Update 81

ajeeb baat hai na meri jindagi mein sab kuch badal gaya

lekin ek cheez nahi badli woh hai meri kismat

kabhi bhi palat jaati hai

main bahar khada hoke soch raha tha ki room mein vanya alina se kya baat kar rahi hogi

[room mein]

mere jaate hi vanya alina ke paas gayi

vanya- main vanya hoon

aur main jaanti hoon ki aap shakti se bahut pyar karti hain

alina- lekin shakti mujhse pyar nahi karta

aur agar woh mujhse pyar karta bhi toh main uska ilaaj nahi karti

uska ilaaj karne ke liye koi bhi mujhe nahi mana sakta

vanya- lekin agar woh theek ho jaye toh

alina- nahi hoga

kabhi nahi

tumhari behen vidya ka pyar bahut jyada hai

main uske ya tumhare jitni mahaan nahi hoon

jo apne pyar ki kurbaani khushi khushi de de

vanya- aapko kisne kaha ki main shakti se pyar karti hoon

main usse koi pyar nahi karti

alina- main ek ladki hoon aur ek doctor bhi

tum apni behen ki khushiyo ke aage apne pyar ka tyag kar rahi ho

vanya- aap mujhe bata dijiye ki main kis tarah aapko mana sakti hoon

alina- kisi bhi tarah nahi

is duniya mein dilip ke siwa mera koi nahi hai

maa bhi mujhe chhodke chali gayi

vanya- aur agar aapko sab kuch mil jae

alina- kya matlab

vanya- mera matlab yeh hai ki agar shakti theek ho jae aur aapki shaadi unse ho jae aur aap uski family ka hissa ban jae

[alina shock ho gayi

alina- yeh yeh yeh kya keh rahi ho tum

tumhe pata hai ki tumhari behen usse pyar karti hai phir bhi

vanya- meri behen ko uska pyar tab milega jab shakti theek honge

aur unka theek hona aapke hath mein hai

alina- tum mujhse sauda karna chahti ho

main shakti ka ilaaj karu aur shakti theek ho jae phir tumhari behen ko uska pyar milega

lekin mujhe kaise pyar karega jab use yaad aajayega ki woh tumhari behen se pyar karta hai

vanya- shaadi ke baad pyar ho hi jaega

kyunki meri didi ko jab pata chalega ki shakti tumhari wajah se theek hue hain

toh woh tumhe kahi jaane nahi degi

alina- tumhara kya tum bhi toh usse pyar karti ho

vanya- jab shakti ki shaadi didi se aur aapse ho jaegi toh main london chali jaungi

main aapse vaada karti hoon aapki shaadi main shakti se jarur karwaungi

alina- apna vaada rakkho tum apne paas

main apne shakti ki jaan ko khatre mein nahi daalungi

shaadi ke lalach mein main yeh sab nahi karungi

vanya- agar aap uska ilaaj nahi karengi tab bhi woh mar jaega

kyunki doctors ne kaha hai ki agar shakti jald hi theek nahi hue

toh unke dimaag ki nase kamjor hongi aur phir khatam

alina- tum kya mujhe bewakoof samajhti ho

jo main tumhari baat pe vishwaas kar lungi

[ bechari vanya ka yeh idea bhi flop gaya

vanya samajh chuki thi ki alina ab kisi bhi baat se nahi maanegi

aur woh room se bahar aajati hai

uski aankho se ansu sailaab ki tarah nikal rahe the

main jab use rote dekha

shakti- ro kyun rahi ho

vanya- please jaldi se theek ho jao

warna main mar jaungi

[aur vanya behosh ho jaati hai

main vanya ko turant hospital le gaya

doctor se pata chala ki vanya 2 din se kuch nahi khayi hai

[mujhe yakeen nahi hua

bahut ho gaya

mere dimaag mein baar baar yeh baat aarahi thi

please jaldi theek ho jao

warna main mar jaungi

main hospital se alina ke ghar gaya

alina mujhe kuch kehti usse pehle hi main apni kamar se gun nikaala aur apni kanpatti pe rakh diya

shakti- sirf teen tak ginunga agar tum mera ilaaj karne ke liye nahi maani

toh main apne aap ko goli maar lunga...

shakti- sirf teen tak ginunga agar tum mera ilaaj karne ke liye nahi maani

toh main apne aap ko goli maar lunga

meri baat sunke alina shock ho gayi

alina- tum apni jaan de do

main bhi wohi gun uthake apne aap ko maar daalungi

lekin tumhara ilaaj nahi karungi

samjhe yeh dhamki kisi aur ko do

shakti- tum samajh kyun nahi rahi ho

tumhe kya chahiye alina tum mujhse chahti kya ho

tum janti ho main khudko goli maar sakta hoon

alina- shakti jaruri nahi hai ki tum apni yaado ke sahare jeeyo

apni nayi yaadein banao

vanya aur uski behen se shaadi karo

aur mera peecha chod do

shakti- shaadi karlo tum kya mujhe bhoolke kisi aur se shaadi kar sakti ho

kehna bahut aasaan hota hai alina

please agar tum mujhse pyar karti ho toh mujhe theek kar do

main tum se vaada karta hoon

tum jo maangogi dunga

alina- agar tum yahi chahte ho toh theek hai

tumhara ilaaj karungi

sirf is liye ki tumse pyar karti hoon

aur agar tum mar gaye

toh main apni jaan jarur de dungi

kal subah aajana

[alina ki baat sunke main hospital pahuncha

raat mein nurse aake batayi ki patient vanya mujhse milna chahti hai

lekin main vanya se milne nahi gaya

subah main saari baat vanya ko bata diya

vanya ko dekhke laga hi nahi ki woh khush hai

phir main alina ke ghar pahuncha

woh mujhe apne car mein bithake hospital le gayi

jahan woh mera ilaaj karne waali thi

thodi der baad mujhe kapde diye gaye

jo main pehen liya

phir mujhe ek room mein le jaya gaya

room poora kaanch ka tha

mujhe ek chair pe bithaya gaya

mere hath pair bandh diye gaye

aur mere maathe pe 5 needle ghusaya gaya

har needle mein alag medicine thi

thodi der baad main behosh ho gaya

jab mujhe hosh aaya toh mere mathe pe ek bhi needle nahi tha

alina mujhe batayi ki main 12 ghante se behosh tha

tabhi meri najar saamne kaanch ke us paar padi

mera pura pariwaar khada tha

sirf vanya ki badi behen nahi thi aur bnani

main samajh gaya ki yeh vanya ka hi kaam hai

phir doctors ne mere dono kaan ke paas ek device laga diya

aisa lag raha tha ki speakers hain

doctors headfone pehne the

alina- ab lambi lambi saansein lo

aur theek ho jana please

[aur alina ek button ko daba di

mere kaano mein ajeeb si awaaj aane lagi

dheere dheere woh awaaj tej hone lagi

mera jism paseene se bheeg gaya

mere hath pair sakht hone lage

aur mere sar mein tez dard hone laga

aisa laga ki mera sir dard se phat jaega

lagatar main cheekhne laga

aisa lag raha tha ki

mere sir mein electric shock diya jaa raha hai

mera sir dard se phata ja raha tha

bahar mera pariwaar bebas bheegi aankho se mujhe dekh raha tha

tabhi meri aankhein band hone lagi

aur meri aankhein band ho gayi aankho saamne andhera chhaa gaya

mara toh nahi tha lekin aankh khol bhi nahi paa raha tha

shayad thodi der mein mar jaun....

[doctor puri koshish kar rahe the ki mujhe hosh aajaye

alina mera ek hath pakde hui thi

ek baat thi ki mujhe woh awaajein ab bhi sunai de rahi thi

iska matlab yeh tha ki main abhi jinda tha

mera poora pariwaar mujhe dekhke ro raha tha

aaj cmami mere liye ro rahi thi

mujhe pata hai ki cmami mujhse nafrat kyun karti thi

kyunki unki shaadi ko din se jyada nahi hue the

ki mere pita mera maa ko behosh karke apne sath le gaye

usi din mere naana naani bhi chal base

alina mujhse pyar karti hai

yaa mere liye apni jindagi jee rahi hai

mujhe pata nahi

meri vanya ko maine thappad bhi maara

woh kitna royi hogi

meri bnani aaj meri wajah se is haal mein hai

nmami ko main vaada kiya tha ki main unhe iss pariwaar ka hissa banake rahunga

reena madam jinke liye main principle ko poori tarah barbaad kar dunga

kaaliya lakhan jiske liye mujhe uski dulhan dhundni hai

vanya ke sath ab main college jaunga

bas itna hi ab taaqat nahi bachi hai

aisa lag raha hai ki jaise jaan nikali jaa rahi hai

sab kuch chhuta ja raha hai

tabhi mehsus hua ki koi mera hath apne hath mein tham raha hai

aisa mehsus hua ki meri vanya hai

meri pyar meri cheekhi chuhiya

jo bahut jyada ro rahi thi

woh awaaj ab bhi mujhe sunai de rahi thi

par meri aankh nahi khul rahi thi

kya karu khol hi nahi paa raha hoon

alina ka akelapan

vanya ka pyar

aisa mehsus hua ki koi mere pairo ko chhu raha ho

par yeh nahi samajh aaya ki kon mere pairo ko chhu raha hain

tabhi mujhe kisi ki siskiya sunai di

vidya- aap itne din se mujhse door hain

phir bhi main aap se koi shikayat nahi ki

aaj aap mujhe hamesha ke liye chhodke jaa rahe hain

doctors keh rahe hain ki ab aap kabhi nahi uthenge

kya main itni buri hoon

kya main aapko dukh di

aap pe gussa ki

aap ko pareshaan ki

shayad aap is liye nahi uth rahe hain

ki main aapko aapki vanya se door kar dungi

[vanya ko jhatka laga apni behen ki baat sunke

yahi nahi kmaasi bmami cmama cmami aur meri sab behne shock ho gayi

vidya- uthiye na please main aapko aapki vanya se kabhi door nahi karungi

main toh aap se pyar karti hoon

lekin vanya toh aapka khyal rakhti hai

vanya ki wajah se mujhe aap mile

vanya ki wajah mujhe aapka pyar mila

pata hai vanya aisa dikhati hai ki woh apne dard ko chhipa sakti hai

lekin kya woh apni aadat chhipa sakti hai

koi bhi ladki kisi ka itna khyal kyun rakkhegi

jabki woh usse theek se baat bhi nahi ki

yeh meri chhoti behen hai

main iska bahut der se mehsus ki

aur ab jab main janti hoon ki yeh aap se pyar karti hai

toh phir aap mujhe aur vanya ko kaise chhodke ja sakte hain

[tabhi bmama vidya ke kandhe pe hath rakh dete hain

vidya apne pita ki taraf dekhti hai

apni beti ko itne dard mein dekhke woh dhukk se reh jate hain

bmama- ab woh nahi uthega woh hume chhodke ja chuka hai

apne aapko sambhaliye aap

vidya- yeh aur mujhe chhodke jaenge

mujhe maut ke dwaar se kheenchke le aaye

yahi din dikhane ke liye

[phir vidya meri taraf mud gayi

vidya- patidev ji aaj agar aap mujhe chhodke chale gaye toh main aap se naaraaz ho jaungi

main aap se naaraaz ho jaungi

[aur vidya jor jor se rone lagi

[main paagal kuch sun hi nahi paa raha tha sirf siskiya sunai de rahi thi

aur ab aawaajein kam hone lagi thi

shayad ab mera waqt aagaya tha

tabhi mujhe kuch dikhai diya

aur main puri taaqat lagake apni aankhein khola

saamne mere pairo ke paas meri pyari pyari vidu ro rahi thi

main bas itna hi bol paaya

shakti- aap mujhse naaraaz hain....

saamne mere pairo ke paas meri pyari pyari vidu ro rahi thi

main bas itna hi bol paaya

shakti- aap mujhse naaraaz hain

vidu- nahi main aap se kabhi naaraaz nahi ho sakti

[bmama mujhe dekhke itna khush ho gaye

ki unhone sabke saamne bmami ko gale laga liya

kisi ne bmama ko itna khush nahi dekha tha

phir main kmaasi ki taraf dekha woh bhi bahut khush dikh rahi thi

main uthne ki koshish kiya lekin mera sar naach gaya

main wapas bed pe let gaya

phir doctors ne mera check up kiya

aur mujhe dusre room mein le gaye

shukar hai mujhe torture chamber se bahar nikala gaya

vidu mere paas baithi hui thi

vidu- mubarak ho pati dev ji aap ki ab do shaadi hogi

ek mujhse aur ek vanu

dilip- waise kehne mein toh mera hi nuqsaan hai phir bhi main kahunga

aap badi khush hain ki vanya mujhse pyar karti hai

aur meri shaadi usse bhi hogi

vidu- pehle aap mere seedhe saade pati dev ji the

lekin ab jab mujhe pata chal gaya hai ki aap commando hain

toh main kaise aapko akayle sambhalti

[aur vidu mujhe ankh maar di

meri hansi chhut gayi

main vidu ko apne paas bulaya

vidu mere bilkul kareeb aagayi

dilip- aapko pata hai na ki main dilip nahi hoon

vidu- haan

dilip- main shakti hoon is liye aap mujhse pyar karti hain

vidu- haan

dilip- toh phir aaj se main dilip hoon

[tabhi koi khansne laga

hum dono ek jhatke se alag ho gaye

saamne alina khadi thi

vidu apna munh dusri taraf karke chair pe baith gayi

alina mere paas aagayi

aur mera checkup karne lagi

phir woh jaane lagi main uska hath pakad liya woh mujhe dekhne lagi

dilip- supreme court saamne baithi hai

agar kuch maangna hai toh maang lo

shayad mil jae

alina- bhagwaan se ek hi cheez maangi thi

tumhari jindagi woh mujhe mil gayi

mere liye is se jyada khushi ki koi baat ho hi nahi sakti

ki main jisse pyar karti hoon

woh jinda bhi hai aur khush bhi

apna khyaal rakhna

[alina chali gayi

aur vidu mere paas aagayi

vidu- yeh kya keh rahi thi

dilip- aapko nahi pata

vidu- mujhe kya nahi pata

dilip- italy mein jahan main rehta tha wahan alina humaare pados mein rehti thi

woh mujhse 4 saal chhoti hai

humari dosti hui

10 saal ki dosti ek pal mein khatam ho gayi

jab woh mujhse kahi ki woh mujhse pyar karti hai

aur aaj ka din hai uski wajah se main theek hua hoon

vidu- kahi pe rukne ka irada hai

ya ab bhi koi bachi hai

dilip- bas yahi hai

vidu- kya aap ready hain

dilip- kis liye

vidu- teen shaadi karne ke liye

dilip- mazak mat kijiye aap agar kahengi bhi toh main teesri shaadi nahi karunga

main aapse pyar karta hoon aur vanya se bhi pyar karta hoon lekin alina se kabhi nahi

vidu- mujhe toh laga tha ki vanu hi aapse pyar karti hai

lekin aapko kab usse pyar hua

dilip- kaan idhar laiye

[vidu apna kaan mere munh ke paas laayi

aur main unhe dilip ke video waali baat bata diya

vidu thodi der tak mujhe dekhti rahi

vidu- achcha toh yeh baat hai ab main samjhi ki vanu ke udaas hone se aap kyun bechain ho jate the

dilip- aap pehle toh aisi nahi thi

vidu- pehle aapko khone ka dar nahi tha

lekin ab har pal har second aapko khone ka dar laga rehta hai

dilip- waise yeh khyali pulao banana band kijiye

humari shaadi ka koi thikana nahi hai

badi aayi meri teen shaadi karwaane

vidu- abhi aati hoon

[aur vidu chali gayi...

dilip- waise yeh khyali pulao banana band kijiye

humari shaadi ka koi thikana nahi hai

badi aayi meri teen shaadi karwaane

vidu- abhi aati hoon

[aur vidu chali gayi

[vidu vanya ke paas gayi

vanya- didi aap yahan kab aayi

main toh sirf pitaji ko batayi thi

vidu- tu in se milne nahi jaegi

vanya- main milke kya karungi

vidu- par yeh toh keh rahe the ki tu abhi tak unse milne nahi aayi

vanya- aisa kaha dilip ne sorry shakti ne

vidu- haa

vanya- theek hai phir main jaati hoon

[aur vanya mere paas aane lagi

main ankhein band karke leta hua tha

tabhi gate ke khulne ki awaaj se main apni aankhein khol diya

saamne vanya khadi thi

woh mere paas aake baith gayi

vanya- ab aapki tabiyat kaisi hai

dilip- apna hath aage karo

[vanya apna hath meri taraf badha di

main uska hath pakadke apne sir pe rakh diya

dilip- thodi der daba do

[vanya mera sir dabane lagi

main aankhein band kar liya

thodi der baad mujhe vanya ke sisakne ki awaj sunai di

main apni ankhein khol diya aur vanya ko dekhne laga

vanya ka chehra aansuon se bheega hua tha aur woh sisak rahi thi

main uthke baith gaya

aur vanya ko apne gale laga liya

meri baaho mein aate hi vanya chup ho gayi

dilip- kitna roti ho pata hai mujhe main tumhe rulata hoon

ab rona band karo

aur jaldi se keh do

vanya- tum bhi toh keh sakte ho

main hi har baat kahu

dilip- i love u vanya main tumse bahut pyar karta hoon

tumhare bina jee toh sakta hoon

lekin khush nahi reh sakta

please mujhe chhodke kabhi mat jaana

[vanya mere chehre ko dekhne lagti hai

vanya- i love u too dilip main bhi tumse bahut pyar karti hoon

tum daant lena maar lena lekin mujhe kabhi akayla mat chhodna

tumhare bina main mar mar ke jeeti hoon

[aur vanya apni aankhein band kar di

main vanya ke chehra apne dono hatho mein pakda

aur vanya ke mathe ko choom liya

phir main vanya ki aankho ko chuma

vanya dheere se apni aankhein khol di

aur bade pyar se mujhe dekhne lagi

main apne hont vanya ke gaal pe rakh ke choom liya

vanya sharma gayi

sharmane se uske dono gaal laal ho gaye the

dilip- itne pyare chehre ko main pyar nahi kiya aaj tak

isi liye yeh chehra itna murjhaya hua hai

ek baat batao london kyun jaana chahti thi

vanya- tumhe matlab aapko kaise pata

dilip- aap aap kyun karti hain aap

mujhe meri cheekhi chuhiya chahiye samjhi

vanya- ab kaise

dilip- aise

[main vanya ke honto pe apne hont rakh ke choom liya

vanya buri tarah se sharma gayi

lekin ab main kahan rukne wala tha

ek baar phir main apne hont vanya ke hont pe rakhke chusne laga

vanya bas mere kiss ko mehsus kar rahi thi

phir main apne hont vanya ke hont se alag kiya

vanya abhi bhi sharma rahi thi

dilip- ab batao ki london kyun jana chahti thi

vanya- tumhari wajah se

tum toh didi se pyar karte ho na

main beech mein aake kya karti

dilip- waah meri vanu london jaana chahti hai

kal ki ticket book karwa doon

vanya- sorry

dilip- ab kabhi aisa sochogi

vanya- nahi

dilip- mujhse hamesha pyar karogi

vanya- haan

dilip- aisa kabhi sochogi ki main tumse jyada vidu se pyar karta hoon

vanya- kabhi nahi sochungi

dilip- mujhe kiss karogi

vanya- haan

dilip- toh karo mere hont toh kab se tayyar hain

vanya- dhutt besharam

dilip- main toh karunga nahi mera man nahi hai

tum chaho toh kar sakti ho

vanya- main nahi karungi

dilip- mujhe lag raha hai vidu aarahi hai

[mere itna kehte hi vanya apne hont mere hont pe rakhke chusne lagi...​
Next page: Update 82
Previous page: Update 80