Update 48

dilip- main ghar aake vanya ke sath padhai karne laga

pehle toh vanya ke sath padhai karne mein aisa lagta tha

jaise saza kaat raha hoon

lekin ab aadat pad gayi thi

padhai karte hue dopeher ho gayi

hum dono khana khane neeche gaye

aaj kal bmama apne alag room mein khana khate the

bechare bhalai karne gaye the lekin mila kya

main chup chaap khana kha raha tha

tabhi mera phone bajne laga

main jeb se phone nikaala phone lukkhe ka tha matlab akhil ka

main jaise hi phone kaan mein lagaya

vanya mera phone chheen li

vanya- khane ke baat nahi kar sakte

dilip- vanya phone do

[vanya screen pe dekhne lagi]

vanya- yeh lukkha kaun hai

dilip- mera dost hai

bnani boliye na phone dene ko

bnani- vanu phone de do

[vanya mujhe phone de di

main khana beech mein chhodke apne room mein aagaya

dilip- hello lukkhe kaisa hai

akhil- main theek hoon

tu apna bata

dilip- tu bata aajkal kya kar raha hai

akhil- main kya karunga bas ek sugar ki factory khareed liya hoon

dilip- kya kaha braun sugar ki factory

akhil- tu kabhi nahi badal sakta

dilip- aur bata meri jaan aarushi kaisi hai

akhil- tujhe kitni baar bola hai woh teri bhabhi hai

dilip- matlab ab tu sudhar gaya hai

akhil- haa chal ab rakhta hoon thoda time mile toh phone kar lena

dilip- theek hai

[main phone cut karke neeche aagaya

dt pe meri plate nahi thi

main kitchen mein gaya

kitchen mein kmaasi thi]

kmaasi- kuch chahiye dilip

dilip- maasi woh main aadha khana hi khaya tha

mera plate de dijiye

main baaki bhi kha leta hoon

kmaasi- tumhara bacha khana toh vanya kha li

dilip- par kyun main toh sirf baat karne gaya tha

kmaasi- woh use bmaa ne kaha tha ki woh tumhara khana kha le

dilip- achcha bnani ne kaha tha

kmaasi- main chai bana rahi hoon tum peeyoge

dilip- jee pee lunga

kmaasi- theek hai tum mere room mein baitho main chai leke aati hoon

dilip- [main kmaasi ke room mein aagaya

kmaasi ka room bilkul saada tha

matlab safed saari unke kuch kapde aur pura room bhi khaali tha

main socha ki bnana bhi toh is duniya mein nahi hain

lekin bnani toh aise nahi rehti

woh toh normal life hi jeeti hain

aur koi aurat vidhwa hai toh kya hua use normal life jeeni chahiye

aur ek taraf kmaasi jo bilkul saada jeewan jeeti hain

pata nahi kyun jab bhi kmaasi ko dekhta hoon

nazar hi nahi hat ti hai unke chehre par se

tabhi kmaasi chai leke aagayi

tabhi main shock ho gaya

kmaasi mere liye doodh ki chai laayi

aur apne liye saadi chai

dilip- maasi aap saadi chai peeti hain

kmaasi- haa dilip mujhe saadi chai achchhi lagti hai

dilip- phir main chai peene laga

lekin meri najar kmaasi se hat hi nahi rahi thi

main chai pee liya

kmaasi kya main apke ghar asakta hoon

kmaasi- ismein poochne ki kya baat hai jab marzi kare aajana

dilip- lekin mujhe toh pata hi nahi hai

aap kahan rehti hain

kmaasi- jahan simita didi rehti hain usi sheher mein

dilip- achcha ab aap aram kijiye

main room se bahar aagaya

aur jaise hi seedhiya chadhne laga

meri najar nmami pe padi jo mujhe dekh rahi thi

tabhi mujhe yaad aaya ki main toh aaj nmami ke room mein padhai karne gaya hi nahi

lekin ab kuch nahi ho sakta tha

agar vanya mujhe nmami ke sath dekh legi

toh woh vidu ko bata degi aur main vidu ko dukhi nahi karna chahta tha....

dilip- main nmami ko ignore kiya aur pahuncha kitaab leke vanya ke room mein

vanya ke sath padhai karte hue shaam ho gayi

main kitaab side mein rakh diya

dilip- vanya tumse ek baat karni thi

vanya- haa bolo

dilip- pehle mere room mein chalo

[vanya bina kuch bole mere sath mere room mein aagayi

main gate lock kar diya]

woh woh [kaise kahu ki bmama se baat karo]

vanya- kya woh woh kar rahe ho

bolo na

dilip- tum pehle vaada karo ki tum mujhse naraz nahi hogi

vanya- saaf saaf bolo dara kyun rahe ho

dilip- tum bmama ke paas jaake unse baat karo

vanya gussa mat hona

vanya- tum jao yaha se

dilip- vanya shant ho jao

vanya- tum jaoge ki nahi yaha se

dilip- vanya baat ko samjho

vanya- [rote hue] kya samjhu meri maa ki jindagi ke sabse bade dukh ka karan jo insaan hai main uske paas chali jaun usse hans hanske baate karu sirf isliye ki woh mere pita hain

agar tum pitaji ko itna hi chahte ho toh unse pucho jaake ki koi unke damad se kahe ki main mar raha hoon meri beti se shaadi kar lo

unka damad dusri shaadi kar le

toh unki beti ko kitni takleef hogi

dilip- meri toh samajh mein hi nahi aaya ki vanya kya bol rahi hai lekin jab samjha toh vanya pe bahut gussa aane laga]

vanya yeh kya bakwas kar rahi ho

vanya- tum kyun gussa ho rahe ho

are haan main toh bhool hi gayi pitaji ke hone wale damad toh tum hi ho

tum aisa karoge toh vidyadi ko takleef hogi hai na

dilip- vanya bas karo

vanya- kyun bas karu vidyadi ko agar aisi takleef ho yeh sochke tum itna gussa ho rahe ho

meri maa is takleef ke sath jee rahi hai

tum jab meri maa ko dekhkte ho toh unka dukh dekhke takleef nahi hoti

hogi bhi kaise tum sare mard ek jaise hote ho

kuch bhi kar lo

yahi chahte ho ki aurat hamesha tumhare sath toh rahe

lekin tumhare anguthe ke neeche

dilip- vanya

vanya- aur suno agar mummy aisa karti toh tumhe pata hai pitaji kya karte mere maa ko jaan se maar dete

aur main phir bhi apne pita ke sath rehti

dilip- [main kabhi socha nahi tha ki vanya mujhse aise baat karegi

aur mujhse aisi aisi baate karegi

mujhe lag raha tha ki vanya ab kuch galat jarur bolegi

mujhe vanya ko rokna hoga]

vanya chup raho

vanya- kyun chup rahu

dilip- vanya main janta hoon ki tum abhi bahut takleef mein ho

lekin tum apne aapko sambhalo

vanya- sambhalo apne aapko

ab main dekhti hoon ki tum apne aapko sambhalte kaise ho

tumhe pata hai is duniya mein sabse badi cheez kya hai maa

maa se upar koi nahi hai

ab tum sochoge ki main tumse woh baat kahungi jisse tumhe bahut jyada takleef hogi

lekin main tumse woh baat kahungi

jiske baad main dekhungi ki tum apne aapko kaise samabhalte ho

pitaji ka ek dost apni aakhri saanse gin raha ho

dilip- [main samajh gaya ki vanya kya bolne wali hai]

vanya chup ho jao

vanya- woh pitaji se kahe ki meri antim ichchha puri kardo

dilip- [cheekhke] vanya

vanya- aap mere samne mere bete ka vivah apni badi beti se

dilip- vanya please

vanya- kar dijiye

aur pitaji apne dost ki aakhri ichcha puri karne ke liye

vidyadi ki shaadi apne dost ke bete se karde toh

dilip- yeh sunte main apna aapa kho diya

aur vanya ko ek thappad maar diya

thappad lagte vanya neeche gid gayi

[itna gussa aaraha tha vanya pe

aur vanya se jyada khudpe man kar raha tha apni jaan de doon

tabhi mera phone bajne laga

man kiya ki phone tod doön

main phone nikaal liya

phone screen pe najar padte hi main apna gussa kam karne ki koshish karne laga

main bathroom mein aagaya

nal chalu kar diya

phone uthaya

vidu- kaise hain mere patidev ji

ummmmmmuuuuuuunh

dilip- [vidu ki awaj sunke mujhe samajh nahi aaya ki main kya bolu

unse maafi maangu

ya phir jee bharke roun

vidu- kya hua aap kuch bol nahi rahe hain

aur yeh awaj kaisi

dilip- bathroom mein hoon nal se paani gid raha hai

vidu- main bhi na main thodi der baad phone karti hoon

dilip- vidu phone cut kar di

main br se bahar aaya toh dekha vanya ro rahi thi

main gate kholke bahar aaya

bahar koi nahi tha

main phir andar aaaya

vanya ka hath pakadke uthane laga

vanya nahi uthi

kai baar koshish kiya vanya nahi uthi

mujhe aur jyada gussa aane laga

main vanya ko jabardasti apni god mein utha liya

mujhe iswaqt itna gussa aaraha tha

vanya ko dekhke mujhe lag raha tha ki main vanya ke sath kuch galat na kar doon

vanya neeche utarne lagi

main jaldi se chalte hue vanya ke room mein aagaya

aur vanya ko bed pe chhod diya

jab main gate ke paas pahuncha toh pata nahi mujhe kya hua

main vanya ke paas gaya

vanya abhi bhi ro rahi thi

dilip- vanya tumhe uski kasam jisse tum sabse jyada pyar karti ho

agar tum apne aapko jara sa bhi nuksaan pahunchaogi toh woh insaan jisse tum sabse jyada pyar karti ho

woh tadap tadapke marega

sun rahi ho na woh tadap tadapke marega

yeh kehke main apne room mein aagaya

mere dimaag mein abhi bhi yeh baat ghoom rahi thi

ki main vanya ko aisa kyun bola akhir kyun

upar se yeh haramkhor sar dard

vanya pehli baat bol deti ki meri paas maa nahi hai

main bardasht karleta

lekin woh vidu ke liye aisa kyun boli

akhi kyun

aur main aisa kyun bola vanya ko

kya ho gaya hai mujhe

kahi main paagal toh nahi ho gaya hoon.,.

dilip- main vidu ko phone lagaya

vidu- ab bataiye aap kaise hain

dilip- theek hoon aap kaisi hai

vidu- jaise aap waisi main

dilip- kahana kha liya aapne

vidu- nahi achcha suniye na kya aap mera ek kaam karenge

dilip- boliye

vidu- aap padhai ke alawa vanya ke sath thoda waqt bitayenge

dilip- main kuch samjha nahi

vidu- pitaji ki wajah se jo dukh maa ko pahuncha hai

maa ko dekhke vanya bhi dukhi rehti hai

isi liye keh rahi hoon aap vanu ke sath rahiye use hansaiye use khush rakhiye

main janti hoon ki yeh sab mujhe karna chahiye

main uski badi behen hoon

dilip- are toh aap ro kyun rahi hain

aur aap har baat pe roya mat kijiye

mujhe bilkul bhi achcha nahi lagta

vidu- aaahaaye ek baar aur boliye na

dilip- aur aap har baat pe roya mat kijiye

mujhe bilkul bhi achcha nahi lagta

vidu- ek baar aur

dilip- ab aap aram kijiye

vidu- din bhar toh room mein baithi rehti hoon

aur aap bolte hain ki aram kijiye

dilip- ek do din mein toh aap puri tarah se theek ho jayengi

vidu- aapko ek do din kam lagta hai

dilip- kiss dijiye na

vidu- nahi milegi

dilip- ummmmuuuuuunh

vidu- ummuuuuuuuuunh

dilip- phir main phone cut kar diya

aur sochne laga ki ab kya karu

vidu kehti hai ki vanya ko khush rakho

vanya ab mujhse baat nahi karegi

mujhe pehle se pata tha ki vanya yeh sab jarur bolegi

lekin main usko thappad kyun mara

vanya aaj tak mera itna khyaal rakkhi

aur main use thappad maar diya

agar vidu ko pata chal gaya toh use kitna dukh pahunchega

mujhe vanya ko manana padega

raat ke khane ka time ho gaya

main neeche aagaya

bnani- vanya kahan hai use bhi bula la

dilip- aaj hum jyada padhai kar rahe hain isiliye main aur vanya vanya ke room mein hi khana kha lenge

aap khana plate mein de dijiye

bmami- bmaa aapka beta toh badi mehnat kar raha hai

lagta hai iss baar toh first hi aayega

bnani- mera beta hai har kaam pura dil lagake karta hai

dilip- main do plate mein khana leke vanya ke room mein aagaya

gate lock kiya

vanya abhi bhi ro rahi thi

main plate table pe rakh diya

aur vanya ke paas gaya

vanya apna munh dusri taraf ghuma li

main vanya ke pairo ke paas baith gaya

aur vanya ke pair pakad liya

vanya- dilip mera pair chhodo

dilip- nahi chhodunga

pehle tum khana khao

vanya- dilip mera pair chhodo mujhe jab bhukh lagegi main khana kha lungi

dilip- nahi jaunga

vanya- kyun mere piche pade rehte ho hamesha

akhir kya lagti hoon main tumhari

bhagwaan ke liye mujhe akayla chhod do

dilip- vanya tum woh pehli ladki ho jo meri jindagi mein aayi

jiski wajah se mujhe mera pyar aur pariwaar dono mila

maine kabhi nahi kaha ki bmama sahi hain

please mujhe maaf kardo

tum chaho toh mujhe maar lo

lekin mujhe maaf kardo

vanya- nahi karungi tumne thappad maara iska dukh nahi hai mujhe

dukh toh is baat ka hai ki tumhe meri maa ki takleef nahi tumhe tumhari nmami ka aleklapan dikha

kya lagta hai mujhe nahi pata ki tum roj ek ghanta apni nmami ke sath padhai karte ho

tum fiqr mat karo main tumse naraj nahi hoon

lekin aaj ke baad mujhse baat mat karna

warna yeh baat vidyadi ko bata dungi

yeh lo apne khane ki plate aur khao

dilip- [main bina kuch kahe khana khane laga

aaj vanya mujhe woh waali vanya nahi lag rahi thi

yeh toh vanya ka dusra roop tha jismein sirf gussa bhara hua

main aur vanya khana kha liya

dilip- ek aakhri baat tumse kehna chahta hoon

tumhari wajah se mujhe sab kuch mila

lekin main apni ek nadani ki wajah se tumhe kho diya

main apne room mein aagaya

[vanya ka room]

vanya- bewakoof hamesha galat hi sochta hai

main chahti hoon ki tum mujhse nafrat karo

mujhe mera pyar nahi mil saka lekin meri behen ko uska pyar jarur milega

dilip hamesha khush rehna aur apni vidu ko bhi khush rakhna

kaash tum yeh kasam nahi dete ki main agar apne aapko nuksaan pahunchaungi toh woh insaan jisse main pyar karti hoon woh tadap tadapke marega

kaash main pehle hi apni jaan de deti

ab toh woh bhi nahi kar sakungi

tum hi toh ho jisse main sabse jyada pyar karti hoon bachpan se

tumhe dekhke hi aisa lagta tha ki tum hi mere sapno ke rajkumar ho

tumhe yaad hai tumhara atharwa janamdi tha

us din tum mujhse takraye the

pehli baar tumne mujhe chhua tha

pehli baar mere rajkumar ne mujhe chhua tha

hum chachaji ke ghar ja rahe the

main kahi ki mera sard ho raha hai

tum mera sar apne kandhe pe rakhke mera sar dabane laga

tumhare saath bitaye hue aise kai lamho ko

main paagal tumhara pyar samajh baithi

pata hai main kitna dar gayi thi

jab tum hospital mein vidyadi ko jagane ke liye apne sar pe gun lagae the

main toh usi waq soch li thi ki main tumhe i love u bol doon lekin tabhi vidyadi ko hosh aagaya

ek aur baat main tumhari dulhan thi tumhari dulhan hoon

aur tumhari dulhan hi rahungi

ab tumhare main tadap tadapke jeeungi tumhare bina

tumhari kasam jo puri karni hai

i love u dilip i love u

[vanya dilip ki tasveer apne seene se lagaye

phut phutke rone lagi

uski kahi har ek baat us uparwale ke siwa na koi sun paya

aur na hi koi jaan paaya]​
Next page: Update 49
Previous page: Update 47