Update 80
agar tum yeh sochte ho ki tumhari sachchai jaan ne ke baad
main ya koi bhi tumse nafrat karega
toh suno hum tumhari sachchayi jaante hain
aur hum ab bhi tumse utna hi pyar karte hain
[kmaasi ki baat sun lene ke baad mujhe yakeen nahi hua
ki pichhle 2 saalo mein maine aisa kya kar diya jo yeh sab mujhse itna pyar karte hain
tabhi seedhiyo se neeche aati vanya ko main dekhne laga
shayad woh bahut royi thi
uski aankhein laal lag rahi thi
vanya mere paas pahunchi
mujhe laga ki woh bhi kuch bolegi
lekin woh boli nahi
lagatar apne komal hatho se mujhe do thappad maar di
aur rone lagi
vanya ko rota dekh mera dil bechain ho utha
main bmama ki taraf dekhne laga
main wapas room mein aagaya
main samajh gaya tha ki pure pariwaar ko pata chal gaya hai
main dilip nahi shakti hoon
phir bhi woh mujhse pyar karte hain
tabhi gate khula aur mere papa raajveer andar aaye
aur mere paas baith gaye
main apna munh dusri taraf ghuma liya
papa- shakti main janta hoon ki galti mujhse hui hai
lekin uska bhugtaan tumne kiya apne bhai ko kho kar
pata hai jis din tumhare mata pita mare
usi din mujhe ek phone aaya tha
phone mere pita ranjit ke khaas aadmi ka tha
usne mujhe bataya ki dharmesh ne mere pita aur meeta aur uski pati ko maar diya
is baat pe yakeen karna mushkil tha
lekin woh aadmi jisne mujhe phone kiya tha
woh aakhri saanse gin raha tha
mujhse yahi bhool ho gayi maine socha ki koi marta hua aadmi jhuth nahi bol sakta
shakti- mujhe aap se koi shikayat nahi hai
lekin mujhe mere pichchle 2 saal mehsus hi nahi hote
papa- main jald hi koi raasta dhund lunga
[phir papa chale gaye
aur vanya mere room mein aayi
mere paas baith gayi
shakti- jee nahi bhara toh aur maar lo
main uff tak nahi karunga
vanya- mujhe maaf kar dijiye
shakti- koi baat nahi
lekin tumne mujhe kyun
vanya- aap ko yaad nahi hoga
aaiye mere sath
[vanya mera hath pakdi aur mujhe apne sath leke ek room pe gayi
thoda sa gate khula tha room ka
andar wohi ladki baithi meri tasveer ko nihar rahi thi
[vanya mujhe wapas apne room mein le aayi
vanya- woh ladki meri di
uski aisi haalat aapki wajah se hui hai
shakti- maine kya kiya
vanya- aapne us ladki se pyar kiya hai
woh ladki mar ke bhi aapke pyar ke liye jinda hui
[phir vanya mujhe batayi ki kaise mujhe us ladki se pyar hua
vanya- please aap jaldi theek ho jaiye
warna meri di mar jaegi
[vanya ki baat sunke main shock ho gaya
mujhe yakeen nahi ho raha tha
ki vanya ki badi behen se main pyar karta hoon
aur vanya se bhi
vanya- main bas aap se itna hi kahungi
ki hosakta hai aapko abhi kuch mehsus nahi ho raha hai
lekin agar meri didi mar gayi
toh sabse jyada aapka muksaan hoga
shakti- lekin mujhe yaad hi nahi hai
vanya- aap doctor se kyu nahi baat karte
shakti- mujhe pata hai ki iska koi ilaaj nahi hai
vanya- toh dijiye marne apni vidu ko
jab aapko sabkuch yaad aayega toh aap bhi mar jana main bhi mar jaungi
[ek baar phir vanya rote hue bhaag gayi
main apna sir pakadke baith gaya aur apni aankhein band kar liya
kuch yaad karne ki koshish karne laga
lekin fayda nahi hui
[main ek jhatke mein khada hoke puri taqat se ek punch deewaar pe de maara
tabhi mera phone bajne laga
phone rocky ka tha
main phone cut kar diya
aur apna bag leke room se bahar aagaya aagaya
bmama ko batake ghar se nikal pada...
Shakti- gaon se sheher pahunchne mein mujhe jyada waqt nahi laga
main uska saamna zindagi bhar nahi karna chahta tha
aaj bhi mujhe yaad hai jab main apni training karne ja raha tha toh
usne mujhe i lov u kaha
jab main uska pyar thukraya tha tab woh bahut hansi
lagatar hansti rahi
phir mujhe kahi ki
mere maathe pe kiss karo
main uske maathe ko choom liya
mere aisa karte hi phut phut ke rone lagi
main bhi kya kar sakta tha
mere liye mera laksh jaruri thi
aaj main sochta hoon ki agar main uska pyar sweekaar kar leta
toh main yahan kabhi nahi aata
apna badla lene
kam se kam mera dilip toh jinda hota
peshe se mano chikitsak
is duniya mein meri khushiyo ko agar koi wapas laa sakti hai
army intelligence department mein
bade bade mujrimo ka brainwash uske baaye hath ka khel hai
thodi psycho hai
chahti toh mujhe apna deewaana bana sakti thi
phir woh wapas india aagayi apni maa ke sath rehne
uske pita american aur maa indian thi
woh mujhe kahi thi ki agar mera pyar sachcha hai toh tum mere paas jarur aaoge
yeh sab sochte hue mujhe pata hi nahi chala
ki kab main uske ghar ke bahar pahunch gaya
raat ke 11 baj chuke the
security se bola ki mujhe alina se milna hai
security guard- apna naam batao
[main use apna naam bataya
thodi der baad security guard wapas aaya
guard- aapko andar bulaya hai
main bhi andar chal pada dimaag mein yahi tha ki meri madad nahi karegi toh shayad meri galtiyo ki saza ab mera pura pariwaar bhugtega
ghar ke andar pahunchke main idhar udhar dekhne laga
har deewaar pe meri tasveer tangi thi
tabhi mere kandhe pe kisi ne hath rakh diya
peeche mudke dekha toh saamne alina khadi thi
aankho pe chashma laga tha
thodi der tak woh mujhe dekhti
jaise pehchaan ne ki koshish kar rahi ho
[lekin main jaanta tha ki alina mujhe pehchaan gayi hai
shakti- alina
[main dheere se kaha
alina- itne saalo baad tumhe dekh rahi hoon
thodi der aur dekh lene do
pata nahi phir kab tumhe dekhungi
[pure 30 minute tak alina mujhe dekhti rahi
phir woh mera hath pakadke mujhe bitha di
shakti- kaisi ho alina aur aunty kaisi hain
alina- tumhare bina bhi jee rahi hoon
aur maa ab is duniya mein nahi hain
kaho kaise aana hua
aise milne tum mujhse aaoge nahi
shakti- mujhe tumhari madad chahiye
[phir main alina ko sab bata diya jo baatein mujhe pata thi
meri baat sunne ke baad alina ki aankho se aansu chhalak gaye
alina- bahut dukh hai mujhe tum himmat mat haarna
shakti- please meri madad karo
tumhare siwa koi nahi hai jo meri madad kare
alina- tum mujhe galat mat samajhna
lekin tumhari samasya ka hal mere paas bhi nahi hai
[main janta tha ki alina jhuth bol rahi hai
aakhir woh meri pehli best freind thi.,.
Shakti- tum kyun mujhse jhuth bol rahi ho
alina- tum kyun mere peeche pade ho
please ab chale jao yahan se
shakti- chala jata hoon
lekin main tumhe kuch batana chahta hoon
[bina alina ka jawab sune main use apni poori kahani bata diya
meri maa ke pita se leke meri aur vanya ki poori baat
jo kuch mujhe pata tha
ab woh alina jan gayi thi
uski aankho se ansu beh rahe the
alina- shakti mujhe bahut dukh hai jo tumhare sath hua
lekin main ab bhi yahi kahungi ki tumhari madad main nahi kar sakti
shakti- tum kyun meri madad nahi karna chahti
mujhse badla toh nahi le rahi
[mujhe maaf kar dena
mujhe pata hai ki tum aisi ladki bilkul bhi nahi ho
kya karu agar mujhe kuch yaad nahi aaya
toh vanya ki badi behen mar jaegi
phir vanya aur mere dilip ki aakhri khwahish thi ki main uski vanya ko hamesha khush rakkhu
[alina muskurane lagti hai]
alina- tum mujhe kuch bhi keh lo
chaho toh mere sath kuch bhi kar lo
lekin main tumhari madad nahi karungi
[ab muskurane ki baari meri thi
shakti- iska matlab tum meri madad kar sakti ho
alina- main nahi kar sakti
itne saalo se tumhare bina jee rahi hoon
lekin tum hi nahi rahoge toh kaise jeeyungi
tumhari madad karte waqt tumhare sar mein itna dard hoga
ya toh tumhe sab kuch yaad ajayega
ya phir tum mar
[itna kehke alina rone lagi
alina- please chale jao
[alina ki baat sunke main uske ghar se bahar nikla aur jaise hi main gate pe pahuncha
alina daudti hui mere paas aayi
alina- raat ke 1 baj rahe hain aur agar main keh di ki chale jao toh tum jaa rahe ho
subah chale jaana
[isi liye main alina ko psycho kehta hoon
[phir main ek room mein jaake let gaya
agli subah bina alina ko bataye main gaon wapas aagaya
kisi ne kuch pucha nahi kyunki main bmama ko batake gaya tha
jaise hi main room mein aaya
vanya bhi mere sath sath room mein aagayi
shakti- woh mera ilaaj nahi karegi
vanya- kaun
shakti- alina
vanya- kyun
shakti- kyunki woh mujhse bahut pyar karti hai
aur agar woh mera ilaaj karegi toh main theek ho jaunga
haan ek aur baat jab woh mera ilaaj karegi toh mere sar mein bahut dard hoga
ya toh main theek ho jaunga ya toh main mar jaunga
isse achcha toh yeh hota ki main apne maa ke pet se mara hua paida hota
[main itna hi bola tha ki vanya ke hath aur mere gaal ka milan ho gaya
vanya mujhe thappad maar di
aur mere seene se lipatke rone lagi
pehli baar vanya mere seene se lagi thi
kuch der baad woh mujhse alag hui
vanya- aapka theek hona mere liye ya didi ke liye jaruri nahi hai
aapka theek hona
bdadi ke liye jaruri hai
doctor ne kaha hai ki agar woh jald hi theek nahi hui toh woh mar jaengi
shakti- tum hi batao main kya karu
woh mujhe kabhi theek nahi karegi
puri duniya mein main hi ek bacha hoon
jisse sab ladkiyo ko pyar ho jata hai
[meri baat sunke vanya muskura padi
vanya- aap mujhe uske paas le chaliye
main unhe mana lungi
shakti- woh psycho hai jisse pyar karti hai usse nahi maani
toh tum kahan se mana paogi
vanya- bdadi ke liye kisi bhi qeemat unhe mana na hi padega
main pitaji se puchti hoon
aap ek baar bdadi se mil lijiye
[yeh kehke vanya room se chali gai
main pahuncha bnani ke room mein....
vanya-aap ek baar bdadi se mil lijiye
[yeh kehke vanya room se chali gai
main pahuncha bnani ke room mein
waise toh main kabhi bnani se baat nahi kiya tha
lekin aaj baat karne ja raha tha
bed pe leti bnani sirf saansein le rahi thi
meri maa ke jaane se jaisi haalat hui thi
waisi hi haalat aaj meri wajah se thi
main bnani ke pairo ke paas baith gaya
shakti- mujhe pata hai aapki yeh haalat mere kaaran hui hai
lekin aap jaldi se theek ho jaiye
aur mujhse baat kijiye
mujhe ek maa ki bahut jarurat hai
[bnani waisi hi rahi main room se bahar aagaya
thodi der baad vanya mere room mein aayi
vanya- pitaji maan gaye hain ab hum alina ke paas jaa sakte hain
shakti- tum kehti ho ki tumhari badi behen mujhse pyar karti hai
alina ko manaane ka kaam use karna chahiye tum se toh mera koi rishta nahi hai
[meri baat sunke vanya udaas ho gayi
vanya- tum jab theek ho jaoge toh tum samajh jaoge
shakti- jo bhi lena hai le lo 1 ghante baad hum niklenge
[mere se nikalke vanya apne room mein gayi
meri tasveer ko apne hatho mein leke rone lagi
vanya- tumhe mera pyar hi nahi dikhta hai
aaj bhi tum mujhe takleef de rahe ho
didi se tum itna pyar karte ho
main tum se itna pyar karti hoon
aur ab yeh alina
kahi pe rukne ka irada hai
bade aaye commando
shayad yeh aakhri baar hai jo main tumhare liye kuch kar rahi hoon
[1 ghante baad main aur vanya car mein baithe aur nikal pade alina ke ghar
car main khud chala raha tha
pure raaste vanya khamosh rahi
phir hum alina ke ghar pahunche
security ne bataya ki alina ghar pe nahi hai
shakal se pata chal raha tha ki jhut bol raha hai
vanya kuch bolna chahti thi
lekin usse pehle hi main security guard ko behosh kar diya aur vanya ka hath pakad ke ghar ke andar pahuncha
alina mujhe dekhke apna sir pakadke baith gayi
main vanya ko baithne ka ishaara kiya
aur alina ke paas gaya
alina- shakti main pehle hi keh chuki hoon
ki main tumhara ilaaj nahi karungi
tum mujhe maar daaloge tab bhi nahi
shakti- koshish toh karo
alina- 20 patient mein se ek hi jinda bacha hai
19 maare gaye
tum samajhte kyun nahi ho
tum aise bhi khush reh sakte ho
shakti- dekho alina yeh mere liye ya us ladki ke liye nahi hai
mera theek hona bnani ke liye jaruri hai
alina- meri jindagi mein aisa koi nahi hai jiske sahare main jeeyun
ek tum hi ho
aur waise bhi tum agar treatment ke waqt mar gaye toh tumhari bnani waisi hi rahengi
chahe koi kuch bhi kare main tumhara ilaaj nahi karungi
[main vanya ki taraf mud gaya
shakti- maine kaha tha yeh nahi maanegi
[vanya mere paas aagayi
vanya- main inse akayle mein baat karungi
shakti- kyun
[vanya mujhe ghurke dekhi
vanya- bahar jaiye
[main wahan se nikalne mein hi apni bhalai samjha
vanya bhi ajeeb thi is duniya mein main kisi se bhi nahi dara
aur vanya jab mujhe aankh dikhati hai
toh dar se mere paseene chhut jaate hain
ajeeb baat hai na meri jindagi mein sab kuch badal gaya
lekin ek cheez nahi badli woh hai meri kismat
kabhi bhi palat jaati hai...