Update 75

Bhabhi apni saari theek karke khadi ho gayi..."main kitni der tak soyi rahi...kya time ho raha hai" unhone mujhse pucha.

"2:30 baj gaye hain" maine mobile nikal kar time dekha aur bhabhi ko bataya.

"bahut zyada so gayi main....tumne jagaya kyun nahi"

unka prashna sunkar pehle to main sakpaka gaya phir soch mein pad gaya...inhe bataun bhi to kya...kaise keh doon ki bhabhi aapko sote hue dekhkar main bahut anandit ho raha tha...aapko sota dekh kar mere man mein paap jaag utha tha aur main aapko bhogne ka vichaar karne laga tha....aapki besudhi ka fayda utha kar main aapke badan ki khusbu sungh raha tha.

"kya sochne lage....ek chota sa sawal to pucha hai itna kya soch rahe ho" bhabhi ki awaaz sunkar main apne vicharo se bahar nikla.

"bhabhi main soch raha tha aap sara din ghar mein bahar mein har samay kaam karti rahti ho....thakan to tum bhi mehsus karti hogi....jab maine aapko gehri neend mein soya dekha to bahut acha laga...aapke chehre mein kitni shanti kitna sukun tha...maine to soch liya tha chahein shaam ho jaye main aapko nahi jagaunga" maine baat badal kar uttar diya

"tumhe meri kitni fiqar hai...jab dekho mere hi baare mein sochte rahte ho" unhone meri taraf muskura kar dekhte hue kaha.

"are bhabhi fiqra kyun nahi hogi aaap itni achi jo ho....aur fir maine kaun sa galat kaha hai....aap sara din kaam hi karti ho....kabhi aaram karte nahi dekha" maine bhabhi ke paas ja kar kaha...bhabhi thermos se paani nikal kar apne chehre par cheedakne lagi, phir thermos ko wapas rakh kar apne anchal se chehra ponch kar meri aur dekh kar muskurate hue boli

"din ka samay to kaam karne ke liye hi bana hai...aaram ke liye raat hoti hai"

"kya pata aapko raat mein bhi aaram milti hai ya nahi" mere munh se achanak hi....kintu dheere se ye shabd nikal gaye. Bhabhi ne palat kar aashcharya se meri aur dekha. Phir fasal kaatne baith gayi. Unhe mujhse aise prashna ki asha nahi thi. Unko fasal kaata dekh main bhi unke kareeb baith kar fasal kaatne laga. Unhone palat kar meri aur dekha aur phir se fasal kaatne lagi. Kuch der yunhi maun sa chaya raha...phir maine maun todte hue bhabhi se pucha.

"kab tak fasal kaatogi"

"1 ghante mein jitna ho sakega kaat leti hoon baaqi kal ko dekhenge" bhabhi ne uttar diya, 1 sawa ghante aur fasal katai ke baad humne sari fasal ko ek jagah jama kar diya aur uske upar kantile jhaad kaant kar daal diya, aur nadi ki aur badh gaye.


lagbhag 15 minute tak ubad khabd pangdadiyon mein chalte hue humlog nadi pahunche...mujhe ye dekh kar behad aascharya hua ki din ke ujale mein bhi nadi mein sannata pasra hua tha...maine bhabhi ki aur dekha jo bartan rakh kar apni sari utarne mein vyast thi.

"lungi laye ho" unhone sari utar kar ek aur rakhte hue mujhse pucha

"han" kahkar maine sath laye apne packet se lungi nikal kar bhabhi ko de diya, bhabhi lungi ko pehan kar lungi ka ek seera apne daanton se daba kar apne blouse kholne lagi....unka peeth meri taraf tha....bhabhi itni savdhani se apne kapde utar rahi thi ki main siwaye unke nange kandho ke kuch bhi na dekh saka....jabki meri apekshayein bahut thi. Bhabhi ne blouse aur bra utar kar lungi ko apne chhatiyon par kas ke baandh liya.....phir meri aur peeth karke lungi ke neeche se hath andar daal kar petticoat ka nada kholne lagi...kuch hi der mein petticoat bhi unke badan se alag tha aur iss baar bhi meri qismat ne mera sath nahi diya. Maine nirasha se apna munh dusri aur pher liya.

"bhabhi aaj nadi mein koi bhi dikhayi nahi de raha hai, aaj nadi itni suni suni kyun hai...pehle to bahut chahal pahal rahti thi" Main nadi mein pade ek chattan par baithte hue bhabhi se pucha.

"pichle 2 salon se logon ka iss nadi mein aana jana kam ho gaya hai" bhabhi apne sabhi kapdo ko jhadiyon par rakhti hui boli

"kyun...." main hairani se unki aur dekhte hue pucha

"kai kaaran hai...ek to ye ki ab har ghar mein paani ki suvidha ho gayi hai....dusri baat log pehle se zyada vyast ho gaye hain....abaadi se hatkar itni door nadi mein aakar nahane ka matlab 2 ghante barbad kar dena hota hai....ab to log idhar kisi kaam se aaye to naha liye....warna sirf nahane dhone ke liye koi nahi aata....aur agar kuch log aate bhi hain to subah ko...iss waqt to bas kheton mein kaam karne wale log hi hote hain" bhabhi ne apni baat puri ki aur niche baith kar apne paanv patthar par ragadne lagi. Bhabhi apne dono hath patthar par tika kar ek paanv ko mod kar aediyon ke bal baithi hui thi aur dusre paanv ko pani mein bhiga kar patthar par ragad ragad kar apne paanvon mein jame mail ko chhuda rahi thi....kintu ye mera sobhagya nahi tha....mera sobhagya ye tha ki unka chehra meri aur tha aur iss wajah se mujhe unki adhnangi chhatiyon ka darshan mil raha tha....jab wo zor zor se apne paanv patthar par ghisti to unke boobs hilne lagte they....unki khubsurat chhatiyon ko dekh kar kisi ke bhi munh mein paani aa sakta tha....Meri nazrein na chahte hue bhi unke boobs ke beech ki ghatiyon mein utarti chali gayi.

"lekin...aaj to koi kissan bhi nahi dikhayi de raha hai" maine apni nazrein yathasthan tikaye hue bhabhi se dobara pucha

"nadi mein hamare akele hone se tumhe darr lag raha hai.... jo itne swal puch rahe ho" bhabhi ne mujhe chedne ke andaz mein kaha

"main kyun darunga...akelepan se aurtein darti hongi main to mard hoon" maine uttar diya

"acha...to tum mardo ko akele darr nahi lagta ?" bhabhi ne achanak meri aur dekh kar swal kiya...maine jhat se apni nazre unki boobs se hatakar unke chehre par tika di

"nahi..." maine chota sa uttar diya

"abhi 4 aurtein aakar tumhe yahan gher lengi na to kahde kahde tumhari su-su nikal jayegi" bhabhi ne shararat ke mood mein aate hue kaha.
Pata nahi nadi mein paanv rakhte samay kis bahle aadmi ka naam liya tha.... Jo bhabhi ke iss roop ka darshan hua....maine to kabhi socha bhi nahi tha ki bhabhi bhi mazak karna janti hai...hasi thitholi to wo pehle bhi karti thi kintu aise shabdo ka prayog unhone pehle kabhi nahi kiya tha....jo shabd mujhe kehna chahiye wo bhabhi ke munh se sunne ko mil raha tha....bhabhi lagatar romantic hoti ja rahi thi....kahin bhabhi ke man mein bhi waise hi vichar to nahi jo unke prati mere mann mein hai....kahin wo bhi to mere sath.......? Nahi nahi bhabhi ke mann mein aisa vichar nahi aa sakta.....main akaaran hi aisa soch raha hoon....ye sadharan si baat hai, itna mazak to iss rishtey ki pehchan hai....isse kisi bhi nishkarsh par jana murkhta hogi....par jo bhi ho iss waqt mujhe bhabhi ki baatein bahut anand de rahi thi.

"kya hua....dar gaye....par ghabrao nahi abhi koi nahi aane wali" unhone mujhe khamos dekhkar haste hue kaha

"bilkul nahi darunga....aap chahein mujhe 4 ke bajaye 40 aurton ke beech mein khadi kar do main nahi darunga....haan agar wo aurtein koi ulti seedhi harkate karengi to baat aur hai....ab izzat khone ka darr to har sabhya mard ko hota hai" maine bhi bhabhi ko chedte hue kaha...unhone ek muskurati nazar mujhpar dali aur apna dusra paanv paani mein bhiga kar patthar par ragadne lagi. aur main unke bolne ki pratiksha karne laga.

"aaj pehli baar jana ki mardon ko bhi aurton se izzat lutne ka khatra hota hai" bhabhi ki baaton mein vyangya tha.

"kyun...? kya khone layak cheejein sirf aurton ke pass hoti hai....hum mardo ke paas khone ke liye kuch nahi hota" maine nehle pe dehla marte hue unse prashna kiya.

Meri baat sunkar bhabhi ki muskaan aur gehri ho gayi...unke chehre par faili muskurahat dekh kar main gadgad ho gaya....unhe meri baatein achi lag rahi thi.

"hoti to hai...par sirf un mardon ke paas jo inka mol jante hain....zyadatar mard in cheejon ka mol nahi jante....akeli aur khubsurat aurat ko dekhte hi wo apna mol kam kar lete hain" bhabhi ne jaane anjane mein hi sahi kintu bahut kadwi baat bol gayi thi...unki baaton mein sachai thi....swaym main bhi to waisa hi hoon....khet mein bhabhi ko soya dekhkar kaise kutte ki tarah naak utha kar unke badan ko sungh raha tha...aur ab yaha nadi mein bhi chori chori unke adhnange badan se apni aankho ko seink raha tha...koi duniya se chahein kitni hi jhooth bol le kintu khud se kabhi nahi bol sakta...meri halat bhi waisi hi thi...mujhe tatkal koi uttar dete na bana.....maine bhabhi ki aur dekha....bhabhi ab apne hathon mein sabun laga rahi thi.

"lekin sab mard ek jaise nahi hote...mujhe dekh lo mera charitra kitna saaf suthra hai maine kabhi kisi akeli ladki ka nazayaz faayda nahi uthaya hai" maine apni safai di

"naazayaz na sahi kintu zaayaz faayada to uthaya hi hoga tumne" unki prashnasuchak drushti mujhpar jam gayi.

"matlab" main na samjhne ke andaaz mein bhabhi ki aur dekhte hue pucha

"shahar mein rahte ho aur itna bhi nahi jante" unhone meri khilli udate hue kaha "mera matlab hai sahar mein kisi ko paise dekar faayada to uthaya hi hoga tumne....maine to suna hai shahron mein ye sab khule aam hota hai"

"khule aam to nahi hota....lekin paise dekar kisi ladki ke sath raat guzarna....unhe ghumane le jana....unke sath enjoy karna... Sahar mein bahut aam baat hai"

bhabhi meri baat sunkar muskurane lagi wo ektak mujhe dekhti rahi....unke dekhne mein ek shararat thi, unhe shayad ye sandeh tha ki main bhi baazaroon aurton ke sampark mein jata rahunga. maine unki shanka door karte hue kaha "maine kabhi aisa nahi kiya hai....main kabhi in faltu ki cheejo ki aur nahi jata...aapko to pata hi hoga maine aaj tak gaanv ki kisi bhi ladki ki taraf nazar utha kar bhi nahi dekha"

"tumhara matlab hai tum shahar mein bhi kabhi kuch nahi kiye ho....kabhi kisi ladki ke paas nahi gaye ho" bhabhi ne hairani se meri aur dekhte hue pucha.

"bilkul nahi gaya...."maine bhabhi ko pura yakeen dilaya "to kya aap chahti hain ki mujhe aisi aurton ke paas jana chahiye" maine ulta unse prashna kiya

"main kyun chahungi....tumhara sharir hai tum jano tumhe kahan jana chahiye kahan nahi" bhabhi ne uttar dekar apni chhatiyon mein kasi lungi ki gaanth ko kholne lagi. "zara meri peeth par sabun laga do" bhabhi ne meri aur dekhte hue kaha. main lapak kar bhabhi ke paas gaya aur sabun utha kar unki nangi peeth par lagane laga. Meri tivrta dekhkar bhabhi thoda aascharyachakeet bhi hui...kintu kaha kuch nahi.


Bhabhi ka peeth kandhon se lekar qamar tak nanga tha.....unke baglon se jhakte unke narm aur gudaz uroz mujhe saaf dikhayi de rahe they.....bhabhi ke badan ko iss awastha mein itne samip se maine pehle kabhi nahi dekha tha.....ye mera pehla avsar tha jab main kisi naari sharir ko sparsh karne wala tha mummy Ko chodkar .....main laakh chahne par bhi apne haathon mein ho rahe kampan ko nahi rok pa raha tha....maine apne haath mein sabun liya aur dheere dheere unke peeth par lagane laga aur ek haath se unka peeth malne laga.....sabun lagane ke baad mainne dono haathon se unka peeth malne laga.....jab mere haath fisalte hue unke baglon tak jaate to meri nazar unke uroz par zam jaati....aur mere haathon ki kampan aur badh jaati.

"tum kya mere baare mein kuch galat soch rahe ho ?" tabhi bhabhi ka swar sunayi diya

"nahi.....to...." maine ladkhadate shabdo mein kaha

"phir tumhare haath kyun kaanp rahe hain.....aisa tabhi hota hai jab man mein chor hota hai" bahabhi ne kaha

"ye sach nahi hai bhabhi....mere haath to issliye kaanp rahe hain kyunki ye mera pehla naari sparsh hai.....mere mann mein thodi jheejhak hai....aur koi baat nahi" maine apni safai di, ye kahkar maine apni nazrein unki peeth se hatakar niche kar liya.....jaise hi meri nazrein niche gayi bhabhi ke aakarshak pichhwade par padi....geeli lungi mein chipka hua unka pichhwada behad uttejak darshan de raha tha....yahi woh pal tha jab mera mann ek baar phir se seemayein laanghne laga.....unke peeth par thirakte hue mere hath achanak tham se gaye....dil kiya thoda aage sarak jaun aur bhabhi ke pichhwade se chipak jaun....iss kalpanamatra se hi mera ling tan kar khada ho gaya.....yadi bhabhi thoda bhi pichhwada upar uthati to uska gharshan mere ling se nishchint tha.

"kya hua....abhi to kah rahe they ye tumhara pehla naari sparsh hai...ab peeth par haath dhare kyun baithe ho ?" bhabhi ne jaise mere man ka chor pakad liya ho, main ekdam se kaanp gaya.

"nahi nahi bhabhi....aisa kuch nahi hai" maine apne haath bhabhi ki peeth par ghumate hue kaha.

"to jaldi karo dever ji...aur haathon mein thoda zor paida karo.....hamein ghar bhi jaana hai" bhabhi ne samjhate hue kaha, unki baat sunkar mere haath tezi ke saath unke peeth par chalne lage, main zor zor se unka peeth malne laga.... Bhabhi dono paanvon ko ghutne se mod kar ukdu baithi hui thi....mere dwara zor zor se unka peeth ragadne se unka pura sharir hilne laga.....mere haathon mein achanak aayi tezi se bhabhi hasne lagi.

"bas ho gaya rahne do" bhabhi muskurati hui boli aur khadi hokar apni chhati se lungi baandhne lagi, chunki mere ling mein tanav tha aur mere khade hone se bhabhi ko meri manodasha ka gyan hona sambhav tha....main yathasthan baitha raha bas thoda aage ko khisak kar nadi ki behti dhara se apne sabun lage haathon ko dhone laga.....nadi mein paani ka star bahut kam tha....jis sthan par bhabhi khadi thi wahan par unke jaangho tak paani tha....bhabhi lungi baandhne ke baad apne haath pichhe lejakar baalon ki choti ko kholne lagi....choti kholkar bhabhi ne khud ko nadi ki satah se mila liya......pardarshi paani mein bhabhi ka tairta hua badan kisi machhli ki bhanti prateet ho raha tha....unke khule hue baal paani ki behti dhara mein fail gaye....us pal mere sthan par yadi koi kavi hota to na jaane bhabhi ki sundarta par kitne kavitayein likh deta....main mantramugdh sa unhe dekhta raha.....maine aisa sundar drishya shayad hi pehle kabhi dekha ho....bhabhi ne kuch der paschat khud ko paani se bahar nikala.....unka bhiga hua badan sir se paanv tak qayamat prateet hua....unhone sabun liya aur apne baalon mein lagane lagi....unka chehra meri aur hone se lungi mein qaid unke ubharo ka jhalak mujhe milne laga...bhabhi ne baalon aur chhati par sabun lagane ke baad sabun rakh diya aur wapas nadi ki satah se ja mili....kuch der paani ke andar rahne ke baad wo phir se khadi hokar lungi ki gaanth khol kar phir se paani ke andar ho gayi....iss baar unhone lungi ko chhati ke aage se faila kar paani ki behti dhara ko lungi ke andar se apne urozon mein lene lagi....unke aisa karne se ek baar phir unka nanga peeth mujhe dikhayi de gaya....kuch der aisa hi karne ke baad bhabhi uthkar khadi ho gayi...jaise hi wo khadi hui lungi peeth se sarak kar qamar tak aa gayi....wo piche se backless thi. Ek pal ko mere pure badan mein ek sihran si daud gayi....ab bhabhi nadi se upar aane lagi. Maine apna haath badhaya aur unhe patthar ke upar aane mein sahayta kiya.

bhabhi ke snan kar lene ke paschat maine bhi aanan faanan mein snan kiya aur humlog ghar ki taraf chal diye. raaste par chalte hue mujhe bair ke ped dikhayi diye....maine bhabhi se kaha.

"main neha ke liye kuch bair tod leta hoon" ye kahkar main jhaadiyon ki aur badh gaya aur bair todne laga.

"adhik bair mat todna.....adhik kha lene se usse khansi ho jayegi" bhabhi ne kaha....lekin maine unki baat ko ansuna karte hue bair todta raha.

"tum wapas kab jaoge ?" bhabhi ne pucha

"bas ho gaya 2 minute" maine uttar diya

"buddhu....main sahar ki baat kar rahi hoon....wapas kab jaoge ?" unhone haste hue kaha

"nishchint nahi hai....abhi se kuch kah nahi sakta" maine jhaadiyon se nikal kar bhabhi ki taraf badhte hue kaha.

"tum kuch Sahar ke baare mein batao bahut sundar jagah hogi na.....mera bahut mann karta hai sahar jaane ka" bhabhi ne kaha


Tumhe shadi kar Leni chahiye
Jisse Rashmi Chachi Ko bhi help mil jayega bechari Chachi Ko jitni pareshani Hoti hogi akele akele Kam karne me
Mene kaha
"aarambh mein hoti thi....kintu ab to aadat ho gayi hai" maine uttar diya....bhabhi ne ek udti hui drishti mujh par daal kar phir aage dekhne lagi .....wo kuch sochte hue aage badhne lagi...unke chehre se prateet hota tha unke mann mein kuch gahra manthan chal raha hai. Kuch der ke pashchat maine maun todte hue bhabhi se pucha

"aap kuch soch rahi ?"

"nahi to....bas aise hi thoda idhar udhar ki baatein yaad karne lagi thi" unhone uttar diya.

"aap kah rahi thi aapko Sahar jaane ka mann karta hai" maine bhabhi se pucha.

"mann chahta to hai.....par mann ki har chah puri ho ye jaruri to nahi" bhabhi ne dheere se kintu nirashapurn uttar diya.

"bhabhi....aapke mann mein jo kuch bhi hai mujhe bata do....main aapse wada karta hoon main aapki har ichha puri karunga....aapki khushi ke liye main kuch bhi karne ko taiyar hoon....plz aap ek baar batao to sahi aapki samasya kya hai...aapke mann mein kis cheej se dukhi hai" maine bhabhi se anurodh kiya.

"aisa kuch bhi nahi hai....mere mann mein...tum apne ko pareshan mat karo" bhabhi ne dheeme shabdo mein uttar diya, kintu unke shabd aur unka bhav mail nahi kha raha tha

"bhabhi....agar aapko mujhse thoda bhi prem hai to plz mujhe batao...aapki samasya kya hai" maine bhabhi se vinti ki.

"tum kyun zid kar rahe ho....tum jaankar bhi kya kar loge" bhabhi ne iss baar thodi jhunjhlati hui boli

"sorry....bhabhi mujhse bhul ho gayi....ho sake to mujhe chhama kar dijiye" maine haar mante hue khed parkat kiya.

Aaj pehli baar bhabhi ne mujhpar gussa kiya tha....aaj se pehle maine unka ye roop kabhi nahi dekh tha....jaane kis baat se wo dukhi thi....mera mann udas ho gaya...main chupchap apne nazrein jhukaye unke sath sath chalta raha.

"kya tum mujhse naaraz ho gaye....?" unhone mujhe udaas dekhkar pucha. "mujhe maaf kar do....mujhe tumse aise rukhe swar mein baat nahi karni chahiye thi" bhabhi ne meri aur dekhte hue dheeme shabdo mein kaha.

"main kyun naaraz hounga....mujhe adhikaar hi kya hai aapse naaraz hone ka.....aaj ke baad main aapse koi prashna nahi karunga....aaj ke liye mujhe maaf kar dijiye" maine ruthe shabdo mein bhabhi se kaha.

"raju....tum bahut ache vyakti ho....tumse baate karke mera mann halka ho jata hai....aur tumse bahut kuch baatne ko mera mann bhi karta hai kintu kuch baatein aisi bhi hoti hai jo ek hi dil mein rahe to to adhik acha rahta hai" bhabhi ne khoye khoye hue swar mein kaha.

"bhabhi ab main bacha nahi raha...ab mujhmein itna saamartya hai ki main kisi ki bhavnao ko samajh sakun....agar aap mujhe iss layak samajhte hain to aap nisankoch apne mann ki baat mujhse baat sakti hain....main aapki bhavnao ka anadar nahi karunga....aap mera bishwaash karein" maine bhabhi ki aur aashapurn drishti daalte hue kaha.

"kya bataun tumhe....kya ye kahun ki mujhe ye jagah ye log kuch bhi acha nahi lagta....main yahan se door kahin door chala jaana chahti hoon...ek asisi jagah jahan mere sapne ho....jo mere armaano ki duniya ho....jahan meri har ichhaon ka maan ho........" bhabhi ke ye shabd mujhe kahi door se aate hue sunayi diye....mujhe aisa laga jaise bhabhi mere itne paas hokar bhi mere paas nahi kahin aur jagah par hain. Maine aascharya se bhabhi ki taraf dekha....wo junglon ki aur dekh rahi thi.



Maine aascharya se bhabhi ki aur dekha, unki nazrein charo aur ghum rahi thi, jaise wo kuch dhudh rahi hon...kuch aisa jo unhe aaj tak nahi mila, lekin kya....? Ye mere samajh se pare tha. Main bhabhi ke samip gaya aur unka haath pakad kar unhe ek aur le gaya jahan ek bada sa ped tha aur uske niche ek vishal patthar tha.....maine bhabhi ko patthar par baithne ko kaha, bhabhi aascharya se mujhe dekhti rahi.....main bhi bhabhi ke paas ped ki chhanv ke niche patthar par baithte hue bhabhi se kaha .

" bhabhi mujhe kasam hai iss mitti ki jispar main baitha hoon, aur ek din iss mitti par mujhe mil jana hai. Maine sadev aapke har dukh ko apna dukh samajha hai....aaj aapko batana hi padega ki aisa kya hai jo aapko sadev vichlit kiye rakhta hai. Wo kaun si aisi adhuri ichha hai jiski tadap aap mehsus karti rahti ho....plz mujhe bataiye" maine bhabhi ke haathon ko pakadkar unse anurodh kiya.

"theek hai....main aaj tumhe apne mann ki har baat bataungi....wo sab kkuch jo main apne kunwarepan se lekar ab tak sochti aayi hoon" unhone mera haath apne haath mein lekar meri aankhon mein jhakte hue kaha.

" rahul ladki koi bhi ho kaisi bhi ho, chahein gori ho kaali ho ameer ho gareeb ho, padhi likhi ho ya anpadh, ya chahein choti jaat ki ho ya phir kisi unche kul ki ho...sapne sabke ek saman hi hoti hai ! Kishorvastha mein paanv rakhte hi har ladki meethe sapne sanjone lagti hai....har ladki ki tarah main bhi sapne dekhne lagi.....ek khubsurat zindagi ke sapne....jismein ek bahut pyar karne wala pati ho, bada sa ghar ho jahan mere sukh ka har saaman ho jahan pyar hi pyar ho, main jo icha karun wo jhat se mujhe mil jaye...pati aisa sundar ho jise dekhkar har ladki ko mere bhagya se jalan ho....pyar itna karein ki sambhal na paoon....wo mujhe apne palko mein bitha kar rakhe....desh duniya ki shair karaye Aur dil se mera samman kare. Main nitya din aise hi sundar sapno mein khoyi rahti...aur dekhti bhi to kyun nahi.....kya sundar jeevan ke sapne dekhna buri baat hai....kya apne pasand ke var ki kaamna karna galat hai....swarg ki chaah to paapi ko bhi hota hai... 100 varsh ka budha bhi baaki bachi zindagi ko sukh se jeena chahta hai, phir mera to abhi abhi youvan ki dahleez par paanv pada tha....abhi abhi to maine jeevan ko samjha tha.....aise hi sundar aur aanandit sapno ko paale hue maine apni college ki padhayi puri ki, college se padhayi puri karne ke baad main collage mein admission ki taiyari karne lagi, unhi dino ek aisi ghatna hui jisne mere jeevan ko tahas nahas kar diya."

"aisa kya hua......?" maine bhabhi ki baat ko beech mein kaatte hue bhabhi se pucha.

"meri ek badi behan thi....shilpa" unhone kuchh yaad karte hue kaha.

"shilpa..." maine aascharya se unki aur dekhte hue kaha "lekin maine to kabhi aapki kisi behan ke baare mein aapse ya bhaiya se nahi suna hai" maine apni shanka zaahir kiya.

"tum uske baare mein nahi jaante ho....maa-peetaji aur tumhare bhaiya jaante hain...lekin shilpa didi ki charcha na to kabhi mere ghar mein koi karta hai na yahan par koi karta hai" unhone apni baat jaari rakhte hue aage kehna shuru kiya. "maine collage mein parvesh haitu sari taiyariyan kar li thi. Mujhe aaj bhi yaad hai wo din.....main apne room mein baithi koi kitaab padh rahi thi ki mujhe peetaji ki awaaz sunayi di wo zor zor se aur gusse mein didi se kuch kah rahe they....mujhe baahar aata dekh peetaji chup ho gaye aur didi ko daant kar unke room mein jaane ko kaha. Phir kuch dino upraant ek din shilpa didi achanak hi ghar se gaayab ho gayi....chhan-been karne ke baad pata chala ki wo apne hi collage ke ek teacher ke saath bhaag gayi hai. Didi ne jab ye qadam uthaya tab unki age 20 saal ki thi aur unke teacher ki age 35, unka naam sushil tha, unki ek shadi pehle bhi hui thi kintu pehli biwi se koi bacha na tha...log kahte hain unki patni zyadatar bimaar rahti thi, vivah ke 10 saal baad ek din unka dehaant ho gaya. Didi ke sath ghar chodne se pehle, Sushil ji pichle 5 saalon se akelepan ka jeevan jee rahe they. Didi ka iss tarah se ghar chod kar jaane se samaaj mein peetaji ki bahut badnaami hui, peetaji ko iss baat ne itna peshan kiya ki unhone meri padhayi band karva di, unhe ye bhay tha ki kahin main bhi didi ki tarah hi koi galat qadam na utha loon, padhai rok dene ke baad peetaji jald se jald mera vivah kar dena chahte they....wo jee jan se mere rishtay ke liye daud dhoop karne lage. Aas paas ke gaanv aur apne sambandhiyon ke beech badnaam hone ke pashchaat mere liye acha rishta dhundhna sahaz nahi tha. Mujhe lekar peetaji bahut chinteet rahne lage, unki chinta har roz badhne lagi....peetaji ki chinta akaaran nahi thi....jis vyakti ki ek beti kisi anjaan purush ke saath bhaag jaye to nisandeh use apni dusri beti ki chnita ho hi jaati hai, Pure 1 saal tak peetaji mere rishtay ke liye var dhundhte rahe, phir ek din tumhare ghar aaye aur yahan baat pakki ho gayi. Peetaji ne tumhare peeta se kuch bhi na chupaya aur didi ke baare mein sabkuch bata diya. Peetaji ke laut ke aane ke baad maa se mujhe pata chala ki mera rishta tay ho gaya hai to pata nahi kyun mujhe ye sunkar anand ka anubhav nahi hua, mujhe aisa laga jaise koi mere sapne mujhse cheen raha ho...wo sapne jo mujhe behad priya they...wo ek pal mein bikharta mehsus hua....dil kiya cheekhe maar kar ro doon, aur peetaji se iss rishtay ke liye mana kar doon, par main aisa nahi kar saki. Mujhe na chahte hue bhi shadi ka laal joda pehanna pada. Jis din meri bidaai thi us din mujhe aisa laga jaise aaj meri doli nahi mere armaano ki arthi uth rahi ho, main bahut der tak apne peeta ki chhati se lipat kar roti rahi." bhabhi apni baat kehte kehte chup ho jaati hai, unka gala rundh jaata hai. Wo apne aankhon mein bah chale aansoon ko pochhti hai aur phir kehna aarambh karti hai.
Next page: Update 76
Previous page: Update 74