Update 76

rahul....jab main iss gaanv mein dulhan bankar aayi...tab main bahut dukhi stri thi....mann maanne ko taiyar hi nahi tha ki main vyahi ja chuki hoon....mere sapne ghote ja chuke hain....kintu jaise jaise din guzarte gaye.....main yatharth ko samajhne lagi, aur kuch hi dinon mein iss baat ko achi tarah se
Samajh chuki thi ki ab kuch bhi ho jaaye meri zindagi isi ghar mein katne wali hai. Aur thode hi dino mein maine apne sapno ko apne hi seene mein samadhi de di. Aur iss ghar ko apna sarvasva samajhkar jeevan beetane lagi, lekin khushiya shayad mere bhagya mein tab bhi nahi thi....jaise jaise main apne kartavyapaalan ko samajh rahi thi waise waise tumhare bhaiya apne kartavyon se door hone lage they, unki dosti kuch aise lucho se ho gayi thi jinka adha din jua aur sharab mein guzarta tha. Main jab bhi unhe samjhane ka pryas karti wo mujhe marne lag jaate. Ek baat jaan lo rahul ... Koi stri apne saare sapno ko bhula kar bhi apna jeevan jee sakti hai...kintu pati ke pyar ke bina jeene ki kalpana bhi nahi kar sakti, kisi stri ke liye akelepan se bada koi dukh nahi hota....kintu mera dukh to usse bhi bada tha...pati ke hote hue bhi main akeli thi....meri zindagi aur hal jotne wale kisi bail ki zindagi mein koi antar nahi tha. Din bhar ki thakan ke baad jab main raat ko bistar par letti to aksar didi ki yaad aa jati....aur sochne lagi ki kaash unhone aisa faisla nahi liya hota to peeta ji aanan faanan mein mera vivah na rachate....main padhayi puri kar sakti thi aur ek acha jeevan jee sakti thi. Phir kabhi ye sochne lagti ki didi ne jo kiya acha hi kiya....unhone apni khushi chahi to kya galat kiya....didi ko sushil ji se pyar hai aur sushil ji bhi didi se pyar karte hain, wo unhe har haal mein khush rakhenge....aur phir didi bhi to meri hi tarah apne spano ka ek sansar mann mein basaya hoga...unhone bhi apne sundar jeevan ke sapne sushil ji ke sath dekhe honge tabhi to unhone aisa qadam uthaya . Aur Ye acha hi kiya didi ne ki apne sapno ke sath koi samjhauta nahi kiya. Aaj main nahi jaanti wo kahan hain, lekin main ishwar se prarthana karti hoon wo jahan bhi hon khush rahein....ishwar unka har wo sapna pura karein jo unhone dekha ho." ye kahkar bhabhi chup ho gayi.

"aage bataiye bhabhi....kya bhaiya aapse bilkul bhi pyar nahi karte ?" maine utsuktavash bhabhi se pucha.

"tum meri baaton se ye sochte hoge ki main tumhare bhaiya ki ninda kar rahi hoon.....! Tumhi kyun koi bhi vyakti meri baat ko sun kar yahi kahega ki main kaisi kulakshini stri hoon jo apne pati ki ninda kar rahi hoon. Lekin tum mujhe batao ki koi pati jab chahe chaar aadmi ke samne apni patni ka apmaan karein uspar haath uthaye tab pati ko koi bhi vyakti duscharitra nahi kehta, uske iss harkat ko pati ki ninda nahi kehta....kintu jab patni isi baat ki peeda ko kisi se kahe to wo kulakshini ban jaati hai. Ye kaisa dohra niyam hai ki pati jo mann mein aaye kare aur patni chupchap sab sahti rahein....kya striyon ki apni koi ichhayein nahi hoti." bhabhi ke swar mein mardon ke liye vyangya aur krodh ka mishran tha.



Main bhabhi ki baaton se niruttar ho gaya. Unki baaton mein sachhai thi. Maine bhabhi ki aur dekha unki aankhein nam thi, maine hath badhakar unke aansoon ko ponchhne laga.

"bhabhi....aaj ke baad main aapke in aankhon mein kabhi aansoon nahi dekhna chahta."

"ab to mujhe aadat ho gayi hai.....aur neha ke janm ke baad to maine apni kismat ko kosna bhi band kar diya hai." bhabhi ne feeki muskurahat ke saath kaha.

"kya aap Sahar chalogi mere sath" maine bhabhi se pucha.

"filhaal to ghar chalo....bahut adhik samay ho gaya hai" bhabhi ne uthte hue kaha.

"main koi mazaak nahi kar raha hoon....kheton ka kaam niptane ke baad agar aapka mann kare to aap mere saath Sahar aa sakti ho." maine gambhirta poorvak bhabhi se kaha. Aur uthkar unke piche piche chal diya.

"main tumhare sath kaise aa sakti hoon.....log kya kahenge."

"apne sath neha aur bhaiya ko bhi mila lo....phir to koi kuch nahi kahega. Thode din Sahar ghum logi to tumhara dukh kam ho jayega....ho sakta hai bhaiya ka bhi swabhav kuch badal jaaye aur baha to mummy he vo shayad app ki koi help karde hum mummy se bat karenge " maine bhabhi ko samjhaya. Bhabhi ne kaha Rahul Chachi sub janti he aur unhe Apne pariwar ki har sachchayi pata he
To app chalo bhabhi mere sath

"aur ghar ka kya karein....? Maa-peetaji ko akele chhod dein....? Mere bagair iss ghar ka koi kaam nahi hota....unse akele raha nahi jaayega" bhabhi phir se meri baat kaatti hui boli.
Me bola bhabhi ( dosto mere ek chacha ka pariwar bhi unke ghar ke pass hi rahta he )
"choti chachi ko bol jaayenge......chachi swabhav ki bahut achi hain, wo kuch dino ke liye ghar ko sambhal lengi."

"apne matlab ke liye kisi ko pareshan karna acha nahi lagta mujhe" bhabhi ne kaha.

"tum chachi ko theek se nahi janti, wo bahut achi hain....bachpan se hi hamare sukh dukh mein hamesha hamare kaam aayi hain, main unhe samjha lunga. Aap haan kah do bas...." main bhabhi ke munh se haan sunne ke liye vyakul tha.

"theek hai lekin ghar mein sabko manane ka karya bhi tumhe hi karna hoga.....mujhse ye aasha mat rakhna " bhabhi ne halki muskurahat ke sath kaha.

"ohhhh bhabhi....aap chinta na karo, ye to mere baayein haath ka kaam hai" maine chutki bajate hue bhabhi se kaha. Aur phir ghar Ake Mene bade papa badi mummy Ko manaya aur phir bhaiya bhabhi aur Neha Ko lekar rat ki train se chal pada Mene mummy Ko sab Bata diya aur phir mummy ne kaha ghar me unke Ane se vo Ashok ke sath Masti nahi kar payengi isliye me Ashok ke sath uske highway wale ghar me Jaa Rahi hu aur tu yaha teri bhabhi Ko thokna aur usse kahna me mayke gayi hu phir boli tu usse kuch mat kahna me khud hi teri bhabhi se Apne tarike se bat kar lungi aur phir


Raat ke 10 baje hain, dhaddhadati hui train raat ke sannate ko chirti hui apne mannzeel ki aur badhi chali ja rahi hai. Maine neha ko theek se kambal mein odhaya aur aur bhabhi ki taraf dekha. Bhabhi theek mere saamne wali seat par leti hui thi, unka badan kambal se dhaka hua tha sirf chehra dikh raha tha, unki nazrein mujhpar hi tiki hui thi. Maine bhabhi ko ek muskurahat dekar unse pucha" kya aapko neend nahi aa rahi hai ?"

"nahi...." bhabhi ne muskurakar uttar diya.

"kyun....? Kya ghar chhutne ka dukh ho raha hai " maine prashna kiya.

"nahi....ye baat nahi hai, shayad pehli baar train mein baithi hoon na issliye neend nahi aa rahi hai" bhabhi ne uttar diya.

"bhaiya to ghode bechkar so rahe hain" maine haste hue kaha.

Bhabhi bhi meri baat par has di.

"aakhir tumne mana hi liya sabko" bhabhi ne agla prashna kiya.

"bhabhi main jo ek baar mann mein thaan leta hoon, use pura karke hi chhodta hoon.....aur phir maine aapko vachan bhi to diya hai ki main har wo kaam karunga jisse aapko khushi mile" maine bhabhi se kaha.

"tum bahut ache ho rahul ....! Kaash ki main tumhari patni hoti to main apne ko sansar ki sabse bhagyashali aurat samjhti." bhabhi ne behad namra swar mein kaha.

"thankyou...bhabhi, meri prashansha karne ke liye."

"mujhe to kabhi kabhi us aurat ke baare mein sochkar jalan hoti jo tumhari hone wali patni hogi" bhabhi ne kaha.

bhabhi ki iss baat par main thoda sa chaunka...bhabhi ko meri hone wali patni se jalan hai....lekin kyun ? Unki baaton ne mujhe sochne par vivash kar diya. Unke kehne ka kaaran kya tha.....unki baate kabhi kabhi mere palle nahi padti thi. Aur Aaj bhabhi ko kya ho gaya hai lagataar meri prashansha kiye ja rahi hai, abhi to hum sahar bhi nahi pahunche hain aur bhabhi ka pyar mujhpar umadne laga hai.....jab main unhe sahar ghumaunga aur unki pasand ki har cheej unhe dunga tab bhabhi kya karegi. Main unse badle ki chaah to nahi rakhta kintu unse aise hi pyar ki aasha hamesha rakhta hoon.

"kahan kho gaye" bhabhi ne mujhe tokte hue kaha.

"apni patni ke baare mein sochne laga tha" maine bhabhi se mazaak kiya.

"ohhh....kya soch rahe they." bhabhi ne munh latkaate hue kaha.

"chhodo uss baat ko....aap ye bataiye ki aapko meri patni se jalan kyun hoti hai ?" maine bhabhi ke antarman ko tatolne ke uddeshya se prashna kiya.

"main kyun jalungi tumhari patni se..." bhabhi ne rukhe swar mein kaha.

"us din bhi khet jaate samay jab maine aapse apni premika ke baare mein jhuthmuth kaha tha to aapka chehra utar gaya tha....aur aaj to aapne swaym hi ye kaha hai ki aapko meri hone wali patni jalan hoti hai?" maine bhabhi ko unkii baatein smaran karaya.

"rahul...us din jab tumne mujhse mazaak mein kaha ki tum kisi se pyar karte ho to pata nahi kyun mujhe ek pal ke liye aisa laga....jaise main ab bilkul akeli ho gayi hoon.....main nahi jaanti kyun aur kya par mujhe aisa laga jaise mera kuch cheen raha ho. Agar tum thodi der aur mazaak karte to shayad main ro deti." bhabhi ke shabd bhari ho gaye they.

" i'm sorry bhabhi.....main aainda aapse aisa mazaak nahi karunga, mujhe nahi pata tha aap mujhse itna pyar karti ho." maine bhabhi se kaan pakdte hue kaha.

"it's ok" unhone englsih mein kaha aur zoron se has di.

Main bhabhi ki hasi par kho gaya. Unko hasta dekh kar jo khushi mujhe hui, main use shabdo mein bayan nahi kar sakta.

"good night....bhabhi. Ab so jaiye....safar lamba hai" maine bhabhi ko muskurakar kaha.

"good night" bhabhi ne uttar mein muskura diya. Aur kambal se apne chehre ko dhank liya.

maine bhi apne ko kambal ke andar chupa liya...kintu meri aankhon se neend gayab thi. Main sochne lag gaya, bhabhi ne aisa kyun kaha ki "tum thodi der aur mazaak karte to main ro deti" to kya...bhabhi mujhse pyar karti hai, unka ye bhi kahna ki unhe meri bhavi patni se jalan hoti hai....iska kya arth hai. Bhabhi ke mann mein chal kya raha hai.....wo aisi stri to nahi lagti ki devar se ishq ladaye, haan shayad wo apne ko akeli aur kamzor mehsus karti hain aur mujhe apna hamdard samajhti hain....! Aur unki chinta iss baat ki hogi ki agar mera vivah ho gaya to main unki parvaah karna band kar dunga.....nisandeh yahi baat hogi......ohhh bhabhi main aapko kaise bataun ki main sirf aapke liye hi iss dharti par aaya hoon. maine mann hi mann bhabhi se kaha. Mujhe unki soch ka gyan hote hi mera mann unke liye sahanubhuti Se bhar gaya. Maine nishchay kar liya ki main bhabhi ka har sapna saakar karunga. Iss train mein na jaane aise kitne log honge....jo hamari tarah apne apne mann mein bhi koi na koi sapna liye manzil ki talaash mein safar kar rahe honge, Maine aankhein band ki aur sone ki koshish karne laga.
Subah jab aankh khuli to neha jaag chuki thi.....maine bhabhi ki aur dekha wo abhi bhi so rahi thi kintu bhaiya dikhayi nahi de rahe they....wo shayad baathroom gaye honge. Tabhi bhaiya aate hue dikhayi diye.unke haath mein coffie tha wo coffie ki chuski lete hue dheere dheere chale aa rahe they.

"bahut jaldi jaag gaye aap" maine bhaiya se pucha.

"haan....mujhe fresh hona tha." unhone dheere se kaha.

bahut jaldi jaag gaye aap" maine bhaiya se pucha.

"haan....mujhe fresh hona tha." unhone dheere se kaha.

"main bhi fresh hokar aata hoon....aap neha ka khyal rakhiye." maine upar ki seat se utarte hue kaha.

"theek hai jao" mere utarte hi bhaiya upar ki seat par chadhne lage. Main bathroom ki taraf badh gaya. bathroom se lautne tak bhabhi bhi jaag gayi thi, mere aane ke baad bhabhi neha ko lekar bathroom ki aur badh gayi. Lagbhag 20 minute baad bhabhi laut kar aayi, bhabhi neha ko lekar upar ki seat par chali gayi.

"kuch khaya jaaye...." bhaiya ne bhabhi ki aur dekhte hue kaha.

"ghar ka banaya hua 4 paratha hai...ek ek kha lo sablog" bhabhi ne kaha.

Maine lunchbox niche se uthaya aur bhabhi ko pakda diya aur main bhi upar chadh kar bhaiya ke bagal mein baith gaya. Bhabhi ne paratha nikala aur ek ek sabko baant diya. Paratha khane ke baad thodi der mein chaay wala bhi aa gaya. neha ko chhodkar baaki sabne ek ek cup chhay bhi piya aur sustaane lage.

"humlog kab pahunchenge ?" bhabhi ne mujhse pucha.

"2 baje tak train pahunch jaati hai aaj 1 hour late hai to 3 baje tak humlog sahar pahunch jaayenge." maine uttar diya.

"wahan jaakar kya karenge humlog" ye prashna neha ka tha. Uski masoom sawal par sabki hasi chhut gayi.

"wahan jaakar humlog ghumenge.....aur chidiyangahar mein sher, haathi, mor aur bhalu bhi dekhenge." maine neha se kaha.

"bhalu aur sher...." neha thodi darti hue boli. Aur kuch sochne lagi.

"sher pinjre mein hoga...wo hamein kuch nahi kar paayega. Tumhe darne ki jarurat nahi hai. Main bhi tumhare sath rahunga." maine neha se kaha.

Aise hi pyari pyari baaton mein samay nikalta gaya....aur train apni raftaar se manzil ki aur badhti rahi....lagbhag 2:30 baje train ne hamein station pahuncha diya. Station se bahar niakalte hi bhabhi ki aankhein fati ki fati rah gayi. Itna bheed bhaad aur vyast jeevan unhone kabhi nahi dekha tha, maine ek taxi liya aur bhabhi neha aur bhaiya ko piche baithne ko kaha aur main driver ke sath aage baith gaya. Lagbhag 3 baje tak humlog ghar pahunch gaye. Ghar pahunch kar maine lock khola aur andar parvesh kiya. . Us ke baad maine apna bag khola aur pehanne ke liye ek shorts aur t-shirt nikal kar baathroom mein ghus gaya.



mere snan kar lene ke baad, pehle bhaiya phir unke baad bhabhi bhi snan karke dusra vastra pehan chuki thi. Vatavaran mein sheetalta hone ki wajah se bhabhi ne neha ko snan karana theek nahi samjha, matra bheege towel se uska badan ponchh kar dusre kapde pehna diye. maine bhabhi ki aur dekha wo neha ko garam vastra pehnane mein vyasth thi. Bhabhi blue colour ki saari mein behad khubsurat lag rahi thi.

"bhabhi....main zara bahar jakar dudh lata hu chai piyenge Phir uske baad paas ke hotel mein jakar kuch khana peena bhi karenge " maine bhabhi ki aur dekhte hue kaha.

"theek hai...." unhone apni drishti mujhpar daalte hue kaha.

Main ghar se baahar nikla aur market ki taraf badha hi tha ki mujhe ghar ke bahar laxmi aunty dikhayi di. Laxmi aunty hamari Padosan hain, unki aayu (45) hogi, unke parivaar mein kul 3 log hain, unke husband mr kamal sharma ji (50) aur unki eklauti beti neeta (18) jo abhi B.A final yrs mein study kar rahi hai,

"namste aunty ji" maine aunty ko haath jodkar pranaam kiya .

"jeete raho....sada sukhi raho....


"
Unki awaaz sunkar bhabhi ghar se bahar aa gayi. Aunty ki nazar bhabhi par padi unhone meri taraf muskurakar dekha aur kaha. "Ye kon he ?

. Ye meri bhabhi hain." "bhaiya aur bhabhi kuch dino ke liye aaye hain, kuch din rahkar sahar ghum lenge phir wapas chale jayenge."

" Bhabhi tab tak aunty ke paas aa chuki thi, bhabhi ne aunty ke paanv chukar ashirwaad liya. .
.

"aap andar aaiye na" bhabhi ne aunty se kaha.

"main yahin theek hoon beti. Tum meri chinta na karo. bas tumse ek vinti hai jab tak yahan ho thoda samay nikal kar kabhi kabhi mere paas bhi baith jaana"

"bilkul maa ji....main to nityadin aapse milti rahungi." bhabhi ne uttar diya. Tab tak bhaiya aur neha bhi bahar aa gaye. Bhaiya ne bhi aunty ko namste kiya. kuch der baate kar lene ke pashchat aunty jaane lagi. Jaane se pehle unhone neha ko god mein lekar use pyar kiya. Aur phir aashirwaad dekar chali gayi.
....aur kaun kaun hain inke ghar mein...? Bhabhi ne prashna kiya

"ye baatein baad mein bhi hoti rahegi.....mere vichaar se pehle hamein hotel chalna chahiye....aur kuch khana peena karna chahiye....mujhe to bahut bhukh lagi hai." maine bhaiya bhabhi se kaha.

"mujhe bhi bahut bhukh lagi hai" neha ne meri ungli pakad kar kaha.

"chalo kahan chalna hai" bhaiya ne mujhse kaha.

"paass hi ek hotel hai....wahin chalte hain" maine neha ko god mein uthate hue kaha.

bhabhi ne room ko lock kiya aur hum sab chalne lage, hotel mein lagbhagh 45 minute baatane ke baad hum wapas ghar mein laut aaye, bhaiya ne bed par baithte hi tv on kar diya aur channel surf karne lage. Bahbhi boli me kitchen me Jaa Rahi hu Mene kaha ok bhabhi app kitchen dekhlo aur kuch problem ho to mummy se puch Lena vo mummy mama ke ghar gayi he
Bhabhi ne meri aur muskurate huye kaha haa mere dever ji Chachi ne mujhe Bata diya he vo kaha gayi he aur kyu gayi he aur jiske sath gayi he aur kya karne gayi
Mene jhepte huye kaha kya kaha bhabhi Apne
Bhabhi boli mere dever ji app isme mat uljho mujhe pata he sab
Bhaiya bole kaha gayi he Chachi
Bhabhi boli nanaji ke ghar gayi he app apna Kam karo aur Bhabhi kitchen ke andar chali gayi, main neha ko lekar bed par baith gaya.

"rahul...zara kitchen mein aana." kuch der baad kitchen se bhabhi ka swar sunayi diya. Maine neha ko god se utara aur kitchen ki aur badh gaya.

"kya hua bhabhi...?" main kitchen mein pravesh karte hue bhabhi se puchha, bhabhi kitchen mein rakhe dabbo ko khol khol kar check karti ja rahi thi.

"roz roz hotel mein khana mahanga padega....main idhar hi bana liya karungi. Main check kar leti hoon jo jo cheejein nahi hai wo le aao" bhabhi dabbo ko check karti hui boli

"nahi bhabhi.....khana hotel se hi manga kar khayenge......aap yahan kaam karne ke liye nahi aayi ho" maine bhabhi ka hath pakadte hue kaha.

"theek hai.....phir ye batao ki yahan rahna kitna din hai ?" bhabhi ne mujhse pucha.

"jab tak aap chaho..." maine bhabhi ki aankhon mein jhakte hue kaha.

"main agar saari umar rahna chahun to...?" bhabhi ne muskurate hue kaha.

"to.....phir ye mera sobhagya hoga" maine bhi se haste hue kaha.

"to kya main saari umar hotel ka hi khana khaungi.....kisi grihini ke liye isse badi lazza ki baat aur kya hogi" bhabhi ne vyangyapurn shabdo mein kaha.

"to kya aap sach mein umar bhar yahin rahna chahti ho....?" maine dheere se utsuktapurvak bhabhi se pucha.

"abhi se kaise kah sakti hoon, pehle ye to dekhne do ye jagah rahne layak hai bhi ya nahi" bhabhi ne haste hue uttar diya.

"rahul ....tumhari bhabhi theek kah rahi hai, khana ghar par hi banega to zyada acha hai, mujhe yahan ke hotel ka khana achha nahi laga, kitna teekha aur masala daalte hain ye log.....aisa khana roz khana pade to main chauthe din hi wapas chala jaaunga." bhaiya ne unchi awaaz mein room ke andar se kaha.

"kya sach mein aap yahan ke hotel ka khana khakar nahi rah sakte" maine bhaiya se pucha.phir dheere se bhabhi se kaha "phir to 10 din hotel mein hi khate hain"

bhabhi meri baat ka aashay samajh kar zoro se has padi. Unko iss tarah khilkhilata dekh main kuch pal ke liye unki hasi par kho gaya.

"are kya hua.....kyun has rahe ho tumlog....? Main sach kahta hoon, hotel mein khane ka vichaar tyag do.....kahan meri biwi ke haath ka bana swadist bhojan aur kahan hotel ka masaledaar teekha khana. Koi murkh hi hoga jo hotel ka khana khayega." bhaiya ne bhabhi ki prshansha karte hue kaha.

Maine bhaiya ke munh se pehli baar bhabhi ke liye prashansha bhare shabd nikalte dekha. Bhabhi ka chehre bhaiya ki prashansha se khil utha, unki hothon mein muskurahat fail gayi. Kintu mere seene mein jaise teer chal gaye ho, bhaiya ki aur se bhabhi ka yun prshansha karna mujhe acha nahi laga, pata nahi kyun....lekin jeevan mein pehli baar mujhe bhaiya se jalan sa hua. Pehli baar bhabhi ka ye muskurata hua chehra mujhe acha nahi laga. Bhabhi ki ye muskurahat jaise mera mazaak uda rahe hon, main adhik der unke muskurate chehre ko na dekh saka, maine apna chehra unki aur se pher liya.

"theek hai jaisi aap logon ko marzi" maine thoda rukhe swar mein kaha aur kitchen se nikal kar room mein aa gaya.

"kya nirnay hua....khana idhar hi banega na ?" bhaiya ne mujhse pucha.

"haan...." maine do took zawab diya aur neha ko god mein lekar room se bahar nikal gaya. Maine neha ko dekha....aaj mujhe neha ke siwaye koi bhi apna sa nahi laga. Bahbhi par mera adhikaar ho ya na ho kintu neha par mera adhikaar hai, neha ko mujhse bhaiya bhi alag nahi kar sakte. Maine neha ko chum liya aur use apne chhaati se chipka liya. Waise to Baat kuchh bhi na thi....phir bhi jaane kyun meri aankhein bhar aayi thi. Aur Mera mann udaas ho chala tha.

"rahul kya hua....? Tum naaraz ho gaye kya ? Bhabhi ne bahar aate hue mujhse kaha.

Maine apni aankhon mein umad aaye aansoon ko rokte hue palat kar bhabhi ki taraf dekha. Wo darwaze ke paas khadi mujhe aascharya se dekh rahi thi.

"nahi to.....main bhala kyun naaraz hounga." maine muskurate hue kaha.

"phir iss tarah achanak kyun bahar aa gaye...?" bhabhi ne punah prashna kiya.

"ab nirnay ho chuka hai to bata do kya kya lana hai....main jakar mall se saaman le aata hoon" maine bhabhi ki aur badhte hue kaha.

"theek hai andar aa jao" bhabhi ne kaha aur wapas kitchen ki aur badh gayi. Main bhi dheeme kadmo se unke piche piche kitchen mein aa gaya.

"kya tum bura maan gaye....? Dekho raju...ab jab ki tum ye kah hi diye ho ki main jab tak chahun yahan rahun....to phir main apne hi haathon se khana banakar tumlogo ko khilaungi....aur phir neha ko roz roz hotel ka khana khilana bhi theek nahi. Issliye mere pyare dever ji....apni naarazgi ko door kijiye aur list banaiye" bhabhi ne apne antim shabd kehte hue has padi. Unki iss hasi par mere honthon par bhi muskurahat fail gayi. Aur bhabhi mujse boli Rahul ek bat puchu naraj to nahi honge
Mene kaha ji bhabhi puchiye
Bhabhi ne muskurate huye kaha ek batao Chachi aur tum to yahi rahte ho to phir kitchen me saman kyu nahi kya Chachi hamesha vital se khana mangwati he ya phir highway wale ghar me rahti he
Me bhabhi ki bat sunkar ekdum dar Gaya
Mee vo vo vo bhabhi bhai mujhse jabab nahi diya Jaa Raha tha
To bhabhi boli tum dar kyu rahe ho me to ye Kah Rahi thi ek bar Chachi ne bataya tha unke kisi dost ne mera MATLAB unki saheli ne ek highway per ghar unko gift me diya he isliye tum dono aur Chachi ka dost teeno highway wale ghar me rahte ho mera MATLAB unki saheli kya name he unki saheli ka shayaaaaaaaaaaaaaaddddddddddddd ashokkkkkkk haaaa yad Aya Chachi ne bataya tha unka name Ashoka he ESA lagta he Jese kisi admi ka name ho Ashok per vo to aurat he aur unka name Ashok nahi Ashoka Agrawal he Khair chodo likho saman aur phir Mene.
kaagaz kalam liya aur bhabhi dwara bataye hue cheejo ki list banane laga. List banane ke pashchaat main mall jaakar saaman le aaya. Uske baad main bhabhi se bolkar apne kuch mitron se milne ke liye chala gaya. jo isi collony mein kaafi dino se rah rahe they. Main jab laut kar aaya raat ke 10 baj chuke they. Bhabhi ne dinner bana liya tha. aur mere lautne ki pratiksha kar rahi thi. mere aate hi bhabhi ne khana laga diya. Sabne ek sath baithkar khana khaya aur sone ki taiyari karne lage, sone ke liye sabhi room me bed the to Mene bhaiya aur bhabhi Ko ek room me bheja aur me Neha Ko lekar dusre room me so Gaya ....

Next morning
Next page: Update 77
Previous page: Update 75