Update 417
zamindar-thakurji ke taraf se aaye ho to kuch sochna padenga par tum thakurji ke gaon kyu nahi
gaye
jaysingh- vaha ke zamindar se bi mila , unno bahot kuch bata diya lekin mere dimag ko aur chaiye
zamindar-tik hai , kuch karta hu , par jada umid mat takna
jaysingh- thoda bahot info mil gayi to bhi kaam chal jayenga
zamindar-mil jayengi ,chalo tumko meri family se milvata hu
jaysingh- chaliye
zamindar-ye meri biwi , ye bada beta , ye chota beta , suno Mamta kaha hai
jaysingh- mamta khon
mamta = rani ki mummy
zamindar-meri beti ,
aur zamindar ki beti aa gayi
zamindar ki beti to dekne me bahot sundar thi , aur uske haav bhav se lag raha tha ki padi likhi
hai
mamta ki khubsurati me kho sa gaya
jaysingh pahli bar to mamta ko dekta rah gaya
pahali bar aisa hua ki jaysingh ki najar kisi ladki pe jaker ruk gayi ho
jaysingh- namste
mamta-hi ,
jaysingh ne jaisa socha vaisa paya , mamta padi likhi aur naye vicharo vali hai
zamindar- hamare ghar me sabse jada padi liki hai , BBA kiya hai
jaysingh- ye to achi bat hai , main ne engineering kiya hai
mamta- pata hai , aapko khon nahi jaanta hai
zamindar- tum janti ho jaysingh ko
jaysingh mamata ki bat se dar gaya kahi mamta sabko sach na bata de
jaysingh- newspaper me pada honga ,
zamindar- beti ye kitab likne aaye hai , inki madat kar dena
mamta-kitab , acha mazak karte ho aap
mamta jaysingh ka raaz khol deti us se pahale jaysingh zamindar ke sath bahar chala gaya
jaysingh- ghar me to bate hoti rahengi , chaliye aapke khet dekte huye bat karte hai
zamindar-maaf karna , muze ek kaam se shahar3 jana hai , mamta beti
mamta- ji pitaji
zamindar- jaysingh ko apne khet dika do , aur jo jankari chaiye wo bata dena, meri beti aapki
madat kar dengi , hamse jada yahi janti hai
jaysingh- sukriya
aur zamindar apne beto ke sath bahar chala gaya
shayad zamindar ko jahsingh par shak hua ho aur wo shahar3 gaya ho sach jaane ko
jaysingh- to mamtaji chale
mamta-mamtaji nahi sirf mamta
jaysingh- pir to aapko muze jay kahana honga
mamta-to chaliye aapko khet dika du
aur dono kheto ki taraf badh gaye
jaysingh- aap ne bba kiya hai , shahar3 se kiya hai
mamta-haa, lekin meri samaj me nahi aaya ki muskaan company ke malik ko kitab likne ki jarurat
kya pad gayi
jaysingh- kyu ki ek zamindar ne muskaan company ke worker ko unki progess se dur raka hai ,
mamta-to is liye zut bolke aaye ho
jaysingh- zut ache kaam ke liye bola jaye to isme burayi kya hai
mamta-aap mere pitaji ke kilaf ladh rahe ho
jaysingh- main to logo ki bhalai ka soch raha hu
mamta-kheti se dur kar ke aap apni bhalai soch rahe hai taki aapki company chalu ho jaye aur
aapko profit mile , pir worker ko din raat kaam karvake unka khoon nichod le
jaysingh- aisa nahi hai, main apne liye sochta to thakurji ko kah ke aapke pitaji pe dabav
daalsakta tha , lekin aisa nahi kiya, main to chahta hu ki jo worker company me aana chahte hai
wo aa jaye aur jinko gaon me rahna hai wo gaon me rahe
jaysingh- aur rahi bat worker ka khoon pine ki bat to shayad aap ne mere bareme tik se padha
nahi hai
mamta- college me to aaj kal aapki bate ho rahi hai ,
jaysingh- pir bhi tum muzpe shak kar rahi ho ki main apna profir dek raha hu
mamta-aap nahi par aapke patner ki bat kar rahi hu
jaysingh-company ka naam jab tak muzse juda hai tab tak tum worker ki tension mat lo
mamta-isi liye to ab tak pitaji ko aapka sach nahi bataya ,
jaysingh- sach ek din bahar aa jayenga , par is gadi ke liye sach chupane ke liye sukariya ,
mamta- sukriya badme kahna par kya main ye jaan sakti hu ki worker aapke company me kyu
aayenge , unko kya faiyada honga
jaysingh- vaha unka future ban jayenga , saal bhar job milengi aur dusare company ke mukable
ham.achi salary dete hai , tabi to panchayat ne hamare khilaf natiza diya hai
mamta- ye sab muze pata hai , aur kuch naya ho wo bata do
jaysingh- hospital , kam daam me rashan , bonus , bacho ke liye college
mamta- ye sab kab start honga
jaysingh-jaldi , muz pe trust kar sakti ho tum
mamta-main to aap pe trust kar lungi pur bhi pitaji ko ye bat pata chalengi to aapke liye acha nahi
honga
jaysingh- kya karenge
mamta-aapko gayab bhi kar sakte hai
jaysingh- aisa na ho is liye thakurji ka naam istmal kiya hai ,
mamta-pir bhi sambale rahna
jaysingh- ager aap nahi batayengi to aisa kuch nahi honga ,aur aap bba kar chuki hai aap hi
bataye ki logo ki bhalai kisme hai
mamta-gaon vale ki sunu to aap sahi hai
jaysingh- to aap mera sath dengi
mamta-main to sach ka sath deti hu
jaysingh- achi soch hai aapki , aap job kyu nahi karti , aap ke liye ek achi job hai mere dimag me
mamta-karna to chahti hu par pitaji karne nahi de rahe hai
jaysingh-job karni chaiye , aap achi progress karengi ,
mamta-dekti hu lijiye ham kheto me aa gaye
mamta- yaha se jaha tak najar jati hai sab hamara hi hai
jaysingh- itni zameen hai aapke pass
mamta-haa , gaon ki aade se jada zameen hamari hai itne bade kheto me worker to chaiye
jaysingh- par bhudaan ke bad bhi itni zamin kaise rah gayi aapke pitaji ke pass
mamta-muze kya pata
jaysingh- mere dadaji aur pitaji ne to bahot si zameen gaon valo ko de di thi , hamare pass ab jada
zameen nahi hai
mamta-sab aapke jaise nahi hote
jaysingh- wo chota se khet alag lag raha hai
mamta-wo hai ek kisaan ka , hamare kheto me bich me fasa hua ek tukda hai wo ,
jaysingh- ye to aman ka khet haina
mamta-aap jante hai aman ko
jaysingh- haa , acha ladka hai , usne hi aapka ghar dikaya
mamta-aapko aman acha laga , aap pahale insaan ho jisne aman ke bareme aisa kaha varna gaon
vale to usko bura hi bolte hai
jaysingh- kyu ?
mamta-kyu ki uski cast aisi hai
jaysingh- tum to padi likhi ho pir bhi ye kah rahi ho
mamta-main nahi gaon vale ,
jaysingh- chalo aman se bat karte hai
mamta-aap hi jaiye main yahi rukti hu
jaysingh- kyu , aman aapko bhi vaisa hi lagta hai
mamta-ji nahi ,
aur dono.aman ke kheto ke pass aa gaye
aman khet me kaam kar raha tha
par jaise jaysingh aur mamta dikai diye to aman bhag kar unke pass aaya
aman- jay saab aap , aur mamta malkin aap, aaj hamare kheto me
mamta- tume kitni bar kaha hai ki muze malikn mat kaho
aman- malikn na bolne par 2 chabuk pade the
mamta- kisne maare
aman- aapke bade bhai ne ,
mamta- muze bataya kyu nahi
aman- kya batata , aapke bade bhai ko pata chalta to aur pitai ho jati
mamta- pir bhi main bade bhaiya se bat karungi
mamta-kab mara tha aur muze bataya kyu nahi
aman- jane dijiye
mamta- aise kaise jane du tum mere dost ho
aman- aap aisa samjti hai lekin aapke ghar vale nahi
mamta- unke samajne ya na samajne se kya hota hai , hamari bachpan ki dosti aise thodi tut
jayengi
aman- aap abi tak muze dost samajti hai ye mere liye khushi ki bat hai
mamta- tum nahi samajte , hamne pura bachpan sath bitaya hai
aman- aapko sab yaad hai muze laga shahar3 jaker sab bhul gayi hongi
mamta- kuch nahi bhuli main
aman- acha , aapko yaha aaye ek hafta ho gaya lekin aap ab milne aayi hai
mamta- tum.bhi to nahi aaye
aman- main aapke ghar aata to dhakke maarker nikaal dete hai
aman- aaj bhi aaya tha
mamta- meri galti hai muze khet me aana chaiye tha tumse milne
aman- kohi bat nahi
mamta- aur ye aap aap kah ke kyu bol rahe ho , ham dost hai
aman- jaysaab ne kisi ko bata diya to
mamta- sorry sorry , main to bhul hi gayi ki aap hai yaha par
jaysingh to mamta aur aman ki bate sunte rah gaya
dono itne kho gaye ek dusare ko bat karne me ki kya batau
jaysingh ko samaj nahi aaya ki ye dosti hai ya kuch aur
mamta- jay ye aman hai
jaysingh- main mil chuka hu
aman- jay saab aap khet dekne aaye hai
jaysingh- haa chalo tum bhi hamare sath
aman- nahi nahi, kisi ne dek liya muze mamta ke sath to gadbad ho jayengi
jaysingh- main hu sath me
aur aman bhi jaysingh ke sath chalne laga
mamta jaysingh ko kheto ke bareme bata nahi rahi thi
bas mamta aur aman ek dusare se bat kar rahe the
alne bachpan ke dino ko yaad karne lage
kaise dono kheto me milkar khelte the
gaon valo se bach kar maza masti karte
aam thodna , pedo par chadna , idar udar ghuma , naadi me nahana ,
jaysingh ko bhi unki bate achi lagne lagi thi
jaysingh bhi unki bato ko enjoy karte huye apne bachpan me kho gaya
mamta aman shayad bahot dino bad mile the
mamta bba complete karke aayi thi jis se unki bate khatam hi nahi ho rahi thi
teeno ek ped ke bich baite gaye
jaysingh bas sunta raha unki bate
dopehar se sham.ho gayi par aman aur mamta ki bate khatam nahi huyi
aaj kahi jake dono ko milne ka mokka mila tha
aman aur mamta ka milna hota hi nahi tha
lekin jaysingh ke vajsw wo dono pir se mil gaye
jaysingh jo jaana chahta tha wo kuch pata nahi chala
jaysingh bhi unki bato me dilchaspi le raha tha
jaysibgh- tum dono ki bate khatam nahi hongi par sham ho gayi
mamta- maaf karna , par bachpan ko yaad karte sab bul hi jati hu main , aman ke sath bachpan
yaadgar ho gaya tha
aman- jaysaab aapke vajase pir se bachpan jine ko mila
jaysingh- ham kal pir aayenge ab chalate hai
aur mamta ne aman ko alvida kaha aur ghar aa gayi
raste me mamta bar bar palat kar aman ko dek rahi thi
bate jaysingh se kar rahi thi par jaha tak ho sake wo palat kar aman ko dek leti
aman to statue ban kar khada tha aur memta ko khud se dur jate huye dek raha tha
jaysingh ko aaj bas mamta aur aman ki dosti ke bareme pata chala
mamta jaysingh se khush thi uske vajse aman se milne mila
varna aman se mulakat hoti nahi thi mamta ki
hamesha dar laga rahta ki kisi ne aman ke sath bat karte huye dek liya to gadbad ho jayengi
aman bhi khush tha aaj
par jaysingh ka kohi kaam ho nahi paya
raat me zamindar se achi bate huyi
raat ke khane ki davat ki bahot tarif ki jaysingh ne
mamta ne khud banaya tha khana
jaysingh- aaj ke khane se mere maa ki yaad aa gayi , bahot teasty tha
zamindar- meri beti ne banaya hai , mamta padne likhne ke sath sath ghar ke kaamo me bhi aage
hai
jaysingh- padai me hote huye khana bhi bana leti hai ye achi bat hai
zamindar- meri beti sab kuch karti hai , sabhi gunno ki devi hai
jaysingh- aaj ke khane ke liye sukriya , maa ki yaad aa gayi
mamta-isme sukriya ki kya bat hai , aap hamare mehmaan hai
zamindar- khana to ho gaya chaliye ghum kar aate hai
jayaungh- chaliye , aapse bhi kuch bate ho jaye
aur jaysingh zamindar ke sath ghumne nikal pada
zamindar- to dek liye khet
jaysingh- haa lekin abi aur dekna hai ,bahot zameen hai aapne pass
zamindar- puravjo ka diya hua hai ,
jaysingh- achi kheti hai , par kya aap summer me bhi kheti karte hai
zamindar- haa , naadiya hai kheto ke pass
jaysingh- ye to achi bat hai , par main ne suna hai ki yaha company ke vajse worker ka problem
hua
zamindar- hua to hai lekin main ne sambal liya
jaysingh- wo kaise
zamindar- wo badme batata hu , lijiye khet ka ghar aa gaya
jaysingh- yaha kyu laye hai
zamindar-chaliye to aap khud dek lena
aur jaysingh under gaya to under mahfil saji thi
zamindar ke bete bhi the aur kuch ladkiya jo naachne vali thi
jaysingh samaj gaya ki ye mahfil kyu jammi hai
jaysingh- iski kya jarurat thi
zamindar- aap thakurji ke taraf se aaye hai khatir dari karni hi thi
.jaysingh kuch bolta us se pahale naachna suru ho gaya
.jayaingh mahfil me baite to gaya par usko ye pasand nahi tha
zamindar to drink bhi kar raha tha , isi liye khana kam hi khaya tha zamindar ne
naachte huye ladkiya kapde nikaalne lagi to jaysingh vaha se ut gaya
jaysingh ke bahar jate nnachna jaise band hua aur zamindar bhi bahar aa gaya
zamindar- kya hua
jaysingh- aapki is khatirdaro ke liye sukriya lekin muze ye pasand nahi , muze uska shuk nahi hai
.zamindar- aap thakur honte huye ye sab bol rahe ho
jaysingh- thakur hu par main ye shuk nahi rakta , drink bhi nahi karta ,
zaminsar- jaisa aap kahe , par aisa na ho ki thaKurji kahe ki hamne khatirdari na ki ho
jaysingh- aisa kuch nahi honga ,
aur jaysingh vapas zamindar ke ghar aa gaya
zamindar ne beto ko mahfil ka maza lene diya aur jaysingh ke sath ghar aa gaya
pir nayi subha huyi
jaysingh to gaon ki hawa me der tak sota raha
zamindar- jaysingh so rahe ho
jaysingh- nahi , ut hi gaya tha
zamindar- jaldi ut kar fresh ho jav , aur jo bhi lage wo mamta ko bata dena
jaysingh- aap kaha ja rahe hai
zamindar- court me ek kaam tha vahi ja raha hu , aur tumne aman ko bulaya tha
jaysingh- aman
zamindar- deko tum yaha mehmaan ho par gaon ki rule thod nahi sakte , aman hamare barabari
ka nahi hai usko yaha dubara mat bhulana
jayaingh- is bat ka dyan rakunga
aur zamindar chala gaya
jaysingh sochne laga ki aman kyu aaya hai yaha par
jaysingh fresh hoker aman ke bareme soch raha tha
mamta- jay aapke liye naata layi hu
jaysingh- main bahar hi aane vala tha iski takleef kyu li
mamta- isme takleef ki kya bat hai ,
jaysingh- teen plate kyu layi hu
mamta- aman ke liye , wo bahar khada hai , aap bhula lo under
ye chal kya raha hai jaysingh samaj hi nahi paya
jaysingh ne aman ko.under bhula liya
jaysingh- amam subha subha yaha kaise aaye
aman- aapse milne aa gaya
aman ki najar mamta par thi aur bol jaysingh ke sath raha tha
jayaibgh- par tumne ye kyu kaha ki main ne bulaya hai
mamat- jay aap nasta kijye kya choti si bat ko lekar piche pade hai
mamta ne aman ko bacha liya
aman ne mamta ke hanto ka nasta kiya
aman- mamta acha khana banati ho tum
mamta-tume pasand aaya
aman- muze to dar lag raha hai ki kahi main ungli na kha lu
mamta- main aur lekar aati hu
aur mamta bahar chali gayi
jaysingh- to aman tumne bataya nahi ki yaha kyu aaye ho
aman- muze laga ki aapko khet aur gaon ghuma lu aur logo se milva bhi deta hu jis se aapko
madat hobgi
jaysingh- wo to tik hai par gaon me tumse jada kohi bat nahi karta haina
aman- ye sab dikane ke liye hai , zamindar hi ye niyam laga ke raka hai varna gaon me aate jate
log bat kar lete hai
jaysingh- tik hai , par dyan rakna ki kohi gadbad na ho
aur mamta pir se aman ke liye nasta lekar aayi
is bar sweat bhi laayi par sirf aman ke liye
aman- kheer banayi hai ,
kheer wo bhu itni subha
mamta- tume pasand haina is liye banayi thi
to kya mamta ko pata tha ki aman aane vala hai
aman- tume abi tak pata hai ki muze kheer pasand hai
mamta- main kuch nahi bhuli hu
aman aur mamta to pir se jaysingh ko bhul hi gaye
jaysingh ke liye kheer nahi laayi thi
mamta ne bas aman ke liye kheer banayi thi
jaysingh is bat ko samaj nahi paya
mamta bas aman ko deke ja rahi thi
jaysingh-mamta pani dena
par mamta ne kohi dyan nahi diya
par aman ko taska lagte wo second waste na karte pani diya aman ko
bichara jaysingh mehman hote huye bhi khud jaker pani lena pada
nasta karte huye to mamta aur aman dono bato me dub gaye
jaysingh ko gaon me ghumna tha lekin time nikal raha tha
jayaingh- tum dono ki bate ho gayi hongi to chale
aman- haa haa ,
mamta- main bhi chalu sath me
jayaingh- tum aaker kya karogi ,, aman hai
jaysingh ke sath sath aman bhi bol pada
aman- tum bhi chalo sath me
jaysingh is par kuch kahta us se pahale mamta apne room me chali gayi tayyar hone
uske pitaji aur bhai to court gaye huye the us liye wo bina rok tok ke aman ke sath aa sakti thi
jaysingh jis kaam se aaya tha wo ho nahi raha tha
jayasingh aman aur mamta ke sath gaon ghumne nikal pada
par gaon me kisi se bat honi to dur ki bat pahchan tak nahi hone di
aman aur mamta ek dusare se bat kar rahe the
gaon ki panchayat jaha og baite the hai vaha le jane ke bajaye nadiyo ki taraf le gaye jaysingh ko
jaysingh- ye kaha le aaye ho
mamta- ye naadi hai , yaha ham bachpan me college ke bad aate the
aman- ek bar to masterji ne hame pakad liya tha yaad hai tume
mamta- haa, masterji ko dekte tume chupa diya tha main ne
aman- chupaya bhi kaha, naddi ke under, masterji ke jane tak naddi ke under ruka tha
mamt- us samay kitni dar gayi thi main , muze laga kahi tume kuch ho to nahi gaya honga
mamta-masterji to muze apne sath le gaye the aur tum naddi ke under rah gaye, us raat me so
nahi payi thi , yahi sochti rahi ki tum tik to honge na
aman- muze kya hota,
mamta- tum to dusare din college bhi nahi aaye to meri jaan nikal gayi thi , mai vaise bhag kar
tumare yaha aa gayi thi dekne
aman- naddi me rahne se thand jag gayi thi jukaam hua tha
mamta- tume tik dek kar tab jaan me jaan aayi thi
aman- uske bad aaj is naddi par aaye hai
mamtaa- tum yaha nahi aaye the
aman- aata tha par akele aate tumari yaad aa jati thi
mamta- acha ,
amam- haa ,aur deko hamare aate nasdi ki machliyo ne hame pahchan liya hai kaise bahar nilal
kar dek rahi hai
mamta- machli se yaad aaya ki tumne ek bar machli ko pakad kar mere dress ke under daal kar
bhag gaye the
aman- muze bhi yaad hai , tum machli ki tara naach rahi thi
mamta- muze bahot gudguddi ho rahi thi
aman- par uske bad tum mere piche bagne lagi thi muze maarne ko
mamta- aur main kichad me gir gayi aur gutne se khoon nikal gaya tha
aman- tumara khoon dek kar dar gaya tha,
mamta- lekin tumne to apne safed shirt ko nikaal kar mere ghtune par laga diya tha ,
mamta- tumare pass ek hi shirt thi college jane ko aur wo bhi mere khoon se kharab ho gayi thi
Aman- tumara khoon kaise bahne deta
mamta- us gatna ke bad main teen din college nahi aayi thi aur jab aayi to deka ki tume mastetji
ne murga banaya tha colour ki shirt pahan kar aaye the is liye
aman- mera pass dusari shirt hi nahi thi
mamta- mera vajse tume saja mil rahi thi
mamta- ye dekte main ne apne gud luck se paise nikaa l kar tumare liye shirt li thi
aman- wo shirt aaj tak mere pass hai
mamta- kitne ache din the bachpan ke
jaysingh naddi ke pass baite kar naddi me pather dalne laga
mamta aur aman ki bate khatam hi nahi ho rahi thi
unki bate sunte huye jaysingh bhi apne bachpan ko yaad kar raha tha
unki bat jaysingh ko achi lag rahi thi
jaysingh ka kaam to nahi hua par unko distrub bhi nahi kiya
aaj to subha se sham ho gayi par unki bate khatam nahi huyi
aman aur mamta ke chehra ki khushi dekne layak thi
unko ek dhsare se bat karke jo khushi mil rahi thi wo alag hi thi
udar zamindar ke ghar par zamindar ki biwi intzar karti rahi lunch ka lekin jaysingh aur mamta
aaye nahi
aman ki maa to gaon me ghum kar dekti rahi ki aman kaha chala gaya
aur mamta aman yaha naddi ke kinare baite kar gappe lada rahe the
aaj pir jaysingh ko bolna pada ki ghar chalo sham huyi hai
ek minute ek minute bol bol kar 1 ganta laga diya dono ne
aman aur mamta se tang aa gaya jaysingh
rani6
jaysingh to mamta aur aman ke vajse pareshan ho gaya
jaysingh ki madat karne ki jaga dono apne duniya me kho jate the
do din jaysingh ke waste ho gaye
raat me zamindar se kuch bate huyi
lekin jaysingh ke kaam.ki bat nahi huyi
jaysingh yaha aaya hi kyu yahi sawal jaysingh ko pareshan raha tha
next din bhi aman zamindar ke ghar aaya
lekin zanindar ne ye bol kar usko nikaal diya ki jaysingh shahar3 gaya hai
mamta chhat se aman ko jate huye dekti rah gayi
jaysingh ne bhi socha ki mamta aur aman se dur hi rahe
bichara aman jo mamta se milne aaya tha usko bahar se nikaal diya
mamta jab jaysingh ko nasta dene aayi to uske chehare par wo tej wo khushi nahi thi jo kal dikayi
di
jaysingh- kya hua mamta tum nasta nahi kar rahi
mamta- nahi ,
jaysingh- kya hua , aise beruki se jawab kyu de rahi ho
mamta- muze kaam hai
aur mamta aaj ajib harkat kar rahi thi
aman ko dhakke maarker nikaal diya jis se mamta ko bahot bura laga
mamta ko aman ke sath kohi aisa karta hai to bahot guass aata hai
mamta ko aise dek kar jaysingh ne socha ki aaj mamta ka mood tik nahi to wo aaj akela gaon me
ghumne jayenga
par jaysingh k poata nahi tha ki mamta tayyar ho rahi hai
jab mamta tayyar huyi aman se milne ke liye to jaysingh tab yak ja chuka tha
mamta ko jaysingh par bhi guass aaya ,
mamta ko aman se milne jana tha lekin jaysingh akela chala gaya
mamta to galiya de rahi hi jaysingh ko man hi man me
mamta akeli kahi ja bhi nahi paa rahi thi
iski maa ne rok liya
uder aman ka bhi kheto me man nahi lag raha tha
aman ki najar gaon ki taraf hi thi
uako laga ki jaysingh aur mamta aa jayengi milne
par dopehar ho gayi dono ka pata hi nahi chala
aman ke liye ek ek pal bhari pad raha tha
par jaysingh idar apna kaam kar raha tha
jaysingh ne logo se bat ki to pata chala ki log company me job karne ko tayyar hai
lar zamindar ke kheto ka kaam nahi chhod payenge
jaysingh ne is par socha ki din bhar kheto me kaam aur rat me company me kaam kar payenge to
worker
6 gante bhi mil gaye to acha honga worker
logo ko ye bat pasand aayi , log alternate tarike se kheto aur comoany me work kar sakte hai
aur ladies ko bhi job dene ka soch liya jaysingh ne
jaysingh zamindar ke kheto me gaya vaha munsi se pucha ki worker kaise kaam karte hai
kuch worker subha 6 se 11 baje tak aate hai ,kuch 9 se 5 baje tak , to kuch 4 baje se sham.ke 7
baje tak
matlab worker ko company aur kheto me dono jaga kaam mil sakta hai
ye bat jaysingh panchayat me bol payenga
ek din aaurte kheto me kaam karengi to us din aadmi company me aur next day uske ulta kar
denge
subha vale dopehar me company me aa sakte hai aise sab par lagu ho sakta hai
jaysingh ko aasan rasta dikayi dene laga
us gaon se worker join ho gaye to aaspas ke gaon vale bhi tayyar ho jayenge
jaysingh ne bina mamta aur aman ki madat se ye hal nikal liya tha
dopehar me kaam hote jaysingh kheto ki taraf nikal gaya
aman se milne chala gaya jaysingh
jaysingh jab aman ke kheto me gaya to deka ki aman pir se pahale din ki tara sapne dek raha tha
aman pir se kisi ke yaado me kho gaya tha
jaysingh ko pata tha ki aawz dene se kuch nahi honga
jaysingh aman ke pass jaker utane vala tha ki uski najar pass ki zameen par padi
vaha aman ne dil nikaala hua tha aur usme apne naam ke sath mamta ka naam likh diya
jaysingh ye dekte shocked hua
to ye bat hai
aman mamta ko pyar karta hai
par kya mamta bhi aman ko pyar karti hai
nahi mamta to bas aman ko dost ki tara maanti hai
par ye tabi pata chalenga jab mamta kahengi
lekin aman ke dil ki bat jaan gaya tha jaysingh
aur jaysingh jaanta tha ki is pyar ka ka kya honga
aman kisan ka beta aur mamta zamindar ki beti
unka milan ho hi nahi sakta
aman ke aise sapne dekna bematlab hai
duniya vale unko milne nahi denge
par pyar me ek bar jo pad jata hai usko is ki parva nahi hoti
aman bhi aisa hi tha
is pyar me uski jaan bhi ja sakti hai
lekin pir bhi aman mamta ke sapne dek raha tha
jaysingh ne aman ko samajne ka socha
kyu ki zamindar ko kisi ko bhi gayab karne me time nahi lagta
aman acha mehnati ladka hai , uske sath aisa ho ye jaysingh nahi chahenga
jaysingh ne aman ko hosh me laya
aman- jaysaab aap
jaysingh-main to kab se aaya hu par tum kaha kho gaye the
aman- kuch nahi , aise thoda aaram kar raha tha
jaysingh-aaram karne ki jaga muzse milne kyu nahi aaye
aman- aaya tha par zamjndar ko pasand nahi aaya mera unke yaha aana
jaysingh-to bahar mil lete
aman- aapka intzar kiya tha lekin kheto me bhi kaam tha jo do din se aise pada hai
jaysingh-zamindar ke ghar vale tume aane nahi de rahe the
aman- unko pasand nahi ki kohi chota insaan unke yaha aaye
jaysingh-ye bat tume pata hai pir bhi tum vaha kyu aate ho
aman- aapse milne
jaysingh-muze ya kisi aur ko dekne aate ho
aman- main samaja nahi
jaysingh-deko aman , zamindar tume ghar me aane nahi deta aur tum ho ki itne bade sapne dek
rahe ho
aman- aap kah kya rahe ho
jaysingh-main jo kah raha hu wo tum bhi jaante ho , aise sapne mat deko jo tut jayenge , main ne
bhi aise sapne deke the par jab sapne tut jate hai to bahot dard hota hai
aman- main aapki kohi bat samaj nahi paya
jaysingh-to batav kis ke sapne dek rahe the
aman- main bas aaram kar raha tha
jaysingh-pyar chupte chup nahi sakta , pyar sabke samne aa ker rahta hai
aman- pyar
jaysingh-tum mamta ke sapne dek rahe ho na
aman- ye aap kya bol rahe ho , kisi ne sun liya to gadbad ho jayengi
jaysingh-itna dar hai pir bhi mamta ke sapne dek rahe ho
aman- ye aapse kisne kaha
jaysingh-wo vaha likha hai
aman ne deka ki usne jo dil nikaal tha usko jaysingh ne dek liya hai
aman is pe kya bolta
jaysingh-ye bhi xut hai ye mat kahna
aman- main aapke pair padta hu ye bat kisi ko mat batana
jaysingh-nahi bataunga par itna dar kyu rahe ho
aman- ye bat kisi ko pata chali to gabdab hongi
jaysingh-pata hai ki gahbad hongi to ye sapne kyu dek rahe ho
aman- sapne dekna buri bat nahi hai ,
jaysingh-sapne vahi deko jo pure ho
aman- aisa thode hota hai aapne bhi sapne deke honge
jaysingh-deke hai lekin sapne tut jate hai to bahot dard hota hai , aur tum to pyar karne ke sapne
dek rahe ho
aman- main ne sab bachpan seek hi sapna deka hai
jaysingh-tume pata haina iska asar kya honga
aman- haa , zamindar ko pata chala to muze maar dalenge
jaysingh-pir bhi ye gustaki kar rahe ho
aman- main khud ko bahot samajaya lekin mera dil hai ki mamta ke naam se dhadkna band nahi
kar raha hai
jaysingh-jaan nahi rahengi to kya karenga tumare dil
aman- main bhi yahi sochta hu par pyar ke samne kuch soch hi nahi paata
jaysingh-tum itna darte ho pir bhi pyar karte ho
aman- darta is liye hu ki main akela pyar karta hu mamta se, ager mamta bhi muze oyar karti hai
pata chala to sabka saman kar lunga
jaysingh-what
aman- mamta ne haa kaha to uske pitaji se bhi ladh jaunga
jaysingh-abi to bol rahe the ki kisi ko pata chala to gadbad ho jayengi aur ab kah rahe ho ki sab se
ladh jaunga
aman- mamta mera sath de to sab se ladh jaunga ,
jaysingh-tum pagal ho
aman- sach , bas ek bar mamta bhi kahe ki wo muzse pyar karti hai to mera dar nikal jayenga
jaysingh-tum apne nahi apne maa ke bareme socho
aman- meri maa ko bhi pata hai ki main mamta ko pyar karta hu , wo to kahti hai ki mamta ne haa
kaha to uska hant kabhi mat chhodna
jaysingh-tumari family pagal hai
aman- isko pyar kahte hai jaysaab , aapne kabhi pyar kiya hota to aap meri halat samaj paate
aman ki bat sahi thi
jaysingh ne ksbhi kis ladki ko pyar bhari najro se deka hi nahi
jaysingh-tum kuch bhi kar sakte ho mamta ke liye
aman- haa, uske liye jaan bhi de dunga, usne ek bar pyar se mera naam bhi liya rho khushi khushi
suli chad jaunga
jaysingh-itna pyar karte ho
aman- bachpan se pyar karta hu
jaysingh-to mamta se pyar ka izhaar kyu nahi karte
aman- dar lagta hai
jaysingh-kaisa dar
aman- kahi mamta ke pyar ke chakker me uski dosti ko kho na du
jaysingh-aisa kuch nahi honga
aman- mamta akeli meri dost hai , uske siwa kohi nshi hai mera
jaysingh-aur pyar
aman- pyar bhi bahot karta hu kuch samaj hi nahi aa raha hai
jaysingh-deko tum jo soch rahe ho uspe bahot mushkilo ka samna karna honga ager mamta ne
haa bhi kaha to
aman- mushkile har raste par hoti hi hai
jaysingh-tum.samaj nahi rahe ho , tumari jaan bhi le sakta hai zamindar
aman- jaan bhi kurban kar dunga ager mamta sath de to
jaysingh-mera kaam tha tume samajne ka tum samaj lo ki tumara aur mamta ka kohi mail nahi
hai
aman- ager mamta aisa na sochti ho to kya kahoge aap
jaysingh-yahi ki bhul jav mamta ko ,
aman- yahi nahi kar sakta
jaysingh-mamta ne haa kaha to kaha rakonge usko kya khilayoge
aman- mamta sath to de mera , main dinraat mehnat karke usko sari khushiya dunga , rani ki tara
rakunga
jaysingh-bahot badi badi bat karte ho
aman- aap haina hamari madat ke liye
jaysingh-bilkul nahi , main nahi fasne vala tum dono ke bich me
aman- aap meri ek madat nahi kar sakte
jaysingh-main in lafdo se dur hi rahta hu , aur main ne tume samajya ki ye jo tum sapne dek rahe
ho us se tumari jaan jaker rahengi
aman- sukriya jo aapne muze apna samaj kar rasta dikya par main apne rasta select kar chuka
hu
jaysingh-to tum mamta ko propose kab karoge
aman- pata nahi , ya pir kabhi karunga bhi nahi , lekin mamta se pyar karta rahunga
jaysingh-tumara pyar tume mubarak ho
aur jaysingh is lafde se dur hi rahna chahata tha
aman aur mamta ka milna nahi ho sakta
aman thoda pagal hi tha jo kah raha tha ki propose kabhi nahi karenga
rani7
jaysingh ko ye to pata chala ki aman mamta se pyar karta hai
par aman ke jawab sunker jayaingh soch me duba hua tha
aman ne kaha ki wo darata hai ki kisi ko uske pyar ke bareme pata chala to aur pir kahta hai ki
mamta haa kahe to wo khud sabko apne pyar ke bareme batayenga
mamta ke sath sab se ladne ki bat karta hai lekin usko propose nahi karna chahta
mamta ke pyar ke sath jina chahta hai lekin mamta ke haa kahte zamindar ke guasse ka saman
bhi karna chahata hai
jaysingh samaj hi nahi paya ki ye kaisa pyar hai
kya pooja aur ramesh bhi aise hi pyar karte honge
pyar me jo bhi padta hai wo kuch bhi kar gujrne ko darte nahi hai
bhale unki jaan kyu nahi jaye par pyar kana nahi chhodte
pooja aur ramesh ne usi pyar me khud ko shadi ke bandan le baandh diya tha
ager pitaji ki jaga zamindar hote to ramesh ko maar dalte
pitaji ne to pooja ke pyar ko samaja aur unki shadi karva di
kya zanindar aman ke pyar ko samaj payenga
kya honga aman ke sath jab zamindar ko ye pata chalenga
mamta aur aman ke liye fikar hone lagi thi jaysingh ko
dono ke bachpan ki bato ne jaysingh ko unka bachpan dikayi diya tha , itne ache dost ke pyar ko
jaysngh kuch hone nahi dena chahta tha
jaysingh ne aman ko samajya par usne pyar karna band nahi kiya
jaysingh ka yaha kaam to lagbag ho hi gaya tha
lekin ab aman aur mamta ke liye wo ruka tha
kyu ki pyar kitna bhi chupaye chup nahi sakta
is bich mamta ne wo suna jo wo sunna nahi chahti thi
mamta ka subha se mood off tha
aise me raat ko neend nahi aa rahi thi kyu ki aaj usko aman se milne nahi diya gaya
raat me jab mamtapoani pine ko bahar aayi to usko uske mata pita ki bat sunayi di
zamindar- suno
mamta ki maa-sone dijiye kal bat karte hai
zamindar- mamta ki shsdi ki bat kar raha hu
shadi ka naam sunte mamta ki maa ut gayi to mamta jo room ke samne se gujar rahi thi wo ruk
gayi
mamta ki maa-mamta ki shadi
zamindar- haa , mamta ki padai to ho gayi ab uski shadi karva dete hai
mamta ki maa-par kohi ladka deka hai tumne
zamindar- ladka dundne ki kya jarurat hai , apne ghar jo mehmaan aaya hai wo kaisa rahenga
mamta ke liye
mamta ki maa-jaysingh ki bat kar rahe aap
jayaingh ka naam apne liye sunker mamta ke pairo ke niche se zameen nikal gayi
zamindar- acha ladka hai
mamta ki maa-kya karta hai khon hai ye jaante hai aap
zamindar- sab jaanta hu , pahale din aaya tabi pahchan liya tha ki wo us company ka milk hai ,
thakurji ke pahchan ka hai
mamta ki maa-company ka malik , lekin uski family
zamindar- wo badme dek lenge , par socho ki drink aur ladkiyo ka shouck nahi hai , dikne me acha
hai , khud ke mehnat se company chalu ki hai , thakurji ko jaanta hai , ache ghar ka hi honga ,
mamta bhi padi likhi hai un dono ki jodi achi rahengi
mamta ki maa-bat to tik kah rahe hai aap , lekin mamta ko puchna honga
zamindar- usko kya puchna hai , hamare yaha shadi ki bat bade hi karte hai , muze to jaysingh
pasand hai tum kya kahti ho
mamta ki maa-muze bhi acha laga, par wo zut bol kar apne ghar kyu aaya
zamindar- wo worker ko vapas pana chahta hai
mamta ki maa-to aap bat kijiye kal hi , aisa rista hant se janne nahi dena chaiye
mamta to ye sunker rone lagi thi
usko yakin nahi hua ki bat yaha tak ja sakti hai
mamta ne kabhi aisa socha bhi nahi jaysingh ke bareme
mamta is bat se bahot pareshan ho gayi
uski to neend gayab ho gayi
usko to aman se pyar tha
wo aman ae shadi karna chahti thi
bhale aman us se kam pada likha ho par usko sabse jada pyar karenga ye pata tha
mamta ki khushi aman me thi
mamta jaysingh ke bareme soch bhi nahi sakti thi
jaysingh is bat se anjaan tha ki zamundar kya soch raha hai
is raat me na aman so paya na jaysingh , aur mamta ki neend to ud gayi thi
nayi subha sabko hilake rak dengi
mamta aaj apne room se bahar hi nahi aayi
vahi zamindar soch raha tha ki jaysingh se bat kaise kare
lekin jaysingh ne soch liya tha ki is gaon se jitni jaldi ho sake chala jaye varna wo mamta aur
aman ke bich me fas jayenga
subha hote jaysingh ne zamindar se bat ki
jaysingh-suniye muze aapse ek bat karni thi
zamindar- muze bhi tumse kuch kahna tha
jaysingh-dekiye main yaha kohi kitab likhne nahi aaya tha , main us company ka milk hu jis ke
worker aapke gaon se belong karte hai
zamindar- jaanta hu main
jaysingh-aapko pata hai
zamindar- haa , tume har kohi janta hai shahar3 me
jaysingh-to aapko pata honga ki main yaha kyu aaya hu
zamindar- bilkul par ye mushkil honga kyu ki gaon ke sabi log shahar3 jana chahte hai aur aisa
hua to gaon ke kheto me khon kaam karenga
jaysingh-jaanta hu par iske liye main ne ek rasta nikaala hai
zamindar- kya
jaysingh-aapke khet me jo subha kaam karte hai wo doprhar me hanare company me kaan
karenfe , aur dopehar vale raat me , aur ek din aaurte kheto to aadmi company me
zamindar- aisa hua to logo par presuure badh jaynga
jaysingh-main unko 6 gante hi job dunga
aur us hishab se salary dunga jis se jada problem nahi hongi ,, aur jis din kheto me kaam nahu
rahenga usi din full time work honga , schedule banayenge , kuch din kheto me kaam aur kuch din
company ne
zamindar- pir to ham.dono ke problem solve ho jayenge
jaysingh-haa , main compamy teen shift me suru kar dunga jalfi jis se jada problem nahi honga
zamindar- aisa hua to main panchayat se bat karunga
jaysingh-( ye to jaldi maan gaye) aapko aitraaaz nahi hai
zamindar- nahi , chalo panchayat chalke tumari bat pancho ko bataye hai
jaysingh ko yakin nahi hua ki ye itne jaldi maan jayenge
par zamindar ne kyu haa kaha ye jaysngh ko pata nahi tha
zamindar to jaysingh ko damad banna chahta tha
zamindar jaysingh ke sath pancho se milne gaya
sabko ye idea pasand aaya
lekin is ke liye pancho ne paise bhi maange , jiske liye jaysingh tayyar ho gaya
logo ke company me job karne ke raste khulte gaon me khaber fail gayi
sab khush the us bat se
sab jaysingh ko sukriya kahne lage
gaon valo ko ek sath 2 kaam milenge , aur unki tarkie raste bhi khul kayenge
aman bhi is se khush tha
aman to jaysingh se bat karna chahta tha
lekin jaysingh ne aman ko ignore kiya
aman samaj gaya ki jaysingh ne aisa kyu kiya
jayaingh ko subha mamta bhi nahi mili
jaysingh ka kaam to ban gaya ,is gaon ke sath baki ke gaon vale bhi company me aa jayenge
jaysingh ka kaam ho gaya to yaha kyu rukenga
jaysingh yaha se jane ki tayyari kar raha tha
zamindar- kaam hote tum to ja rahe ho
jaysingh-haa wo company bhi dekni hai
zamindar- kuch din ruk jav , is bat par detail me bat karle sab final karke chale jav
jaysingh-pancho ne bhi to haa kaha