye pahale
aur main poonam didi ko lekar kothi aa gaya
jyoti bua ko dek kar kohi khush nahi hua siway ramesh uncle ke
par sab poonam didi par guass huyi
poonam didi - sital
sital disi- didi ye khon hai main nahi janti
kavita- aap khon hai

poonam didi- tum sab ka guass hona laazmi hai lekin main kya karti , college
hota to aa jati par job se chhutiya kaise leti , abi bhi chhutiya nahi li ,
sweta didi- main guass nahi hu , par ab aap yaha nahi ruki to guass ho jaungi
poonam - deko main saman leke aayi hu , ab muze maaf kar do
rani- didi aapko bahot miss kiya tha
poonam didi- muze bhi to tum sab ka sath acha lagta hai
komal- ab sab guass thuk do , shadi ke bad poonam didi sabko party dengi
poomam didi- jarur dungi ab to maaf kar do
kavita- pir tik hai lekin didi kis se sath rukengi
pooja bua- vidhya ke sath , aur raj tum na jatin uncle ke sath rahna
is bat par raj naraz ho gaya
vidhya to ab uski fav didi ban gayi thi
raj- muze nahi jana dusare room me
pooja bua-raj ab tum bade ho gaye ho
raj- to kya hua , main kahi nahi jaunga ager kisi ne jane ko kaha to gaon vapas
jaunga
raj ko manaa mushkil ho gaya tha
poonam ke papa-raj ko shift karne ki jarurat nahi hai , ham to bas milne aaye
hai , ham shahar2 hi rahenge , wo yaha se hai hi kitnu dur
ramesh uncle- par
poonam ke papa- sirf poonam yaha rahengi , aur hamare liye jo room raka
honga vaha poonam ruk jayengi
ramesh uncle- jaisa aap tik samaje ,
pooja bua- rajjjjjjj

raj ko jo chaiye tha wo mila , vidhya ke sath rukna tha
poonam didi ke aate sab khush ho gaye
poonam didi ko sab batane lage ki ab tak unno kya kya kiya
B chachi- Avi shadi ka intzam to acha kiya hai
Avi- aapko pasand aaya
M chachi- anushka ne jo jo bataya usko sunkar hi lag raha tha ki shadi kaisi
hongi , bilkup shaharo vali ameer logo jaisi hongi
Avi- shadi me ladko valo ko lagenga hi nahi ki ham unse kam hai
B chachi- wo to hai , anushka ne to bataya ki har din kya kya honga , sab kuch
sunker to tumari pooja bua khush ho gayi
Avi- is shadi ko kohi nahi bhulenga chachi,
B chachi- par uske liye to bahot kharch honga
Avi- chachi kharch jada nahi honga ,anushka ke sath jo thi usko aapne
oahchana nahi
B chachi- lag to raha tha ki kahi deka hai , ager usne apne baal khule kiye to
wo docter jaise lagengi
Avi- chachi wo docter hi hai , sara docter yaad aaya
B chachi- wo yaha kya kar rahi hai , wo to docter hai
Avi- docter to hai par anushka ko bAhan maanti hai , uski bhi madat karti hai ,
main jab unse bat karne gaya tha to wo sara docter ki friend hi nikali , pir meri
pahchan hone se paise kam kar diye , discount mila ,
B chachi- par discount kyu diya
Avi- sara docter na muze apne bhai jaisa maanthi hai , jab aap hospital me thi
to tab unno muze bhai bana liya , bhai banaya to wo khud shadi ka intzam dek
rahi hai

B chachi- ye to achi bat hai , deka us samay bhai ban gaya to aaj kaam aayi ,
aise kaam kiya kar , kaam karo fal ek din mil jata hai
Avi- ji
B chachi- wo sara docter vapas milengi to kahna main ne bhulaya hai , bacho
ko ek bar check up bhi karva dungi
Avi- ji , main abi bhejta hu , kya pata wo pir se hospital ke kaamo me busy ho
jaye
shadi ka intzam dek kar badi chachi khush thi
sara ko sabne pahchan liya tha
uska yaha jada rahna tik nahi tha jis se badi chachi ko bata diya ki sara muze
bhai maanthi hai , ab ye bat ramesh uncle aur pooja bua tak jayengi
matlab ab jab bill banaunga to wo samaj jayenge ki muze discount mila tha
aaj to sabko aaram mil raha tha
kal se kisi ke pass time nahi honga
pooja bua - Avi
Avi- ji bua
pooja bua- yaha to sab axha chal raha hai , tum rohan ko ek bar mil kar kyu
nahi aaye
Avi- kal mil lunga
pooja bua- rohan tume bahot kuch batata hai to ek bar puch kar deko ki kohi
kami to nahi rah gayi , ager kami rah gayi hongi to puri kar sakte hai
Avi- tik hai , main thodi der me nikalta hu ,
pooja bua- abi jav , aur raat ke khane ke samay vapas aa jana
Avi- ji

yahi hone vala hai
kabi idar to kabhi udar bhago
is bar bike ko kick maarte nikal pada shahar2 ki taraf
chacha to jyoti bua ke aate bacho ke sath busy ho gaye
chacha chachi ko kohi chance nahi dena chate the
dekta hu rohan kya kar raha hai
rohan aur sohan apne dosto ke sath bahar ghumne gaya thac
mere call aate dono ne muze apne pass hi bhulaya
main to rohsn ka friend ban kar hi baat karta hu
rohan sohan apne dosti ke sath chil maar rahe the
mere aate sohan ke dosto josh me aa gaye
jack - sohan ka dost
jack- lo sohan tumara sala bhi aa gaya
sohan- wo mera saal kam mera friend jada hai , uske sath tik se rahna
rohan- are Avi kuch kaam tha kya jo tum milne aa gaye
Avi- kaam to kuch nahi , bas thoda relax hona tha to socha tumse mil lu
sohan- kuch piyoge , bear bhulau
Avi- nahi , juice chal jayenga
jack- sohan tere saale to dood pila ,
aur sab hasne lage
sohan- jackkkkk
jack- aisa guasse se naam kyu le raha hai , saale ke sath to mazak hi kar sakte
hai , tera saala matlab hamara bhi to saala hua na
jack bahot hi hawa me ud raha tha
rohan- to Avi , tumne intzam acha kiya hai shadi ka
Avi- vahi puchne aaya tha ki kuch kami to nahi rah gayi
jack- ek kami thi

Avi- kya ?
jack- shadi me dood ki jaga sharab milti to maza aata , ham to dood nahi pite ,,
bas ek dood pite hai ager wo mil jaye to maza aa jayenga
muze jack par guass bahot aa raha tha
sohan- Avi iski bat ka bura mat maanna , isko mazak karne ki aadat hai
jack-tera saala bhi badiya hai jo dood pita hai , suna hai gaon me bhais bahot
hai bade bade boobs vali
rohan - sohan
sohan- lagta hai jack ko bear hi chad gayi hai , rohan tum alag jaker bat karo
aur rohan muze alag le gaya
rogan- Avi uski bat pe dyan mat dema
Avi- mazak to chalta hai , aur batav tum tayyar ho gaye ki nahi ghodi chadne
ko
rohan- haa , aur tumari tayyri dek kar to mummy bhi khush hai
Avi- yahi to sunna chahta tha
rohan- kal milte hai, kal aaram se bat karenge
aur main bike ke pass aaker kick mari to bike start nahi uyi
jack- sohan tera saal to gada nikala , dek kaise gadde jaise lath maar raha hai
iska to muh thod du lekin rohan sohan ke vajase chup tha
main pir se kick maarne kaga par bike start nahi ho rahi thi
jack- maar , maar , lagta hai dood nahi piya isne
aur sab hasne lage
rohan- Avi ek minute ruko
aur rohan ne silencer me fasa hua pather nikaal liya
sohan- jack
aur jack muzpe hasne laga
isko ek mazak samaj kar main bul gaya
aur ek jordar kick maari jiski aawz sunker hi jack ki hasi nikal gayi
main jack ka chehara dek kar man hi man me hasne laga aur race karne laga
bike ko
jack bhi samaj gaya ki ye punch par punch tha​
Next page: Update 373
Previous page: Update 371