Update 373


1st day
kothi me hamari pahali raat badiya cut gayi
nayi jaga adjust karne ke bajay nayi excitement ke vajse neend aayi
der raat tak meri bahane poonam didi ko apne kisse batane lagi
chachi aur bua me bhi lambhi bate huyi

main to raat hote so gaya kyu ki jack ne dimag ki maa bahan ek kar di thi
ab to jack ko dikaublnga ki dood ka power kya hota hai
bas shadi ho jaye pir jack ka muh thod dunga
nahi yaar , choti moti.mazak to chalti rahti hai
main ne jack se apna focus divert kiya
par neend jaldi nahi khuli
mere jaise meri bahno ka bhi haal tha
hamare der se utne se pooja bua aur ramesh uncle guass ho gaye
7 baj gaye par ham so hi rahe the ,
ramesh uncle guasse me aa gaye wo sab ke room ke door aise bajane lage
jaise thod hi denge
main to door ka aawaz sunte pahale watch check ki to samaj gaya ki kya hua
jab ham.ut kar haal me jama huye to ramesh uncle gusse me the ,
ham me se sirf raj fresh hoker baita tha , kyu ki uske pass vidhya thi
pooja bua- Avi aise shadi karvane vale ho
Avi- bua jada time nahi hua
ramesh uncle- ager ladke vale subha subha aa jate to
pooja bua- mzue tumse ye umid nahi thi
B chachi- Avi tum der se ut gaye to deko sab der tak sote rahe , tume to lead
karna chaiye tha

Avi- sorry , ye pahali nahi aakari mistake hongi
main bat kar raha tha ki choti chachi ne pooja bua ke kaan me kuch kaha
C chachi- Avi ko main ne der tak sone ko kaha , muze pata tha ki aap guass
karengi , is tara aapke naraz hone se Avi dubra shadi ke dino me mistake nahi
karenga , varna tarif sunte sunte kahi Avi badi galtiya na kar de is liye ye
drama main ne hone diya
choti chachi ki bat se pooja bua samaj gayi
pooja bua ne ramesh uncle ke kaan me ye bat batai
ramesh uncle- Avi ye aakri mistake samaj kar maaf kar raha hu ,
sab ne mere sath haa me gardan ghumai
neeta bua- deko raj kitni jaldi ut kar fresh ho gaya , raj ab tumari zimmedari ye
hai ki sab ko subha 7 baje se pahale utana , aur kohi nahi uta to uske upar
pani daal dena
raj- ye to ache se karunga , kavita didi aur leena didi se bahot badale lene hai
muze bhi is se sabak mila ki galti main bhi kar sakta hu
subha subha gali khate neend gayab ho gayi
aur ham fresh hone chale gaye
tab tak ramesh uncle kuch soch kar plan kar hi chuke the
fresh hote anushka ne sabke liye badiya nasta arrenge kiya , nasta kothi ki
piche ki taraf tha
rohan ke tayaji taiji aur unki beti beta yahi the to unke sath nasta karne lage
bade ache log the rohsn ke taiyaji aur taiji
nasta badiya banaya tha ,, aur jo chaiye wo tha
chacha khas dyan rak rahe the , unko to kuch item ka naam bhi nahi pata tha
par wo jor de rahe the ki khana best of best ho , khane ki jimmedari unke taraf
thi

anushka to chacha ke aawz se dar gayi par main ne sambal liya
nasta hote ham.apne apne kaamo me lag gaye
bas rohan ki family ke aane ka intzar tha
unka phone aa gaya ki wo nikal gaye hai kothi me aane ke liye
kal to rohan ki family ne hamara swagat acha kiya tha
to ham.bhi kaha piche rahne vale the
ramesh uncle isi vajase to guass huye the
ramesh uncle- Avi ab hamari bari hai unke sawagat karne ki
Avi- unse bhi acha welcome karenge
jatin uncle- anshka ko bata diya hai , wo phoolo se unka sawagat karne ka
intzam kar liya hai
neera bua- aur pani se unke pair do kar aarti bhi utar denge
B chachi- sath me unko aaj hamari taraf se gift bhi denge
pooja bua- tumari taraf se , main samji nahi
B chachi- sweta sital hamari bhi to beti hai , jaise aapne gift liye hai vaise
hamne bhi liye hai
neha bua- wo to main ne bhi alag se liye
jatin uncle- hamne bhi chote gift liye hai
pooja bua- par kab liye , aur itne sare gift kyu
neeta bua- unko bhi to dekne do ki hamri betiya laxmi.lekar unke ghar jayengi
ramesh uncle-tik hai aaj saale saab karenge swagat
C chachi- main gift laati hu
aur ham.unke welcome ki tayyari me lag gaye
wo sahi samay par aaye
ham bhi aarti ki plate lekar unka intzar kar rahe the
jjaise unki car ruki aur wo car se bahar aaye to unke pair phoolo ki chadar par
padi

ye sab dek kar to madubalaji khush huyi
rohan sohan to coat pahan kar aaye to aur wo bas didi ko dund rahe the par
didi chup kar thi
ladke vale phoolo ki chader par chal kar door tak aaye to pooja bua tayyar ho
gayi apne damad ki aarti utarne
sohan aur rohan ko iski aadat nahi thi par wo chup rah kar poojabhua ko unka
kaam karne de rahe the
unke pair dote huye wo manaa karne lage
maharaj- manaa mat karo ye to parampara hoti hai
aur B chachi ne dono ke hanto me gift rake
madubala- ye kya hai
B chachi- dulhan ki.mama mami ki taraf se gift hai ,
rohan sohan iske liye bhi manaa kar rahe the par unko lena hi oada
pir madubalaji aur sadmi ka swagat kiya
B chachi aur chacha ne unke hant me bhi gift raka
madubalaji sari dek kar dekti rah gayi , sari ke sath chandi ka chabi rakne ka
kuch to tha uska naam yaad nahi
ye sab to unke liye badiya hi raha tha
pir sangita bhabhu aur unka beta ka bhi swagat kiya
M chachi- sangita ji aapke liye to gift nahi liya , par is chote yuvraj ke liye ek
chota sa gift

aur seema chachi ne usko sone ki chian pahna di
pir rohan ki bahan kajol aa gayi apne pati ke sath
madubalaji ki ladli thi kajol aisa suna tha hamne
kajol bhi soch rahi thi ki usko kya milenga
choti chachi ne ek nekcles kajol ke hanto me raka
neckles dekte unki shakal dekne layak thi
pir baki mehmano ko sari aur shirt pice diya
is tara swagat karne se kal unno ne jo hamara welcome kiya wo fika lagne
laga
pahale din to madubalaji ka dil jit liya hamne
pir ham sab ek dusare se pahchan aage badane lage
hall me baite kar pir se ladkevalo ke sath nasta karne lage
rohan ke papa- aapne to pahale din hi gift diye
ramesh uncle- ye to dulhan ke mama ke raraf se the
madubala- matlab aapke taraf se bhi milemge
itni ameer hai pir bi lalchi hai
neha bua- dulhan ki mousi bhi
sangita- is sab ki jarurat nahi thi
C chachi- ham sab ek sath gift dete to , us se acha hai ek ek karke gift de rahe
hai

sangita- pir bhi , jane djiye , yuvraj to khush hai uske hone vali chachi ne gift
diya jai , haina mummyji
madubala- haa ,
kajol- mummy ye neckles muzpar acha lag raha haina
madubala- haa , pari lag rahi meri kajol
inki to bat chaiti rahengi
rohan - Avi ye sab gift a kya chakker hai
Avi- kuch nahi , mehmano ko gift dete hai , tum bas ab aadat daal do
sohan- pata nahi kya hai is box me
Avi- shadi ke bad kholna , tume jarur pasand aayenga gift main ne liya hai
sohan- lagta hai mummy ka dil pahale din hi jitne ka plan hai
Avi-aisa hi samaj lo
rohan- aur batav , sweta kahi dik nahi rahi hai
Avi- kuch din to dur raho , shadi ke bad to bas dekte rahna
rohan- mera wo matlab nahi tha ,
Avi- wo upar hai par vaha jana mat
sohan- saliya to yaha hai pir wo dono upar kyu hai
Avi- pata nahi , lo wo dono bhi aa gayi
sweta didi aur sital didi sari pahan kar aayi
rohan- ab samaja ki wo ab tak upar kya kar rahi thi , saas sasur ke samne ache
se aana chahti thi
Avi- jav apni saliyo ke pass
rajesh - jijaji , chaliye sab aapko bhula rahe hai
sohan- lagta hai ye shadi ke 7 8 din saliya tang karne vali hai
aur saliyo ke samne unke jijaji zuk gaye
bade logo ki mahfil alag saji thi to meri bahno ne alag mahfil banayi thi
kavita- jijaji hame aaye huye ek din ho gaya aur aap hai ki hamse bat bhi karne
nahi aaye

leena- aap to kah rahe the ki shahar2 aa jav aur ham to aa gaye par aapka pata
hi nahi hai
sohan- kal ka din to tumare adjust karne me gaya , aaj kaho kya karna hai
komal- ab ye bhi hame batana padenga
rohan- tumari pasand ko samajna hai aisa suna hai sweta se
rani- itni bhi mushkil nahi hoti , Avi to ankhion band karke gift leta hai
sohan- kya bat hai saali saheba to Avi ki bahot tarif kar rahi hai
rani- aisa kuch nahi hai , aur aap bat badal rahe hai
raj- jijaji smile
aur raj ne buch me aaker photo le liya
sohan- meri jaga tumari didi ka hoto lo , deko kitni khubsurat hai , jarur 1
ganta lagaya honga tayyar hone me
sohan ki bat par sital didi ne thoda guass dikaya
komal- 1 ganta lagana padta hai varna kya pata aap unki taraf kam aur sali ki
tarif par jada dyan do
punch par punch pad rahe the yaha par
rohan - trisha tum bhi kuch kaho
trisha- main kya kahu
kavita- jijaji inka parichya to diya hi nahi
sohan- kajol didi ki nanad hai , aur ye rekha mere taiyaji ki beti aur ye roshan
hai rekha ka bhai

leena- trisha didi , aap manegment kar rahi haina
trisha - tume kaise pata
kavita- aap jis tara baiti hai us se samaj gayi , hame bhi karna hai
sohan- ye dono to pir suru ho gayi
poonam didi- rohan jiju , saliyo ne to aapko gift diya par aapke taraf to gift
nahi mila
rohan- itni jaldi kya hai , abi to aayi ho ,gift bhi denge ,
raj- hame to abi chaiye
sohan- kya chaiye ,
rajesh-main ne suna hai ki is gaon me aapke khet hai , to aaj khet hi guma kar
aate hai
tohan- muze to is bareme kuch pata nahi hai , par rekha tum madat karogi
rekha- ji bhaiya , is se ham.bhi bhor nahi honge
komal- didi chale
sweta didi- maa se puch lo
Avi- main puch leta hu
aur main ne pooja bua se bat ki
thode mannae ke bad ijajat mil gayi
madubalaji ne bhi ijajat di par sangita bhabhi bhi sath chalengi
ye to acha mokka hai ghul milne ka
ijajat milte ham nikal pade khet dekne ke liye
rekha hame guide kar rahi thi
aur ham hasi mazak kar rahe the

hame rohan jiju ne khet ghumane ka vada kiya aur ghumane bhi le jane lage
par hame lunch tak vapas bhi aana tha
ijajat milte ham nikal pade kothi ke piche vale maidan ki taraf
rekha- ye maidan me bhi pahale kheti hoti thi
rajesh- to ab kyu nahi hoti
rekha- kothi ke paas kheti karne se saap bichu ka khatra tha , jis se yaha par
lheti karna band karke maidan jaisa bNa diya
rajesh- pir yaha par cow ko bhi rakte honge
rekha- haa rakte the , par shadi ke vajse unko dusari taraf baandh diya , aur
jab bhi rohan sohan bhaiya aate the to ham isi maidan par khelte the
rajesh- kya khelte the ,
rekha- kuch bhi , jo khelne ka dil kare
ham sab rajesh aur rekha ki taraf hi dek rahe the
achanak rajesh ne bat karni band ki
rajesh- kya hua , aise kyu gur rahe ho
leena- dek rahi hu ki aapko kheto me itna interest kaise ho gaya hai
aur has hasne lage rajesh par ,
rajesh to thoda sharma hi gaya
rajesh- leena tu gaon chal pir tuze batata hu , main to bas aise hi puoch raha
tha , aur khet dekne aaye hai to unke bareme hi puchenga na , ya puchu ki
yaha par cricket stadium kyu nahi banaya
rohan- rajesh to guass ho gaya
komal- rajesh ham bas mazak kar rahe the
tajesh- ab aap sab i u deko khet
aur rajesh ne headphone laGa liya aur sab se piche hokar chalne laga
rani- kohi bat nahi rekha tum hame bata do ,
aur rekha hame kheto ke bareme batane lagi
sangita bhabhi-khet ki hariyali to gayab ho gayi
rekha- bhabhi ab tak barish nahi huyi hai varna pure kheto me hariyali hi
hariyali dikti
poonam didi- pir to khet dekne me maza nahi aayenga
rekha- kyu nahi aayenga , khet ki dusari taraf aam aur dusare falo ke ped hai
vaha lekar chalti hu
raj- aam ka bagicha to hamare kheto me hai , itne aam lagte hai ki pet bhar jata
hai

rohan- raj ,pir to jaldi tumare aam ke baghiche me aana padenga ,
raj- main aapke liye pakke huye aam thod kar rakunga
rohan- pakke huye aam to muze chalenge , par rumari didi ko khatte aam
khana pasand hai
ab jisko iska matlab samaj gaya wo dire dire hasne lage baki sar khujate rahe
sangita- family planning ka naam suna hai ki nahu devarji , aur meri devrani
ko to main shika hi dungi planning kya hoti hai
sweta didi bas chupake chupake has rahi thi
trisha- yaha gaon me rahna kitna bhoeing hota honga summer me , deko kaise
madain hi maidan hai
leena- ham nahi hote bhor hamare dadaji ne summer ne bhor na ho is liye aam
ka baghich banake raka hai
aise udar udar ki bate karte huye aam ke pedo ke pass aa gaye
rekha- deko ,yaha par zule hai , pani , thandi hawa chalt hai ,
rani- zule , ab to zule ziune hi padenge
sangita- tum sabko jo masti karni hai karo main to baite lar tum sabko
dekungi

Avi- main aapko company deta hu
vidhya-Avi tum kab se budde ho gaye
Avi- inke sath bhi to rahna honga , varna kal ko sab kahenge ki dever ne
bhabhi ka dyan hi nahi raka , haina bhabhi
sangita- rohan sohan ke sath sath ek aur dever mil gaya
rani- vaise main kuch soch rahi thi
komal- kya ?
rani- ki yaha sirf do hi zule kyu hai
rekha- ek mera aur ek bhaiya ka
komal- rani tum to soch rahi thi ki main to dek bhi pa rahi hu ki do zule pe didi
baiti hai aur jiju unko zula zula rahe hai
sweta didi- bilkul nahi
poonam didi - rani aur komal ne sahi socha hai, aur ham yaha masti karne hi
aaye hai , aur sangita bhabhi kisi ko kuch nahi batayengi
sangita bhabhi-meri ankhion bas kothi jane tak band rahengi
na na karte huye sweta didi aur sital didi wk ek zule par baite gayi
sohan- aisi saliya sabko mile , kitna khayal rakti hai apne jijaji ka
aur jijaji didi ko zula zilane lage
didi sharma rahi thi par unko acha bhi lag raha tha
baki sab iska maza lene lage

raj to is hasin moment ko camera me kaide karne laga
rajesh to ab gaane sunne me busy tha
lekin rekha bich bich me rajesh ki taraf dek leti
sangita bhabhi- pedo ki chava ke niche aaram karne se sukun milta hai
Avi- sahi kaha, wo log bahot lucky hote hai jinke pass khet hote hai
sangita bgabhi-tum nahi khel rahe ho unke sath
Avi- rohan sohan ko uski saliya chhodengi nahi , aise me main bhi gaya to wo
shadi ke mandap se bhag jaye
sangita bhabhi- achi bate karte ho , vaise aaj pahale din hi gft kyu diya
Avi- suna hai rakhsh ki jaan popat me hoti hai aur madubalaji ki jaan unki beti
me hai ,
sangita bhabhi -idea acha tha , pir bhi dyan rakna ek choti si gadbad bada
drama suru kar sakta hai
Avi- aapki bat yaad rakunga
kavita- jijaji aap to didi ko zula ache se zula rahe ho
sohan- practice ki hai ,
leena- kyu ?
sohan- choti sital ya chota sohan aayenga to unko bhi to zulana honga
sital didi- bas bas
sohan- kyu kya hua ,
sital didi- kavita leena tum aa jav
sweta didi- trisha tum baito aur raj tum ,
aur baki sab bhi zule zulne lage
rekha sab ka enjoy karva rahi thi
sohan - tum aaj bahot jada jada jada jada khubsurat lag rahi ho
sital didi - tabi itne gur rahe the
.
sohan-itni bijali mat girav varna main shadi se pahale sugagraat na manaa lu
sital didi- kuch din control nahi rak sakre , aab tume aisa gurta huya deknge to
kya sochenge
sohan- yahi kahenge ki main tumse kitna pyar karta hu jo bas tume hi dekna
chahta hu
sital didi- ab apni saliyo ke pass jav ,bhabhi idar hi dek rahi hai
bhabhi ke dekte sohan vapas apni saliyo ke pass gaya
rohan- sweta i love you
sweta didi- i love you too
rohan- ek kiss milenga
sweta didi- ek thppaad mil sakta hai chaiye
rohan- tum subha se meri jaan le rahi ho ,
sweta didi- bhabhi dekiye rohan kya kah raha hai
sweta didi aisa karengi socha nahi tha ,
rohan to vaha se gayab hi ho gaya
sangita bhabhi- kya hua devrani
sweta didi- kuch nahi ,

vidhya- ab hame chalna chaiye
rani- kuch der rukte hai
vidhya- lunch ka time ho gaya hai
komal- abi sab zule kaha zule hai , rajesh baki hai , rekha rajesh ko aawz dena
rekha to is se thidi hadbada gayi
par rekha rajesh ke pass gayi
rekha- rejesh tume bhula rahe hai
rajesh ne hamari taraf deka to sab has rahe the
rajesh - to aaj muze tang karne ka socha hai
rohan- ab bas bhi karo
rajesh - kohi bat naHi jiju , sab mere vaise has rahe to yw achi bat hai , hasna
acha kaam maana jata hai
leena- is bat par ek photo ho jaye
raj- group photo lete hai
ek badiya sa group photo le liya
raj- ab didi aur jijaji ka photo
rohan-chotw saale saab ne kahi laakh paate ki bat
raj ke kahte rohan sweta didi , sohan sital didi ke photo le liye
kavita leena ne didu ko ishare karke tang kiya to har bar photo bigad jati
lekin finaly ek acha photo le liya
rekha- to ye hai hamare khet , yaha se jaha tak najar jati hai vaha tak hamare
lhet hai

Avi- bahot zameena hai
sohan- mat pucho , hame yaad nahi ki kaha kaha zameen hai
sangita - chalo ab ,varna sab ko khane me galiya khani hongi
khet me kuch karne ko tha hi nahi
bas bato se ek dusare ko ched rahe the .
rohan ke taraf kohi jada frank nahi tha
par meri bahan to jijaji ka sath hi de rahi thi aur shikayt bhi kar rahi thi
abi to hasi mazak ki suruvat huyi hai
ham tik lunch time par kothi pahoch gaye
rohan ke papa ne aaj lunch par kuch family friend ko bu bhulaya tha
unke aate unki pahchan karvai didi se
rohan ke family friend ne didi ki bahot tarif ki
lunch to kafi lambha chala
anushka ne mere muh se tarif nikaal hi li
anushka ne kohi bhi kamiya nikaalne ko jaga hi nahi chhodi thi
dopegar to lunch me na nikal jaye aisa lag raha tha
kohi na kohi group bana kar bat kar hi leta
sangita bhabhi to hamare sath hi jada rahti
shadi jaisa lag hi nahi raha tha
aisa lag taha th ki do famiky picnic mana rahi hai
rohan sohan ki natkhat saliya mili thi ki kya batau
rohan sohan ko saliyo se fursat hi nahi mil rahi thi
kavita leena to muzse bat hi nahi kar rahi thi
main to unke sath hamesh rahta hu , abi to jijaji ke sath ye shadi ke kuch din
badiya bitane the
rani aur komal bhi ache se khichai le rahi thi jijaji ki
main to unke sath rahne ke sath sath baki chizo oar bhi dyan rak raha tha
jo bhi rohan ke papa ke mehman aate unse pahchan ho jati
hamne bhi apna standaed ucha banake raka tha

2 din to bas do famil aapas pahchan badane vali thi
rohan ke family friend sepahchan hongi
uske bad shadi ke rasme chalu hongi
is liye ek anokhi shadi hame dekne ko mil rahi thi
aaj ki dopehar to khet dekne me chali gayi
uske bad sweta didi sital didi ko rohan ke family friend se bate karne me busy
rahna pada
to main thode time ke liye free ho gaya
main free kaise rah sakta hu
main 1sst flour ki balcony me khada hoker shadi ka mandap dek raha tha
muze is tara akela dek kar rohan ki bahan kajol mere pass aa gayi
Avi- aap yaha

kajol-tum Avi , sweta ke bhai
Avi- aur aap rohan ki badi bahan ,
kajol-tum yaha aise akele kyu ho , kya soch rahe ho
Avi- kuch nahi , thoda relax hone aa gaya
kajol-karo relax , vaise ye neckles muze pasand aaya
Avi- ye to achi bat hai
kajol-par jo sari di wo kuch khas nahi lagi , us se behtar sari li ja sakti thi
Avi- aapji jo pasans thi vahi sari li hai , rohan ne kaha ki aako pasand aayengi
kajol-rohan ne kaha, tik to thi par best nahi thi
Avi- aapko sari pasand nahi aayi , kohi bat nahi abi aur gift milne vale hai vaha
aisi mistake nahi hongi
kajol-aisi mistake na ho is liye jab sari longe to muze puchna
Avi- sorry aisa nahi ho sakta, gift to le liye par main dyan rakunga ki aapko
best me se best gift mile
kajol-dekti hu kitna dyan rakte ho ,
aur lalchi kajol muzese bat karke chali gayi
sabse mahangi aur achi design vali sari thi
par usko aur badiya chaiye to ham kya kar sakte
kajol ko jata huye to deka par uske piche trisha ko bhi deka
trisha kab aayi thi
hongi kahi piche khadi ,

main ne usko ignore kar diya
kajol ko ye sari vali bat chachi ko batani thi tab kuch ho sakta tha
next time main dek lunga ,
balcony me thodi der relax ho kar main niche chala gaya
niche hall me aur gardan me group bane hute rhe
rajesh kahi dik nahi raha tha ,
abi bas aise bate ho rahi thi
main kavita leena ke pass gaya
Avi- tum dono yaha akele kyu baiti ho
kavita-bhaiya ham thoda aaram kar rahi hai
Avi- tum dono ko aaram ki kya jarurat hai
leena- abi tak didi ke sath sath thi , aur itne bari dress pahan kar din bhar
rahna thaka deta hai
Avi- acha , par shadi me to ye chalta hai
kavita- vaise ye aapne jo dress pahna hai wo main liya tha
Avi- tumane diya hua gift hai , muze pata nahi tha , tum sab ke gift ek sath
rake the ,
leena- kal mera dya hua dress pahna ,
Avi- wo chhodo ye batav komal kaha hai wo kahi dikai nahi de rahi hai
kavita- sohan jiju ne bhulaya tha unko to wo gardan me hongi
Avi- par rani to yahi hai
leena- rani disi ko sweta didi ne unke pass rok liya tha
Avi- tik hai , vaise tumne apni saheli ko invite kiya ki nahi shadi me
kavita- wo to sangit ke din hi aayengi
Avi- itne jaldi , aur tumne bataya kyu nahi
leena- bhaiya shadi ke itne pahale to jada mehman nahi aayenge jis se unko
bgulaya taki sangit mehndi haldi ke program best ban jaye
Avi- ok ok , tum unko call karle pucha ki kitne aa rahe taki unko adjust kiya ja
sake

kavita- tik hai bhaiya
Avi- tum apna kaam karoal aur anushka ka thoda dimag to kha lo ,
leena- anushka madam to hame dekte bhag jati hai bahana bana ke
Avi- aise thode chalta hai , tume kya kaam diya tha ramesh uncle ne
kavita- abi anushka madam ko pareahan karna start karte hai
aur dono ko main ne kaam me laga diya
aur main gardan ki taraf jane laga
rohan sohan to didi ke sath the bua aur uncle ke sath bate ho rahi thi
pir komal kaha hai
main gardan me chala gaya
gardan me aakar main komal ko dundne laga
komal to lakho logo me bhi pahchan sakta hu
par komal ke sath ye khon khada hai
komal kis se bat kar rahi hai
main komal ke pass jane vala tha ki sangita bhabhi ne aawaz di
sangita bhabhi- Avi idar aana
inko bhi abi bhulana tha
Avi- ji

mera dyan komal ki taraf hi tha
sangita- Avi , ye jewellary sweta sital ke liye li hai
Avi- aap muze kyu dika rahi hai
sangita- tumne aaj gift diye to hamne bhi socha ki aaj sweta sital ko kuch diya
jaye
mera dyan komal ki taraf tha
komal ka is tara kisi ladke ke sath bat karna guass dila raha tha
ya kahu to jalan ho rahi thi
komal ka is tara has has kar bat karna muze bilkul bhi acha nahi lag raha tha
sangita bhabhi - Avi main kab se bat kar rahi hu aur tumara dyan kaha hai
Avi- main to , jewelaary achi hai
sangita bhabhi- main sweta sital ko dika deti hu
Avi- jaldi dika dijiye
muze sangita bhabhi ko bhaga kar jaldi komal ke pass jana tha
sangita bhabhi- nahi , raat me dika dungi vaise bhi ham sab yahi par hai
mera dyan abi bhi komal ki taraf tha
muze dekna tha ki ki wo ladka khon hai jo komal se bat kar raha hai
kaise komal thodi alag huyi to muze us ladke ka chehara dikai diya
ye to jack hai

jack ka is tara komal ke sath bat karna acha nahi laga
kal jack ki bato se muze samaj gaya ki wo kaisa ladka hai
aur wo komal ke sath flirt kar raha hai ye bat komal ko pata nahi hongi
muze to guass aa raha tha jack par
Avi- bhabhi ek minute main abi aata hu
sangita bhabhi ki ijajat lene se pahale main komal ki taraf jane laga
main guaase me tha
muze apne yaraf aate huye jack ne dek liya
is liye jack bat badalna suru kar di
komal- Avi tum ,
jack- hi ,
Avi- komal tume rani bhula rahi hai
komal- muze jana honga , tumse at karke acha laga jack
is bat ne to mere guasse ko aur bada diya
aur komal vaha se jane lagi
komal ko jate huye jis tara jack dek raha tha wo bhi muze acha nahi laga
jack jaanbuz kar mere samne komal ki back ko gur gur ke dek raha tha
( aaj pahali bar ye ahsas hua ki jab main kisi aur ki bahan ko ause gurta hu to
usko kaisa lagta honga )

jack se direct bat karma tik rahenga
ager jack kuch jada hi aage bade us se pahale bat clear kar du
Avi- jack , komal se dur raho , dubara us se bat karne ka sochna bhi mat
jack- cool ho jav , main bas bat hi kar raha tha tum to guass ho gaye
Avi- tum kya kar rahe the muze pata tha , jada bhole mat bano
meri bat sunkar uske chehare pe jo evil smile thi wo mere under aag badaka
rahi thi
jack- main to tume bhola samjta tha par tum to samjdar nikale
indrectly insult kar di meri jack ne
Avi- deko jaxk main last time bol raha hu tum us se jitna dur rahoge utna acha
honga
jack- nahi rakunga to kya karenga
iski to
main kuch karne ka soch raha tha ki udar se sohan aa gaya
aur jack evil smile dete huye sohan ke sath chala gaya
muze jack pe bahot guass aa raha tha
komal rani se milkar vapas aa gayi
komal- Avi rani ne to muze nahi bhulaya tha
jack ka guass kisi na kisi par to nikalna hi tha
aur komal ne jack se bat kyu ki
Avi-tume akal hai bhi ya nahi
komal- kyu kya hua
meri aawz uchi thi jis se komal thodi dar gayi
Avi-thoda to logo ko samajne ki kosish kiya karo , khon kaisa hai ye dek liya
karo

komal- kya hua , muE samaj me nahi aa raha hai ki tum kahna kya xhahte ho
aur itna guass kyu kar rahe ho
Avi-tum kya kar rahi thi jack ke sath
komal- to ye bat hai ,main to bas bat kar rahi thi
Avi-has has ke khonsi bat ho rahi thi
aisa pahli bar hua ki main jal raha tha
shayad komal meri biwi hone se aisa ho
varna main soxh samaj kar bat hadle karta hu par komal ke liye aisa kyu ho
raha tha ye samjna mushkil tha
komal- tume jalan ho rahi hai
Avi-jalan nahi muze tumari fikar ho rahi hai , wo ghatiya ladka hai
komal- main to bas bat kar rahi thi
Avi-aisi khonsi bat karni thi jo akele aa gayi , rani ko sath me rakti ,
komal- rani busy thi , aur sohan jiju ne muze bhulaya to aana pada
Avi-sohan ne milvaya jack se
komal- nahi mere aane tak sohan jiju kahi aur chale gaye the , unke aane tak
jack se bat kar rahi thi

Avi-tume kab samaj me aayenga , jack ne khud tume bhulaya tha , usne zut
bol kar tumse bat karni chaiye itna bhi nahi samji
komal- to isme bura kya hai , wo jijaji ka dost hai
Avi-dost hai par uske irade kharab hai
komal- kaise irade
Avi-tume jaane ki jaeurat nahi hai , aur dubara us se bat ki to muzse bura kohi
nahi honga
komal- itna guass kyu ho rahe ho
Avi- kyu ki tum meri girlfriend ho
komal- pir bhi tum muz pe shak kar rahe ho
Avi- shak nahi tume jack se dur rahne ko bol raha hu
komal- par itna guass kyu kar rahe ho
Avi-jitna kaha hai wo karo , dubara jack se bat karte huye bi deka to ......
aur main vaha se jane laga
muze jack par bahot guass aa raha tha
par komal ko samajna chaiye tha
usko ladko ke irado ka pata lagana sihkna chaiye
jack ka kuch karna chaiye
muze komal par bgi guass aa raha tha
komal ka uske sath has kar bat karna
main bardast hi nahi kar raha tha
komal se bhi gusse se bat ki
aur apna dimag santh karne ke liye apne room me chala gaya
pata nahi komal ko mera guaaass karna kaisa laga honga
lekin abi to mera dimag garam tha​
Next page: Update 374
Previous page: Update 372